Mobile Chori Hone Par Apne Jaruri Data Ko Delete Kaise Kare

Mobile phone khone ya chori hone par humare deemag me ek hi bat hoti hai ki kaise mera phone wapis mil sakta hai.Hume phone se jyada phone me add personal data ki fikr hoti hai. But google ne iska bhi solution nikal liya hai. Aap remotely lost phone device ka data delete kar sakte ho. Yani ab aapke smartphone ka koi bhi data like photo, video, personal documents and all information phone khone ke bad bhi koi use nahi kar sakta. Aayiye jante hai ki kaise stolen phone ka data remotely clear kar sakte hai.

Delete phone device remotely all data

Agar aap khoye huye mobile ko block karna chahate hai to aap lost device me lock laga kar mobile number add kar sakte ho. Isse jise bhi wo sirf bina lock kiye aapko call hi kar sakta hai baki phone uske koi kaam ka naho higa. Iski jankari ke liye aap humari Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Use Lock Kaise Kare post padhe.

Aap google android devicemaanger ki help se apne phone ki location pata kar sakte hai, phone ko lock kar sakte hai or usme mobile number add kar sakte hai. Google device manager ki hel pse hi aap phone ka all data like photos, videos and other personal inforation documents ko delete kar sakte ho.

How to Delete All Data After Lost Your Android Phone in Hindi

Mobile Chori Hone Ya Khone Ke Bad Uska All Data Kaise Delete kare: Aap computer ya kisi other device ki help se help se google android device manager par ja kar pane smartphone ka all data delete kar sakte ho. Bas aapko ye step follow karne hai.

Step 1:

  1. Sabse aphle aap google Android Device Manager par jaye.
  2. Ab thodi der me google aapke phone ko track kar lega.

Step 2:

  1. Google ke phone trace karne ke apne phone ka model check kar le.
  2. Ab Ring, Lock and Erase me se Erase par click are.

Delete device all data

Step 3:

  1. Ab ek popup page open hoga jisme google aapse device ko factory reset karne ke liye kahega.
  2. Yaha aap dek hsakte hai ki google aapke android phone ko reset kar dega jisse aapke phone ke apps, photos, music and settings sabkuch delete ho jayega.
  3. Finally Erase par click kare.

Delete all data yuor phone

Is tarah se aap google android device maanger ki help se apne khoye huye android phone ko factory reset karke usme add all data photos, videos, movies, songs, music, phone settings, all application sab kuch remotely delete kar sakte hai.

Agar aapka phone offline hai ya fir switch off hai to shayad uska data delete nahi ho payega but don’t worry aapke pas 2 option or hai. Ek aap phone ki location pata kar sakte hai jiske liye aap humari Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post ke step follow kare.

Second aap apne lost mobile ko lock kar usme apne mobile number add kar sakte hai iske liye aap huamri Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Usme Screen Lock Kaise Lagaye post check kare. Isse user jab bhi phone ko charge kar open karega to uske pas aapko call karne ke siwa koi or option nahi hoga.

Finally, i hope is post me aapko helpful jankari mili hogi, agar aapko ye post achhi lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 35 )

  1. Sir esme 2 option hi aa raha hai
    1 ring ka
    2 secured and erase ka but koi kam nahi kar raha kyu

    Reply
  2. Agar chori hue phone ka data off ho aur hum use erase krde toh kya jb vo data on kre ga sara data erase ho jayega

    Reply
  3. Sir meri pics meri frnd ke pas hai kya m unko delete kr skti uska mobile m le nhi skti hu plz sir btaiye plz

    Reply
    • Nahi, bina mobile liye nahi kar sakte.

      Reply
  4. Sir mere photos mre ek friend ne chura liye h ab wo photos ka miss use kar rha har jgh bhej rha h kuch aisa tarika jisse me wo photos delete kar saku har jgh se

    Reply
  5. mere memory card se kuch data delete ho gaya h kya me usko recover sakta hu kaise tell me plz

    Reply
  6. Nice article hai. Jumedin bro mobile chori hone par data ko delate karne ki nice

    Reply
  7. Hello sir kya ye mobile se Sambhav Nahi Hai Ki hum Chori hua mobile data delete kar sake

    Reply
    • Mobile me android device manager sahi se kaam nahi karega.

      Reply
  8. Amazing post Very informative jankari.

    Reply

Leave a Comment