Fast Typing Kaise Kare – Typing Speed Badhane Ki 10 Tips

Aaj ke time me jyadatar kaam online (computer aur laptop par) hone lage hai. Isi wajah se jab bhi aap kisi job ke liye apply karte hai to aapse ummid ki jati hai hai ki aapki typing speed achhi ho. Is post me hum aapko Typing Speed Kaise Badhaye Aur Fast Typing Karne Ke 10 Tarike bta rahe hai jo aapko Keyboard Master bana denge.

Improve Typing Speed

Typing skill lagbhag har career path me kaam kaata hai, jiski typing achhi ho use aasani se koi bhi computer job mil jati hai. Fast typing ek extra skill hai jo selection ke samay aapko sabhi candidates me highlight kar sakta hai. Student ke better career ke liye typing sikh lena behtar hai.

Isiliye main aapko suggest karunga ki aap abhi se apni typing speed improve kar le, apni typing speed ko badhaye, aur ise jaldi shuru kare kyuki bahut jald aapko iski jarurat padne wali hai.

Typing Speed Kaise Badhaye (Fast Typing Kaise Kare)

Regular practice karna aur typing test karna typing speed badhane ka sabse achha tarika hai. Isko sikhne ke liye aapko kisi special course ki jarurat nahi hai.

Internet par aapko is bare me bahut se articles aur videos mil jayenge jinse aap ghar baithe sikh kar aasani se apni typing speed tej kar sakte ho.

Apni typing speed improve karne kel iye log internet par kai tarah ke keyword search karte hai.

  • Typing Kaise Sikhe
  • Tpying Sikhne Ka Tarika
  • Typing Speed Kaise Badhaye
  • Fast Typing Kaise Kare
  • Fast Typing Karna Kaise Sikhe
  • Typing Speed Badhane Ke Tarike
  • Fast Typing Karne Ke Tarike
  • Fast Typing Karne Ki Tips
  • Typing Speed Badhane Ke Tarike

Aese bahut sare sawal hai jinka log jawab janna chahate hai, agar aap bhi isi tarah ki searching karte hai to aapko in sabhi sawalo ke jawab is post me milne wale hai.

Fast Typing Karne Ki 10 Tips Jo Aapko Keyboard Master Bana De

Ji haa, main aapko typing speed badhane ka aesa tarika bta raha hu jo aapko wakai main computer keyboard ka master bana denge.

Hum aapko typing speed fast karne ki kuch best tips bta rahe hai jo aapki typing speed ko pahle se behtar bana denge.

1. Ek Keyboard Chune Jo Aapke Hatho Ke Liye Comfortable Ho

Computer keyboard me kai variety hoti hai aur unka shapes and size different hota hai. Aapko ek aesa keyboard choose karna hai jo aapke hands ke liye comfortable ho. Jisse aapko typing karne me aasani ho.

Key size dekhe, key size jitna bada hoga utnahi easy hoga. Aapki ugliyo par fit baithne wale keys wale keyboard ko select kare.

2. Technique Par Focus Kare

Kya apa jante hai ki typing me 80% technique, 10% speed aur 10% accuracy hai. Aap is bare me kisi typing master ya expert se puch sakte hai. Keyboard par hath kaise rakhna hai, konsi ugli kaha rakhni hai, ye sab pata karne ke bad hi aap achhe se typing sikh paoge.

Isiliye aapko fast typing karne ke liye typing process ko achhe se samajhna hoga tabhi aap teji se type kar paoge. Agar aap lagtar typing karne ki koshish karte hai aur hatho ki position par focus nahi karte hai to aapki typing speed kharab ho jayegi.

3. Keyboard Ke Sath Khud Ko Familiarize Banaye

Mostly keyboards me standard set-up hota hai aur kuch me alag-alag layout ya aur service hoti hai. Simple keyboard aur multi-media keyboard iska udhaharn hai.

Aap pane keyboard ko achhe se samajh le aur jaan le ki kaunsi key kya kaam karti hai. Aapko har ek key ke bare me basic info honi chahiye. Keyboard ke har ek button ko apne mind me add karne ki koshish kare.

Main aapko suggest karunga ki aap ek bar keyboard ke sabhi key buttons ko yaad kar le, itna ki aap keyboard ko dekhe bina bta sako ki kaunsi key kaha hai, iske liye aap apne friend ki help le sakte hai. Use puchne ke liye kahe aur aap key location btaye.

4. Fingers Ko Keyboard Par Properly Arrange Kare

Jab aap keyboard ki all keys ko achhe se samajh lo aur yaad kar lo to uske bad aapko keyboard par hands ko kaise rakhe ke bare me sikhna hai.

Ye tarika typing speed me sabse jyada important hai. Isse aap keypad ki aur dekhe bina typing kar sakte hai.

Apne left hand ki index finger ko “F” aur apne right hand ki index finger ko “J” key button par rakhe. Baki left hand ki other fingers ko “A”, “S”, “D” key button par rakhe aur right hand ki other fingers ko “K”, “L”, “;” button par rakhe.

Finger Position on Keyboard

Jab bhi aap keyboard par hath rakho to aapke hatho ki ugliya “A”, “S”, “D”, “F” or “J”, “K”, “L”, “;” key buttons par honi chahiye. Sath hi aap computer ke samne baithe to confirm kar le ki aapka keyboard aapke sharir ke samne center position me ho.

5. Keys Press Karne Ke Liye Right Finger Use Kare

Fast typing aur behtar typing karne ke liye jaruri hai ki aap keyboard keys par strike karne ke liye right fingers ka istemal kare. Jyadtar cases me log apni kuch hi ugliya ka istemal karte hai lekin aapko sabhi ugliyo ka istemal karna hai.

