Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites

Google AdSense se jyada se jyada kitne paise kama sakte hai. Is sawal ka jawab har koi janna chahata hai. Shayad aap bhi, Agar ha to aaj mai aapko iske bare me hi btane ja raha hu proof ke sath. Mai is post me bat kar raha hu ayse logo ki jo AdSense se monthly lakho nahi croro kamate hai.

Top 10 website who earn most money from google AdSense

Jab mai apni income report share karta hu to kuch log kahte hai ki AdSense se itni earning nahi kar sakte. But agar google AdSense se income karne wali highest websites ko dekhe to meri income kuch bhi nahi hai.

Maine bahut se blogger or website owners ko dekha hai jo google AdSense se itne paise kamate hai ki aap soch bhi nahi sakte. Isliye mai yaha aapko 10 ayse logo ke bare me or unki site ke bare me bta raha hu. Jinhone AdSense se croro kamaye hai.

Aapko bta du ki google AdSense website blog se paise kamane ka top popular source hai. Or AdSense se hum unlilted earening kar sakte hai. Or ye bat tab or bhi sach lagti hai jab hume pata chalta hai un logo ka jo wastav me AdSense se bahut jyada rupees kama rahe hai.

But itni jyada earning karne ke liye bahut, bahut or bahut jyada mehanat karni padti hai. Agar aap sochte hai ki mai bhi itne paise kamau to aapko un logo ke jitni hi mehanat karni padegi.

Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites and Traffic Details

Duniya me lakho log AdSense se achchi income kar rahe hai. But jinko mai janta hu unme se aapko top 10 logo ki website ke bare me bta raha hu. Jinhone ne real me itne paise kamaye hai or abhi bhi kama rahe hai.

1. Pete CashMore – Mashable

1st Position: Pete CashMore Mashable website ke founder & CEO hai or unki website world ki highest websites me se ek hai. Mujhe lagta hai ki Pete CashMore google AdSense se sabse jyada earning karne wale person hai.Pete CashMore

Unhone 2005 me mashable site ko banaya tha jab wo only 19 year ke the. Unki site par technology news, development, social media se related information share ki jati hai.

Website: Mashable.com

Alexa Rank: 341

Google Pagerank: 8/10

Estimated earning: $660,000 per Month (43,560,000 INR)

2. Shawn Hogan – Digital Point

2nd Position: Secon number par hai Shawn Hogan jinki site ka name Digital Point hai. Shawn Hogan digitalpoint ko 1995 me launch kiya tha.Shawn Hogan

We apne blog par apne thoughts share karke other blogger ki help karte hai or unki problem solve karte hai.

Website: digitalpoit.com

Alexa Rank: 6,000

Google Pagerank: 6/10

Estimated earning: $550,000 per Month (36,300,000 INR)

3. Isand – Plenty of Fish

3rd Position: Plenty of Fish google AdSense se paise kamane wali teesari sabse badi website hai. Ise isand ne 2003 me banaya tha. isand

Website: pof.com

Alexa Rank: 6,000

Google Pagerank: 5/10

Estimated earning: $370,000 per Month (24,420,000 INR)

4. Kevin Rose – Digg

4th Position: Google AdSense se online earning karne me digg website most popular sites me se ek hai. Ise 2004 me kevin rose ne develop kiya tha.kevin rose

Website: digg.com

Alexa Rank: 1,100

Google Pagerank: 7/10

Estimated earning: $260,000 per Month (17,160,000 INR)

5. Courtney A Rosen – Ehow

5th Position: Courtney A Rosen ki website ehow hai.Courtney A Rosen

Unhone ise 1999 me create kiya tha. Or aaj unki site par per day 25 million se bhi jyada pageviews hote hai.

Website: Ehow

Alexa Rank: 1,000

Google Pagerank: 6/10

Estimated earning: $250,000 per Month (16,500,000 INR)

6. J. Michael Arrington – TechCrunch

6th Position: TechCrunch bhi google AdSense se top earning karne wali site hai. Iske founder ka name  J. Michael Arrington hai.J. Michael Arrington

Unhone apni site ko 2005 me start kiya tha.

Website: TechCrunch.com

Alexa Rank: 654

Google Pagerank: 8/10

Estimated earning: $240,000 per Month (15,800,000 INR)

7. Mario Armando Lavandeira – PerezHilton

7th Position: PerezHilton website par daily traffic 1 million pageviews se jyada hai.Mario Armando Lavandeira

PerezHilton ko Mario Armando Lavandeira ne 2004 me shuru kiya tha.

Website: PerezHilton.com

Alexa Rank: 2,600

Google Pagerank: 7/10

Estimated earning: $220,000 per Month (14,520,000 INR)

 

8. Jason Calacanis – Weblog

8th Position: Jason Calacanis ki website ka name weblog hai.Jason Calacanis

Jise Brian Alvey and Jason Calacanis ne 2003 me banaya tha. Is website par monthly 25 million se bhi jyada pageviews hote hai.

Website: weblog.com

Alexa Rank: 5,00,000

Google Pagerank: 6/10

Estimated earning: $180,000 per Month (11,880,000 INR)

9. Jeremy Shoemaker – Shoe Money

9th Position: Jeremy Shoemaker ne bhi google AdSense se better income ki hai. Jeremy Shoemaker

Unki site ka name Shoe Money hai. Unhone se ise 2003 me start kiya tha. Unki site par har mahine 25 million se jyada pageviews hote hai.

Website: shoemoney.com

Alexa Rank: 61,000

Google Pagerank: 6/10

Estimated earning: $150,000 per Month (9,990,000 INR)

10.Pankaj Agarwal – Clickindia

10th Position: Google AdSense se sabse jyada money earn karne walo me 10th number par hai Pankaj Agarwal.Pankaj Agarwal

Unki site ka name clickindia hai. Jise unhone 2007 me banaya tha. Unki site par per month 6 million pageviews hote hai.

Website: clickindia.com

Alexa Rank: 6,000

Google Pagerank: 5/10

Estimated earning: $90,000 per Month (5,940,000 INR)

 

Agar aap bhi google AdSense se earning kar rahe to aap bhi comment me apni income humare sath share kar sakte ho. Or agar aap abhi new ho to meri bhagwan se dua hai ki aap bahut jald apne kaam me kamyab banoge.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 87 )

  1. hariom Awasthi

    sir ji bahut achchi jankari

    Reply
  2. खिलावन

    सर एक एड यूनिट के कोड को कितने पोस्ट में यूज़ कर सकते हैं।

    Reply
    • जुमेदीन खान

      जितनी चाहो उतनी जगह पर use कर सकते हो

      Reply
  3. faeez khan

    hiii sir
    agar mere you tube channel pe monetize kiya hua h or ads b chal rhe h or kuch views b ho gae h lekin Mene AdSense account bht bad me bnaya to kya mujhe pehle wale Jo views hue h to kya uske b paise milenge

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi adsnese ke bad hone wale ad clicks ki earning milegi.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...