Kyu Log Aapke Blog Ko Read Nahi Karte, Iski Wajah Kya Hai

Why No One Want Reading Your Blog ? Aakhir kyo log aapke blog visit nahi karna chahate ? Kyo reader aapke content padhna nahi chahate ? Kyu Log Aapke Blog Ko Padhna Nahi Chahate or Kyo aapke blog par jyada traffic nahi hai. Agar aap in sawalo ke jawab janna chahate hai to ye post specialy aapke liye hi hai. Is post me main aapko btaunga ki kis wajah se aapke blog ko people avoid karte hai or kin reason se log aapke blog ko pasand karna band kar dete hai.

Why no one want reading your blog posts

Jab aapke blog par traffic nahi hai or user aapki post read karna nahi chahate to aapke daily, weekly ya monthly content write kar publish karne se koi fayda nahi hai. Traffic or income ye blogging ke 2 most important factor hai. Agar aapko inme se kisi bhi ek me kamyabi nahi milti hai to aap blogging choed bhi sakte ho.

Actually, har koi blogger success hone or money earn karne ke liye blogging business ki starting karta hai or sabse pahle contnet publish karne ke bad apni site par jyada se jyada traffic pana chahata hai. Aesa hum kar sakte hai but kei bar kuch logo ke blog par bahut sara content hone or achhe se promotion karne ke bad bhi traffic nahi hota hai.

Iske kuch reason hote hai jinki wajah se koi bhi person aapke blog ki posts ko padhna nahi chahta or sab aapke blog ko avoid kar dete hai. In mistake ki wajah se aapka blogging career bhi barbad ho sakta hai.

Hundered of reader aapke blog par flocking karte hai. Inme se bahut se user silnce hote hai or sirf aapke conent read karne ke bad blog ko leave kar jata hai. I mean aapke kuch reader aapko apni problem share kar dete hai but jo reader aapse bina sawal kiye aapke blog ko leave kar jate hai. Unki problem bahut badi hai.

Aayiye jante hai ki in silent readers ka dil kaise jite or konsi galtiya na kare ki humari galti se log blog par visit karna band kar de. Kyuki ye log na to aapke blog par koi comment karte hai or na hi aapse social media other method se contect karte hai.

Reason: Blog Par Jyada Traffic Nahi Hone Ki 10 Badi Wajah, Kyu Log Aapki Post Nahi Padhte

Agar aapke blog par jyada traffic nahi hai or na hi search engine me aapki site achhe se rank kar pati hai to iski wajah aapki writing skill or bad experience ho sakta hai. Aap aesi glati kar rahe hai jo koi bhi reader ya search engines like nahi karte.

10 Reason Why People Don’t Want Read Your Site:

  • Topic isn’t relevent to your audience
  • You don’t know distributing effectively
  • Your blog’s content is not attractive
  • Your don’t write SEO optimization content
  • Copyright Sucks Content
  • You’re not publishing enough content
  • You are not writing for your reader
  • Your blog design isn’t mobile responsive
  • Your article’s or headlines don’t cut
  • Your bad writing skills & talent
  • Useless more length  and boring content
  • others.

I hope in topics se aapko bahut kuch samajh aa gaya hoga or aap easily ye pata kar sakte ho ki aap inme se kounsi mistake kar rahe ho. Don’t worry main inke bare me reason ke sath btaunga.

Main aapko advice dena chaunga ki aapke blogging career ko khatm karne ke liye inme se 4 – 5 mistake kafi hai. Agar aap aesi galtiya kar rahe ho to inhe aaj se hi band kar dijiye. Warna ek din aapke pas aapka blog to hoga but us par kisi ka support nahi hoga.

1. Topic isn’t Relevent to Your Audience

I know everyone like increase your business. Har koi apne business ko aage le jana chahata hai or iske liye har tarah ki tips follow karta hai. Aap bhi chahate honge ki aap dusro se aage nikle or iske liye aap dusro se better content likhte hai or apne reader ke behtar se behtar karna chahate hai.

But kya aapko pata hai ki audience aapke work ko pasand kar rahe hai or kya aap jante hai ki user aapki site par har latest post read karte hai or other people ko bhi aapke bare me btate hai. Ye sab janne ki kya jarurat hai. Aesa sochte ho to aap wrong ho.

