Copied Content Ki Google DMCA Form Me Report Kaise Kare

Aapki post ko koi bhi copy kar ke publish kar sakta hai. Is case mai aap uske khilap report karke uski post ko search engines me se remove karwa sakte ho. Isse use search engine se bilkul bhi traffic nahi milega. Uski copyright post search engine se humesha ke liye delete ho jayegi. Or agar uski site blogspot free platform par hai to google search team uski copied site ko hi blogger par se delete kar degi.

Aapki Site Ki Copy Karne Wale Ke Khilap Google Search Team Se Report Kaise Kare

Maine apni pichli post Aapki Site Ka Content Copy Ho Raha Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare me btaya tha ki kiase hum apne blog ki copy karne wale ka pata kar sakte hai. Is post me btayi tricks se aap apni site ki copy ki gayi post ka pata laga asakte hai or copy karne wale ko iske bare me bta kar use copy karne se rok sakte hai.

Aap apni site par right click desable kar ke bhi apni site ka content copy hone se bacha sakte hai. Iske liye aapko apne blog par  2-3 step ki setting karni padegi. Jiske bare me maine Blogspot Blog Par Post Content Chori Hone Se Kaise Bachaye me btaye hai. Agar aapke sath ye porblem hai to aap ye post padh kar apni site par copy paste option ko disable kar ke copyrighting ko band kar sakte ho.

Agar aap aysa kar chuke hai or aapke mana karne ke bavjud bhi chor (thieft) aapki site ko copy karna nahi chodta hai to don’t worry iska bhi solution hai. Wo bhi aysa ki aap apne chor ki site ko internet par se delete bhi karwa sakte hai.

Google search team se report kar ke hum us site ko search engine se remove or delete karwa sakte hai jo aapki site ka post content copy kar rahe hai. Aysa karne se unki site kabhi bhi delete or remove ho sakti hai.

Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye

Jaisa ki maine aapko isi post me upar btya hai ki kisi ke report karne par google search team use remove or delete kar sakti hai. Mai aapko ye clear bta dena chahata hu ki kounsi site delete hogi or kounsi site remove hogi.

  1. Agar copied site blogspot ke free platform par hai to google search team us site ko humesha ke liye delete kar sakti hai. kyuki wo google ke hi platform par host hoti hai.
  2. Agar copied site self hosted hai or WordPress par banayi gayi hai to goole search team use delete to nahi kar sakti but use search engine se remove kar degi. isse copied site ko search engine se 1% bhi traffic nahi milega.

To ab aapko ye to clear ho gaya ki konsi site remove hogi or konsi delete hogi. Sabse achi bat ye hai ki 80% copy karne walo ki site (blog) blogger ke free platform par hi hote hai. Or sirf 20% WordPress user hi dusro ki copy karte hai. kyuki WordPress par wohi log blog install karte hai jinko blogging ki achi jankari hogi.

Copied content ke khilap report karne ki processing WordPress, Blogspot and other platform sabhi par alag alag hoti hai. Kyuki har platform ki team alag alag hoti hai. Mai aapko yaha blogger platform ke bare me jankari de raha hu. Kyuki Copy karne walo ki site sabse jyada google ke isi free platform blogger par host hoti hai. Iske bare me mai post me upar bhi bta chuka hu. But fir bhi mai aapka yaha WordPress or other report website ka link de raha hu.

  • WordPress.com blog copied user ki report karne ke liye is form par jaye: WP Report Form
  • Blogspot.com blog copied user ki report karne ke liye ye form use kare: Blogger Report Form
  • Other kisi platform user site ki report karne ke liye is form ko use kare: Other Report Form

WordPress or baki sites ke bare me hum bad me bat karenge. Abhi mai aapko only blogspot blog ke khilap report karne ke bare me bta raha hu. Follow Belowe Steps.

Blogspot free blog user ki report karne ke liye Report alleged copyright infringement page par jaye. Ab niche btaye anusar step follow kare.

  1. Apna first or last name enter kare.
  2. Apni companyya website ka URL  ya name add kare.
  3. Self select kare.
  4. Apna email enter bhare.
  5. Apni country ka name select kare.
  6. Yaha aap 3-4 lines me request message likhna hai. Jisme ye btana hai ki aap is content ke original author hai or ye 100% aapke dwara likha gaya hai. Fir usi lines ke niche ye likhna hai ki copy karne wale ne aapka kya kya content copy kiya hai. Jaise text, images. (Request message english me likhna hai.)
  7. Yaha par aaapki un posts ka link add kare jo kisi ne copy ki gayi hai. Aap yaha per lines 1000 urls add kar sakte ho.
  8. Yaha par aapko copy karne wale ki post ka link add karna hai. (Yaad rahe jaise aapne upar apni site ke link add kiye hai usi tarah lines me yaha copy karne walo ke link add karne hai.)
  9. Aap jis content ke copied hone ke khilap report kar rahe. Us sabke bare me aap confirm kar chuke hai ki aap uske sahi or real malik hai or aap jiske khilap report kar rahe hai wo aapki site ki post copy kar raha hai iska aapko pura wishwas hai to yaha par sabhi par tick kare.
  10. Aap kab tak is report ka action chahate hai. Yani copy ki gayi post kab tak delete ho jani chahiye.
  11. Yaha par apna full name likhe.
  12. Capcha code verify kare.
  13. Finally Submit par click kare.

Report to DMCA

Agar aap is form me puri jankari sahi nahi bharoge to aapki report par goolge search team koi karvayi nahi karegi. Aapke puri jankari sahi sahi bharne ke bad hi google search team copied site ke khilap action legi. or apne hisab se use remove or delete karegi.

Agar aap galat report karte hai to google team aapko uski koi bhi saza de sakti hai. Ho sakta hai wo aapki hi site ko search engine se remove kar de. Isliye puri tarah pata karne par hi kisi ke khilap report kare. Or agar google search team jaldi action na le to bar bar report na kare. Ek bar report karne ke bad google team ke mail ka intjar kare.

Kisi ke khilap report karne se pahle aap apni site ki copy karne wale se contact kar le or agar wo fir bhi na mane to use is report ke bare me btaye ki aap uske khilap action le sakte hai. Jisse uski site remove or delete ho sakti hai. Iske bad bhi agar wo aapko care na kare to hi aap uske khilap report kare.

I hope aapko is post me helpful jankari milegi. If Yes, to is post ko social media par share jarur kare. Or agar aapko post ke bare me koi sawal puchna hai to comment box me puch sakte ho.

Share post on social media.