10 Tricks Jinse Meri Adsense Earning Duable Ho Gayi

Maine jab se blogging shuru ki hai tab se ab tak meri income me google adsense ka ahem role raha hai. Main adhiktar blogs par google adsense hi istemal karta hu. Is bich maine adsense revenue increase karne ki bahut si tricks try ki jinme se kuch aesi trick bhi thi jinse meri adsense earning dugni balki yu kaho ki triple ho gayi. So aaj main aapko un sabih tips and tricks me btaunga jinse meri adsense earning duable ho gayi. Agar aapko achhe traffic par low adsense earnings ki problem hai to aap ye tricks try kare aapko 100% benefit milega. In top 10 best ricks ke istemal se aapki earning 30% to 70% tak increase ho sakti hai. Adsense earning increase karne ki tips.

10 Trciks Jinse Meri Adsense Earning Duable Ho Gayi

Aapko internet par adsense earning increase karne ke bare me bahut sari tips and tricks mil jayegi sabhi tricks har ek adsense publisher ke liye proper work nahi karti hai. Aaj main aapko adsense earning increase karne ki wo sabhi tircks btaunga jo main apne blog par follow karta hu. Main pahle bhi adsense earning increase karne ke bare me articles likh chuka hu. For example aap ye 2 articles check kar sakte hai.

In tricks ko istemal karne se pahle meri adsense earnings $1,000+ thi magar jab maine in tricks ko apply kiya to meri adsense income $2,000 to $3,000 ho gayi. Isiliye main kah sakta hu ki in tricks ka istemal karke aapki earning duable ya triple ho jayegi. Agar itni increase nahi bhi hogi to aapko kam se kam 20% to 30% fayda jarur milega.

Ye tricks ek surprise ki tarah aapki adsense earning increase kar sakti hai bas aap inhe sahi se follow karne me kamyab ho jaye. Main ine use kar chuka hu sabhi 100% work karti hai.

Google AdSense Earning Increase Karne Ki Tips and Tricks

Adsense earning increase karne me sabse bada matter hai Adsense CPC increase karna. Agar aapki CPC increase ho jati hai to income apne aap increase ho jayegi. Mere pas adsense earning increase karne ke kafi formulas hai jinme se 10 ke bare me aapko yaha bta raha hu. Ummid karta hu inse aapko fayda milega.

1. Right Place Par Ad Unit Add Karna:

Google adsense publisher starting me sabse badi galti ad placement me karta hai. Bahut se adsense publisher ke wrong ad placement karne se unka adsense disable deactivate bhi ho jata hai ya fir unka account 30 days ke liye suspend kar diya jata hai or next time unhe adsense policy sahi se read karne ko kaha jata hai.

Itna hi nahi galat jagah ad unit paste karne se na sirf aapki adsense earning kam hoti hai balki isse readers ka aapki site me interest bhi kam hota hai. Isiliye maine ye topic first me add kiya hai. Iknow is topic ko dekh kar aap kahoge ki is topic ko to hum kai blogs me dekh chuke hai magar kya aapne ise kabhi seriously liya hai.

Maine ek post me btaya tha ki har ek site par same ad placement work nahi karta. Agar aap kisi or ki site ke ad placement ko dekh kar apni site par ad lagaoge to shayad hi wo formula aapke liye beneficial rahe.

Har ek site jiska niche alag hai uske visitors bhi alag hote hai or unka interest bhi isiliye har site par same ad placement se utna fayda nahi hota. For example,x jo ad placement main use karta hu wo aap use karo or aapko bhi utna hi fayda mile jitna mujhe milta hai, Aesa mukin nahi hai.

Aapke liye konsa ad placement faydemand hai ye aapko different ad place par ad unit ad kar check karna hoga. mostly bloggers content ke first and last me ad use karte hai jo ki adhiktar ad publisher ke liye faydemand hota hai.

Lekin yaha salwa ye hai ki content ke top me konse size ka ad unit faydemand hota hai. In my case, maine content top me ye ad unit try kiye hai.

  1. 300*250 display ads
  2. 336*228 display ads
  3. 720*28 display ads
  4. Responsive display ads

Magar aap ye jan kar ajeeb lagega ki in me se ko ibh iad unit mere liye best nahi raha. Agar main in sabhi me se best ad unit ki bat karu to responsive size sabse best tha. But mujhe laga ki main or jyada best kar sakta hu isiliye maine content top me display ads ki jagah link ad unit ry karne ke bare me socha.

