Is post me mai aapko computer ke bare me kuch better tricks bta raha hu. Jinki madad se aap pane PC par aur behtar tarike se kaam kar sakoge. To chaliye jante hai computer ki 10 best tricks ke bare me jo aapko power user bana dengi.
Computer ne hamari life kafi simple bana di hai. Apne bahut sare work ghar baithe-baithe nipta dete hai. Chahe padhai ho ya office ka koi kam computer pe sub kiya jata hai. Jub hum koi work karte hai to bahut sara time bhi lag jati hai. Lekin faltu ke click na kewal samay barwad karti hai balki wo apne kam me bhi badha dalte hai.
Computer ka istemal lagbhag har ek ghar me kiya jata hai. Lekin hum me se kai log hai jo jinhe iski puri jankari nahi rehti hai aur yahi wajah hai ki hum apna samay kuchh faltu click me jyada bita dete hai.
Computer Ki Top 15 Cool Tricks Jo Aapko Bana Degi Power User
Aaj hum aapko batane ja rahe hai kuchh aisi hi cool tricks jo aapko bana degi ek power user — Hum aapka time west na karte hue ab sidhe topic ki our chalte hai.
1. Windows Ko Kare Organize:
Yadi aap 2 Windows ko ek sath use karna chahte hai to aap keyboard me diye window button ko aur right or left erro ko sath me press kare. Dono window corner me ek sath me aa jayegi.
2. Band Karna Aur Open Karna:
Agar aapne YouTube me video dekh chuke hai ya phir kisi browser me aap koi website ko open karke dekh rahe hai to use band karne ke liye hum mouse se upar diye gaye curser par lage cross ke symbol par click karte hai. Lekin ise aap apni keyboard se bina mouse ke bhi band kar sakte hai hai. Wo kaise? Simple iske liye aapko Ctrl+Shift+W key butoon daba kar band kar sakte hai.
3. Agar aapko usi browser ko open karna hai to kaise kare?
Bahut bar humse ek mistake ho jati hai. Dusre browser ko band karne ke chakar me jisse nahi band karna chahiye wo bhi band ho jata hai. Aise me hame pata nahi rehta hum kaha tak work kar chuke hai. Ya fir agar hame pata bhi chal jata hai to hum phir se wahi kam ko suru se karne lagte hai. Iska bhi simple tarika hai. Aap Ctrl+Shift+T punah usi browser ko open kar sakte hai.
4. Space Bar Ka Kamal:
Iska kamal dekhe jub aap kisi browser me browsing kar rahe ho to niche aane ke liye aap space bar ka istemal karte hai but upar jane ke liye aap shift ke sath spacebar ko press kare.
5. Private Browsing:
Yadi aap computer me kuchh search karte hai to uski history ban jati jisse hame bad me clear karni padti hai. Yadi computer me kuchh aisa search karna chahe jiski history aap Computers me nahi aane dena chahte hai to ctrl+shift+N type kare. Isse aap Incognito mode me chale jayenge. Ab aap kuchh bhi kare aapki history save nahi hogi.
6. Ek Windows se dusre Windo me jana:
Ek windows se dusri Windows me jane ke liye hum mouse ka paryog karte hai. Lekin aap chahe to apne keyboard se Alt+Tab ek sath dabakar ek windows se dusre Windows me ja sakte hai.
7. Dusra windows open karne ke liye:
Agar aap dusra windows ko open karna chahate hai to iske liye Keyboard me aapko bus Windows+Left key ek sath dabani hogi.
8. Battery kare save:
Apne computer ki battery save karne ke liye aap battery saving mode on kar sakte hai. Sath hi aapne computer ka display deem kare isse battery save ho jayegi. Mai aapko suggest karunga ki aap humesha apne laptop ki britness medium hi rakhe. Isse aapki aankhe bhi kharab nahi hogi or laptop ki battery bhi jyada time tak chalegi.
9. Font ko Bada- chhota karna:
Font ko bada chota karna ho to sabse pahle aapko wo word type karne honga aur uske bad us word ko select karke Ctrl+Plus button daba kar bada kar sakte hai.
10. File delete karne ke liye:
File delete karne ke liye hum file ko select karte hai aur usse delete kar dete hai. Lekin aise delete karne par ye sabhi file recycle been me chali jati hai. Kisi file ya photo ko puri tarah se delete karne ke liye Shift+Delete ko ek sath dabaye. Aise me jis file ko aap delete kar rahe hai wo puri tarah permanantely delete ho jati hai.
11. Lock Your Computer:
Agar aap chahate hai hamara computer screen turant lock ho jaye to aap Windows key+L dabaye lock ho jayegi.
Hello friends is post se smandhit aur koi bhi shortcut key chahiye to aap comment box me bataye, Aur post achha lage to social media pe share jarur kare,
bahut hi useful shorcuts aur tricks share karne ke liye thanks Ravi&JDK sir
Nice sir thanks for sharing i like this post
sir , mere pas (Dell vostro 1015 ) laptop hai or isaki battery one year se kharaab ho gai hai, mughe isame nai battery lagvani hai , but problem ye hai ki dell ki website par chack karne par likha aa raha hai ki iss model ki battery ka production band ho gaya hai. amezon, flipcart par kai sari battery ke option hai jinki cost Rs. 1500 se Rs 3000, Rs 4000, Rs 5000 tak hai , mere sahar ki dukaano me bhi kuchh Rs 1500 se Rs3000 tak price ki battery mil rahi hai. kya online khareedne par sahi battery milegi ?? pleas mughe bataaye mai kon si battery khareedu jo 3 ghante ka backup de???? kya mughe kahi se original battery mil sakti hai ?? kya meri ye battery repair ho sakti hai???? pleas help…….
Aapko kisi computer shop se battery leni chahiye.
Sir plz munhe kuchgyan ki sites bta do
Look here Kuch Naya Sikhna Chahate Hai to In 10 Websites Par Visit Kare
bhai computer ko direct shortcut key se restart aur sleep karne ka kya shortcut key hai please batayiye.
aur desktop par khaali jagah par right click karne par ek box aata hai jisme refresh, cut, copy, paste, new aadi option hote hai , yadi is box ko direct short cut key se laana ho to kaise aayega please bataayiye.
your best blog liker pankaj kumar fron SARAN, bihar
Alt+f4 se off kar sakte ho on karne ke liye power button hi press karna hoga.
mujhe aapna windows 8.1 activate karna hai without key se ho jayga ya nahi
Iske bare me aap windows install karne wali shop par bat karo.
sir mera loptop bahut solw kamkarta hai on hone main tame lagta hai lag bhag 10 mintes lagte hai
Aap laptop ko computer shop par dikhao. Wo aapko sahi advice denge.
Bhai aapki sabhi post bahut gyanvardhak hoti hai aur inse maine bahut kuchh sikha hai. main detail me ye janna chahta hu ki “PC aur Internet ki IP kaise change karte hai” aur “Black Listed IP ko kaise black list se nikalte hai”. ummid hai ki aap hamesha ki tarah jaldi hi inka uttar doge…..
Thanks bro Mai sike bare me post karun ga. Aap wo padh lena.
Aur bro acha ye bta dijiye mai ab gogglesAdSense apply kaise karu pehle meri site pe hi option enable ho gya tha lakin ab wha dissapprove likhe aa rha muje YouTube ke dwara apply karna padega ya kisi aur method se
wohi option enbale ho jayega. Aap 8-10 day wait karo. or agar aysa nahi hota hai to aapko domain lena hoga.