Website Ke Liye SSL Certificate Kyu Jaruri (Important) Hai?

Internet evolution ke sath website security bhi badhti ja rahi hai. User SSL certificate use karne wali site par jyada trust karte hai aur green pad lock, HTTPS dekh kar hi site open karte hai. Yaha hum janenge ki SSL Certificate Website Ke liye Kitna Important Hai?

SSL Certificate Importance for Website

Hum sabhi jante hai ki HTTP ki tulna me HTTPS protocol jyada secure hota hai aur users isme jyada trust karte hai. Aap dekh sakte hai ki day-by-day websites aur blogs https enable kiya ja raha hai.

Internet browser like chrome browser bhi http wali sites ke liye “not secure” show karne laga hai. SSL certificate ki importance se pahle hum janenge ki real me ye SSL hai kya aur iska matlab kya hai?

SSL Kya Hai Aur Iska Kya Matlab Hai?

SSL ki full forum hai Secure Sockets Layer, ye basically ek standard security technology hai jaha server aur customer ke bich ek encrypted link banaya jata hai. Ye ek security protocol hai jo dono party ke bich use hone wale encryption ko secure karta hai.

Is technology ka istemal karne wali website par SSL certificate hota hai jise padlock sign se dikhaya jata hai. Padlock kar click karke SSL certificates issuing authority aur website owner ki details btata hai.

In website ke url se pahle HTTPS (Hyper Text Transfer Protocol Secure) laga hota hai jo btata hai ki is site par visit karna secure hai. Ye cyber security ke liye better hai.

Lekin agar aap nahi jante ki website ke liye ssl certificate kitna jaruri hai to is post me uski puri jankari hindi me mil jayegi.

SSL Certificate Website Ke liye Kitna Jaruri Hota Hai?

SSL Certificate importance for website in hindi: Yaha hum website ke liye ssl kyu jaruri hai ke bare me details se janenge.

1. Website Security Increase Hoti Hai

SSL certificate ka sabse bada fayda, isse aapki site ki security increase hoti hai. User ka data secure rahta hai aur hackers aapki site ko easily hack bhi nahi kar pate hai.

Isme user aur site owner dono ka fayda hai, hacker aapki site ko hack nahi kar payenge aur users ka data leak nahi hoga.

2. Data Ko Protect Karta Hai

Upar di gayi SSL definition se pata chalta hai ki SSL data ki better security me help karta hai. Jab koi user website par apni information submit karta hai to ye apne target tak pahuchne se pahle system se ho kar jata hai, isiliye is data ko koi hacker hack kar sakta hai.

SSL Certificate data ko encrypt karta hai jiska matlab hai ki is data ko only recipient user hi padh sakta hai. Password, credit card number, OTP, personal details ki security ke lyie ye better hai.

3. Aapki Presence Ko Authenticate Karta Hai

Phishing internet era ka sabse bada danger hai. Duniya bhar me users ko ek original company ya website ke name se dhoka diya jata hai.

Is tarah ke mahaul me aapke visitors ke liye aapki site par turst karne me SSL help karta hai aur unhe aashvast karta hai ki wo sahi jagah par hai aur is site par unhe koi problem nahi hogi.

4. Website Par User Kas Trust Badhta Hai

SSL certificate use karne wali sites me users jyada believe karte hai, customers jante hai ki https ke sath load hone page par unka data secure rahega.

Ye un visitors ko bhi aapki site par attract karta hai jo apne personal data ke chori hone se darte hai, wo bhi aapki site par pad lock dekh kar visit karenge.

5. SEO Boost Hota Hai

SSL certificate aapki site ke Search Engine Optimization (SEO) ko boost karne me help karta hai. Google ke sath world ke biggest search engines HTTPS sites ko jyada rank dete hai. Google ise ranking factor bhi bana chuka hai.

HTTPS ki wajah se aapki site ki post aur page search engine results me top rank karengi aur aapki site par jyada organic traffic hoga.

In 5 baato ko dekhte huye hum samajh sakte hai ki SSL ceritficate website ke liye kitna jaruri hai. Inse clear ho jata hai ki aaj ke time me site par https enable karna lagbhag jaruri ho gaya hai.

Agar aapko ye article achha lage to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 12 )

  1. Nitesh

    Bhai ye bta dijiye ki yadi do ya do se adhik post ko ek krna ho to kya kr sakte hai kya

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes, kar sakte ho.

      Reply
  2. Arman

    Bhai bigrock ka domain dusre bigrock ke hi account me transfer hota hai??

    Reply
  3. Anand Kumar

    Maine jab Google par iske bare mein search kiya to 301 redirection ke liye mujhe 2 code mila isliye main confuse ho gaya ki kiska use karun. Code shayad comment se remove ho jayega isliye main us code wale blog ka link de raha hoon…

    Pahla code is link par “Step 3” mein diya gaya hai…
    https://www.blogginghindi.com/solve-mixed-content-error-in-wordpress/

    Dusra code SMI forum par is link par aapne “28 June” ko bataya hai…
    https://ask.supportmeindia.com/t/meri-website-url-me-green-pad-lock-show-nahi-ho-raha-hai/3149/27

    Kya ye donon same code hai ya fir kisi ek ka use karna hai aur kiska use karna hai?

    2) Code ko “END WordPress” ke upar show karna hai ya niche?
    3) htaccess file mein is code ka first line “RewriteEngine On” pahle se maujud hai, kya isi ke niche code dalna hai? Yadi haan, to fir aise mein “RewriteEngine On” 2 baar aa jayega to kya sirf ek hi rakhna hai aur ek ko delete kar dena hai?

    Is topic par ye mera final question hai.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap smi forum wala code use karo.

      Ek baar karna chahiye lekin 2 baar add hone ar bhi koi problem nahi hoti hai.

      Reply
      • Anand Kumar

        Ek aur confusion ko door kar dijiye, isi code se 301 redirection ho jayega ya uska alag process hai?

        Reply
        • Jumedeen khan

          It’s enough.

          Reply
  4. Jan ki awaz

    Sir meri bhi site hai but http ki hai mai jarur ssl certificate ka use karunga. Thanx aapko itni acchi news share karne ke liye.

    Reply
  5. Anand Kumar

    Aapki ye jankari bahut hi important hai lekin mera ek sawal hai. Maine pichhle mahine Godaddy se SSL buy karke apne blog mein install kiya tha aur webmaster tools mein “Change of Adress” tool ka use karke Google mein https url ko submit bhi kar diya. Lekin iske baad dhire-dhire mere blog ka views lagatar girta hi ja raha hai. Yadi ekaek views pura gir jata to main samajhta ki shayad Change of adress tool ke setup mein kahin koi galti huyi hai lekin aaj ek mahina ho jane ke baad bhi na to views recover hua hai aur na hi puri tarah se 0 hua hai. Abhi bhi 30% views aa raha hai Google se. Kya aap iska reason ya solution bata sakte hain?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Theek se https implement nahi karna. https enable karne ke bad mixed content error, 301 redirection bhi karna hota hai.

      Reply
      • Anand Kumar

        Oh, iski jankari mujhe nahin thi. Abhi main iske bare mein search karke is error ko fix karta hoon. Yadi aapne is par article likha hua hai to mujhe uska link de dijiye.

        Reply
        • Jumedeen khan

          SML par mil jayega.

          Reply

Leave a Comment

I need help with ...