Youtube video ko viral banane ke liye aapko kuch terms follow karni hoti hai, uske baad aap easily apne yotube videos ko social media par viral kar lakho kama sakte ho. Is post me main youtube video ko viral karne ke liye kya kya jaruri hota hai ki hindi jankari share kar raha hu. Youtube video ki viral banane ke liye kya kya chahiye hindi jankari 2024.
Social media par video viral karna aasaan nahi hai, aap direct youtub par video upload kar use viral nahi bana sakte, video ko viral karne ke liye aapko kuch jaruri jankari honi chahiye.
Agar aapke youtube channel ka ek video bhi viral ho jata hai to aap bahut kam time me apne channel ko success aur apna online earning source bana sakte ho. Youtube video ko viral banane ki hindi jankari.
Table of Contents
Yaha hum aapko 10+ aesi baate bta rahe hai, jinhe janne aur samajhne ke baad aapko video ko viral banane me aasani hogi aur aap kam time me apne youtube video ko viral kar sakoge.
Sabse pahle to aapko top viral video ko analyze karna hai jo last 24 hours me viral huye hai. Unka review karna hai aur pata karna hai ki uske owner ne video ke liye kya kya karke use viral banaya hai.
2. First 48 Hours
Aapke video ko viral karne ke liye us par 48 hours me adhik se adhik views aane chahiye. Iske liye aap screen promotion, paid ads, paid content, community tab promotion, forums, social networking sites group or pages etc. ka use kar sakte ho.
3. Trending Topics
Aapko trending topic par video banani hai taki use jyada se jyada log dekh sake. Trending topic find karne ke liye aap google trends ka istemal kar sakte hai.
4. Activity
Aapka video jitna controversial hoga, us par utni hi adhik comments aayengi aur comments youtube video ko viral banane me major role play karti hai.
Aapke video ko jitne jyada log share karenge utna jaldi viral hoga. Video ko share karne ke liye video to achha hona hi chahiye sath hi aapko team bana kar, paid ads, paid contents, website, blogs, other youtuber ki help leni hogi.
6. Like and Dislikes
Youtube video ko viral banane me like dislike bahut important hai, agar aapki video ko 90% se jyada likes milte hai to uske viral hone ke changes jyada hote hai. Aur agar dislikes jyada hai to aap chahe kar bhi use viral nahi bana sakte.
Haa agar aapka video wrong topic par hai to kai bar jyada dislike hone par bhi wo viral ho jata hai, iski wajah social media hai.
7. Video Picture Quality
Video ki success uski picture quality se hai, video picture jitna better hoga video utna hi viral hoga. Video ko viral banane ke liye high quality HD 1080p picture use kare.
8. Video Length
Waise to video ko viral karne ke liye video length mater nahi hai lekin average video length ki baat kare to video ko viral banane ke liye video 5-1- minute ki honi chahiye taki usme jyada se jyada people interest le.
9. Average View Duration
Video ko viral karne ke liye all viewer ko full video dekhne ki jarurat nahi hai. Agar aapki video ko 60% se jyada dekha jata hai to bhi video viral ho jayega.
10. Learning from the Best
Apni knowledge ko har din update kare, top websites, news, blogs, forums ko padhe aur pata kare ki aap kis topic par video bana kar use viral kar sakte hai.
At last, puri researching ke sath trending topic par video banaye aur use jitna ho sake promote kare, video viral ho jayega.
Ab aaapko youtube video ko viral karne ki jankari chahiye, iske liye aap humari ye post padhe,
Agar aapko is bare me koi bhi sawal puchna ho ya koi confusing ho to comment me puch sakte hai. Sath hi apna 2 seconds ka time nikal kar is post ko bhi share kare.
Very easy way to explain and nice all information. Thanks…
Ye jankari sabse best tarike se di aapne. Bhaut bhaut shukriya..
Badi help full bate batai sir,
Read karke bahot kuch sikhne ko mila
100% correct information. Title aur thumbnails ke baad sabhi youtubers ko in points ko jarur follow karna chahiye.