Aapne AdSense performance report me bahut bar dekha hoga ki ads click hone par bhi earning nahi hoti hai. Iski wajah Invalid click hoti hai. Or AdSense invalid click ka ek bhi paisa nahi deta hai balki isse humara AdSense account disable bhi ho sakta hai. Isliye hume AdSense invalid click activity ko rokne ke bare me sochna shuru kar dena chahiye. Mai is post me aapko isi ke bare me bta raha hu. So har us blogger ko iski jarurat padegi jo AdSense use karta hai.
“Hello Sir mere AdSense account ki report me meri earning $5 show ho rahi thi. But kuch der bad ye $4.83 ho gayi. Earning kam kyo ho gayi plz give me some better information” Ye sawal mujhse Harsh Agarwal ne 24 feb 2024 ko pucha tha. Mai harsh ko thanks kahna chahunga kyuki iske bare me maine koi post nahi ki hai. So mujh harsh ke sawal se AdSense user ke liye ek achi post likhne ka idea mila hai.
- Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
Adsense income kam hone ki wajah hoti hai AdSense ads par Invalid Click Activity. Jab bhi koi visitors humare ads par galat click karta hai to wo click invalid click mana jata hai. Prevent Invalid click Activity yani invalid click konse click mane jate hai. Ise aap in 3 point se samajh sakte ho.
- Jab user ads me btaye link ki jagah or kahi par click kare.
- Jab user ads ko aapki site ka hi hissa samajh kar click kare.
- Jab user ads par click nahi karna chahato ho or galti se click ho jaye.
Adsense invalid activity se humari koi income nahi hoti hai. Ulta invalid click se humari income kam ho jati hai. Or ho sakta hai jyada invalid click hone se humara AdSense account hi disable ho jaye. Har AdSense user is problem ka solution pana chahata hai. Or janna chahata hai ki kis tarah wo AdSense invalid click activity se bach sakta hai.
Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips [Stop Invalid Activity]
In this post, Mai aapko AdSense invalid click activity se bachne ke kuch tips bta raha hu. Jo aapke liye helpful sabit honge. Or aapa apne AdSense account ko safe rakh sakoge. Isse pahle bhi mai Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tarike post me bhi AdSense ko safe rakhne ki bat kar chuka hu.
1. Read & Follow Adsense Policy: Adsense user ke liye sabse important bat hoti hai AdSense plocies ka palan karna. Iske liye aap AdSense policy ko weekly check karte rahe or AdSense policy ke anusar btaye place par hi ads lgaye. Iski janakri ke liye aap Adsense Ads Placment policy ko ache se padh or samajh le.
2. Stop Relation With Bad Habits: Sabse pahle aapko bad peoples, bad website or blog, bad social group se relationship todna hoga. Bad se mera matlab hai s*x, p*rn, hacking jaisi gandi aadat rakhne wale log, website or blog. Aapko in sabse se bachna hoga. Kyuki ayse log humesha dusro ka bura sochte hai. Or humesha kisi ka bura karne ki koshish me rahte hai. In sabhi jagah se aapko bekar traffic milega. Jo sirf time pas ke liye aapki site par aayenge or aapka nukshan kar ke hi jayenge.
3. Make Good Relationship With Your Reader: Apne audience ke sath acha rishta banaye or unhe AdSense invalid click ke bare me samajhaye. Iske liye aap apni site ke liye privacy policy bana kar usme AdSense policy add kar sakte hai. Jisse aapke reader aapki site par lage ads par invalid click na kar sake.
4. Don’t Click Your Ads: Mnta hu aap bahut smart or intelligent hai. But google ko bevkuf banane ka vichar apne dimag se nikal de. Kabhi bhi AdSense ke ads par click mat karo. Isse aapka AdSense accont block ho sakta hai. Or agar block nahi bhi hoga to aapki Adsense CPC bahut kam (Low) ho jayegi.
5. Don’t Share Adsense Ads: Adsense ads code ko other site par dikhane ki permission nahi deta hai. Aap sirf apni verify site par hi ads laga sakte ho. Isliye un logo se bache jo aapko jyada traffic ka lalach de kar AdSense partnership karna chahate hai. Sath hi AdSense ke bare me post karte time dhyan rakhe ki aapki personal information publish nahi honim chahiye. jaise AdSense ads ID, AdSense ads code etc.
