Adsense RPM kya hai. Isko le kar new AdSense user ko confusing bani rahti hai ki aakhir ye hai kya or AdSense me ye kya kaam aati hai. Don't worry is post ko padhne ke bad aap AdSense page RPM ko ache se samajh jaoge.
I think har koi AdSense RPM ke bare me janna chahate hai or maine apni pichli post Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye me btaye hai ki agar aapki AdSense RPM $3.5 hai to aap daily 3000 pageviews se 10 dollar se jyada money earn kar sakte ho.
Adsense RPM Kya Hai?
Adsense RPM ka matlab hai ki aapne 1000 pageview (PVs) se kitni earning ki hai uski Avarage AdSense page RPM hoti hai. RMP AdSense CTR or CPC pae depend karti hai. So aapko AdSense RPM increase karne ke liye AdSense CTR or CPC increase karni hogi. Or CPC increase karne ke liye aapko Micro-Niche banani hogi or usme AdSense policy follow kar ke Right Place par ads lagane honge.
Aapne 2000 pageviews se $20 earn kiye hai or aapki impressions 5000 hai to aap RPM $4 hogi. Adsense RPM hum is tarah pata kar sakte hai.
Ad RPM = (Estimated earnings / Ad impressions) * 1000
Adsense RPM increase kaise Kare - 10 Important Tips
Adsense RPM increase karne ke aapke pas 2 tarike hai.
- Adsense ads number kam kare. ads की संख्या कम करे । Isse bhale hi aapki income kam ho jayegi but AdSense RPM badh jayegi.
- Same impressions me earning increase kare.
Dono tips me se aapko first tips ke bare me to btane ki jarurat hi nahi hai kyuki sab jante hai ki AdSense ads ko sankhya kam kaise karte hai. AdSense 3 display and text ads allow karta hai aap 3 ki jagah 2 ya 1 use kar sakte ho.
Dusri tips ke liye aapko kya karna hai. Iske bare me mai aapko poit de kar bta raha hu. Ummid hai aapko aasani se meri bate samajh aa jayegi.
- Place ads above content: Post content ke first me big size ads use kare.
- Don't place all ads in same screen: Sabhi 3 ads ek hi jagah par use na kare. Alag alag jagah par adss lagaye.
- Don't Match ads in your theme: Manta hu ki aap AdSense ads ka look change kar sakte ho. But itna bhi nahi ki wo aapki site ke design me hi mil jaye.
- Improve Organic Traffic: Apne blog par search engine se adhik se adhik traffic recieve karne ke pryas kare.
- Block un related ads unit: Jo ads aapki site se related na ho aap unhe block kar sakte ho.
- Block Less CPC ads URLs: Aap low CPC ads links ko remove kar sakte ho.
- Use recommended ads size ads: Aapki site par mobile se jyada visitor aate hai to mobile size ke responsive or recommended size ke ads use kare.
- Use Custom Size Ads: Agar aapki site par desktop use karne wale jyada visitor hai to aap custom size ke ads bana kar use kare. Custom size ke ads aap post ke first me use kare.
- Choose Targeting Country: USA, UK and other countries jinme AdSense ki high CPC ho. Un site ko target kar ke article likhe.
- Your Exprience: Apne AdSense account me weekly or monthly income report check kare or uske hisab se pata kare ki aapki kis size ke ads se or kaha lagaye gaye ads se jyada income huyi hai. But per day ki report check kar ke apna expriement mat dikhaye.
- Insert High Paying Keywords in your post: Post me high paying keywords use kare. Isse aapki income bhi badhegi or aapki site par traffic bhi badhega. iski jankari ke liye Get 100000 Pageviews From Your Post Using High Keywords post padhe.
