Support Me India

  • ब्लॉग
  • ब्लॉग्गिंग
    • वर्डप्रेस
    • ब्लागस्पाट
    • वेब होस्टिंग
    • ऐडसेन्स
    • एफिलिएट मार्केटिंग
    • ईमेल मार्केटिंग
    • डोमेन रजिस्ट्रेशन
  • एसईओ
  • टेक्नोलॉजी
  • लाइफ सक्सेस
  • पैसा कैसे कमायें
  • अधिक
    • इन्टरनेट
    • बिज़नस स्टार्टअप
    • यूट्यूब
    • एजुकेशन
    • दिलचस्प तथ्य
    • सोशल मीडिया
    • सिक्यूरिटी टिप्स
  • सवाल पूछें
मुख्यपृष्ठ / ब्लॉग / ब्लॉग्गिंग / Website Blog Ko Zero Se Hero Banane Ki Top 20 Tips

Website Blog Ko Zero Se Hero Banane Ki Top 20 Tips

By: Jumedeen KhanLast Updated: 21 Sep, 2018

Website Ko Zero Se Hero Kaise Banaye? Blog Ko Zero Se Hero Kaise Banaye? Aaj hum isi topic par bat karenge or janenge ki apni site ko success kaise banaya jaye or ek successful blogger kaise bana jaye. Blogging me success hone ka koi e"Easy Way" nahi hai but maine kai aesi website or blog dekhe hai jo bahut kam time me success huye hai. Unki success ka kya reason hai wo kon konsi tips and tricks istemal karte hai unke bare me yaha bta raha hu.

Blog Ko Zero Se Hero Kaise Banaye

Blog ko 0 se hero banana aasan nahi hai wo bhi kam time me but agar aap kuch important points ko focus karo to aesa ho sakta hai. Mujhe blogging me 2 year ho gaye hai is bich maine blogging ke bare me kafi kuch jana hai. Blogging me aapko jitni problem plenty of people se hogi utni apne competitor se bhi nahi hogi.

  • 10 Best Tips Jo Aapko Ek Success Blogger Bana Sakti Hai
  • Success Blogger Banna Chahate Hai To Ye 5 Tips Jarur Follow Kare

Blogging me daily jane kitne log entry karte hai but unme se kuch hi log aese honge jo success blogger ban pate hai baki log 3 month, 6 month, ya fir 1 year tak koshish karke blogging chord dete hai. Actually, blogging shuru hi tab hoti hai kyuki kuch time ke bad hi aapko blogging ki sahi jankari (right information) hogi.

To aap wakai apne blog ko zero se hero yani successful banana chahate ho. Tabhi to aap ye post padh rahe ho to chahliye ab start karte hai.

विषय-सूची

  • Blog Ko Zero Se Hero Kaise Banaye - Website Ko Zero Se Hero Banane Ki 20 Tips
      • 1. Write for Yourself
      • 2. Be Yourself
      • 3. Be Consistent
      • 4. Be True to Your Voice
      • 5. Get Ideas from Your Audience
      • 6. Understand Your Audience
      • 7. Build Your Email List
      • 8. Love Your Existing Reader
      • 9. Focus on Building call-to-action
      • 10. Start Free Giveaway
      • 11. Give Away Your Knowledge
      • 12. Give it Time - This is Why
      • 13. Give Your Email List Priority
      • 14. Write Catchy Headlines
      • 15. Keep it Short
      • 16. Keep it Long
      • 17. Do Research Before Write Content
      • 18. Create Social Media Account
      • 19. Mention Other Blogs
      • 20. Write Well , Fresh and Useful Content
    • Final Words,

Blog Ko Zero Se Hero Kaise Banaye - Website Ko Zero Se Hero Banane Ki 20 Tips

Jin bloggers ko kam time me kamyabi mili hai unme se kuch logo ne apni success k raaz share kiye hai or btaya hai ki kaise or kin tariko ko apna kar hum apne blog ko zero to hero bana sakte hai. Yaha unme se kuch bato ke bare me bhi btaya jayega.

1. Write for Yourself

Jab aap blog create kar lo to sabse pahle apne bare me likho. Aapko sochna hai or apne thoughts ko words me logo ke samne rakhna hai. Bas ye yaad rakhe ki aap jo likh rahe ho use dusre log bhi read karenge.

