Blogger Me Custom Redirect Error 404 (Page Not Found) Kaise Set Kare

Jab koi user aapki site ke url ko browser me open karta hai to url me thodi si mistake hone par blogger Error 404 page not found msg show karta hai. iski wajah se wo user aapki site ko chod kisi or site par chala jata hai. aaj mai aapko iska solvation bta raha hu, uske bad jab koi user aapki site ka galat url bhi open kaega to bhi wo aapki site par aa jayega. blogger ne iska option bhi diya hua hai. mai aapko uske bare me bhi btaunga.

how to set error 404 in blogger

Bahut se blogger is par dhyan nahi dete or apne blog ki traffic badhane me lage rahte hai. par mai aapko bta du ke is kami ki wajah se aapki site ke old user aapki site par nahi aa pate or natizan aapki site ki traffic kam hoti jati hai. yani koi bhi aapki site ki kisi bhi post ka galat url type kar ke bhi aapki site par aa sakta hai.

Blogger Me Custom Redirect Error 404 (Page Not Found) Kaise Set Kare?

 aaj mai aapko is post me do tarike bta raha hu jinki madad se aapke visitors aapki site ka galat url use kar ke bhi aapki site par aa jayenge.

Option 1. Meta Tag Refresh

1. apne blog ke dashboard>>template>>EDIT HTML par jaye.
2. ab code box me kahi bhi click kar ke CTRL+F dabaye or <head> likh kar search kare.
3. ye code copy kare
<b:if cond='data:blog.pageType == "error_page"'>
Oops! Page does not exist. We are redirecting you to home page.
<meta content='5;URL=https://www.supportmeindia.com' http-equiv='refresh'/>
</b:if>
4.  or <head> ke niche paste kare.
redirect meta code
Code paste karne bad https://www.supportmeindia.com ki jagah apni site ka url change kare.
 Finaly  Save Template par click kare.

Option 2. Using Javascrip

1. Apne blog ke dashboard>>settings>>search preferences par jaye.
2. ab custom page not found ke samne Edit par click kare.
3. ye code copy kare or code box me code paste kare.

Sorry, the page you were looking for in this blog does not exist. You will be redirected to homepage shortly.
<script type = "text/javascript">
//Blogger 404 Redirect v1.0 (makingdifferent.com)
BSPNF_redirect = setTimeout(function() {
location.pathname= "https://www.supportmeindia.com/"
}, 5000);
</script>
 custom redirect 404

aapki site par custom redirect ki setting success huyi bhu hai ya nahi,  check karne ke liye  apni site ki kisi bhi post ke url ko copy kare or usme se ek do words cut kar ke browser me open kare or dekhe kya result aata hai.

Agar aapka blogger ya internet se related koi or sawal hai to humari site ke Sawal Jawab Forum me post kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 59 )

  1. Gayatri Singh

    Sir kitne post ke baad blog ko share krna padta hai,please sir ap sabke comment ka reply krte h, meri bhi help kreye

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap 1 post likhne ke baad bhi share kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...