Yahi par bahut dare blogger galti karte hai. Main manta hu ki aap apne future ko better banana chahate ho or apni site par customers and subscriber increase karna chahate ho but kuch reader aese bhi hote hai jo sirf aapka content read karna pasand karte hai or aapke regular reader hai. Aapke singn up subscribe now features se unhe problem ho sakti hai.

Apne audience par kabhi bhi pressure na banaye or unse pyar se bat kare. Ek success blogger humesha apne audience se apeal karta hai na ki reader par kisi product ko buy ya sell karne ke liye dabaw banata hai. So agar aap apne blog ko subscriber karwana chaahte ho ya kisi affiliate product ko sell karna chahate ho to aap only aurdince se uske liye apeal kar sakte ho.

Examples, aapke blog par mostly 18 to 25 age ke user jyada hai or unki average monthly earning 10k hai to aap unhe 20k ka product buy karne ke liye kah kar ek tarah se pressure dal rahe ho or is wajah se wo aapke blog ko is galatfahmi se bhi avoid kar sakta hai ki aapke blog par aane se use koi fayda nahi hai kyuki yaha sab uski sima se bahar hai.

Isiliye apne audience ke anusar hi aap site par kisi company ke items ka promotion kare or user level ke prudcut ko offer kare.

2. You don’t Know Distributing Effectively

Distributing yani apne item ka vitran karna use logo tak pahuchna or logo ko uske bare me bta kar attract karna. Ek achha blogger banne ke liye aapme ye sab khoobiya honi jaruri hai ki aap jaha bhi apne blog ka promotion kare waha se aapko adhik se adhik user ka support mile.

Aapne relevatn ke sath bautiful blog create kar liya hai or usme interesting blog post bhi likhna shuru kar diya hai but ye sirk kahna aasan hai karna bahut mushkil. Agar aapke pas blog ko distribute karne ka tarika nahi hai to aapke blogging karne ke koi chances nahi ho sakte.

Social media blog posts ko distributing karne ka sabse most important tool hai. Social media thousands to million new readers kamane ka relatively cost effective way hai. Jinse aapki site ko 200% support milega.

Facebook social media sites me sabse jyada benefits dene wali site hai jisse aap unlimited traffic receive kar sakte ho wo bhi free me or apne ideal audience ko target kar sakte ho.

Always, apne blog ko facebook, twitter, google plus, linkedin, pinterest and other social media par share karke apni site ko free promote karte rahe. Ek great idea aap site posts ke end me social share button add kare taki reader direct aapki post ko share kar sake.

3. Your Blog’s Content is Not Attractive

Human beings are visual creatures, har insaan ki soch alag hoti hai or wo jo kuch karta hai apni nazar me good work hi karta hai fir chahe wo logo ko kitna hi bura kyu na lage. Use tab tak ye bat samajh nahi aati hai jab tak koi use aesa na karne ke liye tock na de. Tab use ehsas hota hai ki really wo abhi tak galat kar raha tha.

Ek ugly website or ugly posts par kabhi bhi lot of traffic nahi ho sakta or na hi koi aapki ugly site ke ugly content ko read karna pasand karega. I mean bekar ki bato ko koi bhi padhna nahi chahata yaha har kisi ko new or fresh information ki talash hoti hai.

Log aapke blog ko read karna nahi chahate iski ek wajah aapki photographi bhi ho sakti hai. Aap jo post me images add karte hai agar wo attractive nahi hai to log aapki post me kam interested hote hai. Sabse better hai ki aap original or khud ki banayi huyi best se best image design karke apne blog par use kare jisse user ek bar aapki image dekhte hi post read karna chahe

Bahut se blogger apni alag style me photographic use karte hai or kuch log free stock image websites se download kar pictures article me add karte hai. Inse unki site ka look sabse alag or sabse better nazar aata hai.

Yaad rahe ek photo 2000 words ke barabar hota hai. So agar aap badhiya image design kar lete ho to iski wajah se aapke lbog par bahut sara traffic ho sakta hai. Without designing or appearing ke aaaki site me log kam hi interest lete hai.

4. Your don’t Write SEO Optimization Content

Blogging me SEO (Search Engine Optimization) most important factor hai. Kyuki google search engine kisi bhi website or blog par traffic badhane ka dusra sabsa bada tarika hai. Or search engine se aapko achha traffic tabhi milega jab aapki site ke pages search results me first position par show honge.

