Blogger Ki 10 Bad Habits Jo Fans Ko Bhi Hater Bana Deti Hai

Aapke blog ke sath-sath aapka bhi achha hona jaruri hai. Agar aapki aadate (habits) sahi nahi hai to aapke chahane wale bhi aapse nafrat karne lag jayenge. Is post me main 10 bad blogger habits ke bare me bta raha hu, jinki wajah se aapke fans bhi hater ban jate hai. Blogger’s 10 Bad Habits which Make Fans even Hater in Hindi.

Blogger Bad Habits

Jab blogging bad habits aur blogger bad habits ki bat aati hai tu bahut se blogger aese milte hai jinki buri aadatein hoti hai aur wo sabkuch jante huye bhi unhe chhodna nahi chahate hai. Aapko aese saikdo ya fir hazaro blogger mil jayenge.

Kuch blogger me pahle se bad habits hoti hai aur kuch blogger me success hone ke bad bad habits aa jati hai. Halanki good habits bhi aati hai. Iske aur bhi kai reasons hai. Habits behavior karti hai aur bar-bar unhe repeat karte hai.

Yaha par main aapko bad blogger ki 10 habits ke bare me bta raha hu. Agar aap me inme se koi bhi habit hai to to aap use abhi leave kar de warna aapki image hi nahi aapki site ka future career kharab hote der nahi lagegi.

Top 10 Bad Blogger Habits Jo Aapko Abhi Chhod Deni Chahiye

Har insan me koi na koi kami hoti hai lekin apne blog aur audience ke relation ko behtar banane ke liye blogger ko apni kamiya ko avoid kar better behavior karna padta hai.

To chaliye jante hai wo konsi bad habits hai jo aapke fans ko bhi hater bana deti hai taki aap unhe apne under se nika feko aur apne blog aur reader ke bich better relation bana sako.

1. I am the Most Expert

Apne Aapko Smart Samajhna: Kuch blogger apne aapko smart samajhte hai. Unhe lagta hai ki wo blogging, SEO etc. me expert hai. Iska pata uski baato se pata chal jata hai.

Lekin aesa sochna aur apne aapko jarurat se jyada smart samajhna gaalt hai. Yaha aapse bhi jyada smart bahut saare blogger hai.

Aapne jo kaam 3 month me kiya hai koi aur wo kaam 1 month me bhi kar sakta hai. So apne aapko dusro se jyada hoshiyar samajhne ki galti na kare.

Mostly blogger apne blog par guide ka kaam karte hai aur wo kisi na kisi filed me logo ki help karte hai. Adhiktar blogs par how to, kaise kare articles jarur milenge.

Aur jo kisi ko guide karta hai wo kahi na kahi kisi se sikhta hai. Agar aap sikhoge nahi to dusro ko behtar nahi sikha paoge.

Blogging ek aesa field hai jisme aap expert ho hi nahi sakte, kyuki ya day by day rules change hote rahte hai aur aapko continue sikhne ki jarurat hoti hai.

2. I don’t Need any Help

Mujhe Help Ki Jarurat Nahi: Kuch log problem me hote hai lekin attitude ki wajah se apne level ya bade blogger se us bare me help nahi lete aur problem ko solve karne ke chakkar me jyada nuksan kar baithte hai.

Isse uska nuksan to hota hi hai balki time bhi west hota hai. Aese blogger ko agar koi suggestion de de to usse bahut bura lagta hai aur wo apni galti jante huye bhi accept nahi karta hai.

Actually, is duniya me koi bhi fully perfect nahi hai aur sabse mistake hoti hai lekin sahi person wohi hota hai jo apni galti man leta hai aur next time wesa nahi karta.

Blogging me kuch aesa hi hai, aapko aapke user bhi suggestion de sakte hai ya fir koi aur blogger aapko aapki galit bta sakta hai.

3. I’m the Best and Biggest

Main saabse behtar aur bada hu: Kuch blogger sochte hai ki wo sabse jyada bade hai aur baki sabhi unse chhote hai. Unhe baki bloggers me kamiya nazar aati hai khud me nahi.

Blogging sikhne sikhane ko le kar chalti hai aur yaha koi chhota bada nahi hota, yaha bada wohi hota hai jiske pas knowledge hoti hai.

Aapke audience aapko apna guide, favorite blogger, guru, helper etc. kuch bhi man sakte hai lekin aap unke liye ye upadhi istemal na kare.

Balki aap apne sabhi readers ke sath friend ke jaisa behavior kare. Kisi bhi blogger, reader ko nicha dikhane ki koshish na kare.

Aesa karne se aapko kuch log support jarur karenge lekin reality kuch aur hi hogi. sab jante honge ki aap apne aapko bada dikhane ke liye ye sab kar rahe hai.

Apne aapko sabse behtar aur bada na samajhe balki newbie blogger se bhi kuch sikhne ki koshish kare. I’m sure aapko har ek blogger se kuch na kuch sikhne ko mil jayega.

