Is article memain bataunga ki blogger me font kaise change kare puri jankari hindi me aur aisa karna kyu jaruri hai. Aap me se kai logo ko pata hoga ki blogger me font change karna bahot hi aasan hai. par ye article maine un logo ke liye likha hai jo log technical chije utne acche se nahi samajh pate jisse unhe isme problems aati hai.
Blogger blog ho ya wordpress blog ya fir website usme attractive fonts hona jaruri hai taki aapki site ko dekh kar user attract ho aur unhe content read karne me aasani ho.
Is post me hum aapko google ke blogspot blog me font change karne ke bare me step by step with screenshot jankari denge taki aapko sabkuch clearly samajh aa jaye aur aap aasani se apne blog me font change kar sako.
Table of Contents
- Font Change Karna Kyu Jaruri Hota Hai
- Blogger Blog Me Font Change Kaise Kare
- Step 1: Login on blogger dashboard
- Step 2: Select Theme Option
- Step 3: Click on Customize Button
- Step 4: Blogger theme customizing options
- Step 5: Blogger theme customizing sub menus
- Step 6: Change Blogger Font
- Step 7: Change Blogger Links Colors
- Step 8: Change Blog Title Fonts
- Step 9: Change Blogger Tabs Font or Color
- Step 10: Change Blogger Post Fonts
- Step 11:
Font Change Karna Kyu Jaruri Hota Hai
Aapko bta du aisa jaruri nahi ki aap apne blog ke font ko hamesha change karte rahe par aapko apne blog ko attractive aur padhne layak banane ke liye aesa karna jaruri hai.
Jab hum apne blog par koi theme install karte hai to aisa jaruri nahi hota ki aapko sari chije perfect mile, jisme aapke blog ke font type, color, size, design etc. aapki jarurat ke hisab se ho.
Agar aapke blog ke content ka font size theek nahi hai to isse visitor ko padhne me dikkhat hogi aur isse aap apne visitor kho denge.
To apne blog ko padhne layak aur attractive banane ke liye, aapko apne blog ke font ko change karna jaruri hota hai ya chahiye.
Blogger Blog Me Font Change Kaise Kare
Blogger me font change karne ke liye niche di gayi step by steps guideline follow kariye.
Step 1: Login on blogger dashboard
Sabse pahle aapko apke blogger account me sign in karna hoga. uske liye aap blogger.com par jaye aur apni gmail id se login kare.
- Gmail ID se blogger dashboard par login kare.
Step 2: Select Theme Option
Uske bad aapko niche diye gaye image ki tarah page dikhega us page par aapko “theme” option par click karna hai.
- Left sidebar menu items me se Theme option par click kare.
“Theme” option par click karne ke bad aapko “Customize” button par click karna hai. Jaise niche diye gaye image me dikhaya gya hai.
- Customize button par click kare.
Step 4: Blogger theme customizing options
Customize button par click karne ke bad page ke top left corner me aapko kuch options milenge. Jaise ki themes, background, advanced and gadgets.
Uske bad aapko advanced option par click karna hai. Ab aapko kuch aur sub menus dikhenge. Jisme page text, backgrounds, links aur bhi options shamil hai.
Step 6: Change Blogger Font
Page Text: Agar aapko apne blog ke page ke font ko change karna hai to aap page text me ja kar page ke font ko change kar sakte hai.
Step 7: Change Blogger Links Colors
Links: Is option ka istemal karke aap apne blog ke pages aur post links ke colors ko change kr sakte hai.
Step 8: Change Blog Title Fonts
Blog Title: blog title option me aap apne blog ke name ko apne pasand ke font me change kar sakte hai.
Step 9: Change Blogger Tabs Font or Color
Tab Text: Yaha pr aap apne blog ke tabs ke font ko aur color ko change kr sakte hai.
Step 10: Change Blogger Post Fonts
Posts: Isme aapko aapke blog ki post ke title se lekar content ke fonts ko change karne ke option mil jayenge.
Step 11:
Sare changes karne ke bad aapko ek aankhari kaam karna hai jo ki hai changes ko apply karna. Uske liye aapko page ke top me right side ke apply to blog button pe click karna hai.
Aapko advanced option me aur bhi sub-menus milenge jisse aap apne blog ko achhe se design kar attractive aur padhne me aur bhi aasan bana sakte hai.
Agar aapki blogger theme me ye sab options nahi hai to don’t worry aap dusre tarike se bhi blogspot blog ke font change kar sakte hai.
Iske liye aapko blogger CSS method se blogger font change karna hoga. Iske bare me hum already explained article likh chuke hai, aap ye article padh kar easily css method se blog font badal sakte ho.
Ye bhi padhe,
- Blogger Blog Ko Speed up Kaise Kare – 18 Best Tips 2024
- Blogspot Blog Me Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare
- Blogspot Blog Ka Email Address (Log in ID) Kaise Change Kare
- Blogger Blog Theme Coding Ko Compress Kaise Kare [Fast Loading]
Mai aasha karta hu ki aapko samajh aa gaya hoga ki blog ke font ko change karna kyu jaruri hai aur blogger me font kaise change kare.
Agar haa to is post ko apne friends aur dusre blogger ke sath share jarur kare.
thanks Bro bhut hi helpful h ye nayi suruat karne walo ke liye bahot knowledgeful content h