Mobile Me Blogging Karne Wale Blogger Ke Liye 10 Jaruri Apps

Hi, I’m Vicky Kumar admin and founder of VickyPedia.in blog. Interested to Blogging, SEO, Blogging Tools, and Android Tips & Tricks! Main sidhe topic par aata hu. Desktop computer hi nahi aaj smartphone se bhi website or blgo banaya ja sakta hai. Aaj aese aese sfotware or application available hai jinse aap next 2 minute me apni website ya blog launch kar sakte ho. To aaj mai aapko is post me kuch aese hi Android Apps ke bare me btane ja raha hu. Small Screen Size wale mobile me blogging karna kaafi difficult hai, aise me ye android apps aapki madad kar sakte hai. Ye sabhi apps har blogger ke liye most important hai.

Top best android apps for every blogger ke liye

Aaj se kuch saal pahle koi blog ya fir Website  banana bahut hi mushkil kaam lagta tha, iske liye ya to aapko kisi Web Developer ki help leni padti thi ya fir Coding Language sikhni padti thi. Lekin bite kuch saalo me jis tarah se technology badhi hai, usse kuch mushkil mane jane wale kaam bahut aasan ho gaye hai. Aajkal koi bhi jise internet use karna aata ho easily apna ek blog ya website create kar sakta hai. Aaj internet par hazaro aise tools and software hai jo aapki blogging me madad  karte hai.

Ham me se jyadatar log blogging ke liye computer hi use karte hai lekin ham use har waqt apne sath to desktop laptop ko carry nahi kar sakte. Aise me apne blog ko update karna kafi mushkil bhara kaam hota hai. Kuch bloggers mobile ke jariye hi blogging karte hai but unhe apne mobile par desktop pages browse karne me kafi dikkte aati hai.

Blogger Dashboard, Google Analytics, Google Search Console jaise kuch pages desktop aur mobile dono me ek jaise hi show hote hai. Isiliye blogger ke liye mobile application use karna behtar ho sakta hai.

In pages ka mobile friendly version na hone ki wajah se inhe mobile me browse karte waqt, khas kar small screen wale mobile me bahut problem aati hai aur agar aapka mobile bhi Low RAM wala hai to in pages ko open karne se wo bhi hang ho jata hai.

Agar aap bhi ek mobile blogger hai to aap bekhubi jante hai ki ye kaam kitna mushkil aur frustrating hai. Is post me mai aapko jin android apps ke bare me btane ja raha hu wo sirf mobile bloggers hi nahi balki sabhi devices se blogging karne walo ke liye bahut kaam ke hai.

In apps ke jariye aap apne blog ko kabhi bhi, kahi se bhi track kar sakte hai, aur aapke blog par real time me kya ho raha hai, wo sab track kar sakte hai.

Mobile Blogger Ke Liye Top 10 Best Useful Android Apps

Smartphone users aaj kal browser ki bajaye Apps use karna jyada pasand karte hai kyu ki apps regular browsers ki bajaye fast hoti hai aur inme options aur features bhi kuch jyada milte hai to ab mai aapko un Apps ke bare me btata hu jo mai khud personally use karta hu or ye sabhi blogger ke liye bhi better honge. sath hi is post me mai aapko yeh bhi btaunga ki in apps ke advantage kya hai.

Best Android Apps for Bloggers:

1. Microsoft Word:

Filhal ye post type karne ke liye mai Microsoft Word app hi use kar raha hu. Is app ki wajah se mujhe bahar jate waqt apne sath laptop bhi carry nahi karna padta aur mai kahi bhi kabhi bhi apne blog ke liye posts write kar skta hu. Aapko is app me vo sare features milenge jo aapko Microsoft Word ke desktop version me milte hai.

Just like aap is app me kisi bhi word ko Bold, Italic ya fir Underline kar ke highlight kar sakte hai. Sath hi text color, font, size, numbering ya text me link add karne wala kam bhi easily kar skte hai.

Is app ke jariye aap .doc ya fir .pdf format me save kar sakte hai. Aap isi app se apni files ko One Drive me online save bhi kar skte hai taki aap kabhi bhi kahi bhi apni files ko access kar sake.

Is app ki khas baat yeh bhi hai ki aapko yaha kafi sample document bhi milte hai taki aapko documents create karte waqt jyada time na lage. Yeh aapke Google Play Store se download kiya ja sakta hai.

Click here to Download Microsoft Word

2. PicsArt:

Text ke sath sath ek blog ke liye photos bhi kafi important hai. Jyadatar blog readers blog post ki cover photo ko jyada importance dete hai kyu ki isse unhe post ko dekhte hi pata chal jata hai ki iske jariye kaunsa content share kiya gya hai. Aapko apne blog post ke liye photos ka selection bahut soch samajhkar karna chahiye.

