Facebook Use Karne Ke Fayde Aur Nuksan (Pros and Cons)

Facebook world ki sabse most popular social networking site hai. Facebook istemal karne ke fayde bahut hai lekin nuksan bhi hai. Is post e main aapko Facebook Use Karne Ke Fayde Aur Nuksan (Facebook Advantages and Disadvantages in Hindi) ke bare me btaunga. So chaliye jante hai facebook pros and cons in hindi ke bare me.

Facebook Use Karne Ke Fayde aur Nuksan

Facebook ne bahut se logo ki apna brand banane, business promotion me help ki hai. Ye duniya bhar ke logo ke liye entertainment ka source hai. Facebook ko puri duniya me use kiya jata hai.

Facebook ke bahut saare benefits hai lekin iske kuch nuksan bhi hai. Jaha ye kai logo ki lifebana deta hai to kai logo ki life barbad bhi kar deta hai. Is article me hum facebook use karne ke advantages and disadvantages ke bare me details se janenge.

Social media use karne ke fayde aur nuksan, facebook use karne ke fayde, facebook use karne ke nuksan, facebook ke fayde or nuksan, social media sites advantages and disadvantages in hindi. Advantages and disadvantages of facebook in hindi 2024. Facebook use karne se hone wale fayde aur nuksan hindi me.

Facebook Use Karne Ke Fayde (Facebook Advantages in Hindi)

Benefits of Facebook in Hindi: Online apne friends, family and relative se connect rahne ke liye social media sites me facebook sabse best site hai. Facebook ke nimn fayde hai.

1. Brand and Business Promotion

Apne brand ya business ka promotion karne ke liye social networking platform me sabse best option hai. Aap facebook par apne brand or business ke name ka facebook page bana kar apne business ko promote kar sakte ho.

Iske alawa aap apni website, blog ya fir affiliate program links ko promote karne ke liye facebook ka istemal kar sakte ho. Sath hi facebook par page banaa kar us par likes badha kar use sell kar ke paisa kama sakte ho.

Agar aap ek blogger ya youtuber hai to facebook se apni site ke liye achha traffic receive kar sakte ho. Search engines ke bad sites par traffic lane ka social media dusra bada tarika hai.

Facebook hume aur bhi bahut saare features and services deta hai, facebook ki service ka istemal kar hum apne bran aur business ko famous kar sakte hai.

2. Connect with Friends, Family and Relatives

Facebook ka sabse bada fayda ye hai ki isse aap puri duniya me kahi bhi kisi se bhi baat kar sakte ho. Aapke friend, family member or relative kahi bhi kisi bhi location par ho aap usse facebook ke jariye connect rah sakte ho.

Iske alawa aap facebook par naye logo se bhi mil sakte ho, friendship kar sakte ho. Aap facebook ko dating ke liye bhi istemal kar sakte ho. Girlfriend/boyfriend se chat karne ka fb best way hai.

3. Become a Famous Person

Yes, aap facebook par status, post, image, pictures share karke apne aapko internet par famous kar sakte ho aur Internet Celebrity ban sakte ho.

Facebook bahut hi achha tarika hai apne aapko internet par famous or popular karne ka, aap jitne logo ko apne sath jodoge aapki popularity utni hi jyada badhegi.

4. Voice Call and Video Chatting

Facebook par aap status, post share karne ke alawa apne friends ke sath video chat tool ka istemal kar apne dosto se video chat bhi kar sakte ho aur live bhi aa sakte ho.

Sath hi facebook se aap kisi bhi person ko voice call bhi kar sakte ho. Ye dono feature bahut hi kamaal ke hai aur aapko mobile phone call ke charges se bachate hai.

5. Host Images and Videos

Aap apni important videos aur photos ko save karne ke liye facebook ka istemal kar sakte hai. Aap alag-alag individual albums ke liye privacy level set kar sakte hai taki ye control kar sako ki aap kya share kar rahe hai.

