Mobile Phone Ki Battery Ko Damage Hone Se Kaise Bachaye 7 Tips

Mai manta hu aap smartphone ke bare me bahut kuch jante ho. But mobile phones ke bare me kuch bate aysi hoti hai jinke bare me kuch logo ko abhi tak pata nahi hai. Inme se hi ek metter hai mobile ki battery ko damage hone se kaise bachaye or battery life kaise badhaye. Bahut se log iske bare me janna chahate hai kyuki mahnge or achi battery backup wale phone kharidne par bhi unko kam battery chalne ki problem bani rahti hai.

Mobile Phone Battery Saver Tips

Phone ki battery ki proper life ek year two year ya fir kitni hoti hai. Customer ke liye ye janna jaruri hota hai magar iska fix time btana bada mushkil hai kyuki mobile ki battery life bahut se factors, including ambient temperature or cellular signal strength par depend karti hai. Jaise hum apne smartphone ki battery ko lagatar kitne time tak use karte hai or kab charge karte hai. Koi mobile ko din me 10 bar charge karta hai or koi 2 day me sirf ek bar charge karta hai.

Yaha mai aapko kuch tips bta raha hu jo iPhone, Ipad, Android, Apple, BlackBerry, Tablet and other sabhi type ke mobile me work karegi. Inhe follow karke na sirf aapke smartphone ki battery jyada chalegi balki aapki battery ki life bhi badhegi or battery kabhi damage nahi hogi.

Smart Phone Ki Battery Life Kaise Bachaye 7 Power Saver Tips

Internet par agar aap google me mobile battery life ke bare me search karoge to aapko iske bare me bahut sari tips mil jayegi. But mai yaha aapko kuch important battery saver tips bta raha hu. Jinse aapko hakikat me fayda hoga.

1. Use charger who came with your phone: चार्जर जो आपके फोन के साथ आया था प्रयोग करें।

Aapko wohi charger use karna chahiye jo phone buy karte samay mobile ke sath aata hai. Yani mobile ke sath aane wale usi company ke charger se battery charge kare. Ek servey ke anusar other company or local charger se apna mobile charge karne se battery jaldi kharab ho jati hai or sabse badi problem is se mobile ki battery life bahut kam ho jati hai or battery bahut kam time me damage ho jati hai.

2. Charge the battery before fully end: बैटरी पूरी तरह Low होने से पहले चार्ज करें।

Aksar ye sunne me aata hai ki mobile ki battery ko full low hone ke bad charge kare, Magar ye sirf ek bakwas hai. Sachai ye hai ki agar aap apne hone ki battery ki life capacity badhana chahte hai or chahate hai ki aapke mobile ki battery achi chale to use 20-30% low hone se pahle charge karna chahiye. isse battery damage hone ka khatra bhi kam ho jata hai.

3. The heat is enemy of battery. keep cool your phone: गर्मी बैटरी की दुश्मन है। अपने फोन को शांत रखें।

Heat yani garmi mobile ki battery ko bahut teji (Faster) se kharab kar deti hai isiliye jaha bahut jyada garami ho waha mobile ko istemal karne se bache. Aapki battery agar garm hoti hai to ye bahut jaldi dead ho jayegi bhale hi aap ise use na kare. Yaad rakhe phone ki battery use karne se hi nahi charge me lage huye, kisi garm jagah ke aas-pas phone device ko rakhne se bhi heat ho sakti hai.

North india like delhi, rajasthan jaha garmi ke mousam (Summer Weather) me temperature 40 degrees se bhi jyada hota hai. Ayse place par mobile ko thoda sa use karne se hi uski battery warm hone lagti hai. So agar aap north india se hai to apne mobile ka khyal rakhe or AC lage room ya cool weather time me hi phone use kare.

4. Try to keep the battery at 50% charge: बैटरी को आधा भरा रखने का प्रयास करें।

Google guru ka kahna hai ki smarphone ki battery ko humesha 50% se jyada charge rakhne se battery ki life capacity increase hoti hai or battery damage hone ki problem kam ho jati hai. Or google ki kahi bahut si bat true hoti hai. Mera matlab ye bat bhi sach ho sakti hai.

5. Avoid charging the battery again to again: बैटरी को बार बार चार्ज करने से बचें।

Aajkal ke young people bahut jyada time tak smartphone use karte hai. Bahut se log to har waqt apne phone me lage rahte hai. Inme sabse jyada internet user hote hai. Internet use karne se battery jaldi low hoti hai is wajah se unhe bar bar battery ko charge karna padta hai. Is activity se new phone ki battery bhi 3-5 month me 1-2 houres chalne lag jati hai. Actually bar bar charge karne ya lagatar charge me lagaye rakhne se battery jaldi khatm or damage ho jati hai. Kyuki is position me battery ek hi stage me hoti hai. So battery ko bar bar charge karna avoid kare.

Doctors kahte hai ki jyada ya galat time par khana khane se humari tabiyat kharab ho sakti hai theek wese hi phone ko bar bar charge karne se uski battery jaha 2 saal ki capacity rakhti hai wo 1 saal bhi mushkil se chal pati hai. So smartphone ko regular use karne se bache or battery ko bar bar charge na kare.

6. Do not buy mobile with low battery: कम बैटरी वाला मोबाइल न खरीदें।

New mobile kharidne time aksar bahut se mobile ki battery off milti hai ya bahut jyada low hoti hai. Iske bare me dukandar (Shopper) se puchne par wo kahte hai ki mobile ko bahut time tak charge nahi kiya gaya hai. But kei bar iska galat reason bhi ho sakta hai. Phone ki battery damage ho sakti hai ya fir usme koi kami ho sakti hai. Ya fir wo battery bahut purani ho sakti hai. Isiliye humesha 30% to 50% charging wala phone hi buy kare.

7. Do not exchange phone’s battery with anyone: किसी के साथ भी बैटरी अदला-बदली न करें।

Bahut bar hum kisi dost ya kisi or ke sath apne mobile ki battery exchange kar lete hai. Hum is lalach me aa jate hai ki uski battery humari battery se jyada mAh power ki hai to jyada time tak chalegi. Is lalach se bache or apne phone ki battery kisi ke sath na badale. Aysa karne se koi aapko dead battery bhi exchange kar sakta hai.

Finally, Inke alawa bhi apne phone ki battery ko pani (water) se bacha kar rakhe or mobile ko jyada nami wali jagah par rakhne se bhi bache. Agar aapke pas inke alawa koi or battery saver tips hai to aap bhi comment section me apni tips share karke humare readers ki help kar sakte ho.

I hope you like this article and get helpful information about phone battery life saver tips. If yes, Share this post on social media with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 45 )

  1. Davinder Choudhary

    Sir mere pass lyf wind 7 he uski battery 2250 mah Valli he Jo Jldi hi khatm ho jati he kya main us phone main Jyada MAh Vali battery Ka estemal kr skta hu please rply sir main Battery Khrid skta hu kya Jo mukhe ek acha result de

    Reply
  2. Biswajit sutrodhar

    Nice article sair

    Reply
  3. Pawan

    Sir mere phone ki battery me overheating hote h kya prevention ho skta h

    Reply
  4. faruki

    kya main samsung galaxy j5 mobile me samsung j2 pro ka battery dal kar use kr sakti hu??

    Reply
    • Jumedeen Khan

      ye puchne ki bat nahi hai you can try.

      Reply
  5. yogita koli

    Sir mere mob mai 60%change hone pr bhi mob swich off ho jatat h battery bhi badal diyi h products 2 manth kele bad vasap ho rha h plz mai kya kru samjt mai nahi aavadat rha plz aap bata sakte h kya plz tell me.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap mobile repairing shop par mobile check karwao.

      Reply
  6. Sandeep singh

    Sir….. Meri battery jaldii discharge ho jaati hai…. 6 ghante mein charge hoti hai aur 30 mint tak chalti hai…. Plz solve my problem

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapko ek bar mobile me dusri battery laga kar dekhiye chahiye agar wo achhe se kaam karti hai to aapke mobile ki battery kharab hai.

      Reply
  7. Ashish

    सर आपके द्वारा बताये गए टिप्स बहुत हेल्पफुल है। एंड्राइड यूजर के लिए। इसके लिए इसका भी ध्यान रखें क़ि हम फ़ोन को हमेशा फुल चार्ज होने तक ही चार्ज करें। सिर्फ 5 या 20 मिनट के लिए नहीं।

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...