Hamesha high quality aur aapki blog post se related photos hi blog post me add kare. Bina eye catching photos ke ek lamba article padhna lagbhag boring sa hota hai. Sath hi blog SEO ke liye photos kafi mayne rakhti hai. Ek quality image 2000 words ke barbar hoti hai.

Aise me apne blog ke liye high quality photos taiyar karne ke liye ek dhang ka aur jyada features provide karne wala App use karna chahiye. PC me mai Photoscape use karta hu aur apne mobile me PicsArt. Computer ke liye phoshop sabse best hai but use use karne ki basic information honi chahiye.

PicsArt photo studio smartphone ke liye best photo editor app hai aur mai apne blog ke liye jyadatar photos taiyar karne ke liye yahi app kaam me leta hu.

Click here to download PicsArt

3. Google Analytics:

Website owner and blogger ke liye apne blog ka traffic sabse jyada mayne rakhta hai. Or isse jyada mayne rakhta hai ki apak isite par kaha se kaise or kitna traffic aata hai. Iske liye all admin google analytics ka istemal karte hai. Analytics aapko blog ki better peroformance report btata hai.

Agar aap kabhi bhi kahi bhi apne blog ki performance apne molbile me track krna chahate hai googlr analytics app use kar sakte hai. Aap is mobile app me lagbhag vo saare features use kar sakte hai jo aapko Google Analytics ke desktop version me milte hai.

Is app ko use karna bahut hi aasan hai. Aap is app ke menu me apna blog select kar ke uski performance dekh sakte hai. Is app ki madad se aap app blog / site traffics, visitors, page views, sessions, unique users, real time visitors demographic stats monitor kar sakte hai.

Click here to download Google Analytics App

4. Google AdSense:

Google AdSense sabse popular aur Highest Paying Ad Network hai. Agar aapke blog par AdSense approved hai to apni earnings ko track karne ke liye aapko yeh app jarur Install karna chahiye. Google AdSense ke mobile version wale page ki bajaye aapko is App me kahi jyada features milenge.

Google AdSense app me aap apne blog ki Estimated Earnings, Page Views, Impressions, Page CTR, Clicks kahi bhi kabhi bhi track kar sakte hai. Ek tarah se isme dekstop cersion se bhi jyada feature hai or ye usse jyada easy bhi hai.

Wahi aapko is app ke menu me Ads Type, Targeting, Ad Units, Ad Size jaisi kuch jaruri settings milengi. Kul mila kar is app se mobile ke jariye apni site ka data track karna desktop se kahi jyada aasan aur best hai.

Click here to download Google AdSense App

5. Quora:

Blogger ke liye har roj kuch naya sikhne ke liye Quora se better aur kuch nahi. Quora par aapko aapke har questions ka answer mil jata hai aur wo bhi experts ke dwara. Agar aapne pahle kabhi Quora visit nahi kiya hai to aapko meri salah hai ki aap pass jab khub sara wqt ho tabhi Quora open kare kyu ki yeh kafi addictive hai.

Quora ke jariye aapko kuch naya sikhne ke sath sath apne bahut sare questions ka answer bhi mil jata hai sath hi aap Quora ka use apne blog ka traffic badhane ke liye bhi kar sakte hai.

Quora par sign up karne ke baad aap kisi bhi questions ka answer de sakte hai or usm apni site ki posts ka link add kar sakte hai ya fir aap apna koi question bhi Quora par share kar skte hai.

Agar aap apni field me expert hai to aap Quora par logo ke questions ka jawab dekar apne blog par 8 se 10 guna jyada traffic la skte hai aur wo bhi quality traffic. Quora ko jyadatar professionals hi use karte hai, yaha aapko facebook ki tarah time pass karne wale log nahi milenge. Aise me aapko apne mobile me Quora app jarur Install karna chahiye aur ise apne blog ke liye traffic machine me convert karna chahiye.

Click here to download Quora App

6. Buffer App:

Apne blog ya business ko promote karne ke liye ham sabhi Social Media Platform use karte hi hai. Branding ke liye social media sabse better option hai or blogger ke liye blog post ko social media par share karna kitna jaruri hai ye bat aap bhi jante hai.

Blog ko Social Media Par promote karne me to koi dikkat nahi aati lekin asli problem tab khadi hoti hai jab ham ek ek kar ke Social Media Sites open kar ke apne blog ke bare me kuch post karte hai.

I know, yeh kaam kafi boring hai. Lekin blogging me famous hone ke liye to branding to jaruri hai aise me Buffer App aapki puri help karega. Aap is post ke jariye Facebook, Twitter, Instagram, LinkedIn jasi sites par ek sath posts ko share kar sakte hai.

Sath hi unhe schedule bhi kar skte hai. Buffer App yaha ek life saver ki tarah kam karta hai aur aapka kafi time bachata hai aise me aapko yeh app dowanload kar jarur apne smartphone me install karna chahiye.

