YouTube Offline Kya Hai? YouTube Video Ko Offline Save Kaise Kare

Agar aap video dekhne ke shaukin hai aur internet istemal karte hai to aapne YouTube par bahut sari videos dekhi hogi or aap YouTube Offline feature ke bare me bhi jante honge. Agar nahi to koi bat nahi aaj hum isi ke bare me bat karenge ki YouTube Offline Kya Hai or YouTube Videos Ko Offline Save Kaise Kare? Save ki gayi videos ko bad me kaise dekhe? I mean What is YouTube Offline? How to Save and Watch Video Offline?

Youtube Offline Save and Watch Videos

Actaully, jab hum youtube par koi video dekhte hai to humara net pack MB kharch hoti hai. Aese me agar hume koi movies, video pasand aata hai to hum use dubara bhi dekhna chahate hai. YouTube par wohi video fir se dekhne par fir se internet balance khatm hoga. YouTube offline feature isi me kaam aata hai. isse hum kisi bhi video ko save kar sakte hai or bina internet connection ke fir se us video ko dekh sakte hai.

YouTube Offline feature aapke video kdehne par aapki favorite video ko aapke android mobile smartphone me save kar leta hai jise aap bad me jab time mile dekh sakte hai. Iske liye aapko internet pack ki jarurat nahi padegi. Aayiye jante hai youtube offline kya hai? youtube video ko offlin save kaise kare? youtube par save ki gayi videos ko bad me kaise dekhe?

YouTube Offline Kya Hai?

YouTube Offline YouTube ka aesa feature hai jo aapki favoirite video ko offline videos ki list me save akrna allow karta hai. Isme save ki gayi video ko aap bad me kabhi bhi dekh sakte ho iske liye aapko internet connection ki bhi jarurat nahi padegi.

Yani agar aap kisi video ko bar bar dekhna chahate ho to aapko bar bar youtube par MB pack charge karne ki jarurat nahi aap bina internet connection ke apni favorite video, movies, songs etc. dekh sakte ho.

Ye ek tarah se yotube videos ko download kar apne memory card me save karne jaisa hai. Jisme aapka favotir data youtube ke pas secure rahta hai. Aap ise apni gmail Id se youtube par log in kar ke hi dek hsakte ho.

Agar hum youtube offline availability ki bat kare to iska time sirf 48 hours hai. Aapke dwra youtube offline me save ki gayi video ko aap next 48 hours yani 2 days tak dekh sakte ho uske bad aapko internet connection ki jarurat padegi or aapko apna favorite video fir se re-sync karna padega.

Iske alawa yotube par sabhi videos offline available nahi hai. Mera matlab aa phar video ko offline save nahi kar sakte or na hi aap offline video ko download kar sakte ho.. Ye 2 youtube offline ki badi kamiya hai.

YouTube Video Ko Offline Save Kaise Kare?

Youtube video ko offline download koar save karna bahut aasan hai. Iske liye aapko apne android mobile, iOS smartphone ya other device me YouTube App open karna hoga. Uske bad aapko jo video file offline save karni hai us par visit kare.

Step 1:

  1. Youtube app open kare or jis video ko offline save karna hai us par visit kare. Aapke mobile me youtube app nahi hai to aap yaha se download kar sakte ho, Download YouTube App.
  2. Ab yaha aapko like, unlike, share and save ka option milega. Aap Add to Offline ke icon par click kare.

Youtube offline

Step 2:

Ab ek popup page open hoga jisme video quality select karne ka option hoga.

  1. Video ki HD 720p, Medium 360p and Low 144p me se aapko jis quality ka video download karna hai wo select kare.
  2. Quality select karne ke bad OK par click kare.

Youtube offline videos quality

Is tarah se aap youtube videos ko download kar offline save kar sakte ho. Yaad rahe jo video offline save ke liye available nahi hoga uske save option par cut laga hoga.

YouTube Offline Video Ko Bad Me Kaise Dekhe?

How to wwatch youtube offline video after save? Youtube video ko offline save karne ke bad me kaise dekhe? Iske liye aap apne mobile phone me youtube app open kare or account tab par jaye yaha aapko aapke dwara save kiye gaye offline videos ki list mil jayegi.

  1. Open youtube app on your mobile.
  2. Ab Account tab option par click kare.
  3. Yaha available offline option me aapko Offline Videos ki list mil jayegi.

Offline videos

Yaha se aap apne dwara save kiye gaye offline videos ko play kar sakte ho. Yaad rahe saved videos ki list next 48 hours tak available hogi uske bad aapko videos ko fir sync karna padega.

Is tarah se aap youtube videos ko offline save kar sakte ho or bad me dekh sakte ho. Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 41 )

  1. Shreeya

    YouTube pr video download krk dekhne me Jyada mb jaati h ya online dekhne me?

    Reply
    • जुमेदीन खान

      दोनों में बराबर MB खर्च होगा

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...