Free WiFi Network Use Karne Se Hone Wale 6 Bade Nuksan

Free milna bahut achha lagtahai lekin ye har bar sahi nahi hota hai. Agar aap Free WiFi ka istemal karte ho to aapko usse hone wale nuksan ke bare me pata hona chahiye. Unsecured Free Wi-Fi security ke liye danger kitna hota hai. Yaha main aapko Free Public Wi-Fi ka istemal karne se hone wale 6 bade nuksan aur safety tips bta raha hu. Free WiFi Use karne se pahle is safe guideline ko carefully read kar le.

Free WiFi Use Karne Ke 6 Bade Nuksan

Actually, kuch company self promotion ke liye Free Wifi offer karti hai. Railway station, Bus, Coffee shop, Public libraries, Collage, Restaurant and Airport aur kuch most popular public place par aapko aasani se Free WiFi mil jayega.

Har jagah ka Free WiFi secure nahi hota aap jaise hi internet se connect hote ho to attacker aasani se aapki personal information and other details pata kar leta hai.

Bahut se logo ki aadat hoti hai ki wo bina soche samajhe apni security ko daw par laga kar free WiFi ka istemal karna shuru kar dete hai. Lekin is post ko padhne ke bad aap Public Wi-Fi ka istemal karna chhod doge.

Public Wi-Fi Use Karne Ke 6 Bade Nuksan – Never Use Free WiFi

Unsecured free wifi use karne se sabse bada nuksan ye hai ki aapke computer, mobile device se important data kab online leak ho jaye iski koi guarantee nahi hai. Chalo jante hai Free WiFi use karne se kya hota hai.

  1. Free WiFi use karne se attacker aasani se aapke online account ki ID aur password ko aasani se hack kar sakte hai.
  2. Kuch Free WiFi se aap jaise hi apne device ko connect karte ho to wo aapko attackers website ya kisi adult site par le jata hai. Ye security ke liye dangerous hai.
  3. Aap jaise hi free WiFi ke through internet se chalane se hacker aapke device (computer, laptop, tablet, android phone) ko aasani se access kar lete hai.
  4. Aapke Device par kabhi bhi spam malware virus attack ho sakta hai.
  5. Attacker aapke device par access le kar use Hijack kar sakte hai aur aap apne device se control kho sakte hai.
  6. Free WiFi use karne se aapke device me khatarnak virus aa sakte ho jo aapke pure system ko dead kar sakte hai.

Kuch bhi free wifi use karna kaise bhi secure nahi hai. Ye bilkul wesa hi hai jaise public place par bina kapdo ke nahana aur ye ummid karna ki aapko koi nahi dekh raha hai.

Agar kisi wajah se aapko Free Public WiFi use karna hai to aap niche btayi gayi safety tips ko follow kare.

Free Wi-Fi Safety Tips

  1. Jab bhi aap free wifi hotspots use kare to apne device se facebook, twitter, social media, gmail and other  all account par se log out kar de
  2. Apne phone me koi important details like family photo, video, Credit / debit card details, bank account number etc. ko delete kar de.
  3. Kisi bhi website ko open karte time check kar le ki wo HTTPS ke sath open ho rahi hai. HTTP site par visit na kare.
  4. Online net banking ke liye kabhi bhi unsecured WiFi istemal na kare. Koi bhi online transaction ho humesha secure aur safe WiFi Hotspot ka hi istemal kare.
  5. Kabhi bhi weak password use na kare, Humesha strong password use kare.
  6. Har online account ke liye alag password use kare.
  7. Manually connection istemal kare aur Wi-Fi ko automatially connect karne se bache.
  8. Apne smartphone, PC me ek achha anti-virus istemal kare.

Apne internet browser ko humesha up-to-date rakhe aur operating system and software ko scan karte rahe. Kabhi bhi free wifi ke sath apna important data share na kare aur free calling karte time only normal bat hi kare.

First main aapko suggest karunga ki aap Free WiFi istemal hi na kare, sirf kuch paise ke liye liye apna bada nuksan karne ki jarurat nahi hai aur agar jaruri hi hai to aap upar btayi safety tips and tricks ko follow kare.

Ye bhi padhe,

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare taki wo bhi Free WiFi ke nuksan ke bare me jan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 11 )

  1. Instagram phone mg hake ho chuka ha

    Reply
  2. Aap search results me Google search results kaise dikhate hai. Uski Coding Kya hai. Mai Is Apne Blogger Theme par add karna chahta hu. Jisse Design Apnii ho aur search results google custom search ka ho. Btane ki kripa kare.

    Reply
  3. Kya sach me free wifi istmal nhi karni chahiye

    Reply
  4. Brother me aap ka purana reader hu Jab ye blog blogger pe tha to aap konsa template use karte the? Please bata de

    Reply
    • Main Mythemeshop ribbon theme use karta tha.

      Reply
  5. Bhai free domain use karne ke kya nukshan hain

    Reply
    • Free me aapko .tk jaise domain milte hai jinki bahut kam value hai. Better hai aap .com, .org jaise popular domain use kare.

      Reply
  6. Sir Cloudfare ssl website par lagaya hai….agar website par daily 20k traffic and 30k page views tak daily honge toh website me koi issue toh nahi aayega na….please batayen sir.

    Reply
    • No problem, Bahut se blogger aur main bhi cloudflare ssl hi use karte hai.

      Reply
  7. maximum site to http me open hoti hai esse to jyada khatra h. or koi v website open karne se pahle pata ni chalta ki http h ya https h. but helpfull aartical thanx fore sharing

    Reply

Leave a Comment