Click here to download Buffer App

7. Facebook Page Manager:

Agar aapka koi blog hai to tay hai ki us blog ka koi facebook page bhi jarur hoga. Aap regularly apne facebook page par apne blog ki links share karte hai to aapko yeh app jarur Install karna chahiye.

Aap iske liye regular facebook app bhi use kar sakte hai lekin mujhe pata hai ki aap sabhi ka man facebook ke bajaye apne blog par jyada dhyan hota hai lekin aapko aesa karna padta hai jisse post share karne me aapka kafi time west ho jata hai.

Facebook Page Manager app me aap apni post ki reach, share, comments check kar sakte hai. sath hi aap apne page ki performance bhi track kar sakte hai. Facebook Page Manager apne page ko manage karne ke liye ek great tool hai. Sath hi aap is app ke jariye post schedule bhi kar skte hai.

Halanki aap facebook app bhi use kar sakte ho but usme aapko page ko pen karne me jyada time lagta hai or facebook app ka size bhi jayda hota hai. Jisse low ram wale phone me facebook app slow work karta hai. Blogger ke liye facebook se jyada page manager app best hai.

Click here to download Facebook Page Manager App

8. WordPress

WordPress internet par sabse best or most popular blogging platform hai. Mostly business blog ke liye WordPress ka hi istemal kiya jata hai. Iski main wajah hai is par bahut sare plugin ki help se apni man pasand ka feature use karne me aasani hona.

Aap hosting le kar WordPress.org par banaye blog ko bhi WordPress.com se connect kar sakte ho. Iske liye aap jetpack plugin kar ismtemal kar sakte ho jo aapke blog ko WordPress.org se WordPress.com se jod deta hai sath hi aapko or bhi bahut sare feature provide karta hai.

  • Also Read: WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi

Aap busy time me WordPress ka android app bhi istemal kar sakte ho. Ye app desktop ki tarah hi easy or full featured hai. Aap is par wo sabkuch kar sakte ho jo aap WordPress desktop dashboard par karte ho.

Click here to Download WordPress App

9. Blogger

WordPress ke bad blogger yani blogspot.com world ka dusra sabse best and popular blogging platform hai. Ise mostly personal blog ya personal business ke liye istemal kiya kata hai. new blogger ke liye ye best option hai kyuki iski service free hai or aapko is par blog banane ke liye koi pay nahi karna padta.

Aaj millions people blogger.com ka istemal karte hai. Ye google ki hi blgoging service hai. Mostly mobile blogger ke blog isi paltform par bane hote hai. However, iska bhi android app avaialble hai or aap apps ki help se blogger ko easily manage kar sakte ho.

Main mobile users ko personally kahna chahunga ki aapka blog blogger par hai to wo blogger.com site ki tulna me blogger app ka istemal kare ye site se kahi jyada easy or behtar hai.

Click here to Dwonload Blogger App

10. Google Drive:

Google drive blogger ke liye jarui apps me se ek hai. Is par aap apni important documents files ko store kar sakte ho. Hum jab blog post lihkte hai to usme images add karni hoti hai. Un iamge ka backup rakhna or sath hi blog ka backup rakhna bahut jaruri hota hai.

Google drive par aap word documents, excel spreadsheets, images, audio, videos and other many documents ko save kar sakte ho. Ye app lagbhag har phone ke liye available hai. So blogger ke liye backup ko secure karna ka google drive app sabse better tarika hai.

Agar aap phone memory ya memory card me bacck up store karte ho to ye danger ho sakta hai. Glati se phone reset ya memory card format bhi ho sakta hai. Aese me aapka backup bhi delete ho jayega. Agar aap google drive ka paryog karo to behtar hoga.

Click here to Download Google Drive App

Inke alawa bhi aap bahut sare mobile app ka istemal kar sakte ho. Blogger ke liye inke alawa Tumblr, Writer, Dictionary, Swiftkey Keyboard, Photo Editor, Disqus, Flipboard, Beyond Pod Podcast Manager ,Pocket, Evernote etc. application ki jarurat padti hai.

Final Words →

To aaj maine aapko is post me blogging me kaam aane wale kuch top Android Apps ke bare me btaya hai. Aaj smartphone se ham lagbhag wo sabhi kaam kat sakte hai jo ek computer desktop kar sakta hai. Smartphone apps aaj pahle ki bajay jyada advanced hai aur inki speed bhi lajwab hai.

In apps ko aap apne smartphone me install kar ke apne blogging experience ko shandar bna sakte hai. Sath hi in apps ki wajah se aapko har waqt apna lappy carry nahi karna padega aur aap kabhi bhi apne finger tips par apne blog ko monitor kar skte hai.

