Youtube Channel Ko Facebook Page Se Connect Kaise Kare

Aaj ke is post me hum janenge ki apne Facebook Page Ko Youtube Channel Se Connect Kaise Kare, Kaise Jode? YouTube channel ko facebook page se jodne ke bad aap youtube channel ke vidoes automatically page me add ho jayenge aur aapko manually ek-ek video ka link copy karke facebook page par video share nahi karna padega. YouTube Channel Ko Facebook Page Se Kaise Jode – Hindi Jankari.

Youtube channel ko facebook page se kaise jode

Facebook page hum jyada se jyada logo se judne ke liye banate hai. Chahe kisi ki website ho ya Youtube channel har koi apna Facebook par apna page jarur banata hai. Agar aapne abhi tak facebook par koi page nahi banaya hai to aap ye post padhke facebook fanpage bana sakte hai.

Facebook ek bahut bada social media platform hai jaha se hume humare site ya business ke kiye achha khasa traffic mil sakta hai. Apne business ya website me traffic badhane ke liye log youtube channel bhi banate hai.

Agar aapka bhi youtube par channel hai aur aap chahate hai apne Youtube channel ko Facebook page se link karna to iss post me btaye steps follow kare.

Youtube Channel Ko Facebook Page Se Kyu Jode?

Youtube channel ko facebook business page se jodne ke kya fayda hai? Agar profit ki baat kare to aap isme bahut profit milega kuchh bhi nuksan nahi hoga.

Facebook ek bahut baada social media platform hone ki wajah se humare channel ko bhi isse fayda hota hai.

Agar aap apne facebook fanpage ko Youtube channel se connect karenge to aapke channel ke saare videos automatically facebook page tab me add ho jayenge.

Fcebook user’s aapke Youtube videos ko facebook par hi dekh payenge. Unhe Youtube par aane ka jarurat nahi hoga. Sath hi isse aapko ek-ek video ko facebook par share karne ki jarurat nahi padegi.

Ab aapke maan me ye question hoga ki “Agar humara video facebook me direct play honga to kya wo views humare Youtube par count hoga?

To iska jawab bhi main aapko de deti hu.

Agar aapke youtube channel ke video facebook par direct play hoga tab bhi wo views aapke channel par count honge kyuki wo videos Youtube se facebook page par connect huaa hota hai.

Video aapne facebook par upload nahi kiya hai. Bus Youtube channel ka link dala hai to us link ke jariye video facebook par play honge.

To chaliye ab topic par aage badhte hai aur jan lete hai youtube channel ko facebook page se connect kaise kare in hindi?

YouTube Channel Ko Facebook Page Se Kaise Jode

How to connect youtube channel to facebook page in hindi: Youtube channel videos ko facebook page me add karna bahut hi aasan hai. Aap yaha btaye stesp step by step follow karke apne facebook page me youtube channel ko connect kar sakte ho.

Step 1:

Sabse pehle youtube.com me jake Youtube channel par Login kare aur apne channel ka URL copy kariye.

  1. Browser channel open karkr url bar se channel url copy kar le.

Copy youtube channel URL

Step 2: 

Youtube channel ka URL copy karne ke baad ab aap Facebook par login ho jayiye.

  1. Facebook par login hone ke baad search box me Youtube Tab search kariye.
  2. Iske baad aapko ek esa app show hoga. Jiske side me Use Now likha hoga.
  3. Aapko is Use Now par click karna hai.

YouTube Tab on Facebook

Step 3:

Ab aapke samne ek page khulega jisme ekdam niche ki taraf aapko Install Application likha huaa milega.

  1. Install Application button par click kare.

Install YouTube Tab Application

Step 4:

Ab aapse facebook page ke baare me puchha jayega ki aap konse page par youtube tab istemal karna chahte hai.

  1. Apna Facebook page select karne ke baad Add Page Tab par click kare.

Add facebook page to youtube tab

Step 5:

Ab aapke samne ek page khulega jisme installing process chalegi. Installing process complete hone ke baad aapko automatic us page par redirect kar diya jayega jise aapne select kiya hoga.

  1. Ab aapko aapke page pe ek Youtube tab milega. Aapko Youtube par click karna hai.
  2. Iske baad aapko apne channel ka URL dalna hai aur save setting par click karna hai.

connect youtube channel to your facebook page

Iske baad successfully aapka Youtube channel aapke page ke saath connect ho jayega. Ab jab bhi koi user aapke facebook page ke youtube tab par click karega to use aapke youtube channel ki all videos mil jayegi.

Is tarah aap apne youtube channel ko facebook page se connect kar sakte ho.

Note:- Agar aap ye sare step phone se karna chahte hai to aapko apne phone me chrome browser kholna hoga aur use desktop mode me karne ke baad ye saare process ko follow kare.

Conclusion

Is post me aapne jana ki youtube channel ko facebook page se kaise jode. Maine aapko step by step samjhane ki kosis ki hai, agar fir bhi aapko koi confusing ho to niche comment me puch sakte ho.

Youtube channel ko facebook page se connect ya link karne ka idea bahut hi achha hai, isse aapke facebook fans ko aapke videos dekhne ke liye youtube site ya youtube app par jane ki jarurat nahi hai, wo facebook par hi aapke saare video dekh sakte hai.

Ye bhi padhe,

Ummid karti hu ki aapko humara ye post useful laga hoga, agar haa to iss post ko apne friends ke saath share karna naa bhule.

Avatar for Neha Verma

About Neha Verma

Hello friends, my self neha verma. I'm a blogger and youtuber by passion. Here you will learn about SEO, Make money Online, Blogging and more.

Comments ( 28 )

  1. Dhaval

    Mam hamare YouTube videos agar Facebook pe log dekhenge to usme hamari koi income hogi ki nahin

    Reply
  2. Anup lakra

    Bina fb page ka nhi jud sakta h YouTube fb acount to h lekin FB page nhi h

    Reply
  3. sumer singh

    sir mere facebook me youtube tab open ni ho rha kya kare

    Reply
  4. Sumer

    Sir mere Facebook me search box me YouTube tab ni aa rha kya kre plz help me

    Reply
  5. विक्रम सैनी

    सर यूट्यूब पर कितना सब्सक्राइब के बाद पेसा कमा सकता हैं

    Reply
    • Jumedeen khan

      1,000 subscribers.

      Reply
      • Kuljam sharma

        Youtub चेनल मेरे है नया है,,111 मेम्बर को जुड़ चुके है,1 साल के अंदर करना पड़ेगा या कोई समय के सीमा नही है जी,,थोड़ा बताये

        Reply
  6. Prakash

    Sir me part time youtuber banana chahta hu abhi mera koi facebook pe page nahi hai agar me chenel banake page banau tab mere page pe koi nahi hoga toh mere videos ka fb trafic kaise ayega?

    Reply
    • Jumedeen khan

      video achhi banao aur unka social media par promotion karo. traffic jarur milega.

      Reply
  7. kuldeep singh

    Channel Successfully Added Ho Gya Fb Page Ke Sath.Thanks Sir

    Reply
  8. Shhahrukh

    Nice article sir very helpful, Facebook monetisation on ho chuka he india me ziyada information ke liye hamare website par visit kare…

    Reply
  9. Deepesh kumar

    nice Post thanks for sharing keep up the good work

    Reply
    • अजय मिश्रा

      लेकिन जब फेसबुक पेज पर ही यूट्यूब के वीडियो प्ले होने लगेंगे तो फिर लोग लाइक और सब्सक्राइब कैसे करेंगे और मेरा मुख्य उद्देश्य है कि ज्यादा से ज्यादा लोगों को सब्सक्राइब कर आना मैं चाहता हूं कि मेरे फेसबुक पर 5000 फ्रेंड सभी मेरे यूट्यूब चैनल पर सब्सक्राइब करें वह कैसे होगा कृपया बताएं

      Reply
      • जुमेदीन खान

        इसके लिए आप अपने दोस्तों को इनविटे करो

        Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...