Support Me India

India's Best Hindi Blog (Learn Something New)

  • Blog
  • Blogging
  • SEO
  • Make Money
  • More:
  • Income Report
  • Forum

Affiliate Sales Grow Kaise Kare – Top 11 Best Secret Tricks

By: Jumedeen khanIn: BloggingLast Updated: 06 Jan, 2018

Mera Naam Nekraj Bhartiya hai or main Seofreetips.net ka owner hu ye meri supportmeindia per second guest post hai. Yadi aap apne blog se adhik money earn karna chahte hai toh simple si baat hai aapko AdSense ke alawa affiliate marketing bhi karni hogi. Is psot me main apako affiliate sales grow karne ke tarike or tips bta raha hu taki aap affiliate program se jyada se jyada earning kar sako.

affiliate-marketing

Mai aapko clear kar  dena chahuga ki affiliate marketing me yadi aap success ho jaate ho toh aapko AdSense ya kisi ad network per depend nahi rahna padega. yadi aap affiliate marketing ke baare mai adhik nahi jaante toh pahle aap ye post jarur read karle

Toh ab tak aap ye samajh chuke hai affiliate marketing kya hai and aap atleast ek network ke sath toh jude hi hoge. Yadi aap abhi tak kisi bhi network ke sath nahi jude hai toh pahle kisi network ke sath sign up kar le.

Now ab ham main topic per aate hai. Affiliate marketing ki sabse badi problem ye hai ki yadi aapko is field me success hona hai toh aapko pahle kaafi saara traffic chahiye wo bhi laser targetted traffic or uske liye kaafi sara investment chahiye.

But is post me aapko batane jaa raha hu ki kaise aap bina ek rupya bhi kharch kiye apni sales grow kar sakte hai. In short is post me aap following things seekhenge:

  1. Kaise kam traffic hone per bhi sales grow kare.
  2. Ek profitable niche kaise select kare.
  3. Affiliate Sales and clicks ko track kaise kare without any software.
  4. Apni commision chori hone se kaise bachaye.
  5. My Secret 3 steps process to grow sales from day
  6. Laser Targetted Traffic Kaise Drive Kare.
  7. Or Bhi bahut kuch..

Aap Ready hai? Toh continue kare…

1. Apni Reputation Banaye 

Chahe ham ho ya or koi  insaan hamesha un logo se shopping karna pasand karta hai jinhe wo jaanta hai ya trust karta hai. Toh affiliate marketing me success hone ke liye jaruri hai ki ham sabse pahle apni reputaion build kare.

Reputation build karne ke liye  ham ye sab kar sakte hai:

  1. Apne readers ki traffic ya seo releated problems solve kare .[for free]
  2. unki har ek comments / email and message ka reply kare.
  3. Apni real photo unke saath share krke yaani ki aapne page and site per apni real photo lagaye

Ek baar aapne reputaion build kar li hai toh aapko kuch bhi sale karne me koi dikkat nahi hogi.

2. Sales Ke sath free bonus deker

Suppose kijiye ki aap kisi Book ko promote kar rahe hai jiska title hai  “Dog Training” toh kaise rahega yadi aap iske sath aap koi apni free eBook as a bonus de jaise ki “How to keep safe your kids from pets” .

Ye dono hi ek dusre suplimentry hai. Aap iske alawa bonus k roop me apni service bhi de sakte.

3. Big Affiliate link ke bajay short url use kare

Kaafi readers  ko affiliate link acche nhi lagte. Yadi wo kahi bhi affiialite link dekhte hai toh link per direct click karne ke bajay use google se search karke access karte hai or yaha aapki commission steal hoti hai.

Toh Iska ek free solution yahi hai ki aap url shotner jaise bit.ly ,go.gl ya is.gd use kare. Ye sabhi free hai.

Iske alawa short url use karne ka ek profit ye bhi kai aap kuch track kar sakte hai jaise kis link per kitna clicks hua ,kis source se hua etc. Ye  tracking report se aapko ye pata chalta rahega ki aapke liye konsa network sahi hai and konsa nahi.

4.Show The “Fear of loss”

Ye ek marketing techniques hai jo maine kaafi time pahle seekhi. Iska matlab ye hota hai ki aapko apne readers ko dikhana hota hai ki aapni yadi “X” product nahi kharida toh aap kya khodego .