Agar aap in apps ke alawa bhi koi dusra android app, jo blogging ko aasan banata hai or sabhi blogger ke liye useful ho sakta hai, aap bhi use karte hai to uske bare me hame comments ke jariye jarur btaye sath hi ye post bhi padhe Pro Blogger Kaise Bane Professional Blog Banane Ki 10 Best Tips.

Sath hi agar aapko yeh blogger ke liye best android apps wali post helpful lagi hai to ise apne blogger friends ke sath share karna na bhule.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

68 Comments

Comments ( 68 )

  1. Css inline ye kya hota hai bhai aur isko kaise hatate hai..blogspot platform par.

    Reply
    • Blog ko design karne ke liye CSS coding ki jarurat hoti hai. Site me color, size etc ke liye CSS code se hota hai.

      Reply
  2. Sar ji Microsoft word me post likhi hu ab blog post me kaise dalu

    Reply
    • Post likhne ke bad use copy karo or direct blog par ja kar new post ke option se paste karo.

      Reply
  3. sir pls mujhe whoi template yani (minima list template jo app use kartethe bas uska download karne ka link dejie.
    or mein jo bloging karna ja raha hoon wo apki type ke jesa topic hai

    Reply
    • Open this link http://gooyaabitemplates.com/blogger-templates/minimalist/

      Reply
  4. Thank You So Much Bhai 🙂 Meri Guest Post Ko Apne Blog Par Publish Karne Ke Liye. Sath Hi Aapne Jo is Post Me Editing Ki Hai, Usse Mujhe Apne Writing Skills Me Bhi Improvement Karne me Kaafi Kuch Sikhne Ko Mila Hai.

    Reply
    • Welcome vicky and aapko bhi thans itni better post guest karne ke liye.

      Reply
  5. bro maine kahin dekha tha par yaad nahi ki wo kaun sa app tha ki mobile me bhi pc keyboard ka app hai jo mobile me install kar ke use kiya ja sakta hai ye kitna sach hai ?
    aur bro mera website par ek najar daale aur koi kami ho to batayen ki ad sab thik jagah par hai ya nahi ?

    Reply
  6. Sir ji नमस्ते
    Sir blog (Blogspot) me readmore ka option kese add kre

    Reply
    • Aap blog par custom template use karo jisme pahle se read more ka option hai.

      Reply
  7. bro.,mare ye sawal hai ' WordPress me contect ko copy hone se kaise roke isaka koi pligion use karna honga ya coading aa[ jankati de

    Reply
  8. Microsoft app bahut hi acchi application hai but mai isko apne mobile me use nhi kar pata lekin mai post likhne ke liye Gmail app ka use jarur karta hu aur post ko samay samay par likh kar draft karta raheta hu. aapko is apps ko bhi add karna chahiye.

    Reply
    • Yes aesa bhi kar sakte ho. Ok why not.

      Reply
  9. sir ye kuch logo ke image aati hai comment karne par but meri nhi aati kya karu jisse meri bhi aaye

    Reply
  10. bro mere YouTube channel me kul 19 videos hea or total 200+ viem ho gaye hea lekin mera abhi tak AdSense approval nahi huya kya karu plz batayiye mere YouTube channel ka name sachin kumar rajan hea

    Reply
    • Aapko itni jaldi AdSense ke liye apply nahi karna chahiye tha. Aapko google ka mail milega wo mujhe btana or abhi mail mil chuka hai to wo btao.

      Reply

Leave a Comment

Blogging

Website Ya Blog Design Me Hone Wali 10 Badi Mistakes

Website blog design mistakes
Website ka good design and usability site ki success ke liye bahut jaruri hai. Agar aapki site ka design sahi nahi hai to aapke quality content likhne ke bad bhi aap fail ho sakte ho. Aaj main aapko blog design me hone wali kuch common and big mistakes ke bare me…
Continue Reading
Blogging

Blog Ke Liye Disclaimer Page Kaise Banaye aur Ye Kyu Jaruri Hai

write a disclaimer for your blog
Jab aap koi blog banate ho or usme post likhte hai to aap chahate ho ki log aapki post padhe sath hi aap ye bhi chahate ho ki people aapke thoughts, advice, topics and other work ko like kare or reader aapse sabse jyada inspire ho or aapki help se…
Continue Reading
Blogging

नयी ब्लॉग पोस्ट इंडेक्स होने पर गूगल से सूचना कैसे प्राप्त करें

Google alert for new post indexed
आप अपनी website और blog की new post के index होने पर Google Alerts प्राप्त कर सकते है। दुनिया के सबसे बड़े सर्च इंजन गूगल ने 2023 में Google Alerts को लांच किया था। जिसका इस्तेमाल आप ब्लॉगर नयी ब्लॉग पोस्ट के इंडेक्स होने पर सूचना प्राप्त करने में कर सकते…
Continue Reading
t20 win
x