WordPress site hack kyo hoti hai or iski wajah kya hai. Is post me main aapko wordpress blog ke hack hone ke kuch top karan btuanga jinki wajah se wp site hacking ka sikar ho jati hai. Aaapko pata bih nahi hota or aapki ek galti hackers ko aapki siri information share kar deti hai. WordPress website already secure hoti hai or wordpress security par hundreds developer work karte hai but wordpress user kuch aesi galtiya kar dete hai jinki wajah se unki site hack ho jati hai. Agar aapko apne business ko aage le jana hai or apni site ko secure karna hai to ye mistakes kabhi na kare. WordPress Website Hack Hone Ke Top Reasons.
Oh aap sucessful business kar rahe hai or aapse mistakes nahi hoti. Aesa mat sochiye kyuki galtiya sirf newbie se nahi hoti hai. Galti kisi se bhi ho sakti hai so agar aap already apni site ko secure kar chuke hai to ek bar confirm kar le taki aapki site ki security or strong ho sake. Apni site ko malware se protect kar le taki koi use hack na kar sake.
- WordPress Website Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
- WordPress Ke Bare Me Ye 20 Bate Aapko Pata Honi Chahiye
Website hacking ek horror story ki tarah hoti hai jiski taiyari bahut kam log karke rakhte hai. Sun kar bahut dukh hota hai ki internet par daily hajaro websites par malware attack hote hai or bahut si site hock hoti hai. Website ke hack hone ke jimmedar kafi had tak hum khud hote hai. Hum site security par care nahi karte or iska ahsas hume site hack hone ke bad hota hai.
Yaha main aapko wordpress blog ke hack hone ki wajah bta raha hu agar aap apni wordpress site ko hack hone se bachana chahate ho to humari WordPress Blog Ko Secure Kaise Kare Top 20 Security Tips aritcle read kare.
WordPress Site Hack Kyu Hoti Hai 10 Wajah
Jab bhi kisi ke samne wordpress hacking ka topic aata hai to uske dimag me ek question jarur aata hai ki aakhir wordpress website hack kyo hoti hai. Iske kya reason hai or inse kaise bacha jaye. So aaj main yaha aapko wordpress site ke hack hone ke karan bta raha. Aap aesi galtiya kabhi na kare.
Top Reasons Why WordPress Site Get Hcked:
1. WordPress Security Par Care Na Karna
Bahut se wordpress users wordpress par blog to bana lete hai but uski security par bilkul dhyan nahi dete hai. Ye sabse bada reason hai. Newbie bloggers se to aksar ye galti hoti hai. Actually, unhe na to jyada hacking ki jankari hoti hai or na hi wordpress ki so wo is matter ko jyada bada nahi samajhte or sirf blogging par dhyan dete hai.
Blogging ka matlab sirf article likhna or publish karna hi nahi hai balki aapko iske alwa Blog Security, Protect Blog Spamming and Phishing, SEO, Pormotion, etc. kai sare matter par dhyan dena padta hai. In sabme blog ki security sabse jyada important hai.
Agar aapka data safe hai to matlab sab safe hai or jab aapka data safe nahi hai to aapka future, aapke plans, aapke ideas, aapki manzil kuch bhi secure nahi hai. Site hack hone par aapki sari mehanat par pani fir sakta hai. Agar aapko nahi pata ki wp blog banane ke bad kya kare to ye post read kare, WordPress Install Karne Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips.
So main aapko suggest karunga ki apni site ki security par dhyan de or aap jo blogging platform use karte hai uski jitna ho sake security badhaye.
2. Blog Ki Details Share Karna
Maine bahut se bloggers ke blog hack hote dekhe hai. Inme se kuch bloggers ka karan tha unka kisi ke sath blog ki log in details share karna. Kai bar user blog theme, database etc. ko optimize karne ya blog me koi jaruri settings karne ke liye kisi or ko blog ki detail bta dete hai.
Isme developers, worpdress expert, wordpress services providers (fake) etc. shamil hai. Ye log aapke blog ki details le kar aapke sare data ko delete kar dete hai ya fir data ka backup bana kar aapse paise mangte hai.