2. Be Yourself

Real bane, yaha blogging me success hone ka koi rule nahi hai rules aapko hi banane hai. Jab aap blogging start karte ho to aap successful bloggers se bhi milte ho. Aap unki tarah apni profile me "Professional" and "I have Experience" etc. words ko add kar mahan nahi ban sakte. Apne aapko pahchano or unke jaise banne ki koshish karo.

3. Be Consistent

Aapke audience aapko bhool na jaye iske liye consistency bahut jaruri hai. Isse aapki site ka traffic loss nahi hoga or users continue aapki site par visit karte rahenge.

4. Be True to Your Voice

Apne aapko or apni voice me sachai rakho. Log aapke bare me kya kahte hai uski parwah mat karo. Bura kahne walo ko bhi ek din sachai ka ahesas ho jayega.

5. Get Ideas from Your Audience

Blog par e kaesi post likhe jaha par aapke audience aapko ideas bta sake ya fir aap social media, commenting ke through apne visitors se ideas le sakte ho.

6. Understand Your Audience

Aap apne blog ke raza "king" hai or aapke audience aapki praja. Aapka farz hai ki aap aesa kaam kare jise aapki praja pasand kare.

7. Build Your Email List

Apni site par shuru se hi email marketing shuru kar de or email list banaye. I know aap ko product sell nahi karna chahate but future ke liye ye better hai or aap email marketing se apne content ka promotion bhi kar sakte ho.

8. Love Your Existing Reader

Aapki site par aane wale or dusre visitors ke bare me sochne se jyada existing visitors yani aaj jo aapki site par visit karte hai se love karo or unse achhe relation banao.

9. Focus on Building call-to-action

Jis tarah se aap call receive karte ho same wese hi apne audience ko reply karo or unke sawalo ka jald se jald jawab do taki wo kisi or ke pas jane ke bajaye aapke pas hi aaye.

10. Start Free Giveaway

Domain, content etc. audince ko free offer kare. Isse jyada se jyada mostly newbie ko aapke bare me pata chalega.

11. Give Away Your Knowledge

Aapko jo pata hai use logo se chipao mat aap apni prtibha ko jitna logo ke samne rakhoge log aapko utna hi janenge manenge. Blog ko zero se hero banane ka ye simple way hai.

12. Give it Time - This is Why

Blogging ko time chahiye aap part time blogging se jayda aage nahi ja sakte. Aap sochte ho ki aap iske liye invest kar rahe ho or dusro ko hire kar rahe ho nahi, Ise dusro ka nahi aapka time chahiye.

13. Give Your Email List Priority

Agar aap business ke liye blogging kar rahe ho to aapke pas bahut sare logo ka support chahiye jo aap email listing se bana sakte ho. Ise apni site par apply karna kafi nahi hai balki is par dhyan de or iska care kare.

14. Write Catchy Headlines

Amazing content ka koi fayda nahi agar uski heading sahi na ho or agar headlines must hai to bekar content ko bhi log read akrte hai. So IEye catching, effective, attractive titles ko choose karo.

15. Keep it Short

Blogging me sabse important matter aapka lesson itna long hona chahiye ki use 1-2 minutes me read kiya ja sake.

16. Keep it Long

Sirf unhi articles ko long rakhe jinhe long content ki jarurat ho.

17. Do Research Before Write Content

Kisi bhi topic par article likhne se pahle uske liye researching karo.

18. Create Social Media Account

Apni site ke liye social media par account banaye or un par continue post share kare.

19. Mention Other Blogs

Apne content me dusre blogs or websites ko mention kare. Isse unko aapki site ke bare me pata chalega or wo bhi aapki site ko mention karenge.

20. Write Well , Fresh and Useful Content

Jitna ho sake utna jyada achha content likho. Bekar ke content wali to internet par lakho websites hai.

Ye 20 tips hai jinhe focus karke aap kam time me apne blog ko zero se hero bana sakte ho. In my case, mujhe in sabse sabse behtar tarika regular update ka lagta hai agar aap daily content share karoge to aapse jyada se jyada log judte jayenge.

Final Words,

Ek time tha jab internet par bahut kam websites hua karti thi or blogs to bahut hi kam the but aaj internet par millions websites or blogs hai or un par har tarah ki information mil jati hai. Audience ko same wesi hi site bana kar same wesa hi hai jaise ek hi khana har roz prosna. Jisse ghinn aati hai.

  • Blogging Ki Shuruat Kaise Kare Successful Blog Kaise Banaye
  • Blogging Me Readers Ko Motivate Karne Ki 20 Successful Tips

Aapko kuch new karna hai or main humesha se hi is bat par jor deta hu ki aap kuch naya karo taki log aapko jyada like kare. Har ek visitor kuch naya janna chahata hai wo us post ko padhne aapki site par kabhi visit nahi karega jise wo already kisi or site par read kar chuka hai.

Ab aapki bari hai aap comment me hume btaye ki blog ko zero se hero banane ke liye or kon konsi tips and tricks istemal karni chahiye.

शेयर
  • Share on Facebook
  • Tweet on Twitter

लेखक: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

आपको ये भी पढना चाहिए

  • Google Official SEO Factors

    Google द्वारा शेयर किये गए 3 Official SEO Factors

  • Social Media Engagement

    ब्लॉग के लिए सोशल मीडिया इंगेजमेंट इनकरेज करने की 7 टिप्स

  • Blogging Me Fail Hone Ki Wajah

    Aakhir Har Blogger Blogging Me Success Kyu Nahi Hota (Failed Blogger)

Reader Interactions

टिप्पणियाँ ( 56 )

एक टिप्पणी जोड़ें
  1. Sahil kumar

    09 Jan, 2019 at 12:16 pm

    Superb article bro

    जवाब दें
  2. Mahi siyag

    25 Aug, 2018 at 12:47 am

    Sir bahut hi achchhi jankari provide ki hai aapne.

    जवाब दें
  3. Ankit

    24 Aug, 2018 at 8:20 pm

    Bahut aachi baat bataye hai thanks

    जवाब दें
  4. Rosan tripathi

    15 Jun, 2018 at 1:05 pm

    Adab jumedeen sir
    Ap ke sare articles Bhut helpful hai sir
    Sir maine August 2017 se blogging
    Start kee hai

    1 sir please ap humare blog ko check kr ke btaye isme kya kmi h

    2. Sir m blogger se earning kr sakta hu

    3.sir hosting ke bina kitna trfic generate kr sakte hu

    Sir please iska reply jrur kre because as villager mujhe tech knowledge kafi km h.

    जवाब दें
    • Jumedeen khan

      15 Jun, 2018 at 1:21 pm

      1. blog design aur seo settings complete karo.
      2. yes kar sakte ho.
      3. blogger par hosting ki jarurat nahi, no limit

      जवाब दें
  5. Sonjoy Lama

    13 Oct, 2017 at 10:07 am

    बेहतरीन लेख … तारीफ-ए-काबिल … Share करने के लिए धन्यवाद!!

    जवाब दें
  6. Om

    09 Oct, 2017 at 6:19 pm

    Hi sir, meri age 16 years hai.
    So mai apne dady ke nam par adsence account bana sakta Hu kya?
    Agar bana sakta hu aur account successful approved ho jaye.

    To kya Jab Main 18 years ka ho jao Toh Mujhe Apne Naam Par AdSense account Banane Mein Koi dikkat To Nahi Aayegi ?
    Please help I only trust you.

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      13 Oct, 2017 at 3:59 pm

      Yes bana sakte ho. Nahi koi dikkat nahi hogi.

      जवाब दें
  7. prabha

    27 Sep, 2017 at 11:26 pm

    hello sir,nice article
    sir wordpress ya blogspot per free m blog bnae or acche article likhe to kya us per b earning hoti h ya phir domain name lene per hi hoti h earning plzzz batae sir

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      28 Sep, 2017 at 11:27 am

      Free blog se bhi earning hoti hai.

      जवाब दें
  8. Syed Viqar Ahmad Naqvi

    27 Sep, 2017 at 6:22 pm

    hello sir,
    kya aap mujhe bata sakte hai ki blogger ke blog me agar main ye line likhta hoon to isko kaise likha ja sakta hai. For example-(sub heading ke liye , , ka bhi use kar sakte hai. Ek element me bahut si bar footer ko bhi define kiya jata hai.)
    Jab bhi main aisa kuchh likhne ki kshish karta hoon to publish karne ke bad ye alag alag heading me ho jati hai. aur font ka size kam zyada ho jata hai. Upar di gayi line ko kaise likhe ki wo publish hne ke bad bhi waisi hi dikhe.

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      28 Sep, 2017 at 11:14 am

      Sorry Mujhe samajh nahi aaya. aap ek example de sakte hai.

      जवाब दें
  9. Shahid Dave

    01 Sep, 2017 at 7:05 am

    Jab post krty ha to Log kasy Daikhty hain un ko Add krna parta ha ?? Jesy Facebook py friend Add krty hain to post show hoti

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      01 Sep, 2017 at 3:58 pm

      Nahi aap social media par share karo or SEO optimize karo, google me aapki site search me aayegi to user google ke through aapki site par traffic aayega.

      जवाब दें
  10. Jitendra singh

    27 Aug, 2017 at 7:21 am

    Mera google Adsense account appruv nhi ho rha hai. Please help

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      27 Aug, 2017 at 8:21 pm

      Read our adsense related posts.

      जवाब दें
  11. JITENDRA SINGH

    21 Aug, 2017 at 6:13 pm

    Bahut hi acchi jankari di aapne . nice post

    जवाब दें
  12. chetan choudhary

    20 Aug, 2017 at 8:50 pm

    Hello, sir mene ek new website banai he par ye bina www ke nahi khul rahi he .

    Sir ek baar aap ise jarur check kare ki me or kya sudhar kar sakta hu.

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      21 Aug, 2017 at 7:19 am

      Aap blog ka design complete kar lo.
      Blogger Blog Ke Domain Ko Without www Ke Kaise Set Kare

      जवाब दें
      • chetan choudhary

        21 Aug, 2017 at 11:04 am

        Bhai aapne jo tarika bataya bina www ke usse to godaddy ka page open ho raha he aur www se kholne par website khul rahi he

        जवाब दें
        • Jumedeen Khan

          23 Aug, 2017 at 6:54 pm

          Follow carefully.

          जवाब दें
  13. RISHIKESH MISHRA

    17 Aug, 2017 at 7:47 pm

    Bahut hi badhiya information sir thanks

    जवाब दें
  14. karan

    17 Aug, 2017 at 7:33 pm

    Sir please help
    (1)- email id bahut bar nahe khulte, so agar me Blogger ke blog par apne mobile no see register kara lu, to bad me blog ko "WordPress.org" par transafar karne me koi problem to nahe hogi
    (2)- Blogger se WordPress par kharida DOMAIN name, same to same transfer hoga ya kuch different hoga
    (3)- Godaddy.com par account register (domain kharidane k liye) karne k liye, email id jaha bharna he waha mobile no. bhar sakte h kya
    . After 1 year Domin ko renewal karne me kya eske jarurat hoge

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      18 Aug, 2017 at 4:43 pm

      1. No problem.
      2. same to same hi hoga.
      3. nahi email ID hi bharni hoti hai.
      4. Yes hogi. Isi se apa godaddt par login kar domain ko manage kar sakoge.

      जवाब दें
  15. Abhishek Meena

    16 Aug, 2017 at 9:42 pm

    Bhai aapne mere sawal ka koi jawab nahi Diya... Aur na hi mera comment publish kiya...
    Kyu ???

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      16 Aug, 2017 at 9:53 pm

      Aapki comment spam ho gayi hogi. Aap fir se sawal puch sakte ho.

      जवाब दें
      • Abhishek Meena

        17 Aug, 2017 at 8:46 am

        Bro. Agr Mai blogging ke baare me sab kuch seekhna chahu to mujhe kaunsa computer course karna chahiye ??

        जवाब दें
        • Jumedeen Khan

          17 Aug, 2017 at 12:11 pm

          Computer course ki jarurat nahi hai bas computer ki basic information ho kafi hai.

          जवाब दें
          • Abhishek Meena

            17 Aug, 2017 at 2:20 pm

            But bro.
            Site Ki page loading speed kam karne ke kiye and template ke sahi se optimization vagairah ke liye coding Ki bahut jarurat padti hai...

            And abhi mera mood bhi tha koi computer course karne ka so plz tell me that web designing wala karu ya fir koi aur... ??

            Thanks

          • Jumedeen Khan

            18 Aug, 2017 at 4:35 pm

            Nah iiske liye coding ki jarurat nahi hai. WordPress par aap manged hosting and cache plugin use karo. Fir bih aap ye coding se karna chaho to iske liye apako kisi special course ki jarurat nahi padegi. Internet par wordpress optimization ke millions articles hai wo read karo. WPBeginner an ShoutMeloud iske liye sabse best hai.

  16. ABDUL RAHEEM

    16 Aug, 2017 at 3:33 pm

    Dear Blog Me Ye Wali Description Kaise Enable Krte Hen Jaise Apki Hai
    "Support Me India - Blogging, SEO & Internet Ki Jankari Hindi Me! "
    Ye Jo Description Apki Site ke name Ke Aagy hai ye wali
    Blogging, SEO
    & Internet Ki Jankari Hindi Me!
    Ye kaise apne blog me enable krain?

