Blog banane ke bad hum usme 10-20 post share karte hai. or jab hume blogging ki or jyada jankari hoti hai to hume pata cahlta hai ki humne pichli post me kei galtiya ki hai. un galtioyo ko sudharne ke liye or new post me galti na ho ke liye hum sahi jankari search karne ki koshish karte hai. unhi me se ek hai blog post me dusri post ka link (URL) kaise add kare. aaj mai aapko is post me iske bare me details se bta raha hu.
Blog Post Me Dusri Post (Internal) Link Add Karne Ke Fayde
Blog post me dusri post ke link add karne se humare visiotrs ko dusri post par jane me aasani hoti hai. sath hi dusri post milne ki wajah se visitor humari site par jyada time rukta hai. jisse humari site ki bounce rate badhti hai. so hume isse do fayde hai ek humari site ki traffic badhti hai or dusri humari site ki ranking achi hoti hai.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Internet Se FREE Me Call Kaise Kare Puri Duniya Me Kahi Bhi Kisi Bhi Jagah Par
Blogger Post Me Dusri Post Ke URL Kaise Add Kare
Blog post me another post ka link add karna bahut hi aasan hai. bas aapko iske liye niche diye simple step follow karne hai.
Step 1:
- Blog ke dashboard par jaye or log in kare.
- ab new post likhne ke option par jaye.
- ab edit bar me “Link” par click kare.
Step 2: Ab ek popup windows khulegi. usme aapko dusri post ka link add karna hai. mai yaha aapko step by step 1-1 option ke bare me samajha raha hu. ummid hai aapko mera tarika pasand aayega.
- Text to display: yaha par aapko us post ka name likhna hai. jise aap is post me add karna chahate ho.
- Link to: To what URL shoud this link go? – is box me aapko post ka link add karna hai.
- Web address: agar aap kisi post ka link add karna chahate hai to web address select kare.
- Emial address: or agar aapko post me koi email add karna hai to wo email add kare.
- Test this link: ye char step follow karne ke bad agar aap chaho to yaha par click karke check kar sakte ho ki link kam kar raha hai ya nahi.
- Open this link in a new window: Agar aap chahate hai ki jab koi aapki post pade or is post par click kare to wo post alag windows me open ho to yaha tick kare.
- Add ‘rel=nofollow’ attribute: agar aap chahate hai ki search engine is post ko index na kare to nofollow par tick kar sakte ho. ye option isliye diya jata hai ki aap post me add kiye sare link search engine se chupa sakte hai.
- 8. Finaly OK par click kare.
Ummid karta hu aap ab aasani se blogger post me new post add kar sakte ho. so mujhe yaha or kuch likhne ki koi jarurat nahi hai. Post pasand aaye to share jarur kare.
Abhishek Kumar
Hi bro, mera ek sawal h comment moderation kya hoti h
Jumedeen Khan
jab koi humare blog par comment karta hai to hume use check karke publish kar sake ise hi comment moderation kahte hai. Ye bad comment se bachne ke liye hai.
Anand Kumar
Add ‘rel=nofollow’ attribute
Sir is option ko tick karna kyon jaroori hai, nahin karne se koi pblm kya post mein doosre post ke 3-4 link dalna galat hoga?
Jumedeen Khan
Bad website ke liye nofollow link me use karna jaruri hai kyuki isse google searchengine us site ko index nahi kar pata hai or apaki site ki searchrank bdown nahi nahi.
pawan
sir maine ek site banaya hai jiska naam hai techwlan.com jo ki WordPress pe hai mujhe us pe phone ke specifications ke post daalne ke liye bnaya hu lekin mujhe koi accha them nhi mil rha hai aap btao ki mai kaun sa them use kru.aur mujhe ye samajah me nhi aa rha ki aartical ko menu ke andar kaise likhe aur kuck artical maine likha hai waha par read more ka option aa rha hai but click krne par open nhi ho rha hai
Jumedeen Khan
Aap mythemeshop ki template use karo. aap humari blogging se related post check karo sabki jankari mil jayegi.
yasmeen khaja
Mera permalink custom beutiful life aur kaba sharif hai
Jumedeen Khan
Nahi jis tarah mere blog ka link https://www.supportmeindia.com hai wesa link btao.
yasmeen khaja
Assalam walekum bhai
Maine is post se url kaise set karna hai samajh gayi hun .
But mai aap se help chahti hu. Mai apna blog google
Search yasmeen khaja blogger pe jakar I am blogger pe search karne par show hota hai.
Pleas mera blog dekh kar bataye ki kya mujhe blogging karni chahiye ya nahi.
Blog start aap ke post ki help se hi kiya hai. ab mai confuse hu ki mujhe kya setting karni chahiye . Mai nahi chahti ki main post puplish karti jaoo aur mujhe baad me malum ho ke sab west ho gaya .