Ise ek example se samajhte hai  maan lijiye ki aap ek hosting service ko promote kar rahe hai toh aap readers ko us products ki khashiyat bataye jisse unhe ahshah ho ki yadi unhone wo products nahi khareeda toh ve kya kho dene wale hai.

5. Affiliate only niche releated products

Aap kewal unhi products ko promote kare jo aapki industry se related hai. Iske alawa ye bhi yaad rakhe ki aapne  product ko personally use kiya ho.

Yadi aap out of box koi bhi products promote karte hai toh aap surely apna trust and visitors dono kho doge.

Toh Sabse profitable products aapke niche se related hoga and try kijiye ki products low price ka ho.

6.Use my secret 3 steps conversation Tricks

Ye Post ka sabse intresting part hai. Is section me aapko apni “3 step process ” ke baare me batane jaa raha hu.

  1. Sabse pahle apni fb / twitter ya google+ id open kare and conversation start kare. Jaise ki aap message kar sakte hai – “Hi bro/sir/mam,How are you?”
  2. Iske baad aapko reply miliega – “I am fine/ok/good, but who are you?”
  3. Now aapko apne baare introduce karne hai.  jaise ki “I am (Your Name) and I am  a blogger,internet marketer etc and owner of example.com (your website here) and what about you?”
  4. Saamne wala apna reply dega or aapko apne baaare me batayega.
  5. Now this is the most improtant point .Yaha aapka apna prodcut pich karna hai .Jaise ki ” By the way, I am using ‘product X’ for 2 months and its changed my life in many ways. exam 1 and exam 2. It is a free product / servcie. I hope you will like it  have a look at it – product short url”
  6. Thats all.

Believe me, yadi aap aise 10 conversation bhi daily start karte hai toh aapko 1 sales jarur milegi.

7. Apne Affiliate links ko direct promote kare

Ye jarori nahi ki aap koi product/service ko promote karna chahte hai toh pahle aap readers ko apne blog per bulaye fir landing / sales page per .

Isse accha hoga ki aap direct hi apne social media accounts per ek short description ke sath link share karde.

8. Add your story with that products.

Yadi aap  day1 se hi ssles grow karna chahte hai toh iske liye jaruri hoga ki aap aap product k sath apni story bhi share karde.

Jaise ki : Maan lijiye aapko WordPress plugins promote karni toh aap bata sakte ho ki us plugins ne aapko bloging style ko kis tarah se change kiya and usse aapka kitna time save ho raha hai.

Its a very simple point. yadi koi cheez aapko madad kar rahi hai or aapke liye helpful hai toh wo dusro ke liye bhi hogi.

9. Write honest product review

Kai  bloggers review toh likhte hai lekin wo “Honest Review” nahi likhte jaise ki wo likhte hai:

“X Prdocuts ye kar sakta hai, ye bahut cheap hai, ye bahut hi improtant hai.

Buy this products…….”

Ye ek bahut hi wrong habit hai. Accha hoga ki aap pros ke sath cons bhi likhe.

For Example aap kai top review site ko dekh sakte hai. Un site per visitors ka trust hota hai kyonki wo cons [bad points] bhi highlights karti hai.

Next time aap jab bhi koi review likhe toh “Cons” jarur add kare.

10. Make Video Reveiw

Ek kahawat hai content marketing me ‘ An image is equal to 100’s words and one video is equal to 100’s image.”

Toh aap samajh chuke me kya kahna chaha rha hu. Simply ek camera lijiye or ek video review ready kijiye. Fir ise apne YouTube channel per upload kr dijiye.

11. Laser Target Traffic kaise drive kare

The last important point, Yadi aapke blog per traffic kam hai tab bhi aap apne affiliate sales kar sakte hai and apni income grow kar sakte hai.

Condition bas itni hai ki aap jo bhi traffic mile wo laser targeted ho.

But the question is “Laser Targetted Traffic  kaha se milega”

Very short answer – Quora and Forums se.

Chalo is process ko step by steps dekhte hai.

  1. Quora.com per jaaye.
  2. Apna account banaye.
  3. Waha kaafi saare question hoge. Yaha aapko apne affiliate products se related question ko select karna hai.
  4. Maan lijiye Ki aapka  kisi “theme” ko promote karna chahta hai.
  5. Yaha aapko un question ko reply karna hoga jo themes ya web design se related hai.
  6. Answer kuch is tarah se likhe ki wo user ki bhi help kare and aapki link per bhi click ho jaaye.
  7. Thats all.