Aapki jankari ke liye bta du ki internet par 95% success websitres ke pages search result me first page par show hote hai. Agar aapki sites ki posts google me 1 to 2 page par show hoti hai to aap wakai SEO expert ho or agar aesa anhi hai to aapko SEO par work karna shuru kar dena chahiye.

Almost, all blogger great SEO ranking pane ki koshish karte hai but inme se kuch hi log successful ho pate hai. Kyuki bahut se newbie people isme mistakes karte hai or is reason se unki site ki search rank increase hone ki jagah or down ho jati hai.

So without basic SEO information ke kabhi bhi SEO friendly content likhne ki koshish na kare or pahle iske bare me achhe se pata kar le ki kis tarah se post me keywords ka istemal kar sakte hai. Iske liye aap humari Blog Ko Search Me First Page Par Lane Ki 10 On Page SEO Techniques post read kare. Isme aapko post ko first page par lane ki puri jankari mil jayegi.

Agar aap SEO ke bare me bilkul new hai or aapko post me keywords use karne ke bare me bilkul bhi jankari nahi hai to aap humari Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare post check kare or content me keyword use karne ka tarika pata kar le ki post title, meta description or content me keywords kaise istemal karte hai.

Maine is bare me bahut post likhi hai so agar aapko apne blog ki sabhi posts ko search engine me top position me dikhana hai to aap humari SEO se related post padhe or aane wale time me bhi hum iske bare me new information share karte rahenge.

5. Copyright Sucks Content

Ouch! aapke blog ka The end karne ke liye ye reason kafi hai. Jis tarah chalte firte insaan ko bimari dheere dheere mar deti hai same wese hi bekar ki janakri share karne or dusre logo ka content copy karne se aapki site ka ek din the end ho jayega. Isse aapki site ki bounce rate, sarch rank bilkul bad ho jayegi or log aapki site par visit karna bilkul band kar denge.

Jab log blog banate hai to wo mostly copy pasting jaisi kuch common mistake karte hai jinki wajah se unki site par traffic nahi hota hai. Copy paste karne se user aapko copy karne wala chor samajh lete hai or koi bhi aapke blog par aana nahi chahata.

Now is the time t o stop, Agar aap sachmuch chahate hai ki aapke blog par achha traffic ho or log aapke blog ko read karna pasand kare to aaj abhi se dusro ki post copy karna chord de or khud apna original content share kare. ,anu business blogger khud ka content share karte hai.

Jab dusre log aesa kar sakte hai to aap bhi kar sakte ho aap bhi khud ki alag pahchan bana sakte ho or aesa aapko karna hi hoga tabhi aa pek din mahan ban sakte ho.

Blogging Me Fail Hone Ki 10 Sabse Badi Mistakes Aap Jaanana Chahoge

6. You’re not publishing enough content

Aap jis metter par writing kar raha hai kya aap uske bare me complete guide kar pate ho. Bahut se blogger aesa anhi karte or aadhi adhuri jankari wali post share karte hai. Is tarah ki loose content wali post ko reader bilkul bhi pasand nahi karte hai.

Sirf itna hi nahi agar aap long time tak aapke blog par post share nahi karte ho to bhi reader aapke blog par visit karna band kar sakte hai. Har koi daily kuch na kuch new sikhna chahata hai aese me agar aap weekly bhi post publish nahi karoge to bahut sare reader jo aapki all post already padh chuke hai aapke blog par aana stop kar denge.

Achhe traffic ke liye aapko weekly 3 – 4 post publish karni jaruri hai tabhi log aapke blog ko like karenge or aapke regular readers banenge. Blogging me success pane ka ye good starting point hai.

Oh! aap ek business owner ho or aapke pas post likhne ke liye itna time nahi hai ki aap weekly 3 to 4 articles write kar sako. Aese me aapka keyboard chellenger hona jaruri hai jo fast typing karta ho ya fir aap ye kaam kisi or se bhi karwa sakte ho.

Bahut se blogger apne blog par paid article accept karte hai. Aap bhi aesa kar sakte ho or apni site ka traffic banaye rakh sakte ho. Sabse bad ibat agar aapne blogging shuru kar hi di hai to aapko uske liye time to nikalna hi padega.

