Online UIDAI Aadhaar Services –  Full Guide in Hindi

Is post me ham aadhaar card ki services ke bare me bat karenge. Online uidai hame kon konsi aadhaar services provide karti hai aur unko ham kaise use kar sakte hai. Is sabki puri jankari details me share ki gayi hai.

UIDAI Aadhaar Services

Online UIDAI hume bahut si aadhaar services provide karti hai. Aapko chahe new aadhaar card banwana ho ya old aadhaar card update karna ho aap ye sab UIDAI ke dwara kar sakte ho.

UIDAI hume bahut si Aadhaar services provide karit hai jaise hum new Aadhaar card banwa sakte hai, aadhar card update karwa sakte hai aur aadhar card status check kar sakte hai. Aayiye jante hai aur kya kya kar sakte hai aur kaise kar sakte hai.

Online UIDAI Hame Kaun Konsi Aadhaar Services Deti Hai aur Kaise Use Kare

Yaha main aapko UIDAI ke dwara provide ki gayi kuch top Aadhaar Services ke bare me bta raha hu taki aapko aadhaar card banwane ya update karwane me madad mil sake.

Aadhaar Enrollment

1. Enrolment & Update Centres in Banks & Post offices:

uidai dwara ab post office aur bank me aadhaar card enrolment karvane aur usme correction ( update ) karvane ki facility start kar di gayi hai.

Aap apne nazdiki post office ya bank par jakar apna aadhaar update karva sakte ho ya jiske abhi tak nahi bana huaa hai naya bhi banva sakte ho.

Uske liye aapko nazdiki post office aur bank (jaha par aadhaar enrolment suvidha ho) khojne ke liye aap Enrolment & Update Centres in Banks & Post offices par click karke jaye aur search kare search kare.

Post office aur bank search karne ke 3 option is website par available hai . aap in 3 me se koi bhi use karke post office & bank khoj sakte hai.

  1. State: yaha par aap state , district , sub district aur village dalkar search kar sakte hai.
  2. Pincode: yaha pincode dalkar search kare
  3. search box: isme apne village ya city ka name dalkar khoje.

search karne ke bad aapko Post Ya bank jaha par enrollment hota hai . niche diye huye screenshot ki tarah dikhenge. aap Location dekh sakte hai aur Post Office ya bank me jakar aadhaar card banva sakte hai.

2. Locate Enrolment & Update Centres:

Ham apne area ( city ) me aadhaar enrollment center khoj sakte hai iske liye aapko uidai ki Locate enrollment vali website par jakar search karna hai.

Isme bhi aap 3 tariko se search kar sakte ho jo maine already uper bataya hua hai . aur isme bhi enrollment center thik usi prakar dikhega jis prakr uper screenshot me dikhaya gya hai. aap iska location bhi dekh sakte hai.

3. Check Aadhaar Status:

Enrollment Center ya post office par banaye huye new aadhaar card ya fir update kiye huye aadhaar ko ham check aadhaar status ki Website par jakar check kar sakte hai.

Isme aadhaar Reject, aadhaar card genrate ya aadhaar under proccess ka pata chalta hai . ise check karne ke bad agar aapka aadhaar ban gya hai to download ka option automatic dikhta hai.

Aadhaar card ko Check karne ke liye check aadhaar status Par Jakar Enrollment ID ( 14 digit ) , Date & Time ( 14 digit ) Aur capacha Enter kar check status par click karna hai . Result aapke samne hoga

4. Download Aadhaar:

Enrollment Par New Banaye Huye Aadhaar Card Ya Fir pahle banaye huye aadhaar card ham download kar sakte hai. (Agar aadhaar card banate time ya fir update karvate time mobile number link nahi karvaye hai to aadhaar card download nahi hoga).

Aadhaar card ko download karne ke liye eaadhaar vali website par jakar puri detail (Enrollment number &  date aur Time,Name, Pincode ) submit karke Get one time password par click karna hai jisse aapke register mobile number par otp aayega.

Us otp ko fill karke Validate & Download Par Click karne se aapka aadhaar card download ho jayega.

5. Get Aadhaar Number on Mobile:

Enrollment number se aadhaar number  (UID number) Nikalne ke liye Get Aadhaar Number on Mobile ka Use kiya jata hai.

Enrollment number (eid) se aadhaar number (uid) nikalne ke liye aapka aadhaar mobile number se link hona jaruri hai.

UID on mobile (mobile par uid) nikalne ke liye aapko is website par jakar Enrollment number & Date aur time Aur mobile number dalkar send otp par click karna hai jisse aapke register mobile number par otp aayega otp dalkar submit par click karna hai jisse aapke mobile par UID (aadhaar number) ka message aa jayega.