Now, Aapko yakeen nahi hoga mujhe top place me display ad unit se jyada links ad unit se fayda mila. Ise mujhe ye fayde mile.

  • Link advertisement display ads ki tulna me fast load hote hai. Jiski wajah se ad click jyada mile.
  • I know display ad unit ki CPC jyada hoti hai but yaha link ad ki CPC bhi $0.8 to $.10 thi jo ki bad nahi hai.
  • Sabse achhi bat link ad unit ka size kam hone se isse readers ko bahut kam problem hoti hai. Jisse aapko traffic problem nahi hogi.

Ab dimag me ek sawal tha ki link ad ki CPC display ad se kam hoti hai so maine ek bar fir sr top me display ad unit add kar diya par ye kya mujhe link ad ke mukable display ad par 40% kam ad click milne lage. Isi wajah se maine ek bar fir text ad unit use karne ke bare me socha.

Or mere link ad unit use karne ke 3-4 bad hi main uski report dekh kar dang rah gaya kyuki mujhe link ad par hi $18 ki CPC mili thi. Ye mere liye surprise se kam nahi tha. Us din se meri ye soch badal gayi ki hum lin kad se jyada adsense earning nahi kar sakte. Tab se ab tak main post ke top me or post middle place me link ad unit use karta hu or mujhe iska behtar fayda bhi mil raha hai.

Maine kafi bloggers ko dekha hai jo kuch professional bloggers ko dekh kar link ad unit istemal nahi karte hai. Main un sabhi ko suggest karunga ki wo ek bar text ad try kare or results check kare. Result kaisa rahega ye aap 1-2 day me nahi 15 to 30 days me hi jan sakte hai so 1-2 try karne se koi fayda nahi.

2. Full Width Size Header Ad Use Karna:

Website blog headwer me hum mostly 468*60 size ka ad unit use karte hai ya fir 728*90 size ka maine bhi use kiya magar wo bat nahi thi jo honi chahiye. Impressions bahut jyada hote the magar adsense earning utni nahi thi.

Maine har type ke ad unit use kiye but no benefit sabhi se same adsense earning hoti hai. Ek din mer dimag me ek idea aaya ki kyu na full size ka ad unit use kiya jaye or maine header me 468*60 size ke ads ko remove kar full size ka ad unit add kar diya.

Ek bar fir se surprise full siz ad unit ki CPC $0.50 to $2 thi. Ab main half header ads ko bhula chuka tha or maine blog par full size ka header ad unit use karne ka faisla kar liya. Yaad rahe yaha mai nheader ad unit ki bat kar raha hu but aapa ad placement kisi bhi tarah se adsense policy ka violation nahi karna chahiye.

Agar aap drop down sub menu use karte hai to aap menu ke niche ad use nahi kar sakte. Is bare me adhik jankari kel iye aap ye psot padhe Google Adsense Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte, Isme maine un sabih place ke bare me btaya hai jaha par ad unit karna adsense ki policy violation hai.

Ye trick mere liye aaj bhi kaam kar rahi hai. Haa isse blog ka thoda look jarur bigad jata hai magar ye half width ad unit se jyada faydemand hota hai. So aap ise try kar sakte hai.

3. Rectangle Ad Format Use Karna:

Abhi mera ad placement try karne ka silsila thama nahi tha or maine ek or trick pata ki jo wakai mai lajawab thi. Actually maine ab tak jo bhi ad unit try kiye the unme se responsive size ke ads sabse best the magar ye bh isach hai ki ye sabhi devices me proper work nahi karte.

Ye bat maine confirm ki hai or google khud bhi ye manta hai ki uske responsive ad all screen size ki device me sahi se kaam nahi karte. Mere pas 2 option the main custom size ke ad use karu ya responsive but dono me kuch problem thi jaise. Responsive ad unit ki desktop or kuch mobile device me height 100 px tak hi hoti thi.

  • Responsive ad unit sabhi devices me proper work nahi karte or sabse badi problem ye mobile me 300×100 size or computer me 728*90 size me convert ho jate hai jisse user ka is or dhyan hi nahi jta.
  • Custom size ka ad unit use karne se wo sabhi size ki device me full show nahi ho pata. For example, agar main 330*250 size ka ad use karunga to wo 300 px se kam size ke mobile device me sahi se show anhi hoga.

