Kya Adsense Me Kisi Or Ka Bank Account Add Kar Payment Le Sakte Hai

Agar aap adsense publisher hai or google adsense istemal karte hai magar aapke pas apna bank account nahi hai to aap kisi or ke bank account ko adsense me add karke payment le sakte ho. Iski process kya hai or iske liye aapko kya karna padega. Is sabke bare me aapko is post me jankari mil jayegi. Yaha aap adsense me kisi or ka bank account add karke payment lene ke bare me janoge. Adsense me kisi or ke bank account ko add karke payment kaise le or kya adsense me kisi or ki bank account details add karne par google aapko payment send karega?

Adsense me kisi or ka bank account add karke payment kaise le

Yes, aap kisi or ka bank account add karke adsense se payment le sakte ho magar iske liye adsense ke kuch rules hai jo aapko follow karne honge. Agar aap in rules ko follow nahi karte ho or adsense me galat bank account add kar lete ho to aapko adsense se payment nahi milega or payment fail ho jayega.

Google adsense me kisi or ka bank account jodne ki jarurat tab apdti hai jab humare pas bank account na ho ya kisi waja hse hum bank account nahi khulwa pa rahe ho. Main aapko suggest karunga ki agar aap bank account open karwane me able ho to aap khud ka hi bank a/c use kare taki aapko payment lene me koi problem na ho.

Agar aapke pas bank account nahi hai or na hi aap khud ka bank account khulwa nahi sakte to aap kisi or ka bank account add karke adsense se payment receive kar sakte ho.

Adsense Me Kisi Or Ka Bank Account Add Karke Payment Kaise Le

Aap kisi or ka ban kaccount add karke adsense se payment receive kar sakte ho but iske liye aapko ye rules follow karna hoga. Ye janakri sabhi adsense publisher ke liye important hai.

Aapne adsense account me jo Payee Details add ki thi or aap other jiske bank account ko adsense me ad karna chahate ho uski details same honi chahiye. Matlab aapki adsense payee profile details beneficiary account holder ki details se match honi chahiye.

In simple words, aapne jis details ke sath adsense account banaya tha ya aapke adsense me jo Payee address hai. Aap us address wale kisi bhi bank A/c ko adsense me add karke apna payment le sakte ho. Yani aap apne village ke kisi person, family members, friends ke bank account ko use kar sakte ho.

Agar aap aesa nahi karte ho or payee profile or bank account details match nahi hoti hai to payment fail ho jayega or aapko payment nahi milega.

Note:- Agar kisi wajah se aapko payment nahi mil pata hai to payment reissued ho jayega or send karne ke 2-3 week me payment aapke andsense account me wapas aa jayega.

Adhik jankari ke liye aap ye video dekh sakte hai.

Finally, aap kisi or ke bank account me apna adsense payment le sakte ho. Is bich aapko bas itna khyal rakhna hai ki bank account details aapke adsense account se match honi chahiye. I mean aapke adsense me jo address dala hua hai aap usi address ki bank me payment le sakte ho.

Ab aapko apne hi name se bank account khulwane ki jarurat nahi hai. Aap apne friend, family members etc. kisi ke bhi account me adsense payment pa sakte ho. Kisi wajah se aapko payment nahi bhi milta hai to 2-3 weeks me payment aapke adsense account me wapis aa jayega.

I hope is post ko padhne ke bad aapki adsense se payment lene ki problem solve ho jayegi. Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par apne friends and other adsense publishers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 57 )

  1. sir
    mera AdSense meri mom ke name se hai kya
    main apna account link kar sakta hu
    mera aur mere mom ka account ek hi
    BANK me hai

    Reply
    • Nahi, jiske name se adsense se usi ka account add karo.

      Reply
  2. mere kHud ke 2 bank account hai. Same naam , same address se 2 alag alag bank me account hai. Kya main 2 AdSense account par alag alag bank ki detail de sakta hu

    Reply
    • Same address hai or same details hai to problem hogi.