Allah hafij
Jumedeen khan
W/a
Yasmeen ji aap apni blog ka link btaogi to hi to main use check kar sakta hu or aapko kuch bta sakta hu.
yasmeen khaja
Thanks ap ke jariye mujhe blog ke bare me bahut kuch malum hua
But mujhe aap se puchna tha ki maine apna blog banaya post setting bhi ho gayi aur maine 3,4 post bhi publish kar diye ab mujhe blog me kya setting karna hai pleas mujhe bataye
Jumedeen khan
Aap blog ka link btao main check karke aapko tips bta sakta hu.
himanshu
Link ke post ko publish karna padta hai kyonki mera blog movie collection per hai to mai link ke andar ki post ko blog ke home page per show nahi karna chata hu to kya karu
Jumedeen Khan
Aap homepage par only title show hone wali template use karo.
himanshu
Home page par khali title show karne wali acchi template ka name suggest kare jo mobile friendly bhi ho sir
Jumedeen Khan
Himanshu ye aapko khud search karna hoga. Meri nazar me aesi template nahi hai.
Abhishek Meena
Bhai agr post me link add karte time rel nofollow par click na kare to koi nuksaan to ni h na
Jumedeen Khan
Ho sakta hai agar aap kisi bad ya p*rn site ka link add karo ya fir koi aysi site jo google guidelines follow nahi karti ho.
Thakor naresh
Sr mera ek Sabaal hai ki maine apna blog ka name or url change kiya hai to kya backlinks or global renk bhi chala jata hai jab hum new url alexa me dalte hai tab
Jumedeen Khan
Yes domain change karne par backlinks fir se generate honge.
thakor naresh
Sr bhot hi badiya jankari share karte hai aap aapke is aarticle se new blogger ko kafi help Milegi thenks you your aarticle publish sr ek mera sabaal hai ki backlinks alexa renk ki Trah jyada kum hota hai.
Jumedeen Khan
Backlinks tabhi kam hote hai jab aap apne blog ki kisi posts ya pages ko delete karoge.
naresh
Sr aapke is aarticle me Bhot kuch sikhne
Ko mila hai sr muje mere blog me ad lagana hai to kya hum jab new post
Ki link dalte hai vahape hum apna ad ka
Link dale ge to kya ad dikhay dega
Jumedeen Khan
ha dikhai dega but aap link ke sath nahi alag se ad code paste karo taki ad link ke sath mile nahi.
Vishal
Sirji mai apne blogg pe affilate ke link promot karna chahata hoo kya muze affilate link ke liye alag se post banani padegi
Jumedeen Khan
Nahi aap blog sidebar and banner me add kar sakte ho.
shital kumar
sir mera blog ka name hai .amarjankari.blogspot.com
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo problem solve ho jayegi.
shital kumar
sir pahle wala post aur bad wala post ek hi page me kyon chala jata hai
Jumedeen Khan
Aap sahi theme use karo or apne blog ka name btao mai check karke dekhta hu.
shital kumar
sir,post publish hone ke bad jab google par jata hai to google account par dala gaya image post ke sath kyon chala jata hai.
Jumedeen Khan
Sabhi ke sath aysa hota hai. Ye google ka feature hai.
sachin insan
sir post me dusri post ka link add karna h . to dusri post ka link kase pata chlega please help me.
sir aap please meri website /blog ko check karke bta skte h ki m kasa kam kr reha hun. Sahi ya kush galat h.
Jumedeen Khan
Aap dusri post ko browser me open karo or uska link copy karo.
namdev
Sr jab me dusri post ka link daalke chack krne के लिये test this link pr click krta हू तो ये लिखा आता है
Sorry, the page you were looking for in this blog does not exist.
प्लज़्ज हेल्प मि और पोस्ट का link कैसे पता करें ये भी बताना मैने तो पोस्ट पर push करके save link करके जो file dwnld हुई उसको copy करके daala था
Jumedeen Khan
Aap galat link add kar rahe ho aap jis post ka link pata karna chahate ho use browser me open karo or browser ke link bar me se link copy kar
Homlal Dhimar
Post me aapne short link banai hai …. Step-1 {dashboard} to aisa kaise banai
Jumedeen Khan
Is post me ye ache se btaya hai. Post ko ache se padho.
Mohammed imran ali
Bhai ek broblem h. Pls help me me link me url dal raha hun per jo link me likha h. Wo to dikh raha h. Per click kar raha hun us link pe wo click nhi ho pa rahi h. Batao pls.
Jumedeen Khan
Imran aap sahi se link add nahi kar pa rahe ho. Sahi se link add karo.
Mukesh Yadav
Bhai bounce rate jyada achha hota hai kam samjh me nahi a raha pahle mujhe lagta tha kam achha hota lakin aapka ye post padne ke bad confusion ho gaya hai…
Jumedeen Khan
Bounce rate hona acha hota hai. Kam hone ko hi increase hona kahte hai. Ye post padho Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai