Google Karta Hai Aapki Har Baat Ko Record, Kaise Pata Kare

Google humari har ek baat record karta hai? Shyad apane ye bat already sun rakhi hogi par ye nahi pata hoga ki google kaise humari activities ko record karke save rakhta hai. So aaj main aapko is post me isi ke bare me btane wala hu ki kis tarah google humari sabhi activity ko record karta hai or kyu karta hai, Hum ise kaise stop kar sakte hai.

Jaan please bat karo.

Google duniya ka number one search engine hai. Is bare me explain karne ki jarurat nahi hai. World ke 90% people jab bhi internet par koi searching karte hai t owo sabse pahle google hi use sakte hai. Google ke anusar per second google me 40,000 log searching karte hai.

But kya aap jante ho ki google humari baate, humari activies ko record kar leta hai. Sirf itna hi nahi jab humara phone humare aas pas rahta hai to google humari personal bate bhi record kar leta hai. Its amazing, aapne kabhi nahi socha hoga ki google humari jaruri bato ko bhi sunta rahta hai.

Actually, Google apps me ek Automatically Recording System hota hai. Isi ke help se jab aap mobile me internet chalu rakh ke uske aas pas koi bat karte ho to wo automatic google app me reocrd hoti rahti hai. Agar aapke pas agar android ya other koi bhi smartphone hai to usme google app jarur hoga.

Kya Google Humari Baatein Record Karta Hai, Kaise Pata Lagaye?

Google apps me humari Web & apps activity, Location history, Device information, Voice and audio activity, Youtube search history, Youtube watch history etc. bahut si janakri record hoti rahti hai or hume iske bare me pata tak nahi chalta. But inme sabse khatarnak hai ki google humari personal bato ko bhi record kar leta hai.

Mostly har mobile me hota hai. Isi app ki help se google aapki personal chating ko bhi record kar leta hai or in sabhi files ko save kar leta hai. Wese google ye kaam humare liye hi karta hai but ye aapke liye danger bhi ho sakta hai.

Aapko jaise hi pata hoga ki google humari baate bhi reocrd kar leta hai to aapko jarur ajib laga hoga or aap 100% apni personal details google se delete karna chahate honge. So don’t woory ye step follow karke aap aesa kar sakte ho.

1. Google Humari Activity Record Kaise Karta Hai

Google dwara apni activity recording dekhne ke liye aap history.google.com page par jaye. Yaha par aapko aapki saari recording details mil jayegi.

Google Record My Activity

2. Google Ki Record Ki Gayi History Ko Kaise Remove Kare

Agar aap google ke dwara record ki gayi apni history ko delete / remove karna chahate hai to aap history.google.com par ja kar top sidebar me three point par click karke aap history delete kar sakrte ho.

  1. Top sidebar me 3 point par click kare.
  2. Ab delete activity by par click kar ke aap history delete kar sakte ho.

Delete Activity

3. Google Record Activity Ko Stop / Control Kaise Kare

Yaha par aap apne hisab se activity ko control kar sakte hai. Jaise aapko YouTube, google app and other kisi ki bhi activity band karni hai to aap yaha se kar sakte ho.

  1. Top sidebar me three poit par click kare.
  2. Activity control par click kare.
  3. Ab yaha par aapko jo activity band karni hai uske samne off select kare.

Control activity

Is tarah se aap google ke dwara record ki gayi detials ka pata kar sakte hai, delete kar sakte hai or use stop bhi kar sakte hai. Agar aap mobile me apni personal bate record google me record nahi karna chahate hai to aap yaha par sabhi settings ko off kar de.

Agar koi aapke bare me janna chahata hai ki aap internet par kya kya search karte ho to koi bhi aapke PC ya laptop se iske bare me is trick se aasan ise pata kar sakta hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 29 )

  1. nares

    sir kya ham phone par kisi se bat karte hai to uska numbar aur kya bat karte hai ye bhi record hota hai kya

    Reply
  2. Subash patel

    mai use kar skte hai ki mai kis nomber se bat kar the hai and uska puri dettls kaise Jan skta hu khuch btaiye sir

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi iska pata nahi kar sakte.

      Reply
  3. Vijay panara

    Sir aap bata sakte hai html sikhne ke liye kon sa YouTube channel best hai jin ke videos dekh kar hum html sikh sake apne blog website ke liye

    Reply
    • Jumedeen khan

      Vijay maine html coding extra blog bana kar sikhi hai jab bhimujhe time milta tha main extra blogger blog bana kar usme editing karta rahta tha. Wese ye bahut hi simple hai. Maine iske bare me koi video dekhi nahi hai. Isiliye aapko video suggest nahi kar sakta. aap khud google me how to learn html coding YouTube likh kar search karo.

      Reply
  4. Dilip Chauhan

    kya me aapko call kar sakta hu kyoki mujhe AdSense k baare me jankari chahiye urgent h

    Reply
    • Jumedeen khan

      Ok kar sakte ho.

      Reply
    • Nares

      Bhai mujhe no do mujhe bhi call karna hai jumedeen bhai ko pls

      Reply
  5. Shyam Kumar

    mujhe to aaj pata chala ki google bhi aisa karta hai. jankari dene ke liye dhnybad.

    Reply
  6. Yasir khan saqlaini

    Bhai bht usefull info di h thnk u

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...