Left hand finger posiyion on keyboard:

  1. Apne left hand ki pinkie ungli ko “A” key ke alawa “1”, “2”, “Q”, “Z” key ke liye istemal kare.
  2. Apne left hand ki ring finger ko “S” key ke alawa “3”, “W”, “X” key ke liye istemal kare.
  3. Apne left hand ki middle finger ko “D” key ke alawa “4”, “E”, “C” key ke liye istemal kare.
  4. Apne left hand ki index finger ko “F” key ke alawa “5”, “6”, R”, “T”, “G”, “V”, “B” key ke liye istemal kare.

Right hand finger posiyion on keyboard:

  1. Apne right hand ki index finger ko “J” key ke alawa “7”, “Y”, “U”, “H”, “N”, “M” key ke liye istemal kare.
  2. Apne right hand ki middle finger ko “K” key ke alawa “8”, “I”, “,” key ke liye istemal kare.
  3. Apne right hand ki ring finger ko “L” key ke alawa “9”, “O”, “.” key ke liye istemal kare.
  4. Apne right hand ki finger ko “;” key ke alawa “0”, “_”, “=”, “P”, “[“, “]”, “‘”, “/” key ke liye istemal kare.

Dono hatho ke thumb ka istemal aap spacebar ko press karne ke liye kare, Aapko dono me se jo jyada comfortable lage us anguthe ka istemal kar sakte hai.

6. Regularly Practice Kare

Jaisa ki main upar bta chuka hu ki typing speed ko improve karne ka true way hai practice, aap jitni jyada typing practice karoge aapki typing speed utni hi behtar hogi. Aap sirf padh kar ya dekh kar typing speed improve nahi kar sakte.

Fast typing ke liye aapke dimag ke sath sath aapke hatho ki mashpeshiyo ko keyboard keys ko achhe se samajhne ki jarurat hoti hai aur wo sirf aapko practice karne se mil sakti hai.

Iske liye aapko bahut sari online tools mil jayegi aur aap game khel kar bhi typing speed improve kar sakte hai. Sath hi aap books paper right karne, friends ko mail karne, story write karne ke liye typing kar sakte hai.

Kuch bhi ho aap regular practise kare aapko bahut jald positive result milega, aap kitne time bad typing faster kar sakoge ye aap par depend karta hai.

7. Galtiya Hone Par Har Na Mane

Jab aap typing speed improve karne ka course start karte ho to clear hai ki aapse starting me typing mistakes hongi. Don’t worry, aesa kuch nahi hai jiski aapko chinta karni hai. Ye sabke sath hota hai koi bhi maa ke pet se sikh kar nahi aata hai.

Yaad rakho ki ek chhote bacha chalna sikhne se pahle kai bar girta hai lekin wo har nahi manta aur aakhir me wo sahi se chalna sikh jata hai. Aapko bhi wohi karna hai, sikhte rahna hai.

Galti hone par typing sikhna, practice karna nahi chhodna hai, karte rahna hai. Dheere dheere aap kam-kam aur kam galti karoge aur ek din aayega jab aap ek bhi galti nahi karoge. Us din aap typing master ban jaoge.

8. Practice Karte Time Break Le

Typing practice karte time regular break lena important hai. Agar aap apne aapko jaldi se improve karna chahate hai to galat kar rahe hai, har kaam me thoda time lagta hai. Apne aapko thoda aaram de taki aapke hatho aur dimag ko problem na ho.

Aap kai ghante tak typing practice na kare balki din me 1-2 hours kare aur regular kare. Lagatar 10 se 30 minute tak typing kare uske bad thoda break le. Aapka mind jitna fresh rahega aap utni hi jaldi sikhoge.

9. Screen Par Nazar Rakhe

Jab aap typing karte hai to aapki nazar keyboard ki taraf jana normal hai lekin ye aapki typing speed ko slow kar deta hai. Aapko screen ki aur dekhte huye keyboard ko dekhe bina typing karni hai.

Jab aap is process ko shuru karte hai to aapse pahle se jyada galtiya hona shuru ho jayegi lekin tension nahi lena hai aur jari rakhna hai, ye tarika aapki typing ko behtar banayega.

For example, aap typing karte time apne hatho ko halke kapde se dhak sakte hai taki aapki nazar keypad ki aur jaye bhi to aap key buttons ko na dekh sake. Jitna ho sake computer screen par nazar rakh kar typing kare.

10. Online Typing Test Le

Aapko apni typing ka test dene ke liye kahi jane ke ki jarurat nahi hai. Aap ghar baithe online internet ki help se apni typing speed test kar sakte hai. Aap online typing test websites aur tools ka istemal kar sakte hai.

Isse aap ye jan sako ki aapki words per minute (wpm) speed kitni hai. Kuch online typing test tool free me available hai, jaise Typing.com and Typingmaster.com.

Aap in tools ki help se typing test kar sakte ho aur apni typing speed ka pata laga sakte hai. Practice karte time bich bich me typing test lete rahe.

At Last,

In simple aur easy tips ke sath aap fast typing karna sikh sakte hai aur keyboard typing master ban sakte hai. Agar aap is post ko padhne ke bad typing karna shuru nahi karte hai to aap bahut badi galti kar rahe hai.

Aapne ye article padha kyuki aap apni typing speed improve karna chahate hai to kyu na abhi se shuru kare. Aane wale kuch hi mahino me main aapko typing master ke roop me dekhna pasand karunga. Us din aapme ek new skill hongi fast typing ki.

Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 15 )

  1. Pinki

    Sir me offline typing krti hu to 35 speed aati hai to kya sir online test dene pr kam speed aati hai kya mujhe cpct ka exam dena hai sir 30 speed aa jayegi kya meri usme

    Reply
  2. Viraj

    Osm isse kafi logo ki help hogi,

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...