Gravatar Par WordPress Comment Me Apni Image Kaise Show Kare

Gravatar ek “Globally Recognized” avtar hai. jise WordPress platform ke liye banaya gaya hai. WordPress par apna photo show karne ke liye aapko gravatar par profile banani padegi. uske bad aap WordPress blog par post or comments karoge to waha aapki image show hogi. is post me aapko iski puri jankari step by step milegi. jisse aap agle 5 minutes me gravatar profile ready kar sakte ho.

gravatar par account kaise banaye

Bahut se blogger jo blogging me naye hote hai. unhe “WordPress comment me apna photo kaise idkhaye” ke bare me pata nahi hota hai. mai aapko is post me jo jankari de raha hu.

Use pad kar aap gravatar par account bana kar WordPress comment me show hone wale icon ki jagah apni photo laga sakte ho. jisse aapke alag pahchan banegi. or aap jis blog par comment karoge, wo bhi aapko aasani se pahchan sakega.

Gravatar Kya Hai?

Gravatar ek “Globally Recognized” avtar hai. simply ye WordPress par aapki image ka avatar hota hai. jisse aapko site to site relation banane me aasani hoti hai. gravatar service ko Tom Preston-Werner ne 2007 me start kiya tha.

Is par aap sirf email id se account bana kar apna photo upload kar sakte ho. fir aapki sabhi WordPress comment (?jo aap pahle kar chuke ho or aage karne wale ho) par aapki image show hogi.

Grayatar Example

Gravatar Par Account Kaise Banaye

Gravatar par account banana bahut hi easy hai. aapko bas email id ki jarurat padegi.

Step 1:

sabse pahle aap gravatar.com site par jaye. or Create Your Own Gravatar par click kare.

  1. Agar aapke pas pahle se WordPress account hai to aap gravatar par apni WordPress ID se log in kar sakte ho.
  2. apna email enter kare.
  3. apna USERNAME select kare.
  4. Password choone.
  5. Sign up→ par click kare.

Grayatar Sign up Form

Step 2:

Ab aapke gravatar aapki email ID par ek message send karega. aapko us par click kar ke apna email confirm karna hai.

Confirmation email sent!

Jab aap email message me gravatar ke link par click karoge to aapko gravatar account ban chuka hoga. ab aapko is par apni photo upload karni hai. agar aap chahe to gravatar profile me ek se jyada email addpress add kar sakte hai.

Gravatar Par Apni Photo Kaise Upload Kare

Step 1: Gravatar site par ja kar log in kare or apni image par mouse le ja kar Add an image par click kare.

  1. Upload New: aap direct apne pc me se apna photo upload kar sakte ho.
  2. Form URL: aap apne blog me add apni kisi image ka link dal kar photo add kar sakte ho.
  3. Pat Upload: aapne jo gravatar par pahle image upload ki thi unme se profile photo choose kar sakte ho.
  4. From Webcam: agar aapke pas apni koi image nahi hai to aap yaha pae click karke abhi apni photo le sakte ho or gravatar profile par add kar sakte ho.

Upload Image

Set Up Your Gravatar Profile – Gravatar Profile Set Kaise Kare

Gravatar par aap aasani se apni profile ki setting kar sakte ho. jaise apna name or details, websites, email addpress. ye sab aap aasani se kar sakte ho.

  1. My Profile par click kare.
  2. apna first name or last name likhe.
  3. apna full name enter kare.
  4. aap WordPress pos or comment me jo name dikhana chahate hai, wo select kare.
  5. apni location set kare. agar india hai to india select karo.
  6. apne bare me thoda details me likhe, jo bhi aap likhna chaho.
  7. finaly Save Profile par click kare.

Set Up Your Gravatar Profile

Isi tarah aap gravatar par apni site add kar sakte hai. ab jab bhi aap kisi WordPress blog par comment karoge to waha aapki image show hogi.

I hope aapko ye post pasand aayegi. or ab aap bhi apni image WordPress comment me dikhana chahenge. to abhi apni gravatar profile bana le. by the way aapko ye post kaisi lagi.

Or agar aapko gravatar ke bare me kuch puchna hai to niche commnet kare.