50 Business Ideas Google AdSense Se Jyada Paisa Kamane Ke Liye

Jaise hi hume Google AdSense ke bare me patra chlata hai to humare dimag me sabse pahle ek sawal aata hai, “Kis Topic Par Website Banaye, Jis Par Adsense Se Achchi Earning Kar Sake“. Agar aapke sath bhi yahi problem hai or aap blog ke liye perfexct niche topic choose nahi kar pa rahe hai to ye post aapke liye hi hai. Is post me main aapko google adsense se good income karne ke top 50 business ideas bta raha hu jin par blogging karke aap adsense se jyada paise kama sakte ho.

50 Business Ideas Earn More Google Adsense

Website create karna or us par google adsense advertisement program se earning karna bahut hi aasan hai but agar aap adsense high paying keywords wale niche par content publish karte ho to aap adsense se kahi jyada income kar sakte hai.

I mean aese kuch topics hai jin par adsense ads se other topic wali site se jyada earn kar sakte hai. Kuch topics par adsense advertiser jyada pay karte hai to kuch topic internet par itne famous or popular hai ki aapko un par jyada traffic or jyada ads click milte hai.

Google AdSense Se Jyada Earning Karne Ke Liye 50 Topics

Agar aap aese topic par likhna chahate hai or adsense se jyada kamana chahate hai to aap nich btaye 50 businss ideas me se kisi ek ko select kar sakte hai.

Top Business Ideas for Google Adsense:

  1. Insurance Information: Insurance related keywords par adsnse sabse jyada pay karta hai. Iski high CPC $54 hai. Per click aapko $54 tak mil sakte hai. Isme competition bhi bahut kam hai.
  2. Finance: Aap finance tips or finance news topic par kaam karke adsense se jyada earn kar skate ho.
  3. Mortgage Information: Aap specifically mortgage rates and updates par fucus kar sakte hai taki homeowners or jo buy karna chahate hai ko achhi jankari mil sake.
  4. Loans Guidelines: Loan kya hai, loan kaise or kaha sel e? is topic ke bare me har koi janna chahate hai. Mostly student education loan ki jankari search karte hai. Aap loan ke bare me likh kar unki madad kar sakte ho.
  5. Health Information: Adsense websites me se health most profitable topic hai. Agar aap health related knowledge hai to aap iski general information or specific health related niche focus kar sakte ho.
  6. Home Treatment: Bahut si bimariyo ka ilaz gharelu upchar se ho sakta hai. Aap aese gharelu nuske share karke logo ki help kar sakte ho.
  7. Technology: Google adsense se adhik paisa kamane ke liye ye mera favorite subject hai. Aap ek website or blog bana kar us par new new updates wala content share kar sakte ho.
  8. Fashion: Aaj ke time me kisko fashion ka shauk nahi hai. Aap fashion designer, trends, fashion tips share kar sakte ho.
  9. Sports: Sports ka junoon har youth par sawar hai. Aap sports par blog bana kar all sports niche ko cover kar sakte ho.
  10. Diet Tips: Most popular health related topics ke alawa aap diet topic par likh sakte hai. Aap diet tips and weight loss ke bare me likh sakte ho.
  11. News: Aap kisi bhi top news topic par content share kar sakte ho isme aapko traffic sabse jyada milga.
  12. Beauty Tips: Girl, boys, woman or mans sabhi beauty me interest rakhte hai. But ladies ko iska sbase jyada shauk hota hai. Aap makeup related topic choose kar sakte ho.
  13. Relationship Advice: Agar aapko relationship counselling ki knowledge or experience hai to aap ek website start kar sakt ho jaha aap logo ke questions ke answer or advice share karte hai.
  14. Home Care: Aap ek aesi website bana sakte hai jo home owners ke liye great source ki tarah ho. Aap ghar ki swajwat se le kar marmmat tak topics par likh sakte hai.
  15. Family Topics: Aap family related events, activities, parenting advice etc. par likh sakte ho.
  16. Credit Information: Aap logo ki credit related decisions lene me help kar sakte ho.
  17. Real Estate Information: Real estate topic adsense website ke liye sabse best hai. Aap specific area ki listings information share kar sakte hai.
  18. Fitness Tips: Aap apni site par fitness ki jankari share kar sakte hai jo workout karne walo ke liye helpful sabit hogi.
  19. Auto Mobiles: Aap ek website bana sakte ho jisme automobils newsm repairing etc. ki information ho.
  20. Sport News: Cricket ka match hote time har koi news check karta hai. Aap ek aesi site bana sakte ho jis par har type ki latest sport news available ho.
  21. Political Updates: Aap ek aesi website bana sakte hai jis par political candidates or politicians ki information ho.
  22. Travel Info: Aap travel information kar logo ki journey help kar sakte ho. Example, airline and hotels ke bare me likh sakte ho.
  23. Photography Tips: Photography me bhi kai advetiser money invest karte hai. Aap ek photography site bana kar adsense se achha kama sakte hai.
  24. Stock Images: Aap ek aesi site bana sakte ho jisme free stock images available ho.
  25. Social Media News: Social media users ke liye nayi nayi jankari, tips and update share karna.
  26. WhatsApp Status: Whatapp, facebook, twitter users ke liye funny, comedy, serious, shayari, jokes etc. status share karna.
  27. Web Design: Aap web design or development wali site run kar sakte ho.
  28. Money Making Tips: Internet s online ya offline paisa kamane ke ideas, tips share karna.
  29. Money Saving Tips: Money saving tips shar karna, I mean bachat karne ke naye naye or sahi tarike btana.
  30. Business Tips: Online business ya offline business karne or use success banane ki jankari share karna.
  31. Market Tips and Tricks: Market products ki latest update or news ke bare me likhna.
  32. Advertising News: Advertisement companies ke bare likhna or logo ko btana, Iske alawa advertising ki knowledge share karna.
  33. Education: Student ke liye kaam ki jankari or news share karna. Study karne or jyada mark lane ke tarike btana.
  34. Education Loan: Student study ke liye education loan kaise le sakte hai uske bare me btana.
  35. Latest Updates: Kisi bhi topic ki latest update share karna. Aap is site me kai sare topics par likh sakte ho.
  36. Breaking News: Breaking news share karna. Isme aapko dusro se jaldi or smart tarike se news share karni hogi.
  37. Law and Lawyer Information: Specially, lawyers or lawsuit ki jankari aapki site par kafi search traffic la sakti hai. Ye adsense websites ke liye best topic hai.
  38. Local Business Tips: Apne aaspas ke local business ke bare me jankari dena. Usme safal hone ki tips btana.
  39. Farming and Agriculture: Agar aapko farming and agriculture ki knowledge hai to ye topic choose karke aap jyada kama sakte ho kyuki isme advertisrr jyada paisa lagate hai.
  40. Cyber Security: Cybersecurity consumers and businesses ke liye major issue ban gayi hai. Internet par iske bare me log bahut searching karte hai, aap un ki searching ko aasan bana sakte ho.
  41. Search Engine Optimization (SEO): Content ko search engine me top par lane ki tricks btana. Aap ek aesi site bana sakte ho jo logo ki apni site ko google me top position par lane me help kare.
  42. Blogging Tutorials: Agar aapko blogging ki knowledge hai to aap logo ko blog banane or use run karne wale helping tutorial likh sakte ho.
  43. Viral Topics: Kisi bhi viral topic par likhna ya video banana jisse aapko jyada se jyada traffic mil.
  44. Trending Topics: Ye topic youtuber or blogger dono kel iye best hai. Aap aese topic par likhe ya video banaye jo trending me ho.
  45. Online Game Training: Sirf android mobile hi nahi desktop PC ke liye bhi ek se badh kar ek game available hai. Aap un games ki training ke bare me bta sakte ho.
  46. Entertainment: Aap movies, shows, comedy, best scene, bad scene par comedy video bana kar logo ka entertainment kar sakte ho.
  47. Celebrity News: Popular celebrity ke bare me likh kar aap google search engine se jyada traffic dila sakta hai. Unke fans ke search karne par aapki site show hogi.
  48. Software Information: Aap kisi bhi tarah ke software ki informaton share kar sakte ho.
  49. Programming Language: Coding sikhana ek bahut hi achha topic hai adsense se jyada kamane ke liye, because isme aapko newbie user milenge jo ads par jyada clicks karte hai.
  50. Life Changing Tips: Life me success hona, Life change karna, Zindagi jeene ka tarika etck e bare me likh kar logo ke jivan ko achha banana.

In 50 topics me se kisi ek par likh kar aap google adsense se achhi income kar sakte ho. Iske liye aapko website ya blog banane ki jarurat hogi. Jiski jankari ke liye aap ye post padhe.

Conclusion

Kisi bhi topic par likhne se better hai apa ese topic par likho jis par adsense jyada pay karta ho ya fir jis par jyada traffic ho. Maine upar o topics btaye hai unme se kuch par traffic jyada hai to kuch par google adsense jyada commission deta hai.

Insurance keywords par adsens ki high CPC $54 hai, so agar aap high paying keywords par likhoge to aapko kam clicks me jyada earning hogi. Jabki dusre topics par click kam traffic jyada hoga. Ab aap faisla kar sakte hai ki aap kis topic par kaam karna hai.

Agar aapko ye article achha lage to ise social media par dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 68 )

  1. सर सही और सटीक जानकारी देने के लिए शुक्रिया ..

    Reply
  2. VERY NICE ARTICALE SIR THANK YOU SOO MUCH FOR YOUR VALUEBLE THOUGHTS
    KEEP WRITING HELPFUL ARTICLES FOR READERS LIKE US

    Reply
  3. sir main apka article roj padhta hu infect best knowledge dete hai aap

    Reply

Leave a Comment