6. Retrieve Lost UID/EID:

Kai Logo ke aadhaar card kho jate hai ya fir kai aisi jagah rakh dete hai jo hame milta nahi hai . us time n to hamare pas aadhaar number hote hai aur enrollment number.

Us time hame aadhaar card number ya fir enrollment number Retrieve Lost UID/EID ki website par jakar nikal sakte hai par uske liye aapke aadhaar number me mobile number link hona jaruri hai.

Find UID EID: aadhaar number ya enrollment number ko nikalne ke liye Retrieve Lost UID/EID  ki website par jakar Name, mobile number ya email id, capatha dalkar send otp par click karna hai aur otp dalkar submit par click kare ab aapka eid ya uid aapke register mobile number par message me aa jayega.

Aadhaar Update

1. Address Update Request (Online):

Online aadhaar correction karne ke liye Address Update Request (Online) website ka use kiya jata hai. is website par jakar name, dob, father name, address aur mobile number & email address ko change kiya ja sakta hai. iske liye aapke aadhaar card ko mobile number se link hona jaruri hai.

2. Address Update Request (By Post):

Aadhaar card me offiline ( by post ) offline correction kiya ja sakta hai . update karne ke liye aapko Aadhaar Address correction/update form  fill up karke by post bhejna padta hai aur aapka aadhaar card automatic update hokar kuch dino me aapke ghar par aa jata hai.

3. Update at Enrollment Center:

Aadhaar card ko update aap enrollment center par jakar kar sakte hai jiske bare me maine already uper bataya huaa hai.

4. Check Status – Updation done at Enrolment Center/ECMP:

Hamare dwara enrollment center par banaye huye aadhaar card ko check karne ke liye check aadhaar status  par jakar status check karna padta hai jiske bare me maine uper already bataya hua hai.

5. Check Status – Updation done Online:

Online aadhaar card me kiye huye correction ka status dekhne ke liye ssup  ki website par jakar dekhna padta hai . uske liye aapko website par jakar Aadhaar number, URN number aur capacha dalkar Get status par click kare. ab aapko status dikh jayega.

Aadhaar Services

1. Verify Aadhaar Number:

Aadhaar card ko online verify karne ke liye Verify Aadhaar Number website ka use hota hai. Aadhaar number verify karne ke liye aadhaar number aur capctha dalkar Verify Par Click Kare.

2. Verify Email/Mobile Number:

Aadhaar card me konse mobile number diye huye hai ye verify karne ke liye  Verify Email/Mobile Number ka use hota hai. Is Website Par Jane Ke baad Aadhaar number, Mobile Number & Email Aur Capcha Dalkar Get otp par click karna hai Aur otp verify karna hai.

3. Lock/Unlock Biometrics:

Hamara Aadhaar Lock Hai Ya Unlock check karne ya lock Ya unlock Karne ke liye Lock/Unlock Biometrics website ka Use kiya Jata hai. Unlock/Lock Karne ke liye website par jakar aadhaar number aur capcha dalkar send otp par click karke verify par click karna hai.

4. Check Aadhaar & Bank Account Linking Status:

Kya Aapka Aadhaar card kisi bank ke sath link hai ya nahi ? ye janne ke liye aapko Check Aadhaar & Bank Account Linking Status ki website par Jakar Dekh sakte hai ya fir link kar sakte hai. website par jakar aadhaar number aur capcha dalkar mobile number verify karna padega.

5. Aadhaar Authentication History:

uid detail aur history janne ke liye Aadhaar Authentication History ki website par jakar dekha jata hai.

I hope aapko ye UIDAI Aadhaar Services ki post achhi lagi hogi aur ab aap in sabhi aadhaar services ka fayda utha sakenge.

Aapko Ye post kaisi Lagi hame comment karke jarur bataye aur Koi swal ho to jarur puche aur agar ye post aapko acchi lagi hai to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jitendra Singh Rao

About Jitendra Singh Rao

हेल्लो , मै जितेन्द्र सिंह राव Computer , Internet & Technology से सम्बंधित पोस्ट शेयर करता हु . और मै SMI का Guest Blogger हु .

Comments ( 3 )

  1. Gopichand

    achhi jankari hai adhar card ke baare me main aapse ye puchhna chahta hu ki aap blog me photo add karte hain unko kis software se edit karte hain.

    Reply
  2. JITENDRA SINGH

    Thank you sir
    Aapne guest post publish ki …

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...