Google AdSense Ad Units Ko Automatically Optimize Kaise Kare

Google AdSense ad units ko hum manually ad sizes optimization karke adsense earning increase kar sakte hai. Lekin ab iski jarurat nahi hai, google ne adsense me “Ad sizes optimization setting” ka ek new feature add kiya hai, jise enable karne par google humare ad units ko automatically optimize karega, ye speciall mobile users ke liye hai.

Google AdSense Automatically Optimize Setting

Google ab mobile par aapke ads sizes ko automatically optimize kar sakta hai. Isme aapki site ke pages par ad code ko modify kiye bina mobile traffic par best performance ke liye ad unit size choose kiya jata hai.

Is feature ka istemal karne ke liye aapko new ad unit create karne ki jarurat nahi hai, Aap pahle se created ad units par ise apply kar sakte ho.

Chaliye ab main aapko google adsense account me ad sies optimization setting enable karne ke bare me btata hu.

Google AdSense Automatically Optimize Settings Kaise Kare

Google adsense automatic ad optimize feature abhi mobile users ke liye available hai. Iska istemal karne ke liye nimn steps follow kare.

Step 1:

  1. Sabse pahle google adsense account open kar sign in kare.
  2. Ab left navigation me Optimization par click kar Optimization Settings me Ad sizes par click kare.

Google Adsense Optimization Settings

Step 2:

Ab yaha aapko total 3 option milenge. Inme se aapko apne hisab se option select karna hai.

  • Optimize 100% of mobile page views (Recommended): Apne all text & display page views ko best ad unit ke liye automatically optimize kare.
  • Optimize 50% of mobile page views: Apne text & display page views ke 50% views ko optimize kare taki aap impact ko compare kar sake.
  • Don’t optimize: Google aapke text & display page views ko optimize nahi karega.

Is tarah se aap apni website or blog ke liye google adsense account me ad automatically optimization setting ko enable / turn on kar sakte ho.

Apni Site Par Automatically Optimize Ads Ka Preview Kaise Dekhe?

Agar aap apni site par automatically optimize ads ka preview dekhna chahate ho to wo bhi possible hai. Iske liye aap nimn tips follow kare.

On Mobile Device:

  1. Apni website par jaye aur page URL ke end me #google_responsive_slot_preview add kare.
  2. Ab page ko refresh kare.
  3. Ab aap apne page par sabhi different ads ko dekh sakte hai.

On Desktop Using Chrome Browser:

  1. Apni site ko ek new tab me open kare aur page URL ke end me #google_responsive_slot_preview jode.
  2. Ab right click kar inspect select kare aur Toogle device toolbar me mobile device select kare.
  3. Page refresh kare.
  4. Ab aap alag aalg mobile size me different ads ko dekh sakte ho.

Is tarah se aap chec kar sakte ho ki aapki site par google automatically optimize ads kaise display ho rahe hai.

Is feature ka istemal kare aur dekhe ki aake liye ye kitna beneficially hai, faydemand ho to enable karke rakhe warna disable kar de.

Agar aapko ye article achha lage to ise social media par adsense publisher ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 20 )

  1. Amit Saini

    Sir, ye auto ads for Amp ka kya use hai or kya blogger me iska use kiya ja sakta hai agar kiya ja sakta hai to kaise

    Reply
    • Jumedeen khan

      Agar aap blog me AMP use karte ho to iska sitemal kar sakte ho.

      Reply
  2. Deepak Soni

    Nice article

    Reply
  3. Lalsingh

    bro..google auto ads ka code sirf ek baar head me lagana hota hai..ya har page me lagana padega..kyonki meri posts ke andar ad nahi dikh rahe hain..kisi bhi post me 1 bhi ad nahi hai..pls reply

    Reply
    • Jumedeen khan

      Sirf ek baar lagana hai.

      Reply
  4. DEEPAK RATHOR

    bahut hi badiya jankari share ki hai apne, me apki is post ko padhkr apka fan ho gya hu sir, apke samjhane ka style bahut hi shandar hai.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...