Android Mobile Ki Screen Record Karne Ke Top 7 Free Apps

Ek jamane me computer ki screen record karne ke liye bhi koi software nahi tha. but aaj market me ayse ayse applications aa gaye hai ki aap chote se android mobile ki bhi screen record kar sakte ho. ek tarah se android phone aaj little computer ban gaya hai. becoz isme hum unlimited apps install karke apni jarurat ki jankari pa sakte hai or apna work kar sakte hai. so kuch smartphone apps masters ne ayse applications banaye hai. jinse aap wo sab kam kar sakte hai jo aap apne computer se karte ho. to chaliye aaj mai aapko btane ja raha hu ayse hi top 7 android apps ke bare me jinse aap android mobile ki screen recording karne ke sath sath or bhi bahut kuch kar sakte ho.

Android Mobile Screen Record Top 7 Application

Internet par aapko computer screen recording ke sath sath android mobile screen record ke 1000ro applicatrions mil jayenge. iske alawa maine apni pichli post  Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps me ayse apps ke bare me btaya tha jinse aap online work (Part Time Job) karke moeny earn kar sakte ho.

Aaj ke is badlte yug me smartphone sabse jyada popular or humari per day ki jarurat ban gaya hai. isse hum wo sab kam kar sakte hai jo aaj se 2 sal pahle apne Pc se karte the.

Android Mobile Ki Screen Record Karne Ke Top 7 Apps

mai aapko yaha jin android application ke bare me bta raha hu. unse aap android mobile ki screen recording karne ke sath sath or bhi bahut se kam kar sakte ho. ye sabhi apps free hai or inko istemal karne ke liye aapko koi charge nahi dena padega. aap in sabhi apps ko free me download kar sakte ho. or apne phone ki screen record kar sakte ho.

1.  SCR Screen Recorder

 SCR Screen Recorder

SCR Screen Recorder ek simple android mobile screen recorder hai. isse aap apne smartphone ki screen ko 3 minute tak record  kar sakte hai. I mean aap SCR Screen Recorder se aap 3 minutes ka video bana sakte hai.

But is apps ko use karne ke liye aapka phone root kiya hua hona chahiye. bina root kiye gaye phone me ise use nahi kar sakte. sath hi aapka android phone kitkit 4.4 se adhik version support hona chahiye.

  • Facebook Mobile Apps Se Ab Photo Sync Nahi Kar Payenge

2. AZ Screen Recorder

AZ Screen Recorder

AZ Screen Recorder ek bahut hi acha android screen recorder hai. ise specialy lolipop ke liye banya gay hai. isme screen recording ke bahut se top features hai. jinse aap ye set kar sakte ho ki kya record karna hai or kya nahi. bas aapke android mobile ka camera achi quality ka hona chahiye. ye apps better video maker sabit hoga.

Is apps ko use karne ke liye phone root hona jaruri nahi hai. aap bina root kiye gaye android mobile me bhi is apps ko use kar sakte ho.

3. Telecine

Telecine Screen Recorder

Telecine apps mbile screen record karne wale popular application me se ek hai. I mean ye 5 star rating wale apps me se ek hai. android mobile ki screen record karne ke liye ye apps no.1 hai. tabhi iski itni high rating hai. ye apps free hai iska koi charge nahi hai. aap google play store se ise download kar sakte ho.

Telecine Screen Recorder apps ko use karne ke liye aapka android mobile root kiya hona jaruri nahi hai.

4. Unlimited Screen Recorder

Unlimited Screen Recorder

Unlimited Screen Recorder bhi top most android mobile screen recorder apps me se ek hai. isme aap unlimited video record kar sakte ho.  screen recording ke alawa aap is apps se or bhi work kaam kar sakte ho. sath hi isme aap video ke sath audio bhi record kar sakte ho. iske isme better features option hai.

Unlimited Screen Recorder apps ko use karne ke liye aapka android mobile root kiya hona jaruri nahi hai.