Ab mujhe aesi trick chahiye thi jisse main computer me full size ka ad show kar saku or mobile and desktop dono me uski height kam se kam 250 px ho. Aakhir main mujhe iske bare me pata chal jiska name tha rectangle ad unit.

Google rectangle ad unit provide nahi karta magar hum adsense ads ko rectangle bana sakte hai. Iske liye aapko ad code me ad format line me auto ki jagah rectangle add karna hota hai.

Main is bare me already Responsive Ad Unit Se AdSense Earnings Increase Kaise Kare post me btaya hua hai. Is post ke steps follow kar apa responsive ad unit ko rectangle bana sakte ho.

Iske bad aapki site par desktop version me responsive ad unit ki height 250px or width 100% rahegi. Yahi ad unit mobile and other device me screen ke according size change karta rahega.

Ek bar fir se mujh responsive ad unit se jyada fayda mila. Magar isme ye problem hai ki google adsense code ko edit karna allow nahi karta so is trick ko aap apne risk par use kare.

4. Matched Content Ad Unit Use Na Kare:

Lagbhag sabhi adsense publisher matched content ad unit istemal karte hai. Sabhi bade bloggers ye recommend karte hai or main bhi karta hu. Magar mere liye ye sahi nahi raha. Maine matched content ad unit istemal kiya or use monetize bhi kiya.

I know isse humari site ke visitors ko best related content milta hai or sath me usme google ads bhi show karta hai. But iski loading speed bahut jyada slow hai. Google ke baki ad unkit ki loading ki speed bhi slow hia magar matched content ads ka loading time kuch jyada hi slow hai.

Slow load hone ki wajah site page slow open hoti hai or adsense ke baki ad units ki speed bhi slow hoti hai. Main genesis framework use karta hu. So main jab post ke end me matched ad unit paste karta hu to site ke kisi page ko open karne se first matched content ad load hote hai uske bad sidebar ads.

Main ye to nahi kah sakta ki baki sabhi ke sath aesa hota hai kyuk isabhi genesis framework use nahi karte or sabhi theme genesis theme ki tarah anhi hoti but isse page load time sabka slow hota hai. Jiski wajah se aapko na sirf kam click milte hai balki CPC bhi kam hoti hai.

Google ke anusar matched content ads baki ad units me count nahi hote but inhe use karne se bak iad units ki CPC me far kpadta. So finally main aapse kahunga ki agar aap matched content a unit use karte ho to ek bar ise disable karke try kare fayda jarur hoga.

5. Page Level Ad  Istemal Na Kare:

Google humesha se popup ka virodh karta hai par ye kya. Google to khud hi poup ads provide karta hai. Page level ad unit use karne se mobile me aapki site open karne se opup ad show hote hai. Jo kisi bih tarah se user friendly nahi ho sakte.

Internet user youtube video par aane wale 5 second bad skip karne wale ad unit se pareshan hai or yaha to aapki site ke page ko dekhne kel iye ad skip karna hoga. Agar aap analytics use karte ho to aapko pata hoga ki user google me koi keyword type karte hai to wo bhi short me ya adhura so page level ad unit se visitors ko problem hoti hai.

Sirf itna hi nahi page level ad only mobile device me kaam karta hai but ye desktop device me bhi load hota hai. Yani desktop par page lvel ad unit use karne se koi fayda nahi magar ye fir bhi load hota hai. Simple word me ye apni site ki speed ko slow banane jaisa hai.

Main ye nahi kahta ki aap page level ad unit use mat karo magar aap ek bar adsense par page level ad ki performance report check kar lo agar aapko isse bahut jyada fayda nahi mil raha hai to ise apni site se hata do.

6. Google Se Organic Traffic Badhao:

Jab maine blogging start ki thi to traffic ke liye social media par active rahta tha kyuki mujhe blog ka traffic badhana tha. Aesi bat nahi hai ki mujhe google search engine ke bare me pata nahi tha magar traffic ke liye meri paheli pasand social media hi tha.

Pahle social media se traffic kamana bahut aasan tha magar ab sabkuch badal gaya hai. Jaha pahle facebook par kisi group me post share karne se thousand me traffic milta tha waha aaj 100+ traffic milna mushkil hai. Kuch aesa hi google plus community ke sath hai. Google plus se maine pahle one day me 15,000 tak traffic receive kiya tha par ab nahi.

