Youtube Videos Ko Automatically Repeat Kaise Kare Ki Jankari

Youtube par video dekhne par kei bar hume koi video ya song inta pasand aata hai ki hum use bar bar sunna chahate hai but problem ye hai ki hume har bar video koi manually play karna padta hai. Aaj main aapko aesi trick bta raha hu jisse aap video ko bina ruke automatically lagatar chala sakte ho. Yani aap ab koi bhi video YouTube par play karke apna dusra kaam kar sakte ho wo video automatic repeat hota rahega.

Repeat YouTube video automatically

Main isse pahle bhi Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke) pot me bhi video ko direct download karne ki tips bta chuka hu. Aaj fir se aes itips bta raha hu jisse apa YouTube video ko automatic autoplay kar sakte ho. Isse aapko bar bar mouse ya keyboard button dabane ki jpareshani nahi hogi.

Agar aap chahate hai ki aap video ko YouTube par nahi download karke sunna chahate hai to aapko video ki big file download karne ki jarurat nahi hai. Aap apne favorite YouTube video song ko mp3 songs me convert kar download kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Videos Ko Mp3 Songs Me Convert Kar Download Kaise Kare post read kare.

Youtube Par Video Ko Automatically Repeat Kaise Kare?

How to repeat YouTube videos automatically: Ye bahut hi aasan hai aapko bas ye kuch hi step follow karne hai.

Step 1:

Sabse pahle aap apne computer ya phone me us video ko open kare jise aap bar bar auto play karna chahate ho.

Step 2:

Ab video ke URL me YouTube ke bad yani .com se pahle repeat likhe. Example, Aapko is tarah se video link me repeat word add karna hai.

https://www.YouTuberepeat.com/watch?v=0CdmElYRfSE&t=9s

Aap yaha screenshopt me bhi dekh sakte hai.

Repeat video automatically

Step 3:

Ab enter click kare ab ek new site khulegi usme aapko sign up ya sign in, log in karne ke liye kaha jayega. Aapko account banane ki jarurat nahi hai so Not Now par click kare. Uske bas is tarah se video play hoga. Ab aap dekh sakte hai ki video khatm hone ke bad fir se auto play ho jayega.

Repeat video automatic

 

Is tarah se aap YouTube video ko automatically play kar sakte ho. Isse aapko bar bar keyboard space ki ya mouse button par click nahi karna padega. Aap ek bar video play karke koi bhi kaam kar sakte ho.

Agar aap YouTube par video upload kar ke paisa kamana chahate hai to aap humari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post padhe. Isme aapko YouTube se earning karne ki puri jankari mil jayegi.

Agar aapko ye post pasand aaye to huamra YouTube channel jarur subscribe kare or ho sake to is post ko share bhi kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 34 )

  1. ashok prajapati

    Sir meri video par ads nai as raha hai plz help

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Videos ko fir se monetize karo or koi copyright video ho to use delete kar do.

      Reply
  2. Shahid afridee

    Hello sir, kya Aap Mujhe bata sakte hai ki Mai Apna blog ka Adsense agar you tube par use karu to Kisi Bhi Tarah ka koi risk bhi hai any problems….

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Koi risk nahi main bhi aesa karta hu or bhi bahut log karte hai AdSense ye allow karta hai.

      Reply
  3. RINKU BAGHEL

    Sir Youtube Pe Copyright Video Upload Karne Ki Koi Saja Bhi Hoti Ha Ya only Hamara Yoytube Channel or Adsense account hi ban hota ha

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap jiski video upload karte ho agar wo aapke khilap action le to saja bhi ho sakti hai.

      Reply
  4. Devendra

    YouTube channel ke liye picture koin si website SE Lena thik rahega

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Khud banao.

      Reply
      • devendra

        Me apne video ke liye khuch photo website SE Lena chahata Hun isliye waise me kya thik rahega

        Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...