Net Banking Kya Hai, Internet Banking Use Karne Ke Fayde or Nuksan

Net banking jise online banking ya internet banking bhi kahte hai. Iske madhyam se bank customer apne computer par apni bank ke network or uski website ka istemal kar sakte hai. Internet banking ka sabse bada fayda hai ki customer apne ghar, office ya kahi par se mobile ya computer ki help se bank ki services ka fayda utha sakta hai.

what is internet banking

Online banking internet par banking se related ek service hai jiske throw computer, laptop and mobile ka istemal kar consumer banks ke network or unki websites par apni pahuch bana sakte hai or ghar baithe shopping, money transfer functions and all other information jo banko ke dwara mili suvidhao me hoti hai ka labh utha sakte hai.

Aaj ke time me insaan har work ko or jyada aasan, simple, sulabh and teji se karne ki process me laga hua hai. Internet banking bhi ab koi new nahi rah gayi hai. Lagbhag sabhi log (jo internet use karte hai) ko iske bare me jankari hai.

Net Banking Kya Hai?

Kisi bhi bank dwara pradan ki gayi services ko kisi bhi location se computer, mobile ya kisi other instrument ke dwara internet ke madhyam se use karna internet banking kahlata hai. Iske liye banks apni websites or mobile apps bana kar customer ko services offer karte hai.

Internet banking ko online banking, net banking, mobile banking, E-banking jaise bahut se name se jana jata hai but in sabhi ka matlab ek hi hai. Mobile banking me hum mobile par apni bank ki service istemal kar apne kaam pure kar sakte hai.

How to Use Internet Banking?

Internet banking use karne ke liye aapko apni bank se contact karna hoga. Wo aapko iske bare me sabkuch details me btayenge. Iske liye aapko bank branch me ek form bharna hota hai. Uske bad aapko bank username or password btayega. Jisse aapko bank ki site par ja kar log in karna hai.

Agar aapke pas ATM card hai to aapko bank brach jane or form bharne ki bhi jarurat nahi hai. Iske liye aap bank customer care me call kare wo aapko iske bare me sabkuch details me bta denge.

Internet Banking Use Karne Ke Fayde (Benefits):

Internet banking se hum kya kya kar sakte hai, Ise hume kya kya labh hote hai or hume ye kyu istemal karni chahiye. Ayse bahut se sawalo ke jawab aap janna chahate honge. So mai yaha aapko iske bare me point se bta deta hu.

  1. Apne account se kisi other person ke account me paise send karna, Internet banking se hum kisi bhi aadmi ke account me turant money transfer kar sakte hai.
  2. Apna account balance ki information pata karna.
  3. Account ki trasaction statement check karna.
  4. New FD ya other khata kholna.
  5. Mobile recharge karna.
  6. Electricity, water, Dish TV and other bills ka ghar baithe payment karna.
  7. Apne account ka statement download karna.
  8. Check book order karna.
  9. Online shopping karna.
  10. Bank se kisi bhi banking service ki mang karna ya compailent likhwana.
  11. Apne account ki information check karna or usme change karna.
  12. Online various stock market and other investments ka istemal karna.
  13. Bus, train, plane and other tickets online book karwana.
  14. Apna tax and other payment online karna.
  15. Online DD demand draft ke liye form bharna.
  16. Apni loan ya dusre khato ki description dekhna.
  17. Life insurance, auto insurance and other banking services and products online kharidna.
  18. Inke alawa or bhi bahut si services hai jo aapko net banking se milti hai. Adhik jankari ke liye aap apni bank ke customer care me call kare.

Internet Banking Use Karne Se Hone Wale Nuksan (Loss):

Internet banking use karte samay kya kya savdhaniya (Precautions) rakhni chahiye or ise use karne se kya kya nuksan ho sakte hai.

  1. Internet banking ke liye aapko btaya gaya password aapke account ki key hota hai. Iske bare me kabhi kisi ko na btaye.
  2. Apna password kahi bhi likh kar na rakhe. Jitna ho sake password yaad rakhne ki koshish kare kyuki likha hua password kisi galat person ke hath lag sakta hai.
  3. Internet banking ks link humesha apni bank wali site par hi ja kar open kare, or ho sake to humesha private browser me net banking use kare. iske liye aap kisi bhi browser ko open kar Ctrl+shift+N key button use kar sakte hai. Gmail, email, sms and other kisi bhi prkar se btaye link par se net banking use na kare.
  4. Kisi bhi person ke phone par puchne se apne password or personal information na btaye.
  5. Bank trasaction ke dauran aapko jo ek time ke liye One time password (OTP) milta hai. Uske bare me bhi kisi ko na btaye.
  6. Humesha akele me net banking use kare kisi ko sath le kar risk na le.
  7. Internet par account ko istemal karne ke bad log out jarur kare.
  8. Apna mobile number or apni email ID bank branch me jarur add karwaye. Isse aapko apne account ki har ek activities ki notification milti rahegi.
  9. Apna debit card, atm card master card ko sambhal kar rakhe. Iske kho jane par turant bank ko information de or card ko block karwaye.
  10. Aap jab bhi apne computer ke browser me net banking use karo to dhyan rakho ki browser ke link bar me site https ke sath open ho rahi hai ya nahi or uska color green ho to hi ye aapke liye secure hogi. Agar aysa nahi hai to apni bank se contact kare or len-den na kare.
  11. Humesha apni bank ka sahi link open kare, jaise https://www.onlinesbi.com kei bar galat link type karne se isi se related koi other site open ho sakti hai jaise https://ww3.onlinesbi.com or aapke sath dhoka ho sakta hai.
  12. Lottery or any prize -related e – mail sms ka kabhi reply na kare or inhe forn delete kar de. Aap inki un institution me report kar sakte hai jaha se hone ka ye dawa karte hai.
  13. Apne computer ya laptop me humesha koi badiya anti-virus use kare. Kyuki kuch malware and other virus aapke computer or aapki personal information hacker tak pahucha sakte hai.
  14. Agar aapko lagta hai ki aapke sath kuch galat ho raha hai to iske bare me turat apni bank ke toll free number par call kar suchna de.
  15. Bahut bar log apna kaam hone par computer ko turant band kar dete hai. Aysa kabhi bhi na kare or site par se ache se log out hone ke bad hi computer off kare.

Internet ka jitna sadupayog ho raha utna hi durupayog bhi ho raha hai bahut se hacker dusro ki site hack karke ya kisi ki personal information chori karke dhoka-dhadi ka kaam karte hai. So mai aapko suggest karunga ki internet banking use karne time savadhaniya barti jaye or full security ke sath net banking istemal ki jaye.

Isi ke sath mai aapse ye bhi kahna chahunga ki kabhi bhi internet banking services ka bahar istemal na kare. I mean internet cafe, cyber cafe ya kisi or ke computer me internet services use na kar or agar aapko karna jaruri bhi ho to apna password regular time to time badalte rahe.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 42 )

  1. sahi hai Good post

    Reply

Leave a Comment