Blog Photos Par Right Click Disable Kar Copy Hone Se Kaise Bachaye

Bahut se blogger jinko copyrighting ke nuksan ke bare me jankari nahi hoti hai. Wo dusro ki images, post content ko copy kar ke apne blog par publish karte hai. Isse jiska content copy kiya gaya hoga uski search ranking low ho jati hai. Aayiye mai aapko photos ko copy hone se rokna ka sabse aasan tarika btata hu. Jisse hum apne blog ki images par right click ko disable kar sakte hai.

Apne Blog Ki Images Par Right Click Disable Kaise Kare

Ye ek bahut abdi problem hai. Jiski wajah se humare blog ki search ranking down ho jati hai or dusro ki galati ki wajah se hume nukshan bhugtna padta hai. Maine iske bare me pahle bhi kuch articles likhe hai. Aap inhe bhi padhe.

Apne Blog Ki Images Par Right Click Disable Kaise Kare or Copy Hone Se Kaise Bachaye

Is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. Jisse aap apne blog ke photos par right click ko disable kar sakte ho. Isse apki images chry hone se kafi had tak secure ho jayegi. Or koi bhi aasani se aapki site ki images copy nahi kar payega.

Jab hum blog post me koi image upload karte hai to uski html coding is tarah hoti hai.

<a href="yourblogurl.com/xyz"><img src="yourblogurl.com/imageurl.jpg"/></a>

Isme aapko ye code add karna hai.

oncontextmenu="return false;"

Code add karne ke bad aapki photo ka link is tarah hoga.

<a href="yourblogurl.com/xyz"><img src="yourblogurl.com/imageurl.jpg" oncontextmenu="return false;"/></a>

Bas aapko ye choti si trick follow karni hai. Uske bad aap apne blog me photo upload kar ke photo par right click kar ke check kar sakte hai ki trick kaam kar rahi hai ya nahi.

Ye post short jarur hai. But isme ek long post se jyada kaam ki trick aapko milegi. So plz ise social media or dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 52 )

  1. Umesh Padvi

    Bro..
    Maine GK MCQ website par ek question copy Kar tha tab ek message show ho Raha tha

    Kya hum BHI Apne blog par koi BHI content copy Kare to use message show Hoga ?
    Please bro. Hume BHI isake bare me bataiye

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes kar sakte ho javascript se.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...