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      16 Aug, 2017 at 4:30 pm

      Blogger me aapko ye blog ke name ke sath hi add karna hoga.

      जवाब दें
  17. kumar

    16 Aug, 2017 at 7:07 am

    very well post bro. i have question related to blog design and how to change width of blog and widget section and what is ideal width

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      16 Aug, 2017 at 4:50 pm

      CSS coding se kar sakte ho like .site-inner{width:1130px;}

      जवाब दें
  18. Mukesh Gupta

    15 Aug, 2017 at 4:01 pm

    वाह. बढ़िया पोस्ट

    जवाब दें
  19. Deepanshu Saxena

    15 Aug, 2017 at 1:18 pm

    Mja aa gya.....
    Creative thought .
    Thanks

    जवाब दें
  20. Satwant Yadav

    15 Aug, 2017 at 10:37 am

    Very useful tips, thanks.

    जवाब दें
  21. nilesh

    14 Aug, 2017 at 10:45 pm

    Hello sir Google par facebook ke bahut se parameters show ho rahe lekin GWT me sabhi par No url karke hai... Iska koi solution bataye

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      16 Aug, 2017 at 5:00 pm

      Read this guide Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare

      जवाब दें
  22. Ashish

    14 Aug, 2017 at 1:54 pm

    bahut he accha article likha hain aapne bhai. Mai apne blog par aapke bataye har tips and tricks use karta hu aur mujay slowly results bhe nazar aareh hain.
    Thank you bhai

    जवाब दें
  23. Kavish Jain

    14 Aug, 2017 at 10:43 am

    Post ke liye Idea Kha se Laye... Please Tell us For Viral Content?

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      14 Aug, 2017 at 9:19 pm

      Read our SEO related posts.

      जवाब दें
  24. Virendar Singh

    14 Aug, 2017 at 10:15 am

    Bahut hi badhiya tips batayi aapne Jumedeen bhai,

    Aapne sahi kaha blog bnaya hai to consistent raho, naye-naye ideas par article likho well researched puri information ke sath aur sabse main baat be yourself.

    Thanks! for the article brother.

    जवाब दें
  25. Dhaval Rathod

    13 Aug, 2017 at 7:40 pm

    Bahut achha post hai sir aapka, aap bahut achhi post likhate ho aapka blog bhi mst hai

    जवाब दें
  26. rovin singh

    13 Aug, 2017 at 6:57 pm

    zumedeen sir kya wordpress me site banane ke bad hum google console me apne blog ke post ko fetch nhi kar sakte google post ko index nahi karta hai kya kyoki mera blog pehle blogger par tha or ab wordpress par transfer kiya hai or mene purani search console property delete kar di jo new property banayi hai usme post index nahi ho ri hai or sitemap bhi error dikha ra hai. plzz suggest me.

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      14 Aug, 2017 at 7:57 pm

      Yes kar sakte ho yes karta hai aap search console me sitemap submit karo.

      जवाब दें
      • rovin singh

        14 Aug, 2017 at 8:05 pm

        jab me sitemap ko submit kar ra hu to ye Redirect error: Redirect error
        HTTP Error: 302 dikha ra hai

        जवाब दें
        • Jumedeen Khan

          14 Aug, 2017 at 8:11 pm

          AAP "sitemap_index.xml" sitemap submit karo.

          जवाब दें
  27. Deepesh Pandole

    13 Aug, 2017 at 5:01 pm

    Hello jumedeen sir site me https lagane se google webmaster tool me post index nahi ho rahi

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      14 Aug, 2017 at 9:13 pm

      Google webmaster tool me bhi https ke sath site submit karo.

      जवाब दें
  28. deepak

    13 Aug, 2017 at 4:57 pm

    Sir me jab apne post ko Fetch and render krta hu to PARTIAL a jata hai or fetch krta hu to ho jata hai
    sir fetch as render Kyo nhi hota

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      14 Aug, 2017 at 9:13 pm

      Sabke me PARTIAL hi aata hai. Aap sirf fetch karoge to complete aayega.