I hope aapko is post me Adsense RPM ki or RPM increase karne ki achi jankari milegi. Or aap AdSense ke bare me kuch behtar sikhoge. Mai aapko personaly suggest karunga ki AdSense se achi income wohi kar sakta hai jo AdSense ke bare me achi jankari rakhta hai. Sirf blog me AdSense ke ads lagane bahr se income nahi kar sakte. Adsesne ki puri jankari rakhne wala person AdSense se 2000 pageviews se $10 earn kar sakta hai. But AdSense ke bare jisko bilkul janakri nahi hai wo 2000 pageviews se $5 bhi mushkil se kama sakega. So AdSense ke bare me jitna ho sake janne ki koshish kare.
- Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Agar aapki is article me share ki gayi jankari better lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Bro Yakin Mano Aaj meri Earning 50.14$ ki hue hai.
so agar pure month aisa hua or earning aachi hue to kya Google AdSense par Tax lgega ??
kya tax dena padega ???
Naveen tax dene se mat daro. Itna kama rahe ho to is par govt ka bhi haq banta hai. Agar aapki income 3.5 lakh se jyada hai to aapko tax bharna hai. Pahle ye 2.5 lakh thi but ab iski sima baha di gayi hai.
Apne AdSense ko YouTube se connect karke kaise earning karu pls sir reply
Check this post Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
Hello SIR
Mera AdSense account hai mere Adsense home page par Page RPM $ 81.60 bat raha hai is ka kya matlab hai aap Please mujhe bataye
Is post me maine kis bare me janakri di hai. Aap ramayan dekh kar kah rahe ho ki ram or sita koun the. amazing.
Hello sir mene apne blog ko AdSense se approved kar liya hai, or abhi ads bhi active ho gaye hai.
Aap muje please ye bataye ki hamesa lagbhag mere blog ka Page Rpm $4.00 hota hai to me is hisab se abhi acha kar raha hu ya nahi aap muje jarur bataye. Or is hisaab se me lagbhag apne is pahle mahine me kitni income kar sakhta hu. Please fast
Achha kar rahe ho. Sorry me future ke bare me nahi bta sakta.
Sir thanks but aap please muje ye btaye ki me apne blog ki CPC lagbhag pahle mahine me kitni honi chahiye jisse me achi income kar saku please average ke hisaab se lagbhag kitna karne ki kosis karta rahu
Aapki CPC jitna jyada hogi itni better hai.
Sr muje apse parsanal inbox me swal puchna hai agr mai sahi hua to usse apko bhi traffic milega swaal hi kuch aisa h sr
plzzzz reply jarur krna me fb inbox me apko message bhej raha hu
OK aap message send karo ma ireply kar dunga.
Bahut acchi jankari bhai...
Sir,merit website me Alexa rank no data show ho RHA hai ... Kya kru
Ye post padho Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai
sir
1.jab koi hume comment karta hai woh direct post ke niche dikhe iske liye kya karna chahiye
2.maine jo template use kiya hai usme bhasha alg hai usme reply ke bajaye balas likha hua hai use kaise change kare maine arlina desigen se template download kiya hai
1. Aap blogger settibg>>post and commnets option par jao or commnet moderation off karo.
2. Aap dusri template use karo.
Blogger mein html mein jake jb bhi mein link ad paste karta hu to link ads ke nich wale post ke line theek se dikhai nahi deta kyuki link ads aa jate hai us line par toh isko kaise fix karte hai
1. Aap post me sahi jagah par ads use karo. iske liye aap pahle jaha aapko ads dikhana hai waha par compose section me "x*x*x" words likho or fir html section par click karke "x*x*x" ki jagah ads code paste karo.
2. Aap blog post me responsive size ka ads nahi laga sakte.
1)Thank you for reply aur bhai "x*x*x" ki jagah "yyyyy" dala ya "12345" toh kya koi problem hogi ?
2) Bhai comment ko delete karne or spam karne mein kya difference hai jabki dono method se comment show nahi hot
1. Kuch bhi dal sakte ho. maine sirf ek example btaya hai.
2. Spam karne se comment aapke blog me hi rahta hai or delete karne se humesha ke liye delete ho jayegi.
ek bar mere blog ka look dekh ke batao ki koi kami h
Dilip blog ka design to theeek hai. But mujhe lagta hai ki aapko ye post padh leni chahiye. Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips