Agar aap kisi bhi website ka old version dekhna chahate ho ya aapko apni website blog ki kisi post and page ka old version check karna hai to ye post aapke liye hai. Aaj main aapko aesa tarika btane wala hu jisse aap 1-2 saal nahi 10+ year se bhi jyada old look check kar sakte ho. Is tool se aap kisi bhi website ka 1997 se ab tak ka old look dekh sakte ho. Top Best No.1 Website Old Version Checker FREE Online Tools.
Internet par sabse jyada istemal google search engine ka hota hai. Shayad hi koi hoga jo google ka old version dekhna nahi chahega. Har koi dekhna chahega ki 2000 me google kaisa tha kaisa dikhta tha uska logo kaisa tha. Aesa aap apni kisi bhi favorite site ke liye soch sakte ho.
Internet par aapko old version ya cache version check karne ke liye bahut sari website, software and online tool mil jayegi magar is websites par aap old se old version dekh sakte ho jo ki kisi or site ya tool par available nahi hai.
- Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi
- Computer Me Bad Websites Ko Block and Filter Kaise Kare
To chaliye ab main bina time west kiye aapko us tool ke bare me btane wala hu jis par aap kisi bhi site ka old version check kar sakte ho or agar aapki khud ki site hai to aap apani site ka old data recover kar sakte ho.
Kisi Bhi Website Ka Old Version Check Kaise Kare
Yaha par btayi gayi tool se aap website, blog and other all type ki sites ka old look browse kar sakte ho. Agar aap website owner ya blogger hai to ye aapke liye sabse jyada beneficially sabit ho sakta hai kyuki agar aapse galti se koi post ya page delete ho gaya hai to aap is site par uska old version check karke apni post ko fir se recover kar sakte ho.
Step 1:
- Sabse pahle aap Way Back Mashine website par visit kare.
- Ab search bar me apni site ka URL ya aapko jis page ka old version dkehna hai us page ka link add kare or enter kar browse kare.
Step 2:
Ab kuch hi time me aapke samne us site ka old version hoga. Ab yaha par aap time select kar site ka old version dekh sakte hai.
- Jis page ka old version dekhna hai uska link add kare.
- Yearly time select kare. Jab site create huyi hogi tab tak ka old look mil jayega.
- Ab yaha aapke dwara select ki gayi year ke month ke according wo sabhi dates highlight hogi. Jis date ka backup waybackmashine site par hoga. Aapko jis time ka old version dekhna hai us date par click kare.
Ab aapke samne us site ka us time ka old version show hoga. Is tarah se aap kisi bhi website ka old version check kar sakte ho. Iske alawa or bhi bahut si tols hai magar mujhe waybackmashine sabse best lagti hai.
Iska sabse achha fayda ye hai ki website owner isse apni old posts ko recover akr sakte hai. Main bhi kai bar iska istemal kar chuka hu aap bhi kar sakte ho. Sabse achhi bat ye hai ki ye website free service private karti hai.
Agar aapko kabhi site hacking problem ho or kisi wajah se aapki site crack ya offline ho jaye or aapke pas uska backup nahi hai to is site ki help se aap apni site ki lagbhag 70% data ko recover kar sakte ho. Agar kisi ke sath aesa hua hai to aap use is tool ke bare me bta sakte hai.
- Computer / Laptop Me Screenshot Kaise Le (4 Tricks)
- Blog Ka Sahi Tarike Se SEO Optimization Karwane Ki 5 Best Tips
Is tool ko try kare or agar aapko ye pasand aaye to ise social media and other people ke sath share jarur kare.
Aapne Bahut Achha Article Share Kiya Hai,,,,,,,,,,Thanks