      जवाब दें
  29. Jumedeen khan

    13 Aug, 2017 at 4:46 pm

    Great

    जवाब दें
  30. Rohit Bhatt

    13 Aug, 2017 at 2:18 pm

    Superb Thank To Share This Jumedeen Bhai
    Bhai Kya Aap Muje Aapke Sidebar Me Jo Subscriber Widget Laga Hai Uska Code De Sakte Hai Muje Apni WP Site Par Lagana Hai.
    Please Muje Mail Id Par Send Kar De

    जवाब दें
    • Jumedeen Khan

      13 Aug, 2017 at 2:55 pm

      Look here Blog Ke Liye Top 5 Email Subscribe Widget baki aap CSS code se design kar lo.

      जवाब दें
  31. Ankit Kumar

    13 Aug, 2017 at 11:10 am

    Bhut badiya Jume Deen bhai aap rojana aise content late kaha se ho.

    जवाब दें

अपनी प्रतिक्रिया दें। Cancel reply

Primary Sidebar

शुरुआती गाइड

ब्लॉगिंग के माध्यम से पैसे कमाने के 3 तरीका।
#पहला एक ब्लॉग बनाएँ।
#दूसरा ट्रैफिक बढ़ाएँ।
#तीसरा कमाना शुरू करें।
-: पैसे कमाना शुरू करें :-
सिर्फ ₹99/mo में होस्टिंग खरीदें!

नयी पोस्ट

  • घर में बरकत क्यों नहीं होती? (गरीबी की वजह)
  • मिया बीवी का रिश्ता - Miya Biwi ka Rishta
  • सच्चे प्यार के 20 गुण (True Love Qualities in Hindi)
  • Fitness Trainer कैसे बने? इसके लिए योग्यता और सैलरी
  • सारी जिंदगी जवान और सेहतमंद रहने के 10 नियम

अपडेटेड पोस्ट

  • घर में बरकत क्यों नहीं होती? (गरीबी की वजह)
  • मिया बीवी का रिश्ता - Miya Biwi ka Rishta
  • सच्चे प्यार के 20 गुण (True Love Qualities in Hindi)
  • Fitness Trainer कैसे बने? इसके लिए योग्यता और सैलरी
  • सारी जिंदगी जवान और सेहतमंद रहने के 10 नियम

पोपुलर पोस्ट

  • व्हाट्सएप अकाउंट को ब्लॉक होने से कैसे बचाएं - 10 टिप्स
  • Branded Short Domain Kya Hai Aur Kaise Choose Kare
  • Windows 10 Mail App Me Custom Email Setup Kaise Kare
  • PAN Card Ke Liye Online Application Submit Kaise Kare
  • दुनियाभर में मशहूर है ये 5 मोबाइल गेम्स

टॉपिक चुनें

  • इन्टरनेट
  • ईमेल मार्केटिंग
  • एजुकेशन
  • एफिलिएट मार्केटिंग
  • एसईओ
  • ऐडसेन्स
  • टेक्नोलॉजी
  • डोमेन रजिस्ट्रेशन
  • दिलचस्प तथ्य
  • पैसा कैसे कमायें
  • फेस्टिवल
  • बिज़नस स्टार्टअप
  • ब्यूटी टिप्स
  • ब्लागस्पाट
  • ब्लॉग्गिंग
  • मोबाइल मार्केटिंग
  • यूट्यूब
  • रिश्ते-नाते
  • लाइफ सक्सेस
  • वर्डप्रेस
  • वेब होस्टिंग
  • सिक्यूरिटी टिप्स
  • सोशल मीडिया
  • स्वास्थ्य

Footer

थोडा ब्लॉग के बारे में

यह एक हिंदी ब्लॉग है, जिसका मकसद है लोगो को हिंदी भाषा में विभिन्न जानकारी उपलब्ध कराना।

इसके अलावा हमारा एक Ask SMI फोरम भी है, जहाँ हम नए ब्लॉगर्स की मदद करते है।

अन्य महत्वपूर्ण लिंक

  • ब्लॉग
  • फ्री ब्लॉग बनाये
  • डील्स
  • पैसे कैसे कमाए
  • विज्ञापन दें
  • होस्टिंग कहा से लें
  • अस्वीकरण
  • शब्दकोश

ब्लॉग न्यूज़लेटर सब्सक्राइब करें

हमारी नवीनतम पोस्ट की सुचना पाने के लिए अभी ब्लॉग को सब्सक्राइब करे!

Powered by: Mozedia.com

कॉपीराइट © 2015–2021हमारे बारे मेंसम्पर्कगोपनीयता नीतिसाइटमैपवापस जाएँ।