Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare – Sabse Aasan Tarika

Blog banane ke bad jab hum apne blog par new post share karte hai to hume post me images ki bhi jarurat padti hai. par agar hum internet se photo download karke blog post me use kare to wo copyright ho sakti hai. so aysa kya kare ki hume images bhi mile or wo copyrighting bhhi naho. chaliye is post me mai aapko iske bare me details se bta raha hu.

Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare

Mai aapko aaj blog post me photo use karne ka ek aysa tarika btaunga ki aap use 100% follow karna pasand karoge. or aapko copyrighting images se picha bhi chut jayega. aap sab jante hai ki Google duniya ki sabse badi website hai.  aaj 90% kaam google se hi hota hai. isliye google se badi koi site ho hi nahi sakti jo hume blog post ke liye photo de sake. but hum google se kisi bhi photo ko download karke use karenge to wo copyright ho sakti hai. so hum aysa nahi kar sakte hai.

Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare

Actually aap kahi se bhi photo download karo. uske copyright hone ka dar hota hi hai. but agar aap kuch rules follow karke image blog me use kare to wo copyright nahi hogi. mai yaha aapko iske 2 tarike btaunga. aap chahe to follow kar sakte ho.

1) Self Create Image – Image Khud Banaye

Blog post me photo use karne ka sabse acha or aasan tarika hai ki aap image khud banaye. agar aap image khud create karoge to copyrigting ka koi dar nahi hoga. or sabse badi bat aapki alag pahchan banegi. aap is tarah photo create karo. jiski style sabse alag ho. by the way agar aap supportmeindia ke old user hai to aap supportmeindia ki photo dekh kar hi pahchan sakte ho. ki ye SMI ki image hai. kyuki mai apni sari images me hindi+ english word me duable heading add karta hu. or image me site ka logo bhi add karta hu. yaha mai aapko self created image ke fayde or nuksan bta raha hu.

1 – Nuksan:

Sach ye hai ki khud ki banayi images se aapko 1% bhi nuksan nahi hai.

2 – Fayde:

  1. aapki internet par alag pahchan banegi.
  2. copyrighting ka dar 1% bhi nahi hoga.
  3. aap khud image banaoge to jahir hai aap post se related hi banaoge. isse visitors ko post ko samajhne me aasani hogi.
  4. aapki sari images self created hone ki wajah se search engine se aapko acha result milega. or aapki site par search se adhik se adhik visitors aayenge.
  5. aapki site ki ranking achi hogi.
  6. audience aapko jyada pasand karenge.
  7. self created image se 1% bhi coyrighting nahi hogi. so search engine aapki site ko kabhi block nahi karega.
  8. kahi meri photo copyright na ho jaye ka dar bilkul khatm ho jayega.

Inke alawa bhi khud ki banayi images se or bhi bahut sare fayde hai. mai aapko suggest karna chahunga ki aap jaha tak ho sake apni post ke liye images khud banaye.

Image Kis Software Se Banaye

Cantasia Studio sabse better software hai. or agar aap free photo editer use karna chahate ho to photoshop free software me se sabse acha hai. yaha mai aapse kahna chahunga ki paint software jo ki windows 7, 8 ,8.1 ,10 sabhi me hota hai. usse aap sabse better image bana sakte ho. kyuki ye bahut hi easy hai.

Agar aapko photo edit karne ki thodi bahut (basic) ankari bhi hai to aap kisi bhi software se better image create kar sakte ho.

 2) Download Ki Gayi Photo Kaise Use Kare

Blog post me kei bar hume aysi images ki jarurat padti hai jo hum bana hi nahi sakte hai. ayse me hume kya karna chahiye. wo images kaha se download kare. photo download karne ke bare me bhi mai aapko kuch bate btra deta hu.

1) Free photo download site se images download karna

internet par kuch aysi websites bhi hai jo kahti hai ki aap waha se photo download karke apne blog par use kar sakte ho. but iske liye aapko un sites ke terms follow karne honge warna aapki photo copyright ho sakti hai.

Self Promotin: Ye website apni images me apna url add karke rakhti hai. isse jab koi us images ko use karega to is site ka promotion hoga. new blogger ko iska bilkul bhi pata nahi hota hai.

No Guaranty of Copyrighting: aap in sites ki images apne blog me use karne se se pahle meri ye bat dhyan se padiye.

Man lijiye aap make money ke bare me post likh rahe ho. or jab aapko make money ki post ke liye image ki jarurat padi to aapne aysi hi kisi free photo download ki site se photo download karke apni post me laga di. to aapke samne mere kuch sawal hai.