6. Stop Spam Traffic: Agar aapki site par traffic ekdam se badh jata hai or aapko duable ads click milne lag jate hai to ye aapke liye pareshani ban sakti hai. Isse bachne ke liye aap spam traffic, comments ko block kar sakte hai. WordPress blog par ye bahut aasan hai. Agar aapka blog free blogger par hai to aap ayse time me turant AdSense ko iski report send kare. Iski jankari ke liye aap AdSense ke Create and manage custom alerts form par jaye.
7. Don’t Buy Paid Traffic: Adsense paid traffic allow nahi karta hai. Adsense only unhi visitors ko pasand karta hai. Jo apni marzi se aapke blog par aate hai. Agar aap traffic kharidna chahate ho to aap AdSense use nahi kar sakte hai. Isliye kahi se bhi traffic kharidne se pahle ache se soch le ki paid traffic se aapke blog par invalid click ho sakte hai. Or AdSense aapko ban kar sakta hai.
8. Adsense Ads Color: Aap AdSense ads ko apne hisab se customize karne ke liye free hai but iska ye matlab nahi hai ki aap AdSense ads ko bilkul apni site ke color me mila de. Adsense chahata hai ki visitor apni marzi se ads ko ads samajh kar ads par click kare.
9. Don’t Use Popup & Sticky Ads: Adsense invalid click se bachne ke liye aap apni site par sticky or popup ads lagana band kar dijiye. Kyuki AdSense popup or sticky ads par huye click ko invalid click manta hai or AdSense ise allow bhi nahi karta hai.
10. Report To Adsense Invalid Click Activity: Agar aapko lagta hai ki aapki site par invalid click kiye ja rahe hai to aapko iske bare me turant google AdSense team ko notification bhejni chahiye. Adsense ko invalid click activity ki report karne ke liye aap Invalid Clicks Contact Form par ja kar AdSense ko report kar sakte hai.
I hope aapko is post me google AdSense ke bare me good information milegi. Ho sakta hai aapko is ke bare me pahle se jankari ho. But fir bhi aapko kuch na kuch new sikhne ko jarur milega. Agar meri bat 10% bhi sahi hai to post ke bare me commnet jarur karke apne thoughts jarur share kare.
- Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
- Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
Adsense invalid click activity ko rokne ke liye koi fix way nahi hai. But hum is post me btaye or kuch or tariko se apne AdSense account ko invalid click se bacha sakte hai. Iske liye mera aapko yahi suggestion hai ki aap AdSense ke bare me jitna ho sake jankari prapt kare.
If You can like this post as give you helpful information, Then plz share this post with your friends on social networking sites.
Sir mera ek blog hai aur invalid click ki wazah se mera adsense account disable ho gya hai, apne blog me add kaise lgaye aur new adsense ke liye kya krna hoga,, kya mai apni blog ko delete kar doon
Aap new adsense ke liye apply karo, ya dusre domain se approved adsense ke ad laga lo.
100% free adsense protector script
Jumedeen Bhai kal se mere blog par traffic jyada aa rahi hai aur adsense par invalid click bhi aa rahi hai. Mai invalid click ko rokne ke liye kya karun?
कुछ समय के लिए अपने ब्लॉग से हटा दो
Sir invalid clicks ko rokne k liye y kr sakte he Kya ki uss website k ad ko kuch samay k liye delete kr de
Sir mere blog par ad show ho rha tha
Maine ek dusare sit par ad laga diya Jo approved nhi tha jisake wajah se mere ad
Show hona band ho gaya h ab mai kya karu ki ad show hone large please help me,
Us dusri site se ad hata do.
Sir mujhe biography pe blog likhna hai, hindi me likhu ya english me kya better rahega.
Sir mujhe mere mail par ye message mila hai “Your Google Ads account was cancelled due to no spend” iska matlab google adsenese se hai ya google adwords se… please reply
Wo adwords ke liye hai aap adwords par ad spend nahi kar rahe ho uske bare me bta rahe hai, ignore it.
Assalamo alaikum bhaijaan. Ramzan mubarak ho apko.
Aaj ek problem hui mere sath please mujhe reply zarur karna aap.
Actually baat ye hai ki meri ek blog hai . Aur main apni page open kiye hue tha aur 2 baar ads par touch hua galti se aur open ho gaya.
Invalid click ho jane par main kya karu apne mobile se self click ho gaya. Isse mera adsense account disable to nahi ho jaaega aur gar disable hone se bachana hai to main kya karu.
Please reply kare mujhe bhaijaan.
I need your help.
W/a no worry lekin next time ad par click mat karna.