Agar aapki site par original or SEO friendly content hai to is bat me koi shak nahi hai ki aapko search engines se high traffic milta hoga or aapki search ranking high hogi. But blog article ko seo friendly banana aasan nahi hai. Iske liye aapko blog post me keywords kaha kaha use karna chahiye ki puri information honi chahiye.
SEO friendly post likhne ke liye hume ye pata hona chahiye ki post me kaise or kaha keyword use karke post ko search engines optimization ready bana sakte hai.
Search engines usi article ko jyada like karta hai. Jis article me keywordfs ka sahi istemal kiya gaya ho. Hum apni post me keywords isliye use karte hai taki search engines se high traffic recieve kar sake or apne visitors ke liye humari post badiya information sabit ho sake.
SEO friendly post likhne ke bahut se tarike hai. But yaha mai aapko unhi tariko ke bare me btaunga jinke bare me mai janta hu or jinhe use karke maine search engine se better traffic paya hai.
Blog Ki Post Me High Quality Keywords Kaise or Kaha Add Kare
Is article ke topic par bat karne se pahle mai aap se kahna chahunga ki bina wajah post me extra keywords use karne se aapko koi fayda nahi hoga. Ulta aapka nukshan hi hoga. So post me only jaruri keywords hi use kare. Ye ek important seo optimization tips hai.
1. First and Last Paragraph
Jab aap apne blog par new post likho to post content me first paragraph (Starting post 4-5 lines) me apna main keyword add kare. Uske bad post complete likhne ke bad last paragraph me bhi wohi keywords use kare.
Post se pahle or post ke bad me keywords use karna seo me sabse jyada important hai. In do jagah par high quality keywords use kar hum post ko search engine friendly bana sakte hai.
Post starting and post end ke alawa bhi aap main keywords ko post content me jaha jarurat ho jarur use kare.
Ek hi keywords ko bar bar repeat mat kare. Aap ek keywords ko 100 words ki post me 5-10 bar hi use kar sakte ho. Agar aapko post me kahi main keywords ki jarurat bhi pade to aap main keywords se related keywords use kar sakte ho.
Agar aap jarurat se jyada bar kisi word ko dohraoge to aapko google ki terms na manne ki penalaty bhugtni padegi. Jisse aapki site ki search ranking down ho sakti hai.
2. Post Title and Heading
Blog par post likhte time post title or headlines me main keywords jarur use kare. Search engine sabse jyada humari post ke title or heading par focus karta hai. Ayse mai aapka main keywords search engine ko sahi target ki janakri pata karne me help karta hai.
Sath hi aap post title or heading me high ranking keywords use karke apne reader ko attract kar sakte ho. Aapki post ka title or heading jitna chaha hoga. Reader utna hi jyada aapki post padna pasand karenge.
Ek acha title wali post na sirf aapke readers ko pasand aati hai. Balki ache title ki post ko socail media sites or search engine se high traffic milne lagta hai.
3. Post Image, Alt Tag and Title Tag
Images post content ko explaination karne me major role ka kaam karti hai. Jisse reader ko post me di gayi information aasani se samjh aa jati hai. Isliye hume apne blog ki har post me kam se kam ek photo jarur use karna chahiye.
Ek image 2000 words ke barabar hoti hai. Or mai is bat ko 100% sahi manta hu. Agar aap ach image create karne me mahir ho to aap apne reader ko ek image se wo samajha sakte ho jo 2000 words ke content sae nahi samajha sakte.
But post me image ke throw main kewords ko target karne ke liye aapko post image ko seo friendly banane ke liye image title, image alt tag add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Blogspot Blog Ki Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post padhiye. Isme aapko blog post ko seo ready banane ki puri jankari milegi.
4. Post Permalinks
Permalinks aapke blog ki post ka URL (Link) hota hai. Jo bhi search result me show hota hai. So aap permalinks me bhi top level keywords use kar post ko seo friendly bana sakte ho.
Post title ki tarah hi post permalinks me keywords use karna search ranking increase karne ki killer trick hai.