  1. aapne jo image download karke apni post me use ki hai hai. uski kya guaranty hai ki aapse pahle use koi or ne download nahi kiya hoga. or agar kiya hoga to aapki image copyright hogi. becoz us image ko koi allready use kar chuka hai.,
  2. actually aysi site ki image aapke siwa or log bhi us kar sakte hai to aapki photo copyright ho sakti hai ka dar bana rahega.
  3. maine aaj tak aysi kisi bhi site par nahi dekha ki wo image copyrihting nahi hone ki 1% bhi guaranty deti ho.
  4. finaly jaha tak mera blogging ka exprience hai. mai aapko aysi sites ki images use karne ko nahi kahuna.

3) Photo Kaha Se Download Kare

Ab jab hum free photo download sie se bhi photo download nahi kar sakte to fir kaha se kare. kyuki celebrties jaisi photo hum bana nahi sakte. mai iske bare me bhi aapko kuch bate bta raha hu.

aap free website se photo download kar sakte ho but uske liye aapko un sites ke terms follow karne padenge. agar aap aysa nahi karoge to aapki image copyright ho sakti hai. iske bare me adhik jankari ke liye ye post padiye.

Post Summary:

Is puri post me maine ek bat par jor diya hai ki aap jaha tak bhi ho sake khud ki banyi images hi use kare. but agar aapko post ke liye images ki jarurat pade to aap free dwonloading websites se photo download kar sakte ho. but mai ek bar fir kahna chahunga ki agar aap us site ke terms & conditions ko follow nahi karoge to aapki image copyright ho sakti hai. so ache se soch samajh kar hi free site ki images use karo. free website ke bare me adhik jankari ke liye yaha click karo. aapko uaha par free websites ki total jankari milegi.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 97 )

  1. har blog par dekha ki google photo ko read nhi kar pata to blog pr jyada pic nhi use karni chahiye..ab padha ki pic copyright ho jayegi agr kahi se download karke daloge to.bcz google ko pta chl jayega ki ye pic copyright hai… jab google pic ko padh nhi pata to vo copyright kaise ho sakti h ./??ajeeb confusn h

    Reply
    • Mujhe confusing ye ho rahi hai ki aapko kisne kaha ki google image ko padh nahi pata.

      Reply
  2. sir image par jab kuchh likhna ho to hindi me kaise likhenge.

    Reply
    • Aap google input tool computer me install karo or koi bhi photo editer me hindi me likh lo.

      Reply
  3. okk bhai thanx …or jaise hum ek din mai apne blog pr ek se zyada post publish kare to usse koi problem to nhi hai
    or bhai maine jabse template change krie hai ek prblm ho gyi hai mere blog ke header ke neeche template ke hi lebel dikhai de rhe hai …unhe kaise theek karu.

    Reply
    • Aap jo template use kar rahe ho wo crack hai aap koi or template use karo.

      Reply
  4. thnx bhai maine cnvrt krli template zip se XML mai or add krli template apne blog par
    bhai mere do question hai apse

    1. photo ko khud create krne ke lye simple(plan) photo to download krni padegi wo kaha se kare

    2. or Maine dekha hai aapke kuch photo par diagram ban rhe hain jinhe khud nhi bnaya jaa skta to kya unhe inhi 15 sites mai se dwnld kare ..

    Reply
    • 1. Nahi aap free bahut se photo editer hai unhe use karo.
      2. Ha mai free site se photos use karta hu ya fir jiske bare me post likhta hu uski image use karta hu. Jaise me blogger ke bare me post likh raha hu to blogger ki image use kar sakta hu.

      Reply
  5. Lekin bhaiya, hum apni post me screenshot toh edit kar laga sakte hai na. Ki vo bhi copywrite hoga.

    Reply
    • Ha laga sakte ho wo copyright nahi hoga.

      Reply
  6. SIR MERE BLOG KE HOME PAGE PAR SIRF 2 YA 1 HI POST SHOW HOTI HAI JABKI ME CHAHTI HU KI MERE BLOG KE HOME PAE PAR 5 POST SHOW HO PLEASE HELP KARO..

    Reply
    • Aap blogger dashboard> settings> post and comment par jao oe show at ke samne 5 post select karo.

      Reply
  7. Hello Bro,
    Aap meri site chek karke btaye ki usme kya kmi h.
    Kya changing kre site main.
    Help me.
    ek or Q. Blogger Template bnane ke liye
    Template ka Map(Formet) kha se download kre.

    Reply
    • Aap sabse first kaam blog ko sahi se design karo.

      Reply
  8. Bhai ek help karoge Facebook name kya hai apka

    Reply
    • Facebook.com/jumedeenkhan

      Reply
  9. Blogger Blog ko WordPress.com par Transfer karne Par Kitna… Chij karna padta hai
    toh mera Blog WordPress Aaa jaye

    Reply
  10. jume din bro ek problem aa rhi hai meri sithe ka address hai – hindiinternettricks.com par jab mai hindiinternettricks.com se search kar rha hu to godaddy ka page khul rha hai aur likha aa rha hai – how to welcome to hindiinternettricks.com jabki www ke sath meri site khul ja rhi hai aisa kyun plzz help

    Reply

Leave a Comment