Mobile Phone Ki Battery Ko Damage Hone Se Kaise Bachaye 7 Tips

Mai manta hu aap smartphone ke bare me bahut kuch jante ho. But mobile phones ke bare me kuch bate aysi hoti hai jinke bare me kuch logo ko abhi tak pata nahi hai. Inme se hi ek metter hai mobile ki battery ko damage hone se kaise bachaye or battery life kaise badhaye. Bahut se log iske bare me janna chahate hai kyuki mahnge or achi battery backup wale phone kharidne par bhi unko kam battery chalne ki problem bani rahti hai.

Mobile Phone Battery Saver Tips

Phone ki battery ki proper life ek year two year ya fir kitni hoti hai. Customer ke liye ye janna jaruri hota hai magar iska fix time btana bada mushkil hai kyuki mobile ki battery life bahut se factors, including ambient temperature or cellular signal strength par depend karti hai. Jaise hum apne smartphone ki battery ko lagatar kitne time tak use karte hai or kab charge karte hai. Koi mobile ko din me 10 bar charge karta hai or koi 2 day me sirf ek bar charge karta hai.

Yaha mai aapko kuch tips bta raha hu jo iPhone, Ipad, Android, Apple, BlackBerry, Tablet and other sabhi type ke mobile me work karegi. Inhe follow karke na sirf aapke smartphone ki battery jyada chalegi balki aapki battery ki life bhi badhegi or battery kabhi damage nahi hogi.

Smart Phone Ki Battery Life Kaise Bachaye 7 Power Saver Tips

Internet par agar aap google me mobile battery life ke bare me search karoge to aapko iske bare me bahut sari tips mil jayegi. But mai yaha aapko kuch important battery saver tips bta raha hu. Jinse aapko hakikat me fayda hoga.

1. Use charger who came with your phone: चार्जर जो आपके फोन के साथ आया था प्रयोग करें।

Aapko wohi charger use karna chahiye jo phone buy karte samay mobile ke sath aata hai. Yani mobile ke sath aane wale usi company ke charger se battery charge kare. Ek servey ke anusar other company or local charger se apna mobile charge karne se battery jaldi kharab ho jati hai or sabse badi problem is se mobile ki battery life bahut kam ho jati hai or battery bahut kam time me damage ho jati hai.

2. Charge the battery before fully end: बैटरी पूरी तरह Low होने से पहले चार्ज करें।

Aksar ye sunne me aata hai ki mobile ki battery ko full low hone ke bad charge kare, Magar ye sirf ek bakwas hai. Sachai ye hai ki agar aap apne hone ki battery ki life capacity badhana chahte hai or chahate hai ki aapke mobile ki battery achi chale to use 20-30% low hone se pahle charge karna chahiye. isse battery damage hone ka khatra bhi kam ho jata hai.

3. The heat is enemy of battery. keep cool your phone: गर्मी बैटरी की दुश्मन है। अपने फोन को शांत रखें।

Heat yani garmi mobile ki battery ko bahut teji (Faster) se kharab kar deti hai isiliye jaha bahut jyada garami ho waha mobile ko istemal karne se bache. Aapki battery agar garm hoti hai to ye bahut jaldi dead ho jayegi bhale hi aap ise use na kare. Yaad rakhe phone ki battery use karne se hi nahi charge me lage huye, kisi garm jagah ke aas-pas phone device ko rakhne se bhi heat ho sakti hai.

North india like delhi, rajasthan jaha garmi ke mousam (Summer Weather) me temperature 40 degrees se bhi jyada hota hai. Ayse place par mobile ko thoda sa use karne se hi uski battery warm hone lagti hai. So agar aap north india se hai to apne mobile ka khyal rakhe or AC lage room ya cool weather time me hi phone use kare.

4. Try to keep the battery at 50% charge: बैटरी को आधा भरा रखने का प्रयास करें।

Google guru ka kahna hai ki smarphone ki battery ko humesha 50% se jyada charge rakhne se battery ki life capacity increase hoti hai or battery damage hone ki problem kam ho jati hai. Or google ki kahi bahut si bat true hoti hai. Mera matlab ye bat bhi sach ho sakti hai.

5. Avoid charging the battery again to again: बैटरी को बार बार चार्ज करने से बचें।

Aajkal ke young people bahut jyada time tak smartphone use karte hai. Bahut se log to har waqt apne phone me lage rahte hai. Inme sabse jyada internet user hote hai. Internet use karne se battery jaldi low hoti hai is wajah se unhe bar bar battery ko charge karna padta hai. Is activity se new phone ki battery bhi 3-5 month me 1-2 houres chalne lag jati hai. Actually bar bar charge karne ya lagatar charge me lagaye rakhne se battery jaldi khatm or damage ho jati hai. Kyuki is position me battery ek hi stage me hoti hai. So battery ko bar bar charge karna avoid kare.

