English Sikhne Aur Apni Speaking Sudharne Ke 7 Android Apps

Aaj ke time me padhai-likhayi (Literacy education) se le kar employment and business ke area me english language bahut important ho gayi hai. Public school or convent school me to angeji bhasha ko khas ahmiyat de kar padhaya jata hai but kuch student jo dusre schoolo me padhe hai ya padh rahe hai wo english me kamjor rah jate hai or bad me unhe isme kafi dikkate hoti hai. So aaj mai aapko is post me kuch ayse android apps ke bare me bta raha hu jinse aap english sikhne ke sath sath english speaking ko bhi behtar kar sakte ho.

Learn English

Aaj kal har ek student ke pass smartphone mil jata hai, shayad aapke pas bhi hoga to kya na aap apne mobile phone ki help se hi apni english ko behtar banaye or achhe se angreji bolna sikh le. Warna aapko english me kachcha hone ki wajah se bad me logo ke samne sharminda hona padega.

Jo log kinhi karan se badiya english nahi sikh pate hai or bolne me galatiya karte hai to unhe bad me pareshani aati hai or wo interview, friends ke sath, meeting and other public event join karne se katrane algte hai. Agar aap chahate hai ki aapke sath aesa na ho to abhi se english sikhna or bolna sikhna shuru kar de.

Internet se aaj lagbhag har work ho raha hai or aapki samsya ka solution bhi is par mil jayega. I mean aap apne mobile, computer, laptop, tablet par aasani se english learn kar sakte ho. Aap android application, web software ki hel pse apni english ko better bana sakte ho or uska sahi se uchcharan karna bhi sikh sakte ho. Aap in apps par apni jarurat ke anusar english ki study kar sakte ho.

Angreji Sikhne or Bolne Ke Liye 7 Best Android Apps in Hindi

So aayiye, aaj hum bat karte hai kuch aese apps ki jinki madad se aap apne phone par bhi english ka achha course kar sakte ho or good english bolna likhna sikh sakte ho.

1. Duolingo

Is app me english kuch is tarah sikhayi jati hai ki english sikhne wala person enjoy bhi kar sake. Is apps me sabhi lession gaming format me diye gaye hai. Actually, ye gaming format apps hai so isme sahi jawab dene par aapko points bhi milte hai.

Duolingo

Iske alawa duolingo me diye gaye lession me challanges ke sath sath bolne, sunne and translate ki bhi service di jati hai taki is se sikhne wala aadmi aasani se sun or samajh sake. Sirf itna hi nahi ye aap aapke record ko track bhi karta hai taki aapko ye pata chal sake ki apane kitna time english sikhne me bitaya hai. Is app me aap agreji ke sath sath French, German, Italian, Dutch, Iris, Danish, Swedish, Russian, Polish, Turkish etc language bhi sikh sakte hai.

2. मेमराइज

Is app me english language ke alawa alag alag bhasha sikhne ka kafi bada course hai. In courses ko memoriz ke hi another members ne hi banaya hai. Is aap ki khasiyat ye hai ki aap ise online use karne ke sath sath offline mode par bhi ue kar sakte ho. I mean agar aapke pas internet connection nahi bhi ho to bhi aap is app ki madad se english sikh sakte hai.

3. Lingaa Li

Agar aap apni english dictionary strong karna chahate hai to ye app aapke liye hi hai. Lingaa li se aap english ke alawa some other language bhi sikh sakte hai. Sath hi isme memory game bhi add kiye gaye hai taki aap kisi word ko sikhe or use yaad karne ke liye uska game khele. Iske alawa isme vocabulary flashcard bhi diye gaye hai jin par dekh par aap words ko aasani se yaad kar sakte ho.

Kahte hai ki kisi ko english sudharni hai to use english paper jarur padhna chahiye. Is aap me aapko news paper or magazine bhi padhne ko milegi wo bhibahut sari jinse apaki angreji bahut jald achhi ho jayegi.

