Hum badi ummid Blog banate hai or fir usme ache ache articles bhi upload karte hai magr jab humare blog ko visitors nahi milte to last me hum nirash ho kar blogging chod dete hai. iski main wajah hoti hai blog ka look sahi na hona kyuki humare blog ka look jitna acha or aakarshak hoga visitors ko wo utna hi acha lagega, aaj mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu, aap aasani se apne blog ka look template change kar sakte hai.
Agar aapne Blog nahi banaya hai to pahle ye post read kar Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi apna blog bana lijiye.
Blog Ki Template Ko Kyu Change Kare?
Agar aapko apne blog ka traffic badhana hai or agar aap chahate hai ki aapke blog par jyada visitors aaye to aapko blog ki template change karni chahiye. blog ki template change karne se aap usme social media buttan bhi add kar sakte hai jaise aap mere blog me dekh rahe hai.
Agar aapne blog bana liya hai or aapko kuch samajh nahi aa raha hai ki ab kya karna hai to aap hamari ye post read kijiye. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Blogger se pahle se bahut sare template free me de rakhe hai par agar aapko apna blog or acha or best banana hai to aap blog template change kar sakte hai. iske liye aapko free site se template download karni hai.
Wese to bahut si website hai blog template download karne ke liye. par aap yaha se bhi www.btemplates.com ya www.webdesignrazzi.com template download kar sakte hai.
Is bat ka dhyan rakhe ki blogger sirf Xml file hi support karta hai. isliye template chane karne ke liye sirf Xml file hi choone.
Blog Template Ka Design Kaisa Hona Chahiye
Blog ki template download karne se pahle ye jan na bahuty jaruri hai ki blog ki template kaisi honi chahiye, yeh bahut jaruri hai
- Mobile Friendly: Template Mobile friendly honi chahiye taki mobile me bhi aapka blog acha dikhe or ye to aap jante hi hai ki aaj jyadatar log mobile me hi net use karte hai.
- SEO Friendly: Ye bahut jaruri hai ki aapke blog ki template seo friedly ho taki google search engine me aapka blog search ho sake.
- Fast Loading: Aapke blog ki template fast load hone wali ho taki jaldi khule kyuki jab koi visitors aapke blog blog ko open kata hai to agar ye open hone me time lagati hai to visitors kisi dusri website par chala jayega.
Ab aap ye to jan hi gaye honge ki blog template kaisi honi chahiye or blog template kaha se download karte hai, ab aap ko ye janna hai ki blog template kaise upload karte hai.
Blog Ki Template Change Or Upload Kaise Kare
Sabse pahle Blogger.com website par jaye log in kare or blog ke Dashboard me jaye.
- Template par click kare.
- Ab Backup/Restore par click kare.
Ab ek new popup windows open hogi.
- Download foll template par click karke apne blog ki template ka backup bana le taki. taki template upload karte waqt koi error aaye to aap fir se purani template upload kar sakte hai.
- Choose file par click karke apne blog ke liye xml file choone jo aapne pahle se download kar rakhi hai or agar nahi ki hot to pahle Btemplates.com is site se template download kar le
- File choose karne ke bad Upload par click kare or thoda wait kare. template upload hone ke bad aapke blog ka look badal jayega.
To friends is tarah se aap bhi apne blog ki template upload or change kar sakte ho aasani se or agar fir bhi aapko kuch problem aaye to comment me bata sakte ho.
Agar aapke blog website par traffic nahi hai to aap hamari ye post read kijiye. Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
I hope aapko ye post achhi lagi hogi agar lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share kar ke unhe bhi iske bare me bataye.
rakesh kumar
@ salik
aap blog kaa temlate bina software k bhi upload kr skte ho
aur smartphon se bhu blog kaa temlate use kr skte ho .
rakesh kumar
@ jitu
aap ne agar godady se domain liya hai to aap hosting leke apne man chahe trike se website design kr skte hai lekin agar aap blog use krte hai ushi domain ka use kr to ye step ish post me bahut achhe se btaaye gye hai aap in steps ko follow kre
jitu
sir yeh batatye aap blog use karte hai ya website …..
Jumedeen Khan
Mai aapko pahle bhi bta chuka hu ki mai blog use karta hu.
Honey
Sir mujhe bhi aapki trah se blogger banana hai par mujhe computer ki basis knowledge hi Hi jayda nhi mein DTC (delhi transport corporation) mein as a conduter hu or last 2 months se apni job chod kar ghar par bhetha hu muje suru se btayiye ki phele kya karu .mujhe surf thoda sa exle hi aata hai
Jumedeen Khan
Sabse pahle aap blogger par free website banao.
jitu
sir blog se nhi….
apse maine website se pucha tha
website par tamplate kasie lagate hai …..
supose that ki maine GoDaddy se domain liya aur blog na choice kr website choice kiya toh website per tamplate kasie lagaye ge yeh bataye …
thanxx
AND…
GooD Day!!!!!!….
Mr . khan
Jumedeen Khan
Mai website ke bare me aapko jankari nahi de sakta.
salik
bhai mere site shayari par h aur mai usmai pics nhi use krna chahta hu plzz mujhe koi mobile friendly templete mere mail id par par send krdo maine bht dhunda templete lekin choose nhi kr paya plzz plzz
aur
ye v bta do k kya templete to upload krne k lye PC ya Laptop par kisi Software ki jarurat padti h ya bina software k upload ho jaega..
plzzz bro hlp me..
i m waiting for ur answer…
Jumedeen Khan
Bina software ke hi upload ho jayrgi. Aap te post pado Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites
jay
Bhai to aap hi khuch accha sa mobile templet bhej do. Please help!
Jumedeen Khan
aap internet se download kar sakte hai. ye post pado Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites
jay
Bhai aapne jaisa kaha maine vaisa kiya Pr koi fayada nhi Huaa. Aap khud mobile Pr search krke dekh lo.
mathstricks12.blogspot.com
Please help!
Jumedeen Khan
iska matlab aap jo template use kar rahe hai wo mobile friendly nahi hai.
jay
Bhai maine templet download kark blog par upload kar diya but mobile par jab blog ko view karta hu to desktop me jaisa templet dikhata hai vaisa dikh rha hai. Mai chahta hu ki jaisa apka site desktop par alag aor mobile par alag dikhta hai. Aisa hi mera site bhi mobile par alag dikhe. desktop wala nhi. Please help!
Jumedeen Khan
blogger ke dashboard par jao or template par click karo. ab mobile preview ke niche setting gear par click karo. av ” No. Show desktop template on mobile devices.” par click karke save kar do.
madan gangwar
mere templates me jaisa apne bataya tha baise maine menu ko set kar diya lekin jab main menu ko open karta hu to ak post do bar likhi dikhai deti hai asa kyn aur ye kaise thik hogi plzz
Jumedeen Khan
aap contact forum me muhe msg send kar sakte ho.
Jumedeen Khan
agar aap ek comment kar ke thoda wait kare to bhi aapko jawab mil jayega kyuki meri koshish rahti hai ki mai sare sawalo ka jawab de saku. isme thoda time bhi lag sakta hai. agar aap mujhse live chat karna chahe to aap sham 8-10 baje ke bich yaha comment kare. mai 8-10 baje tak sabhi ko turant jawab deta hu. plz mujhe samajhne ki koshish kare kyuki mujhe aap hi ki taraha sabhi ko jawab dena padta hai. isliye aage se comment kar ke thoda wait kare. mai jab online rahunga aapko jawab send kar dunga.
Jumedeen Khan
maine aapko is post me iske bare me btaya tha ki blogger sirf html file hi support karta hai.
bhagatram malasi
mere usme zip file supoort nhi kr rhi hai sir
bhagatram malasi
sir muje templtes chieye meri gmail id hai hai bhagatram.malasi @gmail.com
Jumedeen Khan
blog me categories ka option lagane ke liye ye post pado Blog Me Category Widget Kaise Use Karte Hai
Jumedeen Khan
Mai winrar naam ka softwer upload karta hu. shayad ye softwer aapke computer me bhi ho.mai aapki email id par kuch template send kar dunga ok.
aap google par se favicon search kar ke download kar sakte hai. ya fir aap khud bhi bana sakte hai photo editer se.
rakesh
or ye categoris ka option kha se laga te h blog me help me sir aap ne tags ke nicha jo option laga rekhe h vo kha se lagaye h muje bi lagane h sir
rakesh
hi sir mne templete download kiya tha but vo xml file support karta h mera emailid helppublic4 @gmail.com es par aap jo bi templete h vo sab send kar do or ake baat sir vase aap xml file kon se software se convert karte ho muje bi batao sir or mena layout<favicon per click kiya tha vo mera computer ke file mag ra h to sir me kya file daalu favicon me muje tokuch bi samj nahi aara sir aap muje step by step bataye ki favicon kha se download karte h thanyou sir…
Jumedeen Khan
Error aane ki wajah ye hai ki aapne jo template download ki hai wo Zip file hai or blogger sirf XML file hi support karts hai, isliyer aapka apni template ko zip file se XML file me convert karna padega, aap apni template ko mujhe send kare mai use convert kar dunga ya fir ye template download kare or apne blog me upload kare. agr fir bhi error aata hai to mujhe btaye
muhammad abrar
bhai meny templete upload krba hai blog par lekin temple upoad nahi ho rha.erorr a jata hy kiya kru.
Plz help