Default permalink ki jagah agar aap post links me se extra words (का, की, कैसे कहा, उसको, इसको ) ko remove kar de to aapko search engine se or jyada traffic milne ke changes badh jate hai.
Permalink edit karne ke liye aap post editer > permalink par jaye or custom permalink par click kar post ka link edit kar sakte hai. Blogspot blog me permalink use karne ki details me janakri ke liye aap humari Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post padh padhe.
Mai aapse kahna chahunga ki post permalinks me aap only target keywords hi use kare or extra words ko remove kar de.
5. Post Category and Tag or Labels
Blog post me category, tag or label sirf blog par related post dikhan ke liye nahi hai. Agar hum category or tags me bhi high quality keyword use kare to hume isse bhi search engines se benefit mil sakta hai. Kyuki search robots post categories ko bh index karta hai. Iske liye aapko ye tips follow karni chahiye.
- Blog par category, tag me none keywords use nahi kare.
- Jitna ho sake top level keywords ki hi category banaye. Jaise maine apne blog par blogging, make money top keywords ki category banayi huyi hai. Make money online keyword ki february 2025 me rs.300 se jyada CPC thi.
- Blog par jarurat se jyada category or tag na banaye. Mere hisab se 20 category bahut hai. But fir bhi aap 30 tak bana sakte ho. Isse jyada category banane se aapka nukshan hi hoga.
Agar aapne galti se apne blog par galat category ya tag add kiye huye hai to don’t worry, Aap category edit karke use keyword me badal sakte hai.
6. Post Comments
Post ko first search ranking me lane ke liye comment bhi help karti hai. So aap commets me bhi high keywords use karke apni post ki search rank increase kar sakte hai. Iske liye aap apne readers ke liye comment policy bana sakte hai. Or aap bhi jab kisi user ko reply kare to aap comment me top keywords use kar sakte hai.
Yeh bat meri personal soch hai. But ye galat nahi ho sakti. Kyuki search engine me comments keywords se bhi post search me aa jati hai. Ye mera confirm kiya hua hai.
So, Mai aapko suggest karna chahunga ki aap commnets me keywords use karke bih apni post ki ranking badha sakte hai.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL]
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai [SEO Guide]
To friends, Ye meri ek or secrert tricks wali post thi. Jise mai apne blog par use karta hu. Agar aapko mera tarika pasand aaye to ab aap bhi iske bare me keywords ke sath commentt kar sakte hai. Iske liye bas aapko apne sawal me ek do keyword use karne honge.
Agar aapko is post me btayi jankari helpful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur akre.
PRAMOD SINGH
Very nice post bhai . Iss post se bahut help mili thanks
Durga Ram
Sir, mera ek confusion hai ki, agar 2 keyword hai, 1st ‘fiverr’ and 2nd ‘what is fiverr’ ab adsense agar ‘fiverr’ keyword par high cpc deta as compair to ‘what is fiverr’ then hum sirf fiverr keyword pe kaise kam kar sakte hai ya kaise post likh sakte hai,
Vijay Akhade
Bahut hi achchi jaankari batai he aapne Sirji, Dhanywad.
Harshit Gupta
Sir aapki di gayi information se kaafi kuch samjh aya ..
but sir aapse google adsense se related ek help chahiye thi ..Kya daily apne blog me post publish karna jaroori hai ? Agar sir main kbi buzzy ho jau to main 2se 3 din me ek post publish kar sakta hoon jisse mere adsense account par koi effect na pade ???
Kuch logo ka kahna hai ki daily post na karne se apka adsense disable ho sakta hai aur website ranking bhi gir sakti hai?
Aap hi bataaye sir?
Jumedeen khan
Nahi, daily post publish karni jaruri nahi hai aur na hi isse adsense par koi fark padega.
संजय vyas
आप के कई आर्टिकल्स मैंने पढ़े है आप अपने पाठको को बहुत अच्छे से सब कुछ बताते है इसी तरह आप लिखते रहिये आप को मेरी और से बहुत बहुत शुभकामनाये
Neha Verma
Thank you sir, I’m new in blogging and This article is very useful for me.
