Typing karna to aapko aata hi hoga but agar aap bina keyword ki or dekhe typing karo to kitna acha hoga. Isse aap kam time me jyada typing kar sakoge. Aapne bahut se logo ko dekha hoga ki wo log bina keyword buttons ko dekhe fast word type karte hai. Agar aap bhi bina dekhye typing karna chahate ho to ye online free typing tools aapke kaam aa sakt ihai.
Yaha mai aapko jin tools ke bare me bta raha hu unme se kuch games hai. Jinme aapko interest bhi hoga or game khelte khelte aap typing bhi sikh jaoge.
- Hindi Me Type Kaise Kare & हिंदी में टाइप कैसे करें?
- Support Me Hindi &; Ab Blogging Sikhiye Hindi Me
Typing aapke desktop ke alawa tablet or smartphone me bhi kaam aati hai. Mobile me message type karne me aasani hogi or aapke or bhi bahut se kaam teji se hone lagenge.
Online Typing Sikhne Ke Liye Best Free Tools Teach Yourself in Hindi
In my case, Maine bhi ays ihi online tools se typing sikhi hai or aaj mai achi typing kar leta hu. So mere experience se aapki n typing tools se apni typing speed ko improve kar sakte ho.
1. BBC Dance Mat Typing:
Agar aap typing ke bare me bilkul new ho or aapko iske bare me thodi bhi jankari nahi hai to BBC Dance Mat Typing tool aapke liye sabse better hogi. Isme aapko sabkuch simple styel me sikhaya jayega.
Ye tool specialy bachcho (kides) ke liye hai or bilkul game ki tarah typing sikhati hai. Sath hi isme cartoon features hote hai. Jinse bachcho ka isme or jyada interest badh jata hai. Aap bhi ise try kar sakte hai. Isme aapko figure typing test btaya jata hai yani ki kounse ugli se konsa button prase kiya jata hai.
2. Typing.com
Ye new people ke liye ek or online typing sikhne ki free websites hai. Isme aapko typing sikhne ke interactive tutorial milenge. Jisme aapko step by step typing ke bare me btaya jayega. Typing.com tool par aapko bahut sare lession milenge jinme aapko voice ke sath mistakes btayi jayegi jisse aapko words type karne me or bhi aasani ho jayegi.
3. Typing Study: हिंदी में टाइपिंग सीखें
Typing stuty tool par aap US English, UK English, Hindi, देवनागरी, Nepali ans other bahut sari languages me typing sikh sakte ho. Isme aapko english and other bhasha me keywords diye jayenge aapko wo type karne hai. Uske bad ye tool aapki typing time, per minute words and mistakes average ke bare me information deti hai. Iske alawa bhi aap Tipp10 tool ko use kar sakte ho.
Typing Speed Ko Improve Karne Ki Online Top Free Game
Upar aapko jo tools btayi hai. Un par aap online typing sikh sakte ho or agar aap pahle se thodi bahut typing jante ho to aapke liye ye games bahut kaam aa sakte hai. In par aap achi practise kar sakte ho or apni typing speed badha sakte ho.
1. Z-type
Z-type ek shooter game hai jisme aapko word type karke shoot karne hai. Isme aapki typing speed depend karti hai. Aap jitni jaldi kwywords ko shoot karoge utna jyada aapko score banega. Slow typing karoge to game over ho jayega. Is tarah isme aap manoranjan ke sath apni typing speed bhi better kar sakte ho.
2. QWERTY – crazymonkeygames
Ye game bhi bilkul first game ki tarah hai. Its my favorite game, Mujhe ye game first wale se jyada pasand hai or shayad aapko bhi ye pasand aayega. crazymonkeygames par aap easy, normal and hard kei level ke game khel sakte hai. Aap jaise hi word ko shoot karoge isme killing voice sunayi degi or iska background sound bhi aapka dil jeet lega.
3. Type Racer
Type Racer game me aapko car racing karni hogi. Bas isme aap apni car ko word type karke run karoge. Really amazing game hai. Aap jitni teji se word type karoge aapki car utni hi fast chalegi.
4. 10 Fast Fingers
10 Fast Fingers game me aapko online score banana hoga. Isme aapki typing speed record hoti hai or score ke hisab se typing performance report show hoti hai.
- Apni English Writing Ko Behtar Kaise Banaye & Perfect English Kaise Likhe
- Chrome Browser Me Grammarly Extension Kaise Install Kare
Finally, Post me suggest ki gayi typing tools and games sach me aapki typing speed ko faster kar sakti hai. Agar aap daily 1 hours bhi typing tools ya games par bitaye to aapko next 5 day me hi changes nazar aayega. Or sabse achi bat inse aapki typing character mistake bhi solve ho jayegi. Agar aap typing ache se jante hai or aapko word type karne me keybord me wrong button dabane ki problem hai to ye game aapki help kar sakte hai.