      Reply
  3. Sir kya ye jariuri hai ki him google AdSense me third steps me Jo phone number magta hai usme apna wahi number dale Jiseé humne YouTube account verify karaya hai …Agar yes ,to sir Maine account verify to karaya that PR number yaad nahi hai kaun sa that please sir aap bta dijeye ki WO number pta kaise kare

    Reply
    • No worry aap dusre number se verify kar sakte ho.

      Reply
  4. thanks for sharing good information

    Reply
  5. sir aap bahut badhiya insaan hai aapki help se maine blogging start ki thi lekin mere saamne problem bahut aa jati hai. jinme se ek ye hai

    jab maine adsense ke liye apply kiya tha to mere blog ka domain name “www.abc.com” tha. aur mera adsense account approve ho gaya tha.
    lekin 10-15 din bad maine apna domain name change kar diya. jo “www.xyz.com” hai.
    problem ye hai ki domain name badalne ke bad mer blog par koi bhi ads show hona bad ho gaye. aur mere pas iska koi bhi mail nahi aaya. mere adsense account me policy voilation ka msg bhi nahi aaya hai.
    fir maine aapse comment me iske bare me pucha aapne mujhe adsense me site ko verify karne ko kha.
    lekin maine adsense account me “site setting” me jakar domain name already add kar rakha tha aur verify bhi kar diya.

    fir main 20-25 din tak wait kiya ki ho sake automaticly ads show hone lag jaye lekin kuch bhi nahi hua.
    iske bad maine adsense team ko iske bare me msg bheja tab unki taraf se mujhe ye mail aaya hai.
    “Hi,

    Thanks for contacting AdSense support.

    Our records show that ad serving was disabled to www.xyz.com due to one or more violations of our program policies. For more details, refer to the Policy violations section of your AdSense account.

    Once you have made the appropriate changes, submit an appeal form directly to our policy specialists.

    If you’re unable to submit an appeal form, we’re currently unable to reconsider this site for participation in the AdSense program. You’re welcome to place ad code on other sites you may own that comply with our policies.

    Sincerely,

    The Google AdSense Team”

    sir ab mujhe kya karna hoga maine itna lamba sawal kar diya hai. iske liye sorry lekin sir mujhe iske bare me aapke alawa aur koi thik se nahi samjha sakta. so please iska jawab dekar meri problem solve kare.

    Reply
    • Adsense settings>> policy center par jao or dekho waha jo violation btaya gaya hai use fix karo.

      Reply
      • sir maine policy center me jakar dekh liya hai lekin waha par koi violation nahi hai

        Reply
        • Then aap adsense help forum par question karo wo aapke account ko check kar problem solve kar denge.

          Reply
          • sir main apne adsense account ko cancle karke dobara se apply kar sakta hun kya.
            agar nahi to mujhe iska solution bataye
            aur mere dusre blog par ads show ho rahe hai.

          • Yes kar sakte ho.

  6. sir mera jis bank me account hai us bank ka swift code nahi hai to kya mai apne big city ka swift code use kar sakta hun mai apne bade city ke bank me jakar ke swift code liya hai to unhone bataya ki yahi ka use hona chahiye kyoki is state me main branch yhi hai. To mujhe kya krna chahiye please reply me

    Reply
  7. Sir mer paas do adsense account hai pehla account verified hai jisme 1000 $ ho chuka hai or dusra adsense account verified nahi hai jiseme 30$ hai ab main chahta hu ke dusra adsense account deleta ker du or wo 30 $ apne verified account me transfer ker lu….
    To sir kiya ye mumkin hai
    2. main chata hu ki dusra adsense account her haal me delete ker du chahe wo 30 $ mile ya na mile ….lekin problem ye hai ke wo delete nahi ho raha hai…shayed usme 30 $ hone ki wajah se

    Reply
    • 1. Nahi ye mumkin nahi hai. Aap iski koshish bhi mat karna warna 1000$ se bhi jaoge, adsense block ya suspend ho jayega.
      2. First aap 1000$ wale adsense ka payment receive karo, Delete ho jayega aap sahi se karo.

      Reply

Leave a Comment