10 Computer Mistakes Jo Kisi Bhi User Ko Nahi Karni Chahiye

Jab bhi koi user naya computer, laptop leta hai to usse kuch aesi badi galtiya ho jati hai jinka use pata bhi nahi hota hai. Is post me main aapko Top 10 Computer Mistakes ke bare me btaunga jo aapko kabhi bhi nahi karni chahiye. Is guideline ko padhne ke bad aap apne PC ki security badha sakte hai aur apne device ko safe rakh sakte hai.

Top 10 Computer Mistakes

Koi bhi person fully perfect nahi hota. So jaruri nahi hai ki aap newbie bhi to hi aapse galti hogi ya aap expert ho to aapse galti nahi hogi. Ek beginner user se le kar expert user tak har kisi se galtiya hoti hai. So aap is post ko carefully read kare ho sakta hai apa bhi inme se koi ek mistake kar rahe ho.

Desktop ho laptop har device ke liye security bahut important hai. Agar aap apne system ki safety ka khyal nahi rakhoge to aapke sath kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai. Agar aap internet par online rahte ho to computer security aapke liye aur bhi jyada important hoti hai.

Top 10 Computer Mistakes Jo Kabhi Nahi Karni Chahiye

Agar aapne abhi abhi new computer liya hai ya fir lene wale ho to pahle is articles ko carefully read kar le taki aap apne computer ko secure rakh sako.

1. Important Files Ka Backup Nahi Banana

Sabse badi computer mistake yahi hai aur bahut se computer user ye galti karte hai. Bahut kam log hote hai jo apne personal and important information wale file aur folders ka backup bana kar rakhte hai.

Aapko chahiye ki aap apni important files ka backup bana kar rakhe agar aapne unhe kisi secure folder me save kiya hua hai fir bhi kisi dusre folder me uski copy bana kar rakh le.

2. Bad Software Download Install Karna

New computer lene ke bad user unknown aur bekar ke software ko apne PC me download aur install kar leta hai. Use ye pata nahi hota ki ye software uske PC ke liye kitna danger ho sakta hai.

Aapke dwara download aur install kiye gaye software me virus, malware and other problem ho sakti hai. Kabhi bhi internet se direct download kar free software ka istemal na kare.

3. Without Reading “Next” aur “OK” Par Click Karna

Mostly people aesi computer mistakes karteh hai. Agar aapke pas computer hai to jahir hai aap daily uska istemal karte honge aur agar aap internet chalate ho to jahir hai kafi time tak social media par online rahte honge.

Kya aap “Next” and “OK” button par click karne se pahle padhte ho ko system aapko kis par click karne ko kah raha hi. I think bahut se user aesa anhi karte hai kyuki unke pas itna time nahi hota.

Security ke lyie better hai ki kisi bhi tarah ka action lene se pahle uska reason jarur check kar le. Agar aap PC me koi application install kar rahe ho ya koi bhi site par visit kar rahe ho to uske policy terms ko bina padhe accept na kare.

4. System Up-to-date Nahi Rakhna

Aapka system aur software tabhi tak secure hai jab tak hackers use access karne me success nahi ho jate hai. System ki security banaye rakhne ke liye use time to time update kiya jata hai aur usme aayi bug aur other problems ko fix kiya jata hai.

Agar aap apne system ko update nahi karoge to aapke device ki security weak ho jayegi. Isiliye better hai ki aap apne system aur software ko up to date rakhe.

5. Password Protection Enable Na Karna

Ye bhi wek common computer mistakes hai. Kuch log apne PC me password protectino enable karke nahi rakhte. Unhe ya to bar bar password type karne me problem hoti hai ya fir unhe iske bare me pata nahi hota hai.

Password protection na hone par koi bhi aapke PC ko open kar aapki personal information dekh sakta hai. So better hai aap PC ko lock karke rakhe taki koi bhi aapke PC ko open na kar sake.

6. Device Ko Shut Down Nahi Karna

Laptop ki LID close karne se wo shut-down nahi hota hai. lid close karne se laptop only sleep hota hai. Kuch beginners ko is bat ka pata nahi hota ya fir wo is par dhyan nahi dete hai aur apna kaam khatm karne ke bad laptop lid band karke rakh dete ho.

Aesa nahi karna hai aur apna kaam khatm karke laptop ko power off karna hai. Iske liye aap power button ya Alt+F4 ki ka istemal kar sakte ho.

7. Antivirus Software Use Na Karna

Ye bhi big computer mistakes me se ek hai. Ye problem hoti hai sirf kuch paise bachane ke liye. Kuch log 30,000 ka computer buy kar sakte hai lekin 500, 1,000 rupees ka paid anti-virus buy nahi kar sakte.

Agar aap 30k PC ke liye kharch kar sakte ho to 1k kharch karke ek achha anti-virus software le kar apne PC ko secure kar sakte ho.

8. Temporary File Delete & Disk Clean Nahi Karna

Aapke PC me work karne se usme bahut si temporary file save ho jati hai. Agar aap temporary file ko delete nahi karte ho to ek time me bad aap system ki speed slow ho jayegi aur aapka computer hang hone lagega.

Isiliye better hai ki aap time to time temporary files ko delete aur disk clean karte rahe. Temporary file ko delete karne ke liye aap Windows+R key button press kar “%temp%” open kare aur jo files dikhayi de un sabko delete kar de.

Disk clean karne ke liye aap Windows me “Disk Cleanup” type kar search kar disk cleanup ko open karke disk clean kar sakte ho.

9. Infected Mail Attachments Open Karna

New user aksar ye mistake karte hai. Wo bina dekhe aur soche samjhe apne gmail account me mail attachment ko open kar lete hai. Kuch mail virus aur malware se infected hote hai aur aapke mail open karne se aapke computer me aa jate hai.

Attacher aur hacker aapke device ko access karne ke liye aapke email address par phishing, spam mail send karte hai. Aapko koi bhi mail mile use open na kare sirf apne kaam ke aur pahchan wale email message ko open kare aur baki sabhi ko direct delete kar de.

10. Unsecured External Device Connect Karna

Aksar jab hum new desktop, laptop buy karte hai to humare hi kuch khas dost ya koi related hume memory card, Pen Drive me music, song, video, movie dalne ke liye kahta hai. Agar aapke PC me anti-virus nahi hai to aesa karna aapke liye danger ho sakta hai.

Kyuki aap jis device ko connect kar rahe hai agar usme virus, malware problem huyi to wo aapke PC me enter ho jayegi aur aapke system ko crack ya dead kar degi. Anti-virus installed ho to aap us device ko scan kar uske virus delete kar sakte ho.

Ye 10 computer mistakes hai jo aapko kabhi nahi karni hai. Agar aap in bato ka khyal rakhoge to aapko kabhi bhi computer security problem nahi hogi.

Ye bhi padhe,

Agar aapko meri ye computer security mistakes wali post achhi lage to ise apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 34 )

  1. Quick Heal vs Kaspersky aap kaun sa antivirus recommond karenge ?

    Reply
    • Quick Heal

      Reply

Leave a Comment