4. I am Very Busy

Main bahut busy hu: I know ek blogger mostly professional blogger ki life bahut busy hoti hai lekin itna bhi nahi ki aap humesha busy rahe. Attitude dikhna band kare aur reader ko time nikale.

Kuch blogger nimn galtiya karke apne aur apne blog visitors ke relation ko bigad lete hai aur visitor aapke blog se door hone lagte hai.

  • Late reply to comments: comments ka late reply dena aur reply karne me kai kai day, week ya month laga dena.
  • Not reply to comments: comments ka reply nahi karna aur bina answer ke comment delete or approve karna.
  • Inconsistency in posting: Time par post publish nahi karna ya post share karne ka koi fix time nahi hona.

Agar aap apne blog aur readers ke bich behtar relation chahate ho to aapko apne readers ke sawalo ke jawab dene chahiye aur ek fix time par post karni chahiye.

5. Not Working as a Team Member

Jab hum blogging me success hote hai to humare sath kai saare aur blogger aur audience judna chahate hai. Aapke safal hone ke bad aese logo ki kami nahi hogi jo aapke sath mil kar kaam karna chahate hai.

Yaha tak ki kuch log aese bhi honge jo bina kisi credit, benefit ke aapke blog par content likhna chahenge. Unka sirf sapna hota hai aapke brand ke sath kaam karne ka.

Ab agar aap aese me apne level ke blogger aur baki logo ko sath nahi loge to sabhi aapko ignore karna shuru kar denge.

Aapke pas ek chance hota hai team banane ka lekin success ke nashe me aap use avoid kar dete ho ya fir kisi aur wajah se avoid kar dete ho, isse future me aapko loss hota hai.

6. I’m the Boss

I am the Boss

Aap apne blog ke owner, founder & CEO, admin, administrator, boos, leader abkuch hai, ye bat sach hai lekin aapke behavior me ye nahi hona chahiye.

Aap ek leader ki tarah behavior kare, chalega lekin boss ki tarah nahi, billkul nahi chelga. Kyuki log humesha leader ki prashansa karte hai lekin boss ki humesha burai.

Jo log aesa karte hai unhe sath log sirf majboori me jude huye hote hai ya fir jude huye hone ka dikhawa karte hai. Reality me wo boss type person ko hate karte hai.

Aapke blog ki value tab tak hai jab tak use audience like karte hai, agar audience nahi honge to aapka blog 0 hoga aur internet par sab apni marzi ke malik hai, chahe jis site ko visit kar sakte hai.

7. Overconfidence

Apne aap par jarurat se jyada bharosha karna: Kuch blogger overconfidence ke shikar hote hai aur apni bat (chahe sahi ho ya galat) par behas karne se piche nahi hatate hai.

Ek good blogger ki pahchan hai ki wo jaise hi apni galti ke bare me jane use turant theek kar le aur galti btane wale ko thanks kahe.

Lekin kuch blogger iska ulta karte hai aur ulta mistake btane wale me hi kamiya nikalne lag jate hai. Wo apni galti ko bhool kar samne wale ki kamiya ginana shuru kar dete hai.

Itna overconfidence achha nahi hai, ise kam kare warna aapko bahut bada nuksan uthana pad sakta hai.

8. You did not it wrong

Maine galti nahi ki hai: Kuch blogger aese hote hai jo apni kisi galti ki wajah kisi aur ke sir thop dete hai. Maine aese bahut se people dekhe hai jo khud ki fault ko dusro par blame karte hai.

Ek blogger hone ke nate aapko ye bad habits chhodni hogi warna audience aapko chhod denge. Agar aap team leader hai to ye aur bhi important hai.

Aapki khud ki mistake hi nahi balki aapki team se uyi mistake ko bhi aapko khud ki galti manna hoga aur next time aesa karne se bachna hoga.

Ye sabit karne me time west mat karo ki actually, maine galti nahi ki ye to uski/iski wajah se ho gaya, agar ye nahi hota/karta to mujhse galti nahi hoti.

9. I’m Beginner Leader

Maine shuruaat ki hai: Kuch blogger ko is bat ka ghamand hota hai ki unhone sabse pahle ye kiya ya wo kiya, usne mujhse ye sikha, isne mujhse wo sikha etc. bahut saari bate apne jehan me rakhte hai.

Aapne ek guide ka kaam kiya har blogger karta hai, bahut achi bat hai lekin jaruri nahi hai ki aapne hi shuruaat ki hai ya fir samne wale ne aapse hi sabkuch sikha ho.

Aap shuruaati hai, ye humesha sahi nahi ho sakta. Aap apne readers ko jo kuch sikhate hai use sikha kar bhool jao, bad me uska geet mat gao, ye bad habits aapko jald se jald chhod deni chahiye.