Final Words,

Ye wo secret tricks hai jinhe aap aajmate hai toh aap easily $100 earn kar sakte wo bhi wina AdSense ke.  Abhi aapka kaam ye hai aap turant apna target set kare and use complete karne me lag jaaye. At the end yadi aapko kahi bhi koi difficulty hoti hai toh share karna na bhoole.

In sab ke alawa aapke pass bhi koi tricks hai toh please jarur share kare .

Share this post:
Share
Tweet
+1

Subscribe this blog to get latest post notification via mail.

About: Jumedeen khan

He is a Indian blogger and share useful content on this blog regularly. If you like his articles then share this blog with your friends. You can also connect on Facebook, Twitter and Google+.

RELATED POST

  • Deside better domain name for your site

    Website Blog Ke Liye Badhiya Domain Name Kaise Select Kare 7 Tips

  • Check Your Copyright Content

    Aapki Site Ka Content Copy Ho Raha Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

  • Girl feel boring reading content on laptop

    Boring Content Ko Awesome Content Banane Ki 12 Tips

Reader Interactions

Comments ( 27 )

  1. Saurav

    30 Aug, 2016 at 11:55 AM

    sir jaisa ki apne bataya ki YouTube me affiliate marketing ke lia refferal link ko video me dalna padega to sir ye refferal link muje kaha milega or kisi video main kaha ye link kaha dalna hoga.

    Reply
    • Jume deen khan

      30 Aug, 2016 at 12:26 PM

      Saurav aap first affiliate marketing join karo waha se aapko link milega. Aap plz affilaite marketing ke bare me information pata karo.

      Reply
  2. Saurav

    29 Aug, 2016 at 8:43 PM

    plz tell me sir kaise hum YouTube affiliate marketing ka video banakar paise kama sakte hai?

    Reply
    • Jume deen khan

      30 Aug, 2016 at 11:06 AM

      Aap affiliate product ke bare me video banaye or usme apna referral link add kare. Jab koi us link ke throw koi product buy karega to aapki earning hogi. sath hi aap YouTube video me AdSense bhi use kar sakte ho.

      Reply
  3. saurav

    29 Aug, 2016 at 12:22 PM

    sir kya hum YouTube main bhi affiliate marketing karke paisa earn kar sakte hai?

    Reply
    • Jume deen khan

      29 Aug, 2016 at 5:46 PM

      Haa kama sakte ho affiliate marketing par video bana kar.

      Reply
  4. Haidar Raza Khan

    28 Aug, 2016 at 9:49 AM

    Bahut Acchi information hai Jume Deen Bhai Par As a Hindi Blogger Affiliate Marketing se jyada earning nhi kar sakte hain kyuki India me har koi free service use karna chahta hai.
    Maine bhi is Month Hostgator Affiliate se 1250 INR kamaye hai and i’m so happy by the Aapne bahut acche tips share kiye.

    Reply
  5. Md Saban

    27 Aug, 2016 at 3:51 PM

    hello neeraj bro, bahut hi badhiya jaankari di aapne. Aapse ek sawal puchhna hai. Mera blog hinglish hai. To please kuchh affilate programme suggest karein.

    Reply
    • nekraj

      02 Sep, 2016 at 10:44 AM

      use domain and hosting affiliate e.g. bluehost, bigrock ,namecheap etc .It will be best for you.
      I have checked your blog and your blog is awesome .But you need some changes to get more result.

      Reply
  6. जमशेद आज़मी

    27 Aug, 2016 at 12:29 PM

    भाई, आपने काफी अच्‍छी जानकारी दी। इसके लिए आपका शुक्रिया। एक बात और मैं आपको बताना चाहता हूं कि जब मैंनें एडसेंस में फर्स्‍ट वेरीफिकेशन कराया था, तब मैंनें गूगल कस्‍टम सर्च का बॉक्‍स का इस्‍तेमाल किया था। जिसके फलस्‍वरूप मुझे एडसेंस की ओर से एक मेल आया था। जोकि इस प्रकार था ”आपने सफलता पूर्वक अपनी साइट पर एडसेंस कोड प्‍लेस कर दिया है। लेकिन हम इसे देख पाने में असमर्थ हैं।
    अब जब मैं एड युनिट लगा रहा हूं तो शायद वह इन एड युनिटस को भी देख पाने में अक्षम पा रहे होंगें। कल मैंनें एक नई एड युनिट जैनरेट की है और उस एड युनिट को से मोडिीफाइड करके फिर से विजेट एरिया में लगाया है। इसके बारे में मैंनें गूगल सपोर्ट पर पढ़ा था। मुझसे जैसा बना मैंने किया। कृप्‍या सही तरीका बताने का कष्‍ट करें।

    Reply
    • Jume deen khan

      27 Aug, 2016 at 1:53 PM

      Q- आपकी परेशानी है की आप जो अड़ यूनिट बना कर उसका लिंक ब्लॉग में ऐड करते हो तो कुछ टाइम वो अड़ यूनिट AdSense से डिलीट हो जाता है
      Ans- हम जो अड़ यूनिट AdSense पर बनाते है अगर हम उन्हें इस्तेमाल न करे तो वो अपने आप एक निश्चित समय के बाद डिलीट हो जाते है, आपके साथ भी ऐसा ही हो रहा है इसका मतलब आपके ब्लॉग पर अड़ यूनिट काम नहीं कर रहा हैं, मैंने आपको फिर से अड़ यूनिट बना कर ब्लॉग में ऐड करने को कहा था अगर फिर भी अड़ यूनिट डिलीट हो जाता है तो आपको google AdSense को इसके बारे में फीडबैक भेजना होगा

      Reply
  7. Sanjay Singh Rawat

    26 Aug, 2016 at 8:25 PM

    Hi Bro,

    Aapke dwara di gai jankari perfect hain. Mere hisaab se flipkart best choice for affiliate !!! Aapse ek chhoti se jankari chaiye thi jo aapne sidebar par social share button place kiye hain kya weh plugin dwaera kiye hain ya customize ???

    Reply
    • Jume deen khan

      26 Aug, 2016 at 10:24 PM

      Ye plugin se nahi coding se lagaye gaye hai.

      Reply
  8. Kuldeep Vishnoi

    26 Aug, 2016 at 7:57 PM

    Bahut hi bathiya baate batai hai aapne ab lagta hum bhi kuch kamal kar sakte hai

    Reply
    • Nekraj

      27 Aug, 2016 at 9:56 AM

      Hi Kuldeep,
      Mujhe khushi ki mai aapki madad kar saka.
      By the way apko aage koi problems ho toh jarur bataye and apni progress jarur share kare.
      Stay motivated .
      Nekraj

      Reply
  9. pramod

    26 Aug, 2016 at 7:45 PM

    m apne blog readers ko bonus deta hu jab sale confirm ho jati h or is se meri sales increase hui h.

    Reply
    • nekraj

      27 Aug, 2016 at 10:01 AM

      Hey promode,
      Ye kaafi accha hai ki aap apne readers ko bonus dete hai.
      By the way mene aapka blog dekha .
      Aapki writing style kaafi acchi hai. lekin mene kuch aisi cheeze note ki jinhe aazma kar aap apna traffic and page views bada sakte hai.
      1. Apne side baar me sabse ooper “populer post ko rakhe .uske baad catogery and baaki ki chcez”
      2. Ek emial subs box jarur lagaye jaise ki supportmeindia per laga hua hai.
      3.Pop up box me fb page ko show karne se accha hoga ki aap usi email subs box ko show kare taaki aap jab bhi new post likhe aapke readers ko information mil jaaye.
      Have a good day

      Reply
      • said

        28 Jul, 2017 at 11:49 AM

        great post keep going

        Reply
  10. mahtab

    26 Aug, 2016 at 4:27 PM

    sir agar hum aapki site ko google me search krte hai to aapke post me aage date nhi rahta google me

    hamari me rahta hai
    iska use hum kaise kre

    Reply
    • Jume deen khan

      26 Aug, 2016 at 6:05 PM

      Iske bare me mai jaldi hi post likhunga.

      Reply
  11. Himanshu Grewal

    26 Aug, 2016 at 2:58 PM

    sir meri site hai 2 page “About US” “Contact US” google par show nhi ho rhe hai 16 august ko publish kra tha abhi tk show nhi hua 500 server error a rha hai to kya kru ki page show ho??

    Reply
    • Jume deen khan

      26 Aug, 2016 at 6:01 PM

      First aap search console me crawl error fix karo uske bad apne pages ko ko fetch as google karo.

      Reply
  12. Draveen Sentinel

    26 Aug, 2016 at 1:54 PM

    Ek cheej aur mai bhul gaya tha puchne ke liye ki , google AdSense ki script aapne apne recent tab me use kiya hai isse aapko koi benefit hota hai , mera mat lab hai ki mouse hover pe to wo ad ke links dikhata hai ?

    Kya aisa hai ?

    Reply
  13. Draveen Sentinel

    26 Aug, 2016 at 1:46 PM

    Hello , apne ek wrong phrase use kiya hai jo ki interchange hai 4.Show The “Loss Of Fear” nahi hota hai Fear of loss hota hai . Chaliye ye to hote rahta hai aapne jo bataya tha ki social share karne ke liye usse traffic bahut kam badh rahi hai .
    Aur kya aap bata sakte hai ki apne shuru me kaisi traffic strategies use kiya tha?

    Please share it

    Reply
    • Nekraj

      27 Aug, 2016 at 10:10 AM

      Thanks for your feedback .
      I hope Jumedin sir will change the pharse.
      Second If you want to success in affiliate marketign
      Toh apna invest “Laser Target Traffic” per kare .
      And Q/A iske sabse accha option hai.
      Aap chahe toh fb per bhi kaafi saare Q?A group hai wha bhi aap help kare and Quora is best .

      Reply
  14. Aditya

    26 Aug, 2016 at 1:20 PM

    Links work nahi kar rahi hai – link par click krne par page not found likha aar raha hai bhai… ek link me mail id enter krne ke bad download my ebook par click krne ke bad thank you likha aata hai but ek bhi ebook mujhe nahi mili… yah to cheating hai bro… aisa nahi krna chahiye aapko.

    Reply
    • nekraj

      27 Aug, 2016 at 10:07 AM

      Hey Aditya,
      First Link is dead .Actually he typed it wrong.
      Sahi link ye bit.ly/100adays aap ise copy/paste kar dijiye .
      Second thing aap confirm karne ke baad thank you page per gye hoge but at start waha clear mentioned kiya hai ki aapka bonus aapke inbox me aata hai.
      AAp inbox check kihijiye or email subs confirm kare .Fir aapko aapki ebook inbox me milegi .
      Yadi fir bhi aabpko problems ho toh aap yaha comments kar dijiye

      Reply

Add a Comment Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

JOIN ON SOCIAL MEDIA

Facebook

Like

Twitter

Follow

Instagram

Follow

Google+

+1

YouTube

Subscribe

RSS

Subscribe

LATEST POST

  • What People Say About Support Me India and Why You Read this Blog
  • WordPress Blog Ko DigitalOcean Server Par Migrate Kaise Kare
  • Windows 10 User Ke Liye Top 10 Free Calling Apps 2018

TRENDING POST

500 Motivational Quotes Jo Kisi Ki Bhi Jindagi Badal Sakti Hai

Blog Ki Left Side Me Floating Social Share Buttons Kaise Add Kare

Website Blog Ko Zero Se Hero Banane Ki Top 20 Tips

Twitter Account Verify Kaise Kare – Verified Account Kaise Banaye

Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap

POPULAR POSTS

What People Say About Support Me India and Why You Read this Blog

WordPress Blog Ko DigitalOcean Server Par Migrate Kaise Kare

Windows 10 User Ke Liye Top 10 Free Calling Apps 2018

SupportMeIndia Forum Top 10 Members and Their Prize March 2018

Support Me India YouTube Channel – Learn Something New

Ek Successful YouTube Channel Start Kaise Kare – Full Guide in Hindi

Social Media Kaise Aapki Life Ko Aabad Ya Barbad Karta Hai

BEGINNER GUIDE (Hindi)

Three step to earn via blogging.
#1st Create a blog.
#2nd Increase Traffic.
#3th Start Earnings.
FREE! 5 minutes guide only

Footer

LITTLE ABOUT BLOG

This blog launched on July 17, 2015 for share useful and helpful content for beginners.

You can learn here about Blogging, SEO, Wordpress, Make Money and many others.

  • 1. Earn via YouTube
  • 2. Earn Money Online
  • 3. Kuch Naya Sikhe
  • 4. Online Business Tips
  • SUBSCRIBE BLOG NEWSLETTER

    You can subscribe blog newsletter and get notification of blog last updateds.

    BEGINNER FOR BLOGGERS

  • 1. Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi
  • 2. What People Say About Support Me India and Why You Read this Blog
  • 3. Blogging Karne Ka Sahi Tarika Jo Aapko Success Blogge Bana Sakta Hai
  • Copyright © 2018AboutContactSitemapPrivacy PolicyBack to top ↑