Mostly, ye newbie bloggers ko shikar banate hai jin iski kam janakri hoti hai or wo aasaani se inki bato me aa jate hai. So kabhi bhi kisi ko bhi apne blog ki details ke bare me na btaye.
3. Bad Web Hosting Choose Karna
WordPress blog install karna bahut aasan hai but uske liye better web hosting choose karna bahut mushkil kyuki aaj achhi achhi top web hosting wali wordpress website hack hone lagi hai. Hostgator company web hosting me top providers me shamil hai but pichle kuch time se ye hacking ko le kar badnam hai jo ki bilkul sahi hai.
Kuch log cheap hosting ke chkkar me bahut hi bekar hosting choose kar lete hai jin par unke data ki security 0% hoti hai. Internet par aapko aesi bahut sari web hosting company mil jayegi jo free ya fir bahut hi saste plan offer karti hai.
Aesi web hosting companies se bache or jab apako blogging karni hai to ise seriously lo or koi best web hosting choose karo taki aapka data secure rahe sake. Maine kafi hosting use ki hai jinme se mujhe sabse best Siteground hosting lagti hai. Jiski service or security dono better hai.
Note:- Better hosting only 1-2 week ya 1 month ki free hosting offer karti hai isse jyada offer dene wali company fraud ho sakti hai. Kabhi bhi free ke chakkar me na pade or kuch pay karke achhi hosting buy kare.
4. Unknown & Multiple Theme Use Karna
Blogging platform me wordpress sabse jyada popular hai or sabse jyada log isi par blog banate hai. Isme koi shaq nahi hai ki wordpress.org par millions wordpress theme hai but hum un sabhi ke bare me nahi jante. Hackers is bat ka fayda uthate hai or apni theme design kar wordpress users ke sath offer ke sath share karte hai.
Ya fir wo paid or popular themes ka corrupt ya crack version share karke logo ko lalach dete hai. Hum me se kuch log iska shikar ho jate hai or free ke chakkar me pad kar uni themes apne blog me install kar lete hai. Bas uske bad hackers ko humari sari personal information mil jati hai or humari site unke control me chali jati hai.
Apne worpdress blog par bahut sari themes install na kare or bar bar theme change na kare. Agar aap paid theme chahate ho to Studiopress, Elegantthemes jaisi top companies se theme buy kare ya fir Mythemeshop jaisi better company ki free thmes use kare.
5. Insecure Plugins Install Karna
WordPress open source software hai jis par hum jo chahe kar sakte hai. Isme plugins ka ahem role kar sakte hai. User without coding knowledge ke apne blog par plugin ka istemal kar kuch bhi kar sakta hai.
But ek sawal “Kya Sabhi Plugins Secure Hai?” Bilkul nahi yaha bahut se aese plugins hai jinka istemal nahi karna chahiye. Kuch plugins to security ke liye hi banaye gaye hai jinhe install karne ke bad humar blog ki log in details badal jati hai or kuch hi time me humara data hackers ke pas hota hai.
Sirf jaruri or most popular plugins hi use kare or aese plugin ko use karne se bache jo pichle kafi time se update na hua ho. Faulty, Insecure and Vulnerable plugins ka istemal bilkul na kare.
6. Weak Password Use Karna
Normally, new user simple password use karte hai. Facebook, twitter jaise social media par wo kafi time se aesa kar rahe hote hai or jab wo wordpress par lbog banate hai to yaha bhi wohi hota hai. Loose password ka istemal karte hai jinka koi bhi aasani se pata kar sakta hai.
Ye galti new users sabse jyada karte hai. Apni site ke liye hi nahi apne har online account ke liye Strong Password set kare taki koi bhi aasan ise access na kar sake or aapka data secure rah sake. Kabhi bih weak password ka istemal na kare.
Password me special words ka istemal jyada kare isse password jyada secure hota hai. Agar aapko nahi pata ki strong password kaise banate hai to aap ye post padhe, Strong Password Kaise Banaye Strong Password Banane Ki 8 Best Tips.
7. Old Version Use Karna
WordPress website hack hone ka ye bih ek bada reason hai worpdress version update na karna. WordPress staff time to time security or other bugs ki wajase se wordpress version update deta rahta hai. Kuch log is par dhya nanhi dete or old version hi istemal karte hai.
