Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

Apne blog ki traffic badhane me category bahut kam aati hai. Aapke blog me category ki list hogi to aapke visitors ko apni jarurat ki post khojne me aasani hogi. Agar aapke blog par aapne category list add nahi ki hai to ye aapke liye buri bat hai. Is post me main aapko apne blog me category widget add karne ka tarika bata raha hu kyuki isse hume bahut fayda hai. Aaiye jante hai ki apne blog me category widget kaise add kare.

how to add category widget in blogger

Blog me category widget add karne ke liye aapko bas ye simple step follow karne hai.

Blog Me Category Widget Kaise Add Kare

Step 1:

  1. Sabse pahale blogger.com par jaye or login kare.
  2. Ab layout par click kare.
  3. Ab jaha aapko category widget add karni hai waha par add a widget par click kare.
  4. Ab ek popup window open hogi usme link list par click kare.

select link list

Step 2:

Ab ek or new popup window open hogi.

  1. Yaha par categories type kare.
  2. Is box ko empty rahane de.
  3. Yaha aapko ye set karna hai ki aapki categories abc ke hisab se ho ya fir automatic ho.
  4. Is box ko empty rahane de.
  5. Yaha par apne blog ki tag ya label ka URL add kare.
  6. Yaha aap jitne chahe category URL add kar sakte hai.
  7. URL type kare or add link par click kare.
  8. Aapko kon kon si category add karni hai kar le jaise maine ki hai.
  9. Full settings karne ke bad save par click kare.

blogger category settings

Step 4:

Ab kuch is tarah se aapke blog me categories ka option aa jayega.

category widget

Ab aapke blog me category widget add ho chuka hai. Agar aapko ise add karne me koi problem ho comment me bataye.

Agar aapko blogger blog me category widget add karne ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.

Agar aap apne blog me google points install karna chahte hai to ye post padhe. Blog Me Google Fonts Kaise Install Kare – Full Guide in Hindi

Sath hi agar aapne abhi tak apne blog me comment box add nahi kiya hai to ye post padhe. Blog Me Comment Box Kaise Add Kare

Agar aapka blog se related koi or sawal hai to comment me bata sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 98 )

  1. sir,
    title ke box me kya likhen mai naya hu isliye aapse puch raha hu. please batane ka kast karen.

    Reply
    • title box में category या select topic लिख सकते हो

      Reply
  2. Hello bhai main category set krna chaha but ho nahi pa rha hai, title me title name diya url me jo maine post likha hai usi ka link dena hai na main wha link add kiya but save nahi ho pa rha hai help me.

    Reply
    • Link add nahi karna hai, category add karni hai jaise is post me blogspot category hai.

      Reply
  3. Great article sir….

    Mujhe apne category sections ke ander category add karna hai i mean fashion section hai usmein uski alg se category banani hai to main yah kaise banau Help kare……

    Reply
  4. Assalam o alikum jume deen bhai kaise ho bhai aap muje btao ke mene apni blog bnai aus mein posts bi ki aur seo bi kardiya sitemap khol raha houn tou aa raha hai you are already verified tou mein verified hogya kya aur meri posts google per bi nhi jaa rehi aap muje apna whatsapp number dein mein wahan baat karounga ok bhai

    Reply
    • Ab thoda wait karo google aapki sabhi posts ko index kar lega.

      Reply
  5. bahut acchi post me jankari diye hain sir thank you
    sir mere ko google adsense se aproval ho gaya hain mainay sahi tarika se code bhi lagaya hain lekin mere website par add show nhi ho raha hain kiya karu please guide kare ya google ka koi ek mail hain to please bataye taki kuch help ho sakay

    Reply
    • Aap apni site me ad code add karke wait karo jab aapka adsense account fully approve ho jayega to adsense show hone lag jayenge.

      Reply
  6. sir aap bahut acha likhte ho halanki mai comment to nahi karta hu par maine aapse bahut kuch sikha hai dhanyvad sir ek bar aap mera blog jarur dekhe

    Reply
    • Its my pleasure bro.

      Reply
  7. sir g mere blog me TEMPLATE show nhi kar rha he plz kya karu

    Reply
    • Feature change ho chuke hai ab template ki jagah theme likha hoga.

      Reply
  8. Sir muje ye samjh nahi aa raha ki jo hum post krte h wo home page per to recent post me show ho jata h bt menu bar ke jis topic ke lie humne wo post likha h usme kese show hoga kya muje baar baar theme ke html codes change krne padege apne new post ko dikhane ke lie pls pls pls help me

    Reply
    • Aap menu bar me us post ki category add karo. Uske bad jab post karo to us category se check karo post show hogi.

      Reply
  9. Maine apni aapki help se website taiyar kr li hai social media k use k liye ab mujhe income k liye kya krna hoga
    plz rpy sir…

    Reply
    • Abhi ap site par traffic badhao uske bad adsense and other method se earning kar sakte ho is sabke bare me SMI par article mil jayenge.

      Reply
  10. jaise apne blog ke post ke bich me adse aate hai usko kis tarah se add kare please bataye…

    Reply

Leave a Comment