Aapko jab bhi apne photos or videos ka backup chahiye to aap facebook account backup le kar complete collection download kar sakte hai.

6. News and Information

Facebook ka real advantage ye hai ki ye real-time social networking site hai jo aapko up to date rakhti hai. Facebook se aapko har important news aur information mil jati hai.

Aapki friend list me se koi na koi user news post update kar hi deta hai aur major news facebook par viral ho jati hai. Isse aapko facebook par hi har latest news update mil jati hai.

7. Use as Q & A Forum

Facebook par aap status, post update karne ke alawa apni problem ka solution bhi pa sakte ho. Facebook par aese bahut saare groups hai jo newbie ki help karte hai aur unke sawalo ke jawab dete hai.

Aur ab tak facebook ne post options me hi Q&A option add kar diya hai. Aap iska istemal karne apne dosto se sawal puch sakte ho aur apni pareshani ka hal pa sakte ho.

8. Keep Remembering Memories

Facebook profile aapki digital property hai aur aap us par apni life se judi memories ko save rakh sakte ho. Jaise ki aap apni profile pictures ko safe rakh sakte ho.

Aap jab bhi apna facebook profile picture change karoge to facebook par save rahega, iske alawa aap apni life ke important moments ka photo ya video facebook account par save rakh sakte ho.

9. Learn Something New

Facebook par hum naye naye logo se milte hai baat karte hai, daily bahut saari facebook post, status, comments padhte hai, jinse hume bahut kuch sikhne ko milta hai.

Facebook par hume achhe bure sab tarah ke insan milte hai aur hum facebook ki duniya se har roj kuch na kuch naya sikhte hai. Facebook use karne se hume kuch na kuch naya sikhne ko milta rahta hai.

Facebook Use Karne Ke Nuksan (Facebook Disadvantages in Hindi)

Facebook Bad Side Effect in Hindi: Facebook ke fayde hai to nuksan loss bhi hai. facebook ke kai disadvantage hai jinme se kuch ke bare me hum yaha bta rahe hai.

1. Facebook Ki Lat Lagna

Bahut saare log hai jo facebook par ghanto bitate hai or jinhe fb ki lat lag gayi hai wo to pura din hi facebook par lage rahte hai. Facebook addiction facebook ka sabse bada nuksan hai.

Facebook hume online world me to bahut sare logo se jod deti hai lekin real people se dur rakhti hai aur aapki real life me relationships, relatives, school and career me problems khadi kar deti hai. Iski wajah se humar life puri tarah badal jati hai.

2. Security and Privacy

Facebook ek social media website hai aur iski koi guarantee nahi hai ki facebook puri tarah se safe hai ya use koi hack nahi kar sakta. Aapki personal detail kabhi bhi chori ho sakti hai.

Kuch log facebook par apni personal details bhi share kar dete hai, agar aap bhi aesa karte hai to aesa karna abhi band kar de ye security & privacy ke liye ye better nahi hai.

3. Disturb Student Life

Aaj ke time me facebook student ki career barbad karne ki main wajah ban chuka hai. Bahut se students ko facebook ki lat lag chuki hai aur wo facebook par itna busy rahte hai ki study karna hi bhool jate hai.

Facebook ki wajah se students ka study karne ka man nahi karta natijan unka career nahi ban pata. Student ke liye facebook sharaap ki tarah hai.

Student ke liye facebook itna nukshandayak hai ki wo facebook, facebook messenger ki notification se itna disturb hote hai ki study karte time bhi una dhyan facebook par hi hota hai.

4. Irritability in Behavior

Kabhi kabhi facebook ka jyada istemal karne se user ki dimagi halat kharab ho jati hai, uske vyavahaar mein chidachidaapan aa jata hai aur wo alag tarah se behavior karne lag jata hai.