Or agar aap isse bhi jyada time yani monthly post karte ho to aapko long content or useful latest information share karni hogi kyuki log apaka wait karenge ek behtar guiding ke liye or aese me aap month me ek bar post karo or wo bhi useless content to shayad hi koi aapke blog ko pardhana pasand karega.

Finally, agar aap aesa nahi kar pate ho to aapke blogging karne se koi fayda nahi hai. Actually, aap jis work ki wajah se blogging ke liye time nahi nikal pa rahe ho aapko us par focus karna chahiye.

7. You are Not Writing for Your Reader

Blogging kei tarah ki hoti hai ek hum khud ke liye work karte hai, paise kamane ke liye work karte hai or ek hum logo ki help or dusro ke liye writing karte hai. Success sabhi ho sakte hai par dusro ke liye likhne wala bahut kam time me success business man ban sakta hai.

Maine dekha hai ki kuch log traffic pane ke liye only search eninges ke liye content likhte hai or unrelated keywords ka istemal karte hai. Actually, aesa karna search engine ke anusar bhi bad hai or user ke anusar to bahut hi bura.

Reader jab aapki post read kare to use lagna chahiye ki aap wastav me uski help ke liye articles likhte ho. I sure wo ek bar nahi 100 bar aapki site par visit karna pasand karega.

I know. search engine se traffic pane ke liye SEO optimizing karna jaruri hai par apne reader ki pasand ko avoid karna bahut badi galti ho sakti hai.

Apni jarurat or reader ki jarurat ke hisab se post likhne me bahut difference hai or jaha tak mera experience hai main aapko suggest karunga ki sirf search engine ke liye likhne se achha hai ki aap apne visitors ke liye bhi content write karo.

8. Your Blog Design isn’t Mobile Responsive

Humari generation insanely mobile hai. I mean sabhi log sabse jyada smartphone use karte hai. Mai bhi karta hu or aap bhi or shayad hi koi aesa hogao jiske pas android, iPhone, iPaid mobile na ho. Ek tarah se aaj humara smartphone humari body ke part jaisa ban gaya hai.

Aese me agar aap local online marketer hai or aapke site par mobile user jyada hai to aapki site ka mobile friendly hona bahut jaruri hai. Google iske liye highly annouce kar chuka hai.

Or agar aapka blog mobile responsive nahi hai to ye apaki sabse badi bhool hogi jo itne important way ko ignore kar rahe ho. We know, mostly local business par mobile traffic hota hai or aese me aapki site mobile friendly nahi hai to aapki site par mobile user na ke barabar visit karte honge.

In simple words, sidhe shabdo me agar aapki site mobile responsive nahi hai to aap 50% audience ko miss kar rahe ho. Sabse badi new agar aapki site mobile frienly nahi hai to google aapki site ko penalize bih kar sakta hai.

9. Your Article’s Headlines Don’t Cut

Aap ek blogger hai or pichle kuch time se blogigng kar rahe hai to aapko ye btane ki jarurat nahi hai ki effective post title traffic pane ke liye kitna jaruri hota hai. Ye user ke liye announcement ki tarah work karta hai or har suer sabse pahle aapki post ke title or headlines ko hi dekhta hai ki is post me kis bare me likha gaya hai.

Headline article ka important part hai jo user ko btati hai ki is article me aapko kya information milegi. Inhi ki wajah se aapko search engines, social media se good traffic mil sakta hai. Bekar ki blog post headline se koi bhi aapki post ko read karna pasand nahi karega.

Main janta hu ki great headline likhna easy nahi hai but safalta pane ke liye or apne blog par jyada traffic kamane ke liye aapko aesa karna hi hoga. Iske liye aap keyword planeer tool or topic generate karne wali tools ki help le sakte hai.

Experienced bloggers yahi karte hai or iski wajah se hi unke blog par bahut jyada traffic hota hai. God title ke sath agar aap SEO or user experience ko bhi focus kar ke content likho to main aapko guarantee deta hu ki aapki site par ek din million traffic hoga.

Ek brilliant business ki pahchan usme share kiye gaye behtreen articles se hi hoti hai. Unique content likhne se aapko na sirf reader se benefit milta hai balki aapko isse har tarah se fayda hi fayda hai.

