Google AdSense hume kai tarah ki categories ke ads provide karta hai. Humara blog kisi bhi topic par ho usse related keywords par adsense ads available hote hai lekin kuch category humari site content se unrelated hoti hai aur unke ad dikhane se hume bahut kam benefit hota hai. Agar hum in unrelated categories ko block kar de to humari adsense earning increase ho sakti hai. Is post me main iska tarika bta raha hu.
Google adsense world ka most popular aur top advertising program hai aur iske bas har topic se related ads available hote hai lekin jab hum ek blog run karte hai to us par ek limit topics par kaam karte hai. For example, SMI blog par Blogging, SEO, Make Money etc. category ke articles jyada share hote hai.
Isi tarah se har blogger ke pas simit topics hote hai aur google adsense me by default sabhi categories unblock hoti hai. Ab mera topic blogging hai to mere blog par health ads ka koi kaam nahi hai, kyuki mere blog par wohi user aayega jise blogging ki jankari chahiye.
Isiliye hum agar google adsense mein unrelated categories ko block kar de to related ads jyada show honge aur hume jyada ad click milenge, CPC increase hogi, natijan hum adsense se jyada paisa kama sakenge.
Google AdSense Me Unrelated Categories Ko Block Kar Earning Increase Kaise Kare – Hindi Jankari
Hum sab jante hai ki google user ki activity track kar uski choice ke according ads show karta hai lekin google content se related ads bhi show karta hai aur related ad par clicks jyada milte hai.
Isiliye hum unrelated ads ko block kar sirf related ads display kar sakte hai. Main ye experience karke dekh chuka hu, mujhe CPC, Clicks dono me fayda hua hai.
- Sabse pahle aap google adsense me jaye aur apni gmail ID se log in kare.
- Ab left sidebar me Allow & block >> All my sites par click kare.
- General Categories option select kare.
- Ab % Earnings option par click kare minimum earning percentage categories dekhe.
- Jin categories se aapki earning nahi ho rahi ho ya fir impressions jyada aur earning kam ho unhe block kar de.
- Block karne ke liye aap us category ke left side me right toggle ko disable kar de.
Isi tarah aap Sensitive category aur other categories ads ko block kar sakte ho. Yaad rahe starting me 2-5 topics ko hi block kare jisme 30-100 categories block ho jayegi. Shuruaat me hi bahut sari category ko block na kare warna adsense earning down ho jayegi.
Is experiment ko 10-15 tak try karke dekhe, I’m sure aapko benefit jarur milega. Main is trick ko kafi time se istemal kar raha hu aur is tarike se meri adsense earning 20%-30% tak increase ho gayi hai. I hope ki ye trick aapke liye bhi achha work karegi.
- Google AdSense Earning Increase Karne Ki 10 Simple Tips
- Low CPC Sites Block Kar Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends aur other blogger ke sath share jarur kare.
sir kya smi ke har post me link ads menualy lagaya jata hai ya sabhi post me automatic link ads use kiya jata hai
Manually bhi aur automatically, iske liye main custom plugin use karta hu.
Khan bhai ye mera blog hai isme mai free pdf Magazine provide karata hu jisme post ki length kam hai. Kya is blog me adsense ke ads lagane par adsense block ho sakta hai kyoki bahut logo ka maine dekha hai “your adsense is blocked due to insufficient content”
Nahi, ab aesa nahi hota hai ab jis page me content kam ho usme ad show hone band ho jate hai.
Bahi aapne bahut hi achhi post share ki hai ..
or is post se bloggers logo ko bahut kuchh seekhne ko milega ””
thanx for sharing this post……………..
मैं उन हिन्दी बलॉगरस को सलाह देना चाहुँगा कि अगर आप अपने ब्लॉग पर शुद्ध देवनागरी लिपि का ही प्रयोग करते है, तो categories को block मत करें। जब मैंने ऐसा किया था, तो मेरे ब्लॉग पर काफी कम ही बार ad दिखते थे। कई बार तो ads वाली जगह खाली ही रह जाती थी। जब मैंने categories को फिर से unblock किया, तो ad ज्यादा बार दिखने शुरू हो गए।
Categories को block करना उन bloggers के लिए सही है, जो या तो English में Blogging करते है या फिर Hindi language को roman में लिखते हैं।
धन्यवाद।
No bro, aap un categories ko block karo jo aapke topic se unrelated ho, aesa karne se un ads ki jagah aapki site ke content se related ad show honge. Jyada mat karo, jyada categories ko block karne se aesa hota hai.