Ab bat aati hai adsense earning ki maine social media and organic traffic dono ki earning check ki or paya ki organic traffic social traffic se kahi jyada best hai .Are nahi kahi jyada nahi bahut jyada best hai. JGoogle adsense publisher ke liye organic traffic sabse jyada important hota hai.

Kyuki google se aane wale adhiktar visitors ko adsense ads ki knowledge nahi hoti or wo interest ke anusar ad par click kar lete hai. Magar social media se aane wale traffic or referral traffic me mostly users ko adsense ad ka pata hota hai or wo kabhi bhi ad par click nahi karte.

  • Google Adsense Se 10,000 Traffic Par $20 Se $50 Kaise Kamaye

Main confirm kar chuka chuka hu ki organic traffic adsense earning ke liye jitna jaruri hai utna or koi nahi. So jitna ho sake apni site par organic traffic badhao.

7. AdSense Search Ad Unit Ka Istemal Kare:

Aapne google custom search engine ke bare me to suna hi hoga. Nahi main iski bat nahi kar raha hu. Main bat kar raha hu fast loading custom search engine ki example ke liye aap is blog ka search box try kar sakte ho. Ye na sirf fast loading hai balki user friendly bhi hai.

Isme search results blog page me hi show hote hai or user ke next previous option par click karte par sirf search results hi refresh hote hai. Iske liye aapko blog search feature ko custom search me convert karna hoga.

Normally wordpress and other software search feature me wrong word type karne se no results error aata hai. Magar google custom search me galat shabd likhne se bhi related result show hote hai. Isse aapke visitors ko jarurat ki jankari search karne me aasani hogi.

Google custom search results me ad units show hote hai otr sabse achhi bat ye ad blocker se bhi hide nahi hote. Jo user ad blocker use karte hai unke browser me bhi search results me ad show honge. Maine ise try kiya hai or bahut fayda bhi mila hai.

8. Different Color and Fonts Use Karo:

Agar aapne apni site par display ad and text ad units ka color or font apni site ke color or font se match kiya hua hai or aapke pas achha traffic hai fir bhi achhi earning nahi ho rahi hai to aapko adsense ads ke text and display ad ka color and fonts change karke dekhna chahiye.

Aap ye tricks use karke 1 week tak wiat karo or results check karo mujhe ummid hai aapko fayda jarur milaga. Kyuki jaisa maine upar btaya tha ki sabhi ke liye same trick kaam nahi karti sabhi visitors alag alag hote hai or unki soch bhi alag hoti hai.

For example aap All Tech Buzz blog ko dek hsakte ho. Is site par adsense ads or site content me din rat ka antar hai. Simple hai iske owner ko isse same font and color sue karne se jyada different font or color use karne se jyada fayda hota hai.

Ek week ke bad check karo agar aapko adsense CTR me fayda milta hai to aap ise use karte sakte ho or agar aapki adsense CTR decrease hoti hai to aap ise avoid kar sakte ho. Maine ise try nahi kiya hai but I know isse fayda jarur milta hai.

9. Content and Ad Unit Ke Bich Space Rakho:

Normally maine dekha hai ki sabhi adsense publisher ad unit ko apne content me paste karte time uske space par dhyan nahi dete. Starting me maine bhi aesa kiya tha. Google policy ke anusar content and ad unit me prayapt space hona jaruri hai taki user content or ads ko ek hi na samajhe.

Maine ise try kiya or content and ad unit me 30px ka space rakho isse pahle main 10px ka space rkahta tha. Amazing 30px psace karne ke bad meri adsense CPC badh gayi. Ab aap kahenge ki aesa kaise ho sakta hai. Actually user adsense ads me interest ho kar click karta hai or bina interest ke click karta hai usme fark hota hai. Ise aap is example se samajh sakte ho.

  • Jab koi aapke ad par bina interest ke clic karega to uski CPC $0.2 to $010 tak hi hogi.
  • Jab koi aapke ads par interested ho kar click karega or usme interest lega to aapko uski real CPC milegi.

For example, Insurance Keyowrds ki CPC sabse jyada hai ab user ka kahna hai ki unke is keyword par content likhne par bhi jyada CPC nahi milti hai. Actually aapko real CPC tabhi milti hai jab uswer ad me full interested ho.