  • Online Business Start Karne Aur Paise Kamane Ke 6 Popular Tarike

10. Your Bad Writing Skills & Talent

Ek hi metter par work karne wale bahut hote hai but unme se kuch log mahan ban jate hai or kuch log aesa nahi kar pate hai. I mean ek field me worker bahut sare hote hai but sab usi kaam ko alag alag tarike se karte hai.

Examples. blogging naya kaam nahi hai. Ye bahut purana hai or bahut se blogger pichle 10 – 15 year se blogging kar rahe hai. Unme se kuch log itne kamyab ho gaye hai ki sari duniya unhe janti hai par kuch logo ka pata bhi nahi chala ki unhone kab kaam shuru kiya or kab khatm.

Blogging ek aesa work hai jisme public support bahut jaruri hai agar public ko apaki writing skill pasand nahi hai to aapka success hona bahut mushkil hai.

Aapka talent or aapki writing skill hi hai jisse attract ho kar user aapki site ko read karna pasand karte hai. Kuch log aese hote hai jo chahe likh kar publish karte hai unke blog par ek bar jo visitor chala jata hai wo dubara us blog ko open tak nahi karta.

So aapko soch samajh kar post likhni chahiye or best se best content share karna chahiye tabh iaapki site par lakho log visit karenge warna aapki mehanat bekar hi hai.

Last Lines,

Finally, upar btayi galti mat kijiye or hard work kijiye or apne blogging business ko success banayiye. Agar aap planning kar ke work karoge or aapki practice best hogi to slowly hi sahi aapko safalta jarur milegi.

I know aapse ye galtiya huyi hai to post padhne ke bad aapko jarur chota mehsoos karoge but don’t worry ye common and several mistakes hai or aesa bahut se newbie blogger karte hai.

Aap ek behtar writer ho or aap apne blog ko success bana sakte ho. Bas aap yaha btayi gayi tips ko follow kare or ab ke bad aesi galatiya na kare.

Good luck!!!!!!

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 53 )

  1. Hello sir please help me fast, mare blog ki post menu por ati hai,lakin full view motlob reading more,karne me nahe dikata hide ho gaya please aap.muje abi help kijeye.. mai bohot porisan hu sir,,

    Reply
    • blog ki template change karo.

      Reply
  2. Sir blog me hum log apne ander ki knowledge ko bhar nika sakate h na. Or jo articles apne likhe h vo bhi kya apne blog me hi likhe h..

    Reply
    • Yes.

      Reply
  3. sir aapne jaisa kaha maine kar liya blog banaya fir post v likh liya ,sir ab next step kya hai??

    Reply
    • blog ka link btao taki main check karke aapko bta saku.

      Reply
  4. Nice post sir,It’s really helpful for me.

    sir mai apni post hinglish me likhti hu aapki tarah,par isse income strat hone me problem aa rahi hai.
    Aapne kaise kiya tha?
    Please help me sir!

    Reply
    • Aapko kya problem aa rahi hai wo mujhe btao taki uska solution bta saku.

      Reply
  5. Sir aapka templet ki XML file mere gmail.per bejdo

    Please mujhe aapka templet bhut achaa hair

    Mujhe aasha hair ki aap jaldi hi gmail per Bej denge

    Reply
    • Dear mera blog WordPress par hai or main WordPress theme use karta hu jise apa blogger par use nahi kar sakte.

      Reply
  6. Sir aap post ke leye photo kaha se upload kartai hai matlab upar aap ne jo photo dala hai weaping wala ki website log kyo nahi read kartai hai wo photo kaha se aur kaise dala hai sir

    Reply
    • Main photo khud banata hu or baki photo free sites se download karta hu.

      Reply
  7. Bro your blog is awesome. I also want to grow up like you..

    Reply
  8. Very usefull post. Thanks to share

    Reply
  9. hello jume deen sir AdSense pin kitne dino me aa jata hai or new pin ke liye kaise apply kare

    Reply
    • 25 to 30 day me.

      Reply
  10. Bro blogger me mera blog aur Maine apke post ko follow kr k sitemap submit kiya h search console me usme ek error hai bro tell me is error ka mtlb kya h

    We encountered an error while trying to access your sitemap follows our guidelines and can be accessed at the location you provided and then resubmit

    Reply
    • Aap pura error message dikhao.

      Reply

Leave a Comment