Latest version use karne wale ki tula me old version use karne wale ki wordpress website hack karna jyada aasan hota hai. Isiliye jab bhi wordpress new update aaye to software update kare or humesha latest version hi use kare.
Agar aapko koi bhi coding ya other kobhi problem ho to wordpress.org forum par apni problem share kare. Yaha kai wordpress expert aapki help ke liye ready hote hai. Sirf wordpress hi nahi balki theme or all plugins ko bhi up to date rakhe.
8. Unusual Admin User Banana
Agar aapki site par multiple author content likhte hai to aapki site par kai sare log proprietary rights rakhte hai. Kai bar hum blog par bahut jayda dmin users hone par sab par dhyan nahi de pate hai or unknown person ko ya fir galti se kisi ko bhi admin bana dete hai.
Kuch log sirf apna staff badhane ke liye kisi ko bhi blog ka admin bana dete hai. Inme se koi hackers ke contact me ya hacker ho sakta hai. Jo aapke sath rah kar hi aapki wordpress website hack karne ka plan bana raha hota hai.
Blog par multiple author features use karo but sirf apne wishwas ke logo ko hi admin banao taki aapke sath koi dhoka na kar sake or admin ya contributors ke liye permission set kare taki wo aapke blog par full access na pa sake.
9. General Admin and Login Page
WordPress ke all instances par mostly “admin” username hota hai or adhiktar wordpress site par /wp-admin ya fir /wp-login.php ke through dashboard par pahucha ja sakta hai. Simple words me ye hackers ke liye site tak pahuchne ka main gate hai. Hacker yaha aa kar password ka idea le kar password pata karna shuru kar dete hai.
Username or site dashboard par jane ka rasta to hi hi sirf password chahiye. Ab agar user simple password use karta hai to hacker unka pata kar lete hai.
Aapko chahiye ki aap login URL ko hide kare iske liye aap WPS Hide Login plugin ka istemal kare or apni site ke liye majbut password banaye.
10. Website Traffic Growth Hona
Aapki site jitni jyada popular hoti jayegi uske hack hone ke chances utne hi jyada honge. Kyuki har hacker kisi badi site ko hack karna chahata hai. Popularity ka matlab hi yahi hai aap jitna successful banoge logo ko aapse utni hi jalan hogi.
Aapki site par jitna jyada traffic hoga hacker malware or spam attack se utna hi aapki site ko hack karne ki koshish karenge. So aapko progress ke sath apni site ki security par utna hi jyada dhyan dena hoga taki aapki reputation bani rah sake.
Aese time me aapko ek experienced team ki jarurat padegi. Agar aapki site par bahut jyada traffic hai to aapko site security ke liye security expert ki jarurat hogi or is e aap kabhi ignore na kare.
Final Thoughts,
Ye thi wordpress website hack hone ki wajah inhi karano se wp site hack hoti hai. Ye sirf reason nahi hai balki mistakes bhi hai jo aapko nahi karni chahiye. Kuch experts ke anusar websites ki tulna me hacker wordpress blogs ko kyada shikar banate hai kyuki wordpress site ko hack karna site ki tulna me aaasan hota hai.
WP temple ki Infographic k according 41% wordpress website hosting platform vulnerabilities ki wajah se, 29% website insecure theme ki wajah se, 22% vulnerable plugin and 8% weak passwords ki wajah se wordpress website hack hoti hai.
Ummid karta hu ye sab janne ke bad aap apni site par koi galti nahi karoge or site secure rakhoge. Sirf apni hi nahi dusre bloggers ki site ko secure karne me unki help kare or unhe iske bare me btaye.
- Blogger Blog Me HTTPS Mixed Content Errors Ko Fix Kaise Kare
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
I hope kisi ki bhi site hack nahi honi chahiye agar aap bhi aesa hi sochte ho to is post ko dusre bloggers and social media par share kare taki sabko iska pata chal sake.
Thanks junedeen bhai ❤ se jankari dene keliye
bhai mere blog ke kisi link par google search result me click kiya jata hai to “2018 Annual visitor survey” aata hai. jabki maine theme and plugins bhi deactivat karke dekha fir bhi. mujhe kya karna chahiye help me
Mere pas aapki site ke liye sahi se open ho rahe hai.