Anand Kumar
Upar ke link mein maine apne blog ke post ka SS upload kiya hai jisse sambandhit 2 sawal hai…
1) kya post ke starting mein hi is tarah se itne keywords ka use karne se koi dikkat bhi hai?
2) Jis tarah se maine paragraph ke starting mein hi ek keyword laga diya hai, thik usi tarah se poore post mein sabhi paragraph ke starting mein keyword lagata hoon. Visitors ko isse hone wali problem ko chhor diya jaye to kya koi aur problem bhi ho sakti hai? Means, search result par defect to nahin padega ya koi aur samasya?
Jumedeen Khan
1. Koi dikkat nahi hai but inhe highlight nahi karna chahiye.
2. Jarurat se jyada use karne se google aapke content ko rank nahi dega.
Saira Narasimha Reddy
sir Best Article on internet thanks for this…
MUBARIK KHAN
Sir mere blog me post karne ke baad paragraph nhi aate hai
Sab ek sath aata hai
Plz mujhe bataye
Jumedeen Khan
Css coding se paragraph ke bich space do like
p{margin-bottom:10px}
Manas Lahon
Hello sir, You are really doing a good work.
Mayur chanpa
Thank you for sharing.
Muje bahut achi help Mili sir.
Thanks sir.
Vivek Bisht
hello sir ji
really m boht hi achhi post h or hindi m itni achhi knowledge pahle kbi mili nahi SEO k bare m.
post padh k lg rha h ki information puri original h or aapne apne blogging experience se share ki h
apna experience share krne k liye thank u very much sir
Jeevan Patil
hellO sir aapne bahut acchi jankari di hai keywords ke bare me, so thank you.
varun
bhai mera blog blogger par hai or mjhe ab WordPress pr blog banana h to mai kaise apni sari post jo blogger par h unko WordPress par kaise le ja sakta hu…kya yh ho sakta h blogger ki sari post WordPress par ho jaye
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai Blogspot Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare
Sultan singh
Sir agar Google Search box me hi target keyword use kare. to kya article search result me aha sakta hai
Jumedeen Khan
Nahi.
Neha
best tips sir i like it.
SURENDRA PAL
Mast Post For SEO
DILEEP KUMAR
1-hindi blog me keyword kese use kare
2- long teil keyword kaha use karne hai
Jumedeen Khan
1. Keyword apa english me i use kar sakte ho.
2. Please read this Blog Ke Liye Long Tail Keywords Ki Jankari
Yogesh Kumar
Jume Deen Khaan brother Post Pad Kar mja aagya, kaafi jaankaari mili aapki post se, maine abhi aapki website ke articles lagfag 4 hrs se pad rha hun, aapke SEO se related post bhut acche hai aur samaj me aane wale hai , m bhi kaafi kosis kar rha hun meri website ki traffic bdhaane ki but increase nhi ho paa rhe din me 0 se 10 tak hi visitor aate hai
abhi sayad aapki post padhne ke increase ho jaye.
Manoj
1. Jume din bhai aap kaunse newsletter ka istemal karte hai.
2. Krupaya mere blog ki seo aur keyword ki kamjori ke bare me jarur bataye. Apki help shayad mujhe bahut kuch sikha sakati hai.
Pichale 8 din se mere blog ke page views me giravat aaye hai kya karan hi sakata hai.
Krupaya Reply jarur kare.
Jumedeen khan
SEO optimizing karo.
anila singh
1-please Sir help blog post ko mai pahle wordpad par likhti hu sir H1, H 2,H 3,H 4, H 5,H 6 kaa font size kitna hona chahiye
2-keywords serch kia to uska cpc 178 lekin volume 500hundred tha kya ye thik rahega
2- keywords search karne par volume kaa zyada yaa kam hona achha hota hai
3- sir manlo keywords ki cpc 90 hai to kya mujhe ek click ke 90 rupees milenge.
Jumedeen Khan
1. H1-32px, H2-28px, H3-24px, H4-18px, H5-16px, H6-14px.
2. Jyada hona achha hai.
3. Nahi kitne milenge to google par depend karta hai.