Aapki Facebook Profile Ko Sabse Jyada Kisne Dekha Hai Kaise Pata Kare

Agar aap facebook istemal karte hai to aap ye jarur janna chahoge ki facebook par aap sabse jyada kiske sath connect rahte hai or aapka number 1 friend koun hai jo aapki facebook profile ko sabse jyada open karta hai. Koun aapki post par sabse adhik comment or like karta hai kon aapki profile ko bar bar check karta hai aur aapke page ko kitne logo ne dekha hai. Agar aap ye sab janna chahate ho to ye post aapke liye hi hai. Aaj main aapko btane wala ki facebook par aapke sath sabse jyada koun connect rahta hai or koun aapki profile ke sabse jyada bar open karta hai.

Janiye aap facebook par sabse jyada kisse jude huye hai

Facebook par aesi koi process nahi hai ki aap apne friends ki activity check kar sako or ye pata kar sako ki aapka sabse aziz friend koun hai ya fir koun aapke facebook profile ko sabse jyada ya bar bar check kar sakta hai but main yaha aapko kuch aesi tips bta raha hu jinse aap sachmuch iska pata laga sakte ho.

Generally. aapke best friend or karibi dost hi aapki profile ko sabse jyada open karte hai, aesa aap sochte hai to aap galat hai aesa bhi ho sakta hai ki koi anjan person aapki facebook profile ko aapke friends se bhi jyada open karta ho or wo aapki friend list me bhi na ho.

  • Facebook Par Mai Sabse Jyada Connect Kiske Sath Rahta Hu?
  • Kaise Pata Karu Ki Meri Facebook Profile Ko Kitne Logo Ne Dekha Hai?
  • Meri Profile Ko Sabse Jyada Koun Open Karta Hai?
  • Kaise Pata Kare Ki Hum Facebook Par Sabse Jyada Kiske Sath Jude Huye Hai?
  • Main Facebook Par Kiske Sath Jyada Bat-chit Karta Hu?

Aese hi bahut sare sawalo ke jawab aapko is post me mil jayenge. Yaha main aapko 2 option btaunga aapko jo better lage wo follow karke pata kar sakte ho. Agar aapko lagta hai ki aapki top list me shamil user se aap jyada chat nahi karte to ho sakta hai ki wo aapki posts. status sabse jyada view karta hai.

Kuch log aese hote hai jo humari post, stutas, photos ko sirf dekhte hai or like ya comments nahi karte unke bare me hume kuch bhi pata nahi chalta par yaha btayi tips se aap ye sab pata akr sakoge.

Kaise Pata Kare Ki Aapki Facebook Profile Ko Sabse Jyada Kisne Open Kiya Hai

Main yaha par jo bhi trick aapko bta raha hu wo facebook rules ke aadhar par hai. Yani ki facebook kise aapka sabse achha dost samajhta hai or koun aapse facebook par sabse jyada connect rahta hai ye facebook tay karta hai. Aap is method ko mobile me bhi istemal kar sakte ho.

Method 1: In Your Friends

Friend Me Se Sabse Jyada Koun Aapki Facebook Profile open Karta Hai?

  1. Sabse pahle aap facebook site open kare or top menu bar me apni profile ya profile photo par click kare.
  2. Ab friends par click karke apni friend list open kare.
  3. Yaha par aapki friend list me jo friend top par hai wo aapki profile ko sabse jyada open karte hai.

Janiye aapka facebook par best friend koun hai

Dekhe ki sabse upar koun hai wohi aapki profile ko sabse jyada bar open karta hai. Facebook ke accourding aapki friend list me unhi friends ko top par dikhaya jata hai jo aapki facebook activity yani post, picture, stutas ko sabse jyada bar dekhte hai.

Yaha par jo bhi friends top par hai wo sabhi aapki facebook profile ko sabse jyada check karte hai. I know aap ye dekh kar chuank jaoge ki maine to is friend se jyada bat bvhi nahi ki par aapko ye pata chalega ki ye aapki profile ko sabse jyada bar open karta hai.

Now, hum apne friends me se to ye aasani se pata laga sakte hai ki oun humara sabse achha friend hai or koun aapse facebook par sabse jayda connect rahta hai but jo log aapke friend nahi hai unke bare me kaise pata kare. Aese log jo aapki friend list me shamil nahi hai or jinko aap jante tak nahi ho fir bhi wo aapki profile ko sabse jyada bar view karte hai.

Don’t worry main aapko iski bhi process bta raha hu iske liye aap ye step follow kare.

Method 2: Other Person

Anjan Logo Me Se Koun Aapki Profile Ko Sabse Jyada View Karta Hai?

Is trick se aap ye pata laga sakte hai ki aapki profile ko kon kon dekhta hai or sabse jyada bar kon dekhta hai. Magar facebook iske bare me nahi btayega iske liye aapko source code ki help leni padegi so iske liye aapko computer ki help leni hogi. Meri nazar me chrome browser source code dekhne ke liye sabse best hai.

Aap is trick ka facebook profile ke alawa facebook page, facebook group, event sabke liye istemal kar sakte ho. Is trick se sabke bare me pata lagaya ja sakta hai.