I hope ye post aapke liye helpful sabit hogi. So plz ise social media par other person ke sath jarur share kare.
bhai ye uper wala mujje kuch samjh nhi aya site mein
ye batao ki phone me pc jesa typing ho jay koi method ho toh
simple hai desktop keyboard use karo.
hindi typing sikh sakte hai kya online ghar baithe
koi aisi website batao jaha par online free me computer course kar sakte ho,
Iski jarurat nahi hai agar aap hingish likh sakte ho to hindi bhi likh sakte ho check this tool Hindi Me Type Kaise Kare – हिंदी में टाइप कैसे करें?
Jumedeen ji mene siteliner me check kiya copied content 5 % bata raha hai mere blog ka, yah kitne % hona chahiye.
Isse koi problem nahi hai. Aap bas kisi or ka content copy mat karo.
1.mere purane template me problem ho rahi thi to change kar diya aur abhi jo template dala hu usme post aadhi dikhayi de rahi hai. koi solution batyae
2. template change karne se AdSense me koi problem hoti hai kya.
. ye template aap change karo or logo itna bada mat rakho. Use chota karo.
2. koi problem nahi hai.
ye wali template dekhkar batayiye sahi hai ya nahi
Achi template hai. baki aap apni taraf se check kar lo.
Bhai ji mere tin ques… ke Ans. De do
Agar hum apna AdSense account delete karke dubara se usi email se apply kare kya esa ho sakta hai
Agar hum do email se ek hi website ke liye AdSense apply kare to esa ho sakta hai kya
Hosted AdSense account aur non hosted AdSense account in dono me kya antar hai
Kar sakte ho but new account me bhi wohi problem ho sakti hai.
ha kar sakte ho aap kei alag id wale blog par bhi ek h iAdSense se ad laga sakte ho.
Hosted account se aap sirf usi blog ya YouTube channel par ad dikha sakte ho jisse aapne AdSense ke liye apply kiya tha or none hosted account se aap sabhi site par ads dikha sakte ho.
bhai mai yesa comment box chahta hu ki jisme email log in rhe ya na rhe fir bhi koi comment kr ske
Ye comment box aap blogger par use nahi kar sakte ye WordPress ka hai.
jumedeen bro jab mai ad unit create karata hu for e.g. maine 3 link units ad kiye aur 1 post me edit html me paste kiye aur jab maine dusari post likhi to kya mujhe phir se ad unit create karana hoga ya same code me dusari post me use kar sakata hu.
Mere kahane ka matlab ye hai ki kya mujhe har time ad unit create karane hai ye ek baar create karane ke baad wo code me notepad me lekar sabhi agali post me paste kar sakata hu.
Bar bar ads banane ki jarurat nahi hai aap ek hi ad code ko kitni bhi posts me add kar sakte ho.
aur abhi meri ads show nahi ho rahi kya mai post me ads lagavu ya nahi. aur aapne jo links ads lagayi us tarah left, right ye center me kaise lagaye
Mai iske liye plugin use karta hu. Jab tak ads show na ho tab tak sabhi post me ads code mat lagao. Homepage, sidebar or kuch post me laga lo AdSense active hone ke bad sabhi post me laga lena.
Thank’s Bro Aap Sabh Ki Bahut Help Karate Hai.
hello sir mera blog AdSense approve hai. but traffic bahut ham hai per sirf 25 se 30. traffic ke liye kya karu aur please ye bta dijiye aapke site ki traffic per day kitni hai plz aapse request h
Traffic ke liye site ka promotion karo or SEO friendly post likho. online traffic checker tool par check kar lo.
Maine Meri Bhut Post Ko Update Kiya Hai Lekin Update ki Huyi Koi Bhi Post Index Nahi Ho Rahi Hai . Meri site 10 din se index nahi ho rahi hai . Mere khena ka pura matlab hai ki Blog ko Daily kaise index karwaye
Bahut simple hai aap daily post likho.
jumedeen bhai blogging me bahut time ho gaya hai lekin hard work ke wajah se brain thoda slow kaam kar raha hai or mai pehle jaisa ab jada read nahi kar pa raha hu kyuki kaam ke baadf neend aa jati hai firbhi 12 baje sota hu .ab aapne domain kharikar diya hai ab muje or bhi hard work karna padega .maine aap jaisa insaan ajtak nahi dekha hai ek ajnabi ki itani badi help ki hai aapne jumedeen bhia is duniya me to koi kiske liye itana nahi karta kyuki jo log succsess hai jinake pass paisa hai vo is farm me rahte hai ki mai bahut hi inteligent hu mujse bada koi nahi or khudka hi mann hi mann me badayi karte rehte hai .magar aapne meri help ki aapke liye dilse thanks for jumedeen bhai ….. thank you very much jumedeen bhai aap muje hamesha yaad rahoge .hamara blogging ka safar aise hi chalta rahe.