User facebook par negativity ki post padh kar wesa hi sochne lagta hai aur facebook ki duniya me itna ghulmil jata hai ki use real world ke logo se baat karne par bhi gussa aata hai.

5. Fake Facebook Profiles

Facebook fake accounts se full hai, in fake profile ki koi limit nahi hai. Fake facebook account adhik se adhik friend banane aur apne purpose ko pura karne ke liye banaye jate hai.

Log fake account bana kar facebook users ko bevkoo banate hai. Example, ladki ke naam se fake account bana kar kisi boy ko bevkoof bana kar paise aethna.

Jydatar fake account girls name se banaye jate hai taki jyada se jyada users ko attract kar sake, fake girl account par aap agle 1-2 din me 5k friends bana sakte ho.

Aese kai tarike hai jinse aap fake facebook account ki pahchan kar sakte hai, fake account ka pata lagane ke liye ye article padhe,

6. Ghost of More Likes and Comments

Bahut se facebok user par adhik like, comment pane ka bhoot sawar ho jata hai. Wo sara din apne friends, friens of friends aur dusro ko apni profile picture ya koi aur post ko like share karwane me lage rahte hai.

Subah uthne se sham sone tak na jane kitni bar likes check karte hai aur isi activity me unka pura din barnad ho jata hai. Aese user ke dimag me bas yahi chalta rahta hai ki use usse jyada like kaise mil sakte hai aur iske liye wo kya kare. Ye bahut badi bimari hai.

7. Separates you from the Internet

Facebook aapko internet se alag kar deta hai. Facebook par login karne ke bad jo user sara din facebook use karte hai wo internet ki duniya ko bhool jate hai unke liye bas facebook hi pura internet ban jata hai.

Internet par aur bhi bahut kuch hai jo aapko janna chahiye. Sirf facebook hi sabkuch nahi hai, facebook par itna busy mat raho ki aap baki internet world se alag ho jao.

8. Time Wasting

Facebook aapka samay barbad karta hai. Time value to aap samajhte hi hai, har kisi ke pas time ki kami hai lekin student aur kuch log facebook par sara din online rahte hai, jisse unhe iski lat lag jati hai.

Facebook use karne ka ek time aur limit honi chahiye, aap daily 1-2 hours use karo koi problem nahi lekin sara din aur work karte time bich-bich me facebook ka istemal karke apna time west mat karo.

Samay bahut keemti hai jitna time aap facebook par west karte ho utna time kisi aur kaam me, kuch sikhne me lagaoge to better hoga.

Conclusion

Ye the facebook istemal karne ke fayde aur nuksan, facebook pros and cons in hindi. Bahut se log to selfie lene ke itne shaukeen hote hai ki selfie lene ke chakkar me apni jan bhi de dete hai. Unhe bas apni social profiles par unbelievable photo upload karni hoti hai.

Facebook use karne ke fayde bahut hai lekin nuksan bhi hai par agar aap iska istemal sahi se karoge to aapko koi nuksan nahi hoga galat tarike se karoge to bahut loss hoga.

Aap aesa na kare aur facebook ke sath whatsapp, twitter aur baki social media sites ka upyog limit se kare taki social media ki wajah se aapki life me koi bad effect na pade. Facebook ko jarurat se jyada use na kare.

Ye hi padhe,

Facebook ka istemal sirf apne fayde like business promotion, site promotion, product promotion ke liye kare na ki time pass ke liye, time pass ke liye use karoge to ye aapki lat ban jayega jisse chutkara pana mushkil hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare taki unhe bhi facebook ke fayde aur nuksan ke bare me pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 17 )

  1. Syed salman

    How to contact with you bhai,
    Apse kuch baat karna tha bhai

    Reply
    • Jumedeen khan

      Check website footer links.

      Reply
  2. Jina

    article mai sab jankari bahut hi kaam ki hai. sayad bahut se point to kisi ko pata bhi na ho. thanks is article ke liye.

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...