Mobile Phone Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare

Smartphone ki memoery badhane ke liye hum phone memory me se jab extra files delete karte hai to galti se kuch jaruri file bhi delete ho jati hai. Jab humare sath aysa hota hai to hum pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte or sochte hai ki ab to ye file humesha ke liye remove ho gayi hai. But hum galat hote hai kyuki aaj ke is technical jamane me har bat ka tod hai or har problem ka solution hai. Technology ki help se hum apne android phone ka data delete hone par wapis pa sakte hai.

Mobile Ka Data Delete Hone Par Kaise Recover Kare

Is post me mai aapko bta raha hu ki smartphone me se delete huye data ko hum wapis kaise pa sakte hai. Iske liye bas aapko mobile ki basic jankari honi chahiye or aap kuch simple step follow kar ke apne mobile ki remove ki gayi memory wapis recover kar sakte ho.

Bahut bar humse mobile me se humare kaam ki files delete ho jati hai or hum unke liye pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte. Don’t worry ab hum mobile ka data bhi recover kar sakte hai. Bilkul wese hi jaise computer hard disk ka data recover karte hai.

Post me btaye gaye step ache se follow kare kyuki data recovery me jara si galati se aapka data humesha ke liye delete ho sakta hai and or bhi koi problem ho sakti hai. So pahle puri processing ko ache se samjhe le. Uske bad hi data recover kare.

Android Phone Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare [ Teck Tips ]

Agar aapko Apne smartphone ka data wapis lana hai to sabse pahle aapko computer me mobile data recover karne wale kuch apps install karne padenge. Inki help se aap aasani se apne android mobile ka data recover kar sakte hai. Mai aapko yaha step by step processing bta raha hu. Aap follow kar sakte ho.

  1. Sabse pahle aap EaseUS MobiSaver data recovery software download kar apne computer me install kare. Ye apps $40 ka hai. But aapko iska free version mil jayega.
  2. Data recovery apps ko PC me install karne ke bad apne mobile ko computer se connect kare. Aap USB cable se android phone ka computer se jod sakte ho.
  3. Ab aapko computer me apne mobile ka Full Axes dena hai.
  4. Uske bad smart phone ki setting me ja kar About  phone par click kare.
  5. Yaha aapko ek bild number ka option milega. Is par aapko tab tak click karna hai jab tak ki “Developers on” ka option show na ho.
  6. Iske bad setting option par jaye jaha aapko developer ka option milega. Is developers option me ja kar phone me dibging ko on kare.
  7. Ab jaise hi mobile connect hoga to data recovery apps aapko axes se related kuch message show karega. Is message par ok par click kare.
  8. Iske bad jaise hi aapka mobile data recovery apps se connect hoga to aapko mobile ka sabhi data dikha kar pucha jaega ki aap kon konse documents ko recover karna chahate hai. Yaha aapko jo data recover karni hai un par select kare.
  9. Aap jaise hi documents par select kar ke click karenge. Data recovery apps aapka data recover karna shuru kar dega.
  10. Agar data recovery processing start ho gayi to samjhiye aapka data recover ho raha hai. Isme kitna time lagega ye aapke data size par depend karta hai. Jitni jyada MB ka data recover karoge utna hi time lagega.

Is tarah se aap apne mobile ka khoya hua data recover kar sakte hai. But kei bar data recover nahi ho pata hai. Isliye is bat ki koi guaranty nahi hai ki aapka data 100% recover ho jayega. Kuch virus ki wajah se aapke mobile ka delete hua data recover nahi bhi ho sakta hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to is post ko social media par share jarur kare. Or hume bhi social media par follow kare. Finaly mai aap se ek bar fir kahna chahunga ki apna jaruri data recover karne se pahle data recovery processing ko ache se samajh le uske bad hi mobile ka data recover kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 75 )

  1. मोबाइल root करना जरूरी है क्या ?

    Reply
  2. Sir
    Reset Marne se kya Pura application Aur contect number Pura delete ho jaega, aur photos bhi Woh sab bhi delete ho jaega kya sir
    Please explaining sir

    Reply
  3. Sir mera mobail 1 mahine pahale factory reset ho gaya tha ab recover ho sakta hai kya

    Reply
  4. Sir mere se Mera phone reset ho gaya hai Mere contacts gallery WhatsApp Facebook sab delete ho gaya hai main Se Wapas Kaise Pau please tell me

    Reply
  5. Sir mera mobile reset ho gya by mistake kuch important files thi vo kaise recover karu please sir help me bhut important thi vo pics

    Reply
  6. dear sir mai apna mobil restor kiya to coll loge ke sare number delete hogay jesme se hme dial number chahiye pleas help me

    Reply

Leave a Comment