Now, aap content and ad me prayapt space rakhoge to user aapke ad unit par interested ho kar hi click karega or koi bhi ad ko content samajh kar lcick nahi karega. Isse aapko sirf unique click hi milenge jisse na sirf aapki CPC badhegi balki aapko kabhi invalid click ki problem bhi nahi hogi.

Iske alawa aapke post me ek se jyada ad unit use karne par dono ad units ke bich kam se kam 300 words ke paragraph ka space hona chahiye. Do ad unit ek place par show hone par aapki earning decrease hogi.

10. Humesha Large Ad Unit Use Kare:

Agar aap wakai me adsense earning ko duable karna chahate ho to large size ke ad unit use karo. Humesha 336+228 large rectangle, 300*250 rectangle and apni site ke page ki width ke anusar full width ka ad use karo. Header me 728*90 size ke ad ka istemal karo.

Jab maine small ad units ka istemal kiya to meri adsense earning kafi had tak kam ho gayi thi magar large ad unit use karne se earning duable ho gayi. Large ad unit use karne se CTR increase hota hai.

Meri sabse achhi pasand rectangle ad unit hai. Maine bahut se ad format use kiye hai but rectangle in sabhi me best hai. Responsive ad unit ko rectangle bana kar use karo achha result milega.

Agar aapki site ke apge ki width 70px hai to ad unit ki px bh i700 ya 100% rakho taki ad sahi se perform kar sake. Ad jitna sahi se load hoga utna hi jaldi load hoga. User ke apaki site ke page ko open karte hi ad load hone chahiye.

Iske alawa ek page me maximum 3-4 display ad unit hi use karo. Itne jyada d use mat karo ki aapki site open hone me bahut time lage. Aapki site jitni fast loading hogi utna hi achha hoga.

Conclusion,

Ye thi adsense arning increase karne ki wo tricks jinhe main istemal karta hu or mujhe inse fayda bhi mila hai. I know aap inhe seriously loge or sahi se follow karoge to aapki adsense earning bhi 100% increase hogi. Bas aap ih ek bar achhe se samajh le usk bad aap kam traffic par bhi adsense se achhi income kar sakoge.

Aap inhe try kare or 15 to 30 days bad result dekhe aapki adsense earning jarur badhegi. Agar aap 1-2 day me apni earning increase karne ke bare me soch rahe ho to aesa nahi ho sakta. Isme 2-3 week ka time lagega tab ja kar aapki earning increase hogi.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends and other adsense publisher ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 45 )

  1. Deepesh kumar

    Sir Adsense approved ho jane kebaad kitne ddin ke baad hamko apne blog par ads lagane chahiye.kyuki abhi visitors increase nahi ho rahe hai to mai ads nahi laga raha hu..aapka suggestions de ki kya karna chahiye mujhko.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Ads lagao aur traffic increase karo.

      Reply
  2. Ankit kumar

    Jume din bhai kya mai ek AdSense account se 2 blog me laga sakte hain ek free hai aur duara WordPress

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Ye agar dono par custom domain hai to warna nahi.

      Reply
  3. fayyaz ahmad

    sir main apna blog ka page ek bar open karta hu to uske pageview 5 ya 4 ese bhad jate hain esa q..ek bar kiya to ek hi hona chaiye..

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapke siwa koi or bhi page open kar sakta hai or kai bar mistake ki wajah se aesa hota hai aap analytics use karo.

      Reply
  4. fayyaz ahmd

    sir mera blog show to horha hai but post hi show nhi hogi to kya fayda milega mujhe..main apne post title ke name se bilkul same 2 same serch krrha hu fir bhi show nhi horhi q..sir iska resons and mere blog ki or kmiyaa

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Maine aapki old commentpar iska solution btaya hai wo check karo.

      Reply
  5. Ranvir

    Really you r great sir. I follow you too much.

    Reply
  6. zakir khan

    Asslam walekum bhaijaan me jab b AdSense k liye apply karta hu to ye mail aati h kya kru ki ye approved ho jaaye.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapke content par Insufficient content ki wajah se adsense approve nah iho raha hai. Aap blog par abhi or post likho or traffic badhao fir apply karna.

      Reply
      • zakir khab

        abi mere blog me 35 post h aur kitni post chahiye kam se
        kam

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Post se matlab nahi hai content achha likho short content mat likho.

          Reply

Leave a Comment

I need help with ...