4. Learn English Grammar

Ye app british council ke dwara develop kiya gaya hai. Ye app english grammer ko behtar banane ke liye banaya gaya hai. Isme english grammer ko sikhne ke liye 4 level hote hai jo starting level se le kar advanced level tak jate hai. Har ek level par 12 grammer topic cover kiye jate hai. Har topic me 20 activity hoti hai.

5. Johnny Grammar’s Word Challenge

Yeh ek quiz based application hai. Ye aapki spelling, grammer, shabdkosh ki jankari ki janch karta hai. Isme aapko 60 second me jyada se jyada question ka answer dena hota hai. Isme difficulty ke 3 level easy, medium and hard hai. Isme food, restaurant, small talk and hobby se related 1o difference sawal puche jate hai. Isme aap word challange khelne ke sath sath global leader board par user ke sath competition kar sakte hai.

6. Busuu – Easy language learning

Busuu app languages sikhne ke liye ek social networking site ki tarah kaam karta hai. Iske reading, writing ke lession kafi achhi quality ke hai. Sath hi topic ke rang beginner e le kar advance tak hai. Busuu me 150 topics hai jine 3000 se bhi adhik shand or muhaware hai.

7. Hello english

Hello english me bhi english sikhne ka bahut achha app hai. Isme aap english ke alawa Hindi, Indonesian, Arabic, Malay, Urdu, Malay, Bengali, Punjabi, Telugu, Tamil, Kannada, Marathi, Gujarati, Oriya, Assamese, Malayalam, Chinese, Portuguese, Turkish and Nepali etc languages bhi learn kar sakte hai. Ye free education apps me top apps me se ek hai.

Share this post on social media.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 41 )

  1. Rahul Singh Tanwar

    hello sir
    apne bahut achhi jankari share ki hai aur yahan par sabhi behtr se bhetr Apps ke baren men bataya hain. Isse English sikhne aur bolne me kafi jyada madd milegi thank you

    Reply
  2. Ravi Sharma

    Acchi Janakri Hai Sir Mane Isme Se To Apps Download Ki Or Real Me Meko Benefit Mila Thanks Jummedin Bhai Ye Post Share krne ke Liye! 🙂

    Reply
  3. Hina Ayub

    Duolingo mujhe sabse best lagi but bahut acchi jankari hai thanks

    Reply
  4. aman gupta

    English sikhne wale apps ko play store se down lode karna padega kya ye to Aapne bataya hi nahi

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Isme btane ki kya bat hai. ye sabko pata hai.

      Reply
  5. Dilip Singh

    bro ap Jo ad me color use karte ho uska code mujhe bata do kyoki me theme me bhi yahi color use karta hu or aapne color ke code pata karne ki post dali h usme Jo link di h bo load nahi ho rahi h isliye aapse code mag raha hu

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Is post se code generate karo Kisi Bhi Color Ka Code Pata Karne Ka Generater

      Reply
  6. Mukesh Sharma

    Brother ye post to maine Hindi me Hindiinternet pr likhi thi. Or ab main ise Hinglish me aapki site pr dekh raha hu. Lekin aapne ise achcha modify kiya hai. Thanks brother

    Reply
  7. Himanshu Grewal

    awesome sir in sub point ko mai apne post mai use krunga thx 🙂

    Reply
  8. Dilip singh chauhan

    Bro. Mera AdSense account approve ho gaya hai ab mujhe aage kya karna hai i mean me ad unit kaise banau

    Reply
  9. Manish

    jume deen sir high cpc keyword matlab seo frendly keyword hote hai ya seo fraindly or high cpc keyword alag alag hote hai

    1 high cpc keywords kaise pata kare.

    2 seo fraindly keyword kaise pata kare

    3 high cpc keyword & seo fraindly keywords ko blog post me kaise use kare.

    4) or AdSense ke cpc keywords har saal change hote hai kya aap puri detail me batYe…

    Reply
  10. Deepak prajapati

    Bhai aapne apne website me border kaise add kiya hai jisse sabhi post alag alag dikhte hak

    Reply
    • Jumedeen Khan

      CSS coding se. border: 1px solid #cccc;

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...