5. Mobizen Screen Recorder

Mobizen Screen Recorder

Mobizen Screen Recorder apps se aap mobile ki screen record karne ke sath sath apne mobile ki files ko computer me bhi send kar sakte ho. I mean transfer kar sakte ho. or is apps ko computer se connect kar direct mobile screen record kar sakte ho. is apps ko games recording karne ke liye banaya gaya hai but aap isee other features bhi record kar sakte ho. is apps ko mobile me install karke jaise hi aap computer se connect karoge or mobile par game kheloge to computer me uski recording hoti rahegi.

Mobizen Screen Recorder apps ko use karne ke liye aapka mobile root kiya hona jaruri nahi hai. is apps ko use karne ke liye aapka android mobile kam se se kam 4.2 android version support karna chahiye.

6. Rec Screen Recorder

Rec Screen Recorder

Rec Screen Recorder apps se aap video ke sath android mobile ki audio bhi record kar sakte ho. is apps ko install karne ke bad screen par record ka ek button show hoga. aapko jab bhi mobile ki screen recotd karni ho to is button par click kar screen record kar sakte hai. video bana sakte hai. isme 1 to 10 numberic ke bad recording start hoti hai. in 10 second me aap apne mobile ko set kar sakte haai.

Rec Screen Recorder apps ko use karne ke liye aapka android mobile root kiya hona jaruri nahi hai. is apps ko use karne ke liye aapka android mobile kam se se kam 4.2 android version support karna chahiye.

7. Shou Screen Recorder

Shou Screen Recorder

Shou Screen Recorder android phone ki screen record karne ka ek bahut hi better apps hai. isse aap screen recording ke sath or bhi bahut se kam akr sate ho.

Video banane ke sath isse aap android mobile ki screen ka screenshot bhi le sakte hai. ye ek tarah se google community ke jaisa hai. jis par aap online chatitng bhi kar sakte ho.

Shou Screen Recorder apps ko use karne ke liye aapka android mobile root kiya hona jaruri nahi hai. is apps ko use karne ke liye aapka android mobile kam se se kam 4.2 android version support karna chahiye.

Aapko ye post kaisi lagi or kaisi jankari mili hai. post bare me comment jarur kare or is post ko social media par share kare. by the way agar aap apni free website banana chahate hai to aap humari Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post pad kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai.

Agar aapko online paise kamane ke tariko ke bare me janna hai to aap Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike post padiye. isme aapko internet se paise kamane ke 20 free tarike milenge. jinme aapko ek bhi paisa kharch karne ki jarurat nahi hai.

Agar ab bhi aapko apne sawal ka jawab nahi mila hai to don’t worry comment box kab kaam aayega. to dil khol kar commnet kijiye bas commnet me sahi word use kare. iske liye comment ko post karne se pahle commnet words ki meanings check kar le.

Aap chahe to supportmeindia ko subscribe bhi kar sakte hai. jisse jab bhi hum new post share karenge to aapko uska notification message mil jayega.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 67 )

  1. Bahut hi badhiya janakri share की hai aapne

    Reply
  2. android 4.4 kit Kat hai screen recoding nahi ho rahi hair bahut sare app try kiya nahi huaa please help….. bro.
    .

    Reply
    • Phone reset karke fir karo ho jayega.

      Reply
  3. sir …
    ham ese janna chahte ki you tube ke lie screen record ke saath voice ko record karne ka app konsa h

    Reply
    • google play store par jao or “Audio Recorder” search karo ab jo apps dikhe unme se koi ek isntall kar lo.

      Reply
  4. Thank you so much for sharing this post with us.. I was Searching for this for long time…

    Reply
  5. Maine sab use kiye but nahi work kar raha or Rec.screen recorder root permission mang raha

    Reply
    • Bhai aapke pas 4.2.2 ya isse kam version hai. Ye app 4.4+ version me kaam karenge.

      Reply

Leave a Comment