Step 1:

  1. Sabse pahle aap apne desktop me chrome browser open kare. ( Aap koi other web browser bhi open kar sakte hai.)
  2. Ab facebook.com site open karke apni facebook profile open kare. Iske liye aap top menubar me apni profile photo ya name par click kar sakte hai.
  3. Ab mouse ke right button par click kar View Page Source par click kare. Aap chahe to Ctrl+U key button daba kar bhi view apge source open kar sakte ho.

see facebook profile view source

Step 2:

  1. Ap ek alag se view source ki window open hogi.
  2. Ab Ctrl+F command prase kar source code me InitialChatFriendsList text type kar ke search kare.
  3. Ab jaha bhi ye text mile uske thoid hi niche check kare. Aapki profile ko jis jisne bhi dekha hai un sabhi ki yaha facebook ID show hogi.

seen facebook profile view source

Step 3:

Yaha profile ID ki list string dikhayi degi. Yaha aapko har profile ID ke samne “-x”, “-0”,  “-2” ya fir “-3” likha hua nazar aayega.

  1. -x word ke bina ID code ko copy kare. Like 1000015078-2 me se aapko only 1000015078 copy karna hai or “-2” ko chord dena hai.
  2. Ab browser me new tab open karke facebook.com ke bad is id ko paste kar URL ope kare, Like – facebook.com/1000015078, aap yaha ye screenshot me link dekh sakte hai.

open facebook id

Is tarah aap pata kar sakte hai ki ye profile kiski hai. Yaha bhi jo person sabse top par hoga wo aapki profile ka sabse jyada bar open karta hai. Isme aapke friends or jo aapke friends nahi hai wo sabhi shamil hai.

Finally, Is tarah se aap facebook facebook par apne sabse aziz friends and unknown person ka pata laga sakte hai. Yaad rahe agar ko apps ya software aapko facebook ki kisi profile ya isi parkar ki koi jankari dene ka dawa kare to wo bilkul jhuth hota hai. Aese software bana kar hacker aapki log in details pata karne ki koshish karte hai.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise apni facebook profile par apne dosto ke sath share jarur kare taki or logo ko bhi is trick ka pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 46 )

  1. arti maurya

    nice sirrr very intresting article

    Reply
    • Vicky

      Amazing sir

      Reply
  2. afzal

    OK avail n hai . acha bro text adds ka colour kaise change pehle me in theme use krta tha us me blue tha an change ki hai us me alag hai main ab text add ka colour blue karna chahta kya aap is ki css coding ya creating without unit txt ads ka CLR blue krne ka method bta skte hn ???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      body{font-color:0000FF;}

      Reply
  3. Afzal

    Paytm Pakistan me support krta hai kya . mujhe Google se info n milii

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Afzal mujhe pakistan ki policy ki jankari nahi hai aap kisi pakistani expert se bat karo.

      Reply
  4. Dev Kumar

    Mediapartners Google sir aisa usme kahi nahi likh raha hai

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Dev main already aapki robots.txt file check karke hi aapko bta raha hu. Try now yourblog.com/robots.txt and follow step.

      Reply
          • Dev Kumar

            Shukriya sir kal mabile nahi dikh raha tha
            aaj pc par dekha to dikh gaya sir bataye ki
            isme se kya-kya delete karna karna hai

            User-agent: Mediapartners-Google
            Disallow:

            User-agent: *
            Disallow: /search
            Allow: /

            Sitemap: writer-dev.blogspot.com/sitemap.xml

          • Jumedeen Khan

            Sabse upar ki line User-agent: Mediapartners-Google ko remove karo.

          • Dev Kumar

            Shukriya sir ,
            sir aap AdSense use karte hain fir bhi aapke blog ki photo google search engine show hote hai,
            maine aapki robot.txt par likhi post padhi ,
            usme likha tha AdSense use karne wale robots.txt ko bhi use karte hain ,
            sir baat ko aur clear kijiye

          • Jumedeen Khan

            Dev aap robots.txt ke bare me or padho ye pata karo ki ye kya kaam aati hai or iski jarurat kyo hai.

          • Farzana Gulame Ahmed Khan

            Meri ladki ke naam ka fake Facebook chalu Kiya Hai Kisne pata nahi main cyber please Chowki mein complaint kya hai main chahti Hoon Is Facebook ko band kar do yeh to block kar do aap meri madad kar sakte ho

          • Jumedeen khan

            Aap us ID ki report karo, faceook use band kar dega.

  5. Himanshu Grewal

    Well done brother, Another best article you write. 🙂

    Reply
  6. Asween

    Very good tips to find who are looking the most us

    Reply
  7. Manish

    Thanks jume deen sir aapki wajah se mera blog ab open ho gaya hai lekin ads show nahi ho rahe hai-

    1) maine apne domain ko site authorize me add kar diya hai.

    2) In order to complete your request to show ads on your own website, you need to implement the ad code on allhindihelp.com. Your upgrade request can only be reviewed once your ad code has impressions on that domain ye message AdSense home par show ho raha hai isska matlab hai ki jo sabhi post me old ads hai unhe remove karna hai ya bina ads remove kiye bhi site authorize ho jayegi

    3) mera AdSense account abhi hosted hai non hosted me change hone me kitna time lagta hai

    4) about us contact us or privacy policy page me ab main changes kar sakta hu or post kar sakta hu..

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap bas apne blog ke homaepage, sidebar, header or kisi popular post me ads code paste karo jab ads show hone lag jaye to baki post me bhi ad laga lena. Aapne kisi or AdSense ya kisi or advertiser site ke ads laga rakhe hai to unhe hata do Ha kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...