Aaj lagbhag sare kaam online hone lage hai or ab to government ki bhi all services digital hoti ja rahi hai. Aese me har person ko iski jankari honi chahiye. Kisi bank me account khulvana ho ya koi form, application submit karna ho to aap online 5 minutes me ye kar sakte hai. Iske liye bas aapko internet ki basic information honi chahiye . Aaj is post me main aapko online PAN Card Application Submit karne ke bare me bata raha hu. PAN Card ke liye online kaise apply kiya jata hai or iske liye kin kin chizo ki jarurat hoti hai is sabki jankari is post me details se milegi.
India me mostly financial transactions ke liye PAN card ki jarurat hoti hai. Bank account khulvane, Income tax file return karne, 50,000 se jyada ka transaction karne, Online koi bhi work karne, Form bharne is sab kamo ke liye PAN card hona jaruri hai. Iske alawa bhi PAN card ki or bhi bahut se kamo me jarurat padti hai. So aaj ke samay me aapke paas PAN card ka hona lagbhag jaruri ho gaya hai.
Digital India ki choti si service ke tahat main aapko is post me bata raha hu ki PAN card ke liye kaise online apply kiya jaye. Actually, jin logo ko iske bare me pata nahi hai wo sochte hai ki ne jane PAN card banwana kitna mushkil hai par ye bahut hi aasan hai. Aap ek little process ko follow kar PAN card ke liye online apply kar sakte ho.
- UPI App Kya Hai Iski Help Se Online Money Transfer Kaise Kare
- ICICI Bank Me Account Khulvane Ke Liye Online Apply Kaise Kare
Jab aap PAN card ke liye online form bhatoge ro aapka apne sare documents ko income tax office ke pass post karna hoga tabhi aapke PAN card application ki process complete hogi.
Website par form bharne ke bad aapko apne application ke pan card office ke pass send karna hota hai uske bad aapke application ko process kiya jayega or kuch time bad aapke address par bhej diya jayega.
PAN Card Banvane Ke Liye Kin Kin Chizo Ki Jarurat Padti Hai – Kya Kya Documents Chaiye
PAN Services Unit ki site par apply karte time documents upload karne ki jarurat padti hai. Isse pahle ki main PAN card application submit karne ki process start karu main aapko ye bata deta hu ki iske liye aapko kin in chizo ki jarurat hogi.
Main aapko kuch jaruri documents ke bare me bata raha hu aap un sabki copy banava le because aapko documents ki copy application ke sath send karni hai.
Iske liye aapko site par Identity card, Address proof, Death of birth certificate ke documents or photographs upload karne hote hai. Iske liye aap niche bataye documents me se kisi ek ko choose kar sakte ho.
1. Identity Proof:
PAN card banvane ke liye identity proof me aap inme se kisi bhi documents ka istemal kar sakte hai.
- Aadhaar Card.
- Voter ID Card.
- Passport.
- Ration card.
- Driving licence.
- Arms licence.
- Identity card.
- pension card.
- Gazetted certificate signed by MLA or MP or councilor or officer.
2. Address Proof:
Photo ID ke sath apna address proof bhi dena hoga iske liye aap inme se koi ek documents choose kar sakte hai.
- Aadhaar Card.
- Identity card.
- Voter ID Card.
- Passport.
- Driving licence.
- Husband / wife’s passport.
- Latest property tax assessment order.
- Domicile certificate issued by the government.
- Gazetted certificate signed by MLA or MP or councilor or officer.
Inke alawa aap in documents ko bhi use kar sakte hai magar ye 3 month se jyada old nahi hone chahiye.
- Electronic bill.
- Water bill.
- Gas connection card or book.
- Bank account statement.
- Deposit account statements.
- Credit card statement.
- Landline bill or broadband bill.
3. Birth Certificate:
Agar aapke pass birth certificate hai to bahut achhi bat hai or agar nahi bhi hai to aap inme se kisi ek documents ko birthday certificate ke jagah use kar sakte ho.
- Passport.
- Driving licence.
- Pension payment order.
- Class 10 passing certificate.
- Marriage certificate issued by registrar of marriage.
- Domicile certificate issued by the government.
- Gazetted certificate signed by MLA or MP or councilor or officer.
4. Photographs:
Aapko PAN card application ke sath apni 2 photo bhi send karni padti hai isiliye application submit karne se pahle passport size ke 2 photo banva le aage aapko inki jarurat padne wali hai.
PAN Card Kaise Banvaye – PAN Card Ke Liye Online Kaise Apply Kare
How to Submit PAN Card Application Online in Hindi: Jab aap upar bataye sabhi documents complete kar lo to aap ye steps follow kare. Sabse pahle aap NSDL ki website ke ONLINE PAN Application page par jaye.
- Apply Online par click kare.
- Application type select kare.
- category individual select kare.
- Title select kare.
- Apna last name add kare.
- Apna first name add kare.
- Date of birth enter kare.
- Apni email ID enter kare.
- Apne mobile number add kare.
- Captcha code verify kare.
- Finally, submit button par click kare.
Ab jo page open ho usme Continue with PAN Application Form option par click kare.
Ab Personal details ka page open hoga uske bad Contact & other details ka or uske bad AO code ka uske bad Documents details ka page open hoga. Aapko sabhi me sahi jakari fill karni hai. Aapko total 5 page ka form fill karna hai jo is parkar hai.
- Guidelines: Is page me aapko sirf kuch jaruri information add karni hai.
- Personal details: Is page me aapko apni personal details fill karni hai.
- Contact & other details: Yaha aapko contact details add karni hai.
- AO code: AO code area code ka combination hota hai agar aapko isme problem ho to aap income tax department helpline number 18001801961 par call kar iske bare me adhik jan sakte ho.
- Documents details: Documents details me aapko upar bataye documents fill karne hai.
I hope aapko is process ko follow karne me koi problem nahi hogi. Agar aapko form bharne me kisi bhi tarah ki koi problem ho to aap Instructions for filling help form page par visit kar help le sakte hai. Is page par aapko PAN card application submit karne ki jankari example ke sath milegi.
- Net Banking Kya Hai, Internet Banking Use Kaise Kare Ki Jankari
- Online Digital Transaction Karte Time Safety Ke Liye Ye Tips Follow Kare
Agar aapko PAN card application submit karne ke bare me ye post pasand aaye to social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Sir mera pancard pahale se bana hai lekin usame mera address galat hai to aadhar card ka address add karvana chahate hai to application kaise likhe application ki mang ki ja rahi hai.sir please jaldi me reply dijiye.
Sar kiya kisi or k liye online pancard apply kar k de sakta he???
Kiya ek sat 4 logo k liye pancard apply kar sakta hai???
Yes kar sakte ho.
Sir iske liye kuch pay karna padta hi ki ye free hi
Nahi free hai.
hi,,
thanks for shearing best artical. sir you are best hindi blogger in india.
Thanks to author for sharing this information. Your post is very knowledgeable and usable. These are really great tips to follow.
सर आपकी जितनी हिंदी लेटेस्ट पोस्ट्स ह उनकी गूगल में ranking acchi नहीं है ऐसा क्यों प्लीज सर iske barey me mujhe batay .. kyuki me bhi हिंदी में ब्लॉग्गिंग सुरु कारने जा रहा hu aur mujhe lag rha hai ki hindi blogs ko google me top par lana bahut mushkil kaam hai. isliye aap bataiye kya kre. hindi me blog likhne ke baad usko google search me top lar kaise laay.
I know iska reason ye hai ki google mere blog ko hinglish category se dekhta ha iek time bad hindi post top me aane lag jayegi.