Doctors kahte hai ki jyada ya galat time par khana khane se humari tabiyat kharab ho sakti hai theek wese hi phone ko bar bar charge karne se uski battery jaha 2 saal ki capacity rakhti hai wo 1 saal bhi mushkil se chal pati hai. So smartphone ko regular use karne se bache or battery ko bar bar charge na kare.

6. Do not buy mobile with low battery: कम बैटरी वाला मोबाइल न खरीदें।

New mobile kharidne time aksar bahut se mobile ki battery off milti hai ya bahut jyada low hoti hai. Iske bare me dukandar (Shopper) se puchne par wo kahte hai ki mobile ko bahut time tak charge nahi kiya gaya hai. But kei bar iska galat reason bhi ho sakta hai. Phone ki battery damage ho sakti hai ya fir usme koi kami ho sakti hai. Ya fir wo battery bahut purani ho sakti hai. Isiliye humesha 30% to 50% charging wala phone hi buy kare.

7. Do not exchange phone’s battery with anyone: किसी के साथ भी बैटरी अदला-बदली न करें।

Bahut bar hum kisi dost ya kisi or ke sath apne mobile ki battery exchange kar lete hai. Hum is lalach me aa jate hai ki uski battery humari battery se jyada mAh power ki hai to jyada time tak chalegi. Is lalach se bache or apne phone ki battery kisi ke sath na badale. Aysa karne se koi aapko dead battery bhi exchange kar sakta hai.

Finally, Inke alawa bhi apne phone ki battery ko pani (water) se bacha kar rakhe or mobile ko jyada nami wali jagah par rakhne se bhi bache. Agar aapke pas inke alawa koi or battery saver tips hai to aap bhi comment section me apni tips share karke humare readers ki help kar sakte ho.

I hope you like this article and get helpful information about phone battery life saver tips. If yes, Share this post on social media with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 45 )

  1. hello sir mera name vijay mehta hai
    main ek website banana chahta hu
    kiya aap meri help karoge
    kuch photoshop aata hai

    Reply
    • why not boliye aapko kya help chahiye.

      Reply
  2. Maine dekha hai aksar meri comment ko approve nahi kiya jata hai or na hee meri guest post ko publish kiya jata hai. Bhai jumedeen kahi aapko aisa to nahi lagta ki mene aapki website se padkar website banana sikh hai or mai usi subject par post likhta hu jispar aap. agar aisa sochte ho to mai aapko bata du ki mene apni website bahut pahle se bana rakhi hai or mene ye sab mere Guru Kuldeep sir se sikha hai jo Bccfalna.com ke owner hai. or rahi baat user same topic ki to main bata du aapko ki mai adhiktar post career par likhta hu sirf 10-15% post meri website banane se sambandhit hai. Mai aapka competitor nahi hu or na hee banna chahta hu. aap logo ki help karte ho to mai bhi kuch puch leta hu bas or kuch nahi.

    Reply
    • Ye sirf aapki soch hai ki mai aysa sochta hu. Agar mai aysa sochta to blogging ke bare me post nahi likhta mera main topic hi yahi hai ki mai other blogger ki help kar saku. So only blogging par post karta hu. Aap galat sochte ho. Second agar aap sirf backlinks ke liye useless comment karoge to approved nahi hogi. SDahi comment karoge to aapko reply jarur milega. Mai ye bhi nahi sochta ki aapne mere blog se blogging sikhi hai. Shayad aysa miane kisi se nahi kaha ho.

      Reply
  3. Bro New theme ko XML me Kr ke dedo for my blogger.

    Reply
    • Aap mujhe admin@supportmeindia.com par template send karo mai convert kar dunga.

      Reply
  4. Jume din sir Maine AdSense apply kiya to ye reply aaya—plz aap ye email dekh kar bataye ki dobara approved karne k liye hme kya karni chahiye —

    Thank you for your interest in Google adsense. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to accept you into AdSense at this time.

    We did not approve your application for the reasons listed below.

    Site does not comply with Google policies: We’re unable to approve your AdSense application at this time because your site does not comply with the Google AdSense programme policies or adhere to the Webmaster Quality guidelines. It’s our goal to provide our advertisers sites that offer rich and meaningful content, receive organic traffic and allow us to serve well-targeted ads to users. We believe that currently your site does not fulfil this criteria.

    Here are some recommendations to help you improve the user experience on your site and comply with AdSense criteria: 

    It’s important for sites displaying Google ads to offer significant value to the user. As a publisher, you must provide unique and relevant content that gives users a reason to visit your site first.Don’t place ads on auto-generated pages or pages with little to no original content.Your site should also provide a good user experience through clear navigation and organisation. Users should be able to click through your pages easily and find the information that they’re seeking.

    Reply
    • Aapki site AdSense policy or Webmaster Quality guidelines. follow nahi karti hai. na hi aapki site par search engine se traffic aata hai. So pahle aap pane blog par quality content likho or traffic badhao uske bad AdSense ke liye apply karna.

