CDN Kya Hai Aur Website Blog Ke Liye Kyu Jaruri Hota Hai

Jab bhi koi website blog ko speed up karne ki bat karta hai to usme Content Delivery Network yani CDN ka name jarur aata hai. Mostly new blogger ko CDN ke bare me information kam hi hoti hai. So unko iske bare me kuch bhi samajh nahi aata hai. Agar aapke sath bhi aysa hi hai to chaliye aaj is post me mai aapko iske bare me details se bta raha hu.

CDN Kya Hota Hai

Actually CDN aapki site ko fast loading karwane ke most important tariko me se ek hai. Wo log jinhe iske bare me technical information hoti hai or wo jante hai ki ise use karne se kya fayde hai apni site ke liye koi na koi Content Delivery Network use karta hai. Website speed checker tool GTmetrix, Pingdom, Google pagespeed and other sabhi content delivery network use karne ki advice deti hai.

In this post, Is hindi tutorial me mai aapko btane wala hu ki CDN (Content Delivery Network) kya hai ye website ke liye kyo jaruri hai or iska istemal kyu karna chahiye.

CDN (Content Delivery Network) Kya Hai?

Isko hindi me clear samajhan bahut mushki hai. But fir bhi mai koshish karunga ki aapko ache se samajha saku. CDN bhaugolik drshti (geographicall) se chhitaree server (dispersed servers) ka ek network hai. Ise Edge Servers bhi kahte hai. Yeh aapki site ke static content jaise images, CSS/JS files and structural components har ek file ke size ko cache kar kam karta hai.

Content delivery network ke data server alag alag location par hote hai. Jab koi user aapki site ko open karta hai to uski rquest CDN network user ke sabse najdiki data server par jati hai or aapki site jaldi open hoti hai. Isse data travel hone me kam time lagta hai or fast providing hoti hai jisse aapki site teji se open hoti hai. Yaha aap gtmetrix ka screenshot dekh sakte hai.

CDN Data Center screenshot

 

CDN Kyo Important Hai Or Hume Iski Jarurat Kyo Hai?

Mostly hum website or blog ke liye kisi na kisi share hosting ka istemal karte hai or hostgator, bluehost, godaddy, WPengine and other hosting providing company par apni site ko host karte hai. In sabhi ka ek hi data center hota hai or humari site ko ek hi location se host hoti hai. Isliye jab bhi koi humari site ko open karta hai to uski sari request ek hi data center par jati hai. Jisse site slow open hoti hai. Mai yaha aapko details me btata hu.

1. Without CDN:

Man lijiye aap CDN use nahi karte hai to aapki site ek location par host hogi or jab koi aapk site ko open karega to uski request ek hi location se handle hogi jisme data send karne me time lagega or aapki site slow open hogi.

2. With CDN:

Agar aap koi CDN use karte hai to jab bhi koi user aapki site ko open karega to uski rquest uske aaspas wale data center par jayegi jisme kam duri hone se data send hone me kam time lagega or aapki site fast open hogi.

With CDN Without CDN

CDN Kounsa Use Kare?

MaxCDN and Cloudflare jaisi bahut si company free or paid CDN service provide karti hai. In my case, Mai ClodFlore ki Free service use karta hu. Popularty ke hisab se MaxCDN jyada popular hai or iske liye aapko iska koi plan purchange karna hoga. Mai aapko suggest karunga ki pahle aap cloudflare ka free plan try kar ke dekhe bad me aap paid plan buy kar sakte ho. Iske bare me hum dusri post me bat karenge.

CDN Use Karne Se Aapki Website Ko Kya Kya Fayde Hai?

Upar di gayi information se aapko thoda bahut to pata chal hi gaya hoga ki Content Delivery Network ko istemal karne se aapki site ko kya kya fayde honge. Fir bhi mai aapko yaha kuch points bta deta hu ki CDN use karne se kya kya fayde hai.

1. Website Loading Speed:

Content delivery network use karne se aapki site speed up hogi or aapke reader aapki site ko jyada pasand karenge. 90% user fast loading site pasand karte hai. Jisse aapko jyada traffic milega or log aapki site par dusro ki tulna me jyada visit karna pasand karenge.

2. Increase Search Ranking:

Website ki speed tez hogi to googlebot aapki site ko jaldi index karega. Google ne ye bat bahut pahle clear kar di thi ki fast loading site google search engine me fast index hoti hai or use search engine se jyada traffic milta hai.

3. Bounce Rate:

Blog ke fast open na hone ki wajah se visitor aapki site ke homepage ya kisi bhi page ko open karke chod jate hai jisse aapki site ki bounce rate badh jati hai. Bounce ka jyada hona SEO ke liye acha nahi hota So aap CDN use karke apni site ki speed badha sakte hai. Isse aapki site ki bounce rate kam hoti hai.

4. More Earning:

Jaisa ki maine aapko upar btaya hai ki CDN use karne se aapki site par affiliate marketing ads, AdSense ads and other ads fast open honge. Jisse aapko jyada se jyada ads click milenge or aapki jyada income hogi. Agar aap AdSense user hai to mai aapko suggest karunga ki aap apni site ke liye ise ek bar jarur try kare or natija khud dekhe.

5. Handle More Traffic:

Hosting server ek hi location se site ko host karta hai but CDN network ke geographical location par data server hote hai. Jisse aapki site fast open hoti hai. Second difference location par data server hone ki wajah se aapki site par jyada traffic control hoga.

Finally, Ummid karta hu aapko is post ko padhne ke bad CDN (Content Delivery Network) ke bare me achi jankari milegi or ab aap CDN ke bare me bahut kuch jan chuke hoge to ab mujhe comment me btayiye ki aapko is post ko padhne ke bad kya samajh aaya or kya nahi. Or aane wale time me aap kis CDN service ko istemal karne wale hai.

I hope ye article aapke liye helpful sabit hoga. Agar ha to plz ise socila media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 70 )

  1. Rushikesh Sonawane

    Bro maine is post ko dhyan se padh liya hai. CDN ke bare me acche se samjh bhi aaya hai. But do confusion hai.
    1. SSL cirtificate aur CDN me kya difference hai. Dono alag chije hai yah fir ek hi hai.

    Ye confusion isiliye hota hai. Kyonki, ham pahale Cloudflare se free SSL enable karte the. To bahot saare post me use CDN bhi kaha gaya aur kuch me ssl provider bhi.

    2. Second SSL enble karne se sirf site https:// me badal jaati hai aur secure hoti hai. Ya fir speed me kuch fark padta hai.

    Reply
    • Jumedeen khan

      1. Dono alag alag cheeze hai ssl se aapki site https ke sath open hoti hai aur CDN se aapki site multiple location se content share karti hai.
      Cloudflare CDN service provide karta hai + me free ssl bhi provide karta hai.
      2. Yea sir site https ke sath open hoti hai aur secure ho jati hai, site speed thodi slow ho jati hai.

      Reply
  2. Roshan

    Sir, Mai ne GoDaddy ka Manage WordPress Install kar rha tha to us mai ek ye option aaya

    Choose a data center (We recommend choosing one close to your customers.

    unhone —[ (1)North America ] (Recommended ) ko tick kar k diya …..aur dusara data center hai – [(2)Europe] to mujhe es mai se kun sa Data Center chuna Chahiye – Plz help me – 🙂 mera focuse indian users par jada hai ….

    Mai ne distance bhi chak kiya jo ye hai – Distance from North America to India – 11,645 km

    Distance from Europe to India – 6,467 km

    Sir ab aap bate mujhe kya chose karna chahiye jo best rahe ga ???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      North America select karo.

      Reply
  3. navedal

    Nice Post.
    Visit My Website Here user Got : All the Tips & Tricks of Android, And you get Latest Updated news of Android, and here user get many Problem’s Solution of Android and user also get Selected Apps & Games Categories.

    Reply
  4. kailash

    Sir
    Mai kailash bishnoi from jodhpur
    Mai bhi ak blogger banana chahta hu.
    Mai apna blog WordPress mai bnau ya blogpost pe banau
    Latest mai konsa topik chalta hai muje btaiy sir

    Reply
    • Jumedeen Khan

      First aap blogger par free blog banao jab iske bare me achhe se jaan lo to apna blog WordPress par shit kar lena.

      Reply
  5. sanju dangar

    Sir godaddy dusra CDN names server allow karti hai? Maine ClodFlore ke server add kiya par baar baar err aati hai. Kya sir ab godaddy se contact karna chahiye?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi ye cloudflare ka issue hai. Aap cloudflare ka paid plan use karo usme ye problem nahi hogi.

      Reply
  6. aryan

    ek number post sir Aapka post dekh Kar mene CDN laga li hai aur meri site ki speed 60% increase huyi hai

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...