WordPress Blog Par Favicon Kaise Set Kare – 3 Badiya Tarike

Is tutorial me mai aapko “How to add favicon to WordPress blog” ke bare me information de raha hu. Yaha mai WordPress blog par favicon set karne ke 3 best tarike (method) bta raha hu. Agar aapke blog par kinhi karano se favicon show nahi ho raha hai to aap in tariko ko try kar sakte hai.

Wordpress blog par Favicon kaise add kare

WordPress par Blog Install karne ke bad hume blog me jo important settings karni hoti hai. Unhi me se ek hai apne blog ke liye favicon icon add karna. Jo humari site ki pahchan hota hai. Or sabhi chahate hai ki uski site ki alag pahchan bane.

Agar aapka blog blogspot.com platform par hai to aap Blogspot blog par favicon kaise add kare article padh kar apne blog par favicon add kar sakte hai.

Mostly .jpeg, .png file favicon par work nahi karta hai. Site par favicon add karne ke liye aapko small size ka favicon banana hota hai. Starting me favicon inhi reason se show nahi hota hai. Wese kei bar .JPEG OR .PNG file ka favicon bhi work karta hai. Yaha mai aapko faivcon ke liye kuch points bta deta hu.

  1. Favicon ka recommended size 16×16, 512×512,  150×150 ya 12×12 ka hona chahiye.
  2. Favicon ko FTP (File Transfer Protocol) se change karke upload karna chahiye.
  3. File favicon.ico support hona chahiye. .jpeg or .png kei bar work nahi karte hai.

Site ke liye favicon banane ke liye aap favicon banane wali website use kar sakte hai. In my case, Maine apne blog ka favicon www.favicon.cc site par banaya hai.

WordPress Blog Par Favicon Kaise Add Karte Hai ?

WordPress blog par aap jo theme use kar rahe ho. Usme bhi favicon add karne ka features hota hai. But kuch free WordPress theme me favicon set karne ka option nahi hota hai. Ayse me aap niche btaye tariko se apne blog me favicon logo set kar sakte ho.

Method 1: Add Favicon By WordPress Directory

WordPress 4.4.2 me favicon add karne ka features diya hua hai. Jisse aap direct WordPress customize option se favicon add kar sakte ho.

Apne WordPress blog admin panel par ja kar log in kare or blog ka homepage open kare. Ab top sidebar me Customize par click kijye. Agar top sidebar show na ho to users > your profile par ja kar “Show Toolbar when viewing site” ke samne tick kare.

  1. Ab Select Image par click karke favicon upload kare.
  2. Save & publish par  click kare favicon add kare.

Select Image for WordPress favicon

Method 2: Add Favicon By Using Plugin

Second method me aap WordPress plug-in use karke favicon add kar sakte hai. Iske liye aap apne WordPress blog ke administration panel par jaye or Plugins > Add New par click karke favicon plugin upload kare. WordPress par favicon add akrne ke liye aapko bahut sare plug in mil jayenge. Jaise All in One FaviconCustom Favicon or Favicon by RealFaviconGenerator. Isme All in One Favicon plugin ko 200,000 se jyada log download kar chuke hai. Custom Favicon ko 30,000 se jyada users download kar chuke hai or  Real Favicon Generator ko 90,000 se jyada log download kar sakte hai. Aapko jo pasand aaye use kar sakte ho.

Wordpress Favicon Plugin

Method 3: Add Favicon By Directory Using FTP

Third method me aap direct blog me code paste kar favicon add kar sakte ho. Iske liye aapko blog theme ke edit option me ja kar header.php me favicon ka code paste karna hai.

WordPress admin panel par jaye or Apearance > Editer open kare. Ab right sidebar me “header.php” par click kar open kare. Ab yaha <head> ke niche ye code paste kar de.

<link rel="shortcut icon" href="yoursite.com/faviconurl" type="image/x-icon"/>

Is code me link me “yoursite.com/faviconurl” ki jagah apni site ke favicon ka link change kar le. (Favicon .png, .jpeg, .ico ya kisi bhi format ka ho sakta hai.)

Agar upar di three method se bhi aap favicon set nahi kar pao to mai aapko suggest karunga ki aap All in One Favicon plugin use kare.

I hope aapko is post me WordPress favicon ki achi jankari milegi. Or aap isme btaye tarike follow karke apne WordPress blog me aasani se favicon set kar sakte ho. Agar fir bhi aapko koi problem ho to niche comment me puch sakte ho. Ya fir aapke pas iske alawa bhi koi or tarika hai jisse WordPress blog par favicon set kar sake to aap comment me apne vichar share kar ke humare readers ki help kar sakte ho.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends or other WordPress user ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 42 )

  1. Sultan Singh

    Bahut hi badiya post bhai

    Reply
  2. Shivam

    Sir meri website new hai or maine apne website par favicon add kiya tha or wo show bhi ho raha tha kam se kam wo 50 to 60 days show hua par abhi kuch din se favicon show hona band hogaya Or site ki domain rating 4 the wo 2 show karne lagi aisa kyu ho raha hai sir. Website WordPress par hai.

    Reply
    • जुमेदीन खान

      अभी आपकी साईट पर फ़ेविकॉन शो हो रहा है

      Reply
    • Shivam

      Sir PC me show ho raha hai par mobile me nahi.

      Reply
      • जुमेदीन खान

        cache clear karke check karo.

        Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...