      Reply
  5. एक ओर भी कि इनवर्टर पर भी चार्ज करने से बचें।

    जुमेदीन भाई क्या पुरानी पोस्टो के स्लग्स बदलनेे से SEO पर तो कोई प्रभाव नही पड़ता ना।

    Reply
    • हा बिलकुल पड़ता हैं, आप पुराणी पोस्ट की सर्च रैंकिंग देख कर उसमे जरुरी बदलाव कर सकते है पोस्ट फर्स्ट पेज पर आ जायेगीं

      Reply
      • jumedeen sir agr koi new bettery full jay to use kaise thik kar sakte hai

        Reply
        • Dinesh battery ki ek life time hoti hai or agar battery full rahi hai to iska matlab wo kharab hai use use karna danger ho sakta hai.

          Reply
  6. Bro mera intex tablet on hi nhi hota h uska software khrab ho gya h uske software ko me pc se kaise update ker sakta hu kya aap bta skte ho

    Reply
    • Iske bare me aap mobile, tablet repairing karne wale se bat karo.

      Reply
  7. Sir maine apne blog ka naam dainikmail.blogspot.com se change kar timekhabar.com kar diya hain aur is nam ka domain (www.timekhabar.com) jode hain.
    Par 24 hours se jyada ho gya hai par ab tk mera site nhi khulta hain.
    Jab kholta hu godaddy ke site par pahuch jata hu. Aap dekh lijiye.

    Reply
    • Don’t worry kei bar domain ko active hone me 1-2 day bhi lag jate hai. Thoda wait karo aapki site khulne lag jayegi.

      Reply
    • Sir mujhe ek aur jankari chahiye ,
      Main chahta hu ki apne website ke address change karu aur domain vahi
      Rahe to kya SEO ke liye sahi hoga.

      Reply
      • Domain change karne se aapki site ki SEO rank fir se 0 ho jayegi or sabkcuh fir se index hoga. But agar aapko lagta hai ki domain change karna chahiye to biklul kar sakte ho. miane bhi kiya tha.

        Reply
  8. jumedeen ji please help me, mene AdSense ka koi response na aane ki wajah se account cancel kar diya ths but ab login hi nahi ho raha hai 4 din ho gaye. login ki button me click karta hu to load hi nahi leta. me kya karu ab koi message bhi show nahi ho raha hai. please koi solution batao.

    Reply
    • Log in nahi ho raha hai to aap usi gmail id se sign up karo ho jayega.

      Reply
      • sign up me email already registered bata raha hai.

        Reply
        • Iska matlab aapka AdSense account abhi active hai. Ab aa ppahle browser me gmail.com ko open karke log in karo or fir adsense.com ko pen karo. open ho jayega.

          Reply
          • mene wo bhi kiya but direct AdSense account open hone ki bajaye usme site fill and language choose karne ka option aata hai aur dono cheez kar ke save and continue me click karo to kuch response hi nahi milta. bas save and continue ke button ka color down ho jata hai. mene sab tarike kiye.
            blogger se bhi direct kar ke dekha fir bhi wahi problem.

          • save and continue par click karke thoda wait karo ho sakta ye slow internet ki wajah se aa raha ho. Ya fir aap dusre browser me check karo fir bhi na kar sako to contact form me mujhe id bta dna mai kar dunga.

    • mene contact form me id send kar diya hai . thoda jaldi kar dijiyega please

      Reply
      • Maine check kiya hai koi problem nahi hai sabkuch sahi ho raha hai. shayad aapke internet connection me problem hai. Abhi mai log in hu aap mujhe contact form me apna mobile number or bank passbook me likha name or address bta sakte hai ya fir aap khud setting kar lo.

        Reply
        • mene send kar diya hu ho jaye to bata dena

          Reply
          • Vivek pahle aap bank account khulwa lo usi name se AdSense account banana. OOr password change kar lena.

          • hai ek maharastra bank ka me usi ka adress bataya hu and name bhi wahi hai aap kar dijiye koi problem nahi hai

          • Agar mai aapka AdSense form farunga to koi galti ho sakti hai. Aap browser ki history delete karke try karo option work karega. sath hi internet connection bhi check kar lo.

          • accha itna bas bata dijiye ki sign up karna hai ya login

          • Sign up karna hai.

  9. Very useful tips for mobile battery and increase its life

    Reply
  10. seo youst me “The copy scores 50.9 in the Flesch Reading Ease test, which is considered fairly difficult to read. Try to make shorter sentences to improve readability” ye kya hai? iska mtlb kya hai. post me aur kya add karne bol raha ?

    Reply
    • Iska maltab hai ki aapne jo content likha hai usme se 50.9% content hi read able hai yani 50.9% content ko samajhna aasan hai. Iske liye aap post me clear content likho. Hindi me ye score kam hi rahta hai. english me better ho sakta hai.

      Reply

Leave a Comment