10. Jealous from other Bloggers

Dusre blogger se nafrat karna: Aaj blogger itne jyada ho gaye hai ki har field me competion hai. Kuch blogger apne competitor ya apni level ya fir bade or chhote blogger ke liye man me jealous rakhte hai.

Ye bahut hi buri bad habits hai jo kisi bhi blogger ke under nahi honi chahiye, agar aapke andar hai to main aapko suggest karunga ki aap aesa karna abhi se band kar de.

I know jab aap kisi blogger ki burai karte ho ya nicha dikhane ki koshish karte ho to kuch log aapko support jarur karenge lekin wo lof sirf us person se jealous rakhne wale hi honge bilkul aapki tarah.

Baki user aapke aur aapki fitrat ke bare me kya sochenge iska khyal rakhe warna aap aur aapke blog dono ki jkage kharab hogi.

Competitor aur apne field ke blogger ke liye dil me nafrat ki jagah pyar rakhe aur unke sath achhe relation banaye, isse aapka aur uska dono ka fayda hoga. Jealous rakhne se sirf aapka nuksan hoga uska kuch nahi hoga.

Conclusion

Mujhe strongly believe hai ki har ek blogger work-in-progress par hai. Ye totally normal hai aur har blogger ko aesa hi hona chahiye. Ek professional blogger ko bhi har din kuch naya sikhne ki jarurat hoti hai.

Jis din aap sikhna band kar doge, I’m sure aap apne readers ko bhi kuch naya sikhane me fail ho jaoge. So upar btayi gayi bad blogger bad habits ko avoid kare.

Agar aap me upar btayi gayi koi bhi kami nahi hai to congratulations! aap ek good blogger hai aur agar hai to aap jaldi se us kami ko sahi kar good blogger ban jaye.

Ye bhi padhe,

Agar aapko meri baate pasand aaye to is article ko social media par dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 40 )

  1. Jumedeen Khan , aapki site me aapki services ke bare me kafi der se talash kar raha tha but nhi mila, mujhe aapki SMI jaisi ek site aapse hi banwani hai uske bare me kuch details me puchna tha , i think aap service provide bhi karte hain.

    Reply
    • Contact us via mail.

      Reply
  2. Hy sir, aap apne sabhi blog post me ye content table kaise add karte ho. Kya isse blog post jyada user friendly ho jati hai.

    Reply
  3. Mera Website bahut jyada slow load hota hai. Aap mujhe kuch tips denge to meharbani hogi.
    Sir main bahut preshan hoon slow speed se. Kya karun samajh me nhi aata. Lag bhag sabhi plugins use kr chuka hoon. abhi to mai AMP bhi istemal kar rha hoon, lekin koi fayeda nhi ho rha hai.

    Reply
  4. sahi kaha jnab aapne….
    sikhte rehna chahiye ..kyoki maine bhi apne pehli website bina sikhe start kar di thi …lekin ab maine pehle blogging or seo ke bare sikha fr blogging start ki..or kafi improvement bhi ki.

    Reply
  5. Hii sir me wp database ko clean kar raha tha. Maine ek baat notice ki sabse jyaada orphan tables phpmyadmin me wp-option is database me hai. Kya aapke paas koi accha rasta hai. Automatic orphan aur unused tables and setting ko find kiya jaye. Sath hi unko delet bhi kiya jaye.

    Ek aur baat sir databse me sabse jyaada “display_posts_site_data_88asddas45” hai. I am not but kya yah jetpack ke tables hai.

    Reply
    • Database optimizing ke bare me kuch bhi kahna aapko galat samajh aa sakta hai aur aapki ek galti se database issue ho sakta hai aur site dwon ho sakti hai, so aap researching karke database optimize karo.

      Reply
  6. आपने बहुत अच्छी जानकारी शेयर की और सभी पॉइंट एक ब्लॉगर के लिए ध्यान में रखने लायक है

    Reply
  7. Nice Post, Really Amazing Work..❤️❤️

    Reply
  8. Bahut acchi jankari he sir mai abhi is field me nya hoo as a student
    Yaha har roj kuch nya seekhne ko milta h

    Reply
  9. thanks jumedin ji apne itni sari baate btai h.
    meri bad habit h logo ko time par content available na karva pana but jab baat ho kuch hatke topic ki to time to lagta hi h, me kosis karta rahta hu ki kabhi late na ho saku lekin fir bhi kai bar time lag jata h.
    kya ye sahi h ? agr hm uniq content post karte h to time lag sakta h.

    Reply
    • Yea! aap achha content likhne me time lete ho to bhi koi dikkat nahi. User aapki post ka wait karenge.

      Reply
      • Sir mjhe apki thodi help chahiye

        Reply
        • Ask on ask.supportmeindia.com forum

          Reply
  10. Waah brother aaj to aapne bahut achhi baat share kar di jo aaj tak kisine nahi batayi thi
    Thanks for sharing

    Reply
    • Meri khwahish hai ki har ek blogger success ho.

      Reply

Leave a Comment