Kisi Bhi Mobile Phone Ka IMEI Number Kaise Pata Kare

Kisi Bhi Mobile Phone Ka IMEI Number Pata Kaise Kare? IMEI number Kya hota hai or kya aap iske bare me jante hai. IMEI yani International Mobile Station Equipment Identity ek unique number hai ye har us handset device ko diya jata hai jise legal tarike se becha jata hai. Jab aap apne phone ko register karoge ya phone ko internet par sell karna chahoge to aapko IMEI number ki jarurat padegi. Chaliye ab jante hai ki IMEI number kya hai or android phone me IMEI number kaise pata kare ke?Android Mobile IMEI Number Kaise Pata lagaye

Jab hum apne android device ko register kar rahe ho ya hum apne mobile phone ko online internet par sell karna chahate hai to humko IMEI number ki jarurat hoti hai, iske alawa oe bhi kai kaamo me iski jarurat padti hai. Agar aapke pass iske bare me normally jankari hai ya fir nahi bhi hai to no problem aaj ki is post me aap iske bare me details se jan jayenge.

Aapka android mobile kho gaya hai ya aapka mobile phone chori ho gaya hai or aap police me FIR report darj karna chahte ho to aapko IMEI number ki jarurat padti hai. Kyoki IMEI number ko block karke hum apne mobile phone se call karne ya internet use karne se rok sakte hai.

IMEI Number Kya Hota Hai?

IMEI ki full from International Mobile Station Equipment Identity hai. Jo hamare android device ke security number jaisa hota hai. Ye number har android device or hanset ko diya jata hai. Is number ki hume apne mobile ki location track karne or kai kamo me jarurat padti hai.

Agar aapka mobile chori ho gaya hai to hum apne android mobile phone ke IMEI number se police me complete kar sakte hai. Galat logo ke mobile hath lagne par aapke mobile ka galat use h sakta hai. Aap IMEI number block kar ke galat use hone se bacha sakte hai. To ab aapko pata chal gaya hoga ki ya hamare liye kitna important hai.

Aese time me hume apne mobile phone ke IMEI number pata hone chahiye. Magar bahut se new android users ko iska pata nahi hota hai. Lekin is post me main aapko ab yahi bata raha hu ki apne android device ke IMEI number kaise pata karte hai? Mobile Ka IMEI Number Pata Karne Ke 5 Tarike.

Kisi Bhi Mobile Phone Ka IMEI Number Pata Karne Ka Tarika

IMEI number har us android device and other device ka hota hai jis device me SIM hoti hai. Agar aapke tablet me SIM lagta hai to aapke tablet ka IMEI number bhi hoga. All sim support devices me ye number hota hai.

IMEI number pata karna bahut aasan hai aapko bas niche bataye 2 se 3 steps follow karne honge or aap bhi apne android device ke number jan jaoge to chaliye ab start kare.

1. Mobile Bill Ya Box:

Jab aap new mobile handset buy karte ho to aapko mobile ke sath guarantee bill or mobile box (mobile rakhne ke liye) milta hai. Ya fir aap koi old mobile lete ho to mobile wala aapko mobile ke sath bill deta hai.

Mobile bill or box ki jarurat aapko jab hoti hai aapka mobile chori ho gaya hai ya aapka mobile kho gaya ho matlab aapke pass mobile nahi hai. Kyuki mobile box or bill dono me mobile IMEI number hote hai.

Jab hum new mobile kharidte hai to hume uska payment bill and box diya jata hai. IMEI number bill ya box par bhi hota hai. Agar aapke pass apne mobile ka bill ya box hai to aap apne mobile ke IMEI number dekh sakte hai.

2. Android Device IMEI Number:

Upar btaye tarike jaise agar aapke pass apne device ka payment bill ya box hai to aap apna mobile device number pata kar sakte ho or agar aapke pass apne mobile ka bill or box nahi hai to koi bat nahi aap ye steps follow karke bhi mobile IMEI numbet ka pata laga sakte ho.

  1. Android mobile phone me use ki gayi google ID ke throw apne google dashboard me log in kijiye.
  2. Log in karne ke bad ab green robot ke next Android par click kare.
  3. Android par click karne ke bad aap un device ki files dekh sakte ho jo aapki google ID ke sath registered honge or unke sath hi aap apne android device ka IMEI number bhi dekh sakte ho.

3. Settings Se IMEI Number Pata Kare:

Agar aapka mobile chori ya khoya nahi hai to aap apne android mobile phone ki settings me jakar 2 steps follow karke apne device ka IMEI number pata kar sakte ho. Iske liye aapke pas mobile hona chahiye jiska aapko number pata karna hai.

  1. Go to setting option.
  2. Click to about.
  3. Ab IMEI status par taip kare.
  4. Scroll down kare, yaha aap IMEI number jankari dekh sakte ho.

Yaha aap IMEI ke bare me achhe se jan sakte ho or apne android device ke IMEI dekh sakte ho. For security aap apne mobile ke is number ko likh kar rakh sakte ho taki emergency me kaam aa sake.

Agar aapke mobile ki battery removable hai to aap mobile par bhi ye number dekh sakte hai. Mobile me battery lagane ki jagah par aap dekh sakte ho ek sticker hoga us par IMEI number print honge jo sticker aapke mobile ke andar chipka huya hoga.

4. USSD Code Se IMEI Number Pata Kare:

Apne android mobile phone ke IMEI number pata lagane ka ye sabse achha tarika hai. Sabse achhi bat ye universal hota hai. Ye kisi bhi device mobile phone sabhi etc feature par kaam karta hai.

  1. Apne android feature par *#06# dial kijiye.
  2. Dial karne ke bad aapki mobile screen par IMEI number display hone lagega. Aap chahe to ise add kar sakte ho ya screenshot le sakte ho.

USSD code ki jyada jankari ke liye aap ye post bhi padh sakte ho Airtel All USSD Codes Balance, Offer, Plan Check Karne Ke Liye.

5. Phone Par IMEI Number Dekhe:

Agar aap iphone 5 user hai ya aapke pass iphone ka latest version hai to aap apne device ke back panel par IMEI number dekh sakte ho.

Ise aap kahi likhkar rakh sakte ho or agar aapka device iphone 4s or isse bhi old hai to aapke device par IMEI SIM tray par print hoga aap dekh sakte hai.

To dosto is tarah se aap apne kisi bhi mobile number SIM related tablet or old device ka IMEI number pata kar sakte ho or sath me aap ye bhi achhi tarah se jan gaye honge ki IMEI number kya hai or ye kya kaam aata hai. Agar aapke pas iske liye koi or tarika hai to wo aap niche comment me bta sakte hai.

Is post ki jankari ko social media par share jarur kare taki koi or bhi apne mobile ka IMEI number pata kar sake

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 64 )

  1. Satendra singh

    Sir mera bhi mobile kho gaya hai police me Champlain kiya hu. 2 manth ho ja raha h aaj tak koi inform nahi mila. Police bhi kuchh kam ka nai h

    Reply
  2. Pugo Haider

    Sirji mara bhai ka mobil phone kho gaya hai usko kaisa pata lagana hai

    Reply
  3. Sharvan Kumar

    Sir ji Mera phone kho gya hai lagbhag 2 month ho gye hai abhi tak koi pta nahi sala hai police ko bhi complain kar suka hu ab tak koi jabav nahi mila.

    Reply
  4. Pawan Singh

    Sir mere phone kho gaya h uska bill bhi nahi h mere pass na hi usne gmail id h to m kase pata karu apne phone ka imei number usme 2 sim chal rahi thi kya m sim number se imei number pata kar sakta hu

    Reply
  5. Shahzad

    Tb kya kre sir jb google dash board se bhi pata nahi chale or battery remove karne per bhi pata nahi chale to kaise jaane imei number

    Reply
  6. Rahul

    Sir bhut achi jankari